Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Azeem's Wall
Collapse
X
-
Re: My diary unlocked
kuch forums per rahnay kay baad muje eik experience zaroor hua hai kay kuch forums members kay anay aur janay se chaltay hain yaa close hojatay hain mera matlab hai kay kuchh khaas members jab tak forums per atay rahtay hain tu doosray members un khaas members ko dekh kar atay rahtay hain agar vo members nahi atay tu doosray members bhi forum per bus atay hain forums ko dekh kar chalay jatay hain aisay forums agar members atay hain tu acha lag raha hota hai nahi tu bhiyanak manzar pesh kar rahe hotay hain....
kuch forums members kay talent per aur un ki contributions per chal rahe hotay hain .... mod aur admin various games, entertainment ka silsila shuru kiya hota hai... members ko majboor kiya jata hai kay vo apni kawishon ko zaahir karein aur jo apna talent dikhata hai usssay encourage kia jata hai ussay mukhtilak enamaat aur title diye jatay hain.... aisay forums per members kay anay yaa janay se forums ko koi faraq nahi parta....balkay talented members vo khud aisay forums per khinch kay atay hain kyun kay un ko apna talent dikhanay ka moka mil raha hota hai.....
bus experience hua tu issay meinay apni diary mein likh diya....
sigpic
Comment
-
Re: My diary unlocked
Hala kay naam
iss larki ka profile dekh raha tha iss larki ki joining date sep 2005 hai aur in ka shumaar iss forum per top posters per hota hai... Allah hafiz kah kar apnay des chali gayi... iss larki kay meinay images kisi aur forum per dekhay thay jo bahut achay banati thi aur mein iss kay images ka madah tha.. muje pata nahi tha yeh hala iss forum per bhi hoti hain pata tab laga jab yeh Allah hafiz kah kar chali gayi hain.... iss ka profile dekhnay kay baad pata chala kay yeh iss nay iss forum ko lag bhag apni zindgi kay 7 saal diye hain... 2005 mein mein university mein parh raha tha aur yeh yahan members bani hui thi aur mein universisty se faarig ho kay job bhi kar raha hoon ...... agar yeh apna yeh time kisi university mein deti tu aaj jab vo afghanistan jaa rahi hai uss kay haath mein degree hoti aur uss degree ko dekh kar kitna khush ho rahi hoti..... :lolkitna iss nay iss forum ko time diya lakin aaj jab vo chali gayi hain tu afsos iss baat ka hai kay ussay top posters mein siway eik kay kisi nay alvida nahi kaha..... :shyy:
vo likhti hain kay uss nay iss forums per bahut kuchh seekha .... muje ta'ajab iss baat ki hai kay iss forum kay members seedhay maun baat nahi kartay seekha kia hoga...... 372-haha
Allah Hafiz Hala jahan raho khush raho... aur umeed hai kay aap jo designing seekhi hai ussay aap professionally ossay use karo aur khood haq hilaal ka paisa kamao.... aur meri dua hai aap khush raho....
sigpic
Comment
-
Re: My diary unlocked
yahan kaafi waqfay waqfay se baarish ho rahi hai .... yeh baarish mujhe bahut achi lag rahi hai..... iss baarish nay waqt ko beqrar kar diya hai... iss baarish nay meri sochon ko maazi ki jharokon mein leyjati hai lakin mein apnay maazi mein jana nahi chahta.... phir bhi aaj mosam baarish ka hai aur baarish kay asha'aar bhi beshumaar yaad aa rahe hain......
Maza Barsaat Ka Chaho
Toa In Aankhon Main Aaa Betho
Wo Barson Main Kabhi BArsay
Yeh Barson Say barasti Hain.
Kaisi Beeti Raat Kissi Se Mat Kehna
Sapnon Wali Baat Kissi Se Mat Kehna
Kaisay Uthay Badaal Or Kahan Takray
Kaisi Hui Barsaat Kissi Se Mat Kehna
dard to bohat hai dil mai baki,
rota nahi k koi daikh na lay,
iss liye to chalta hoo barsaat mai,
takay rotay hoye ko koi pehchan na lay
sigpic
Comment
-
Re: My diary unlocked
جناب عالی تمھاری ڈائری کی مختلف پوسٹ پڑھ کر یہ ریپلائی کررہاہوں
پہلے تو مجھے یہ بتاو کہ آپ یہ کیسے کہہ سکتے ہو کہ میڈم ہالہ کی ہمارے دل میں کوئی قدر نہیں، اور کسی کا تو مجھے نہیں پتہ میں نے ڈیزائننگ میں ستر فیصد کام انہی سے سیکھا ہے اور وہ میرے استادوں میں سے ہیں یہ باتیں بتانے والی نہیں ہیں پر ہر دعا میں شامل ہیں
انکے اللہ حافظ والے تھریڈ کے علاوہ بھی ایک آخری ڈیزننگ تھریڈ ہے جہاں انکے جانے کی بات کی ہے انہوں نے بہت سے ممبرز نے وہیں اللہ حافظ اور پانے پیغامات دیے ہیں ۔ پھر یونیورسٹی کی ڈگری کے حوالے سے جس طنز سے بات کی ہے آپ نے پتہ نہیں کی بھی ہے یا نہیں پر لگ ایسا ہی رہا ہے وہ بھی عجیب ہی ہے
پہلی بات تو یہ کہ آپ کو کیسے پتہ کہ وہ وقت ان کے لیے یونیورسٹی کا ہی تھا
ہمارے لیے تو وہ ڈیزائننگ کی یونیورسٹی کی ہی حیثیت رکھتی ہیں۔
دوسری بات جو ممبرز آپ سے سیدھے منہ بات نہیں کرتے سمجھ لو انکا منہ ہی سیدھا نہیں
دوسرا یہ کہ آپ کی وجہ یہاں دو ایک ممبرز سے میری لڑائی تک ہوئ
آپ کی بات ہونٹوں سے لالی وغیرہ چرانے والی پر
اب مجھے ایک بات بتاو میں نے تو کہہ دیا تھا کہ تم نے کچھ غلط نہیں کیا پر اگر آپ نے غلط نہیں کیا تھا تو پھر اچانگ بھاگ کیوں گئے
ایک جاہل انسان نے اگر برے لہجے یا زبان میں بات کر ہی لی تھی تو مقابلہ تو کرتے اس سے
Comment
-
Re: My diary unlocked
Originally posted by baniazkhan View Postجناب عالی تمھاری ڈائری کی مختلف پوسٹ پڑھ کر یہ ریپلائی کررہاہوں
پہلے تو مجھے یہ بتاو کہ آپ یہ کیسے کہہ سکتے ہو کہ میڈم ہالہ کی ہمارے دل میں کوئی قدر نہیں، اور کسی کا تو مجھے نہیں پتہ میں نے ڈیزائننگ میں ستر فیصد کام انہی سے سیکھا ہے اور وہ میرے استادوں میں سے ہیں یہ باتیں بتانے والی نہیں ہیں پر ہر دعا میں شامل ہیں
انکے اللہ حافظ والے تھریڈ کے علاوہ بھی ایک آخری ڈیزننگ تھریڈ ہے جہاں انکے جانے کی بات کی ہے انہوں نے بہت سے ممبرز نے وہیں اللہ حافظ اور پانے پیغامات دیے ہیں ۔ پھر یونیورسٹی کی ڈگری کے حوالے سے جس طنز سے بات کی ہے آپ نے پتہ نہیں کی بھی ہے یا نہیں پر لگ ایسا ہی رہا ہے وہ بھی عجیب ہی ہے
پہلی بات تو یہ کہ آپ کو کیسے پتہ کہ وہ وقت ان کے لیے یونیورسٹی کا ہی تھا
ہمارے لیے تو وہ ڈیزائننگ کی یونیورسٹی کی ہی حیثیت رکھتی ہیں۔
دوسری بات جو ممبرز آپ سے سیدھے منہ بات نہیں کرتے سمجھ لو انکا منہ ہی سیدھا نہیں
دوسرا یہ کہ آپ کی وجہ یہاں دو ایک ممبرز سے میری لڑائی تک ہوئ
آپ کی بات ہونٹوں سے لالی وغیرہ چرانے والی پر
اب مجھے ایک بات بتاو میں نے تو کہہ دیا تھا کہ تم نے کچھ غلط نہیں کیا پر اگر آپ نے غلط نہیں کیا تھا تو پھر اچانگ بھاگ کیوں گئے
ایک جاہل انسان نے اگر برے لہجے یا زبان میں بات کر ہی لی تھی تو مقابلہ تو کرتے اس سے
yeh jo meinay apni rai ka ezhaar kiya vo meray dil ki baat thi jo kuch meinay likhay tha vo meinay khud likha tha aur khud ko hee sunna raha tha matlab khud hee mukhatib tha.... meinay kisi pay tanz nahi kia agar kahin tanz kiya bhi hai vo meinay apnay aap per kiya hai kyun kay yeh diary ka likhna matlab yeh hai kay apnay under ki baat paper per likhna hai.... vo meri soch thi jo aap kay mutabiq nahi thi....diary jo mein likhta hoon uss pay kisi ka agree hona ya disagree hona zaroori nahi hota....
dost aap meri khatir kisi se laray ho yeh aap ki muhabbat thi..... kay aap nay kisi such ka saath diya....:salam: wese mein kisi bhi forum per kisi se ulajhnay yaa larai nahi karnay ata.... mein aap jese doston se seekhnay ata hoon... agar mujhe larnay aur ulajhnay ko shok hota tu vo mein apni real life mein bhi beshumaar aisey loog miltay hain kay uss per apna gussa nikal sakta hooon....:lol mein tu muhabbat aur pyar karnay wala shaks hoon aur hamesha chahta hoon kay her shaks amun aur free of mind rahe.... :ys: dost mein yahan kisi ka dil dukhanay nahi ata... mein tu sub kay saath ezzat va ehterram se pesh anay ki koshash karta hoon lakin agar kisi ko meri baat achi nahi lagti aur vo mujhe bewakoof yaa un-parh aur jahil samajhta hai tu vo uss ki apni soch hai aur ussay sochanay ka poora haq hai...... :salam:
sigpic
Comment
-
Re: My diary unlocked
Islam mein boht se fiqe hain ye kese banney??... sab ik dusre k dushman hain!! Esa Q?? sawal pahle ka jawab: Jab Insan Apney Shaur ko istemaal ker k kuch samjhna chahta hai tu us mein ghalati bhi kha jaata hai Baaz Oqat Nek neeyati se ghalati khata hai aur ikhtilaaf qaaim kerta hai .... Sawal dusre k jawab: baat tab bigarti hai Jab is ikhtilaf ko apni aahkri baat maanta hai kisi aur ko sunna pasand hi nahi kerta q na wo thik baat karey aur Baahmi ihtraam nahi kerta aur insaan jhagrey per uter aata hai..... is group mei hazar se bhi zaaid log add hain her kisi ka apna khayal aur soch hai sab mein ikhtialaaf paaya jaayga tu kya ye ikhtilaf Qaable mazamat baat hai??? bikul nahi ye ik khubsurti hai. hum sab insaano ki shakel ik dusrey se mukhtalif hai, per hum raah chaltey her insaan se nahi lartey q k hum shakil k ikhtialf ko ik natural haqiqat maanety hain....sigpic
Comment
Comment