Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

multi question....???

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • multi question....???

    Asalam-O-Alikum

    pochna yeh tha k koi b relation banaty vy kis cheez ko focus karna chahiye??? or kis base per apki friendship develop honi chahiye?? kia kisi ko trap kar k in sense k ap usko apni majboriyan beyan kar k pher kisi k sath relation develop kar k uski honesty ko use karen tu isy relations sy kaise bacha jae ye unki pehchan kari jae...:hhh:

    agar kisi dost ki buri ka pata chal jae tu us k sath kahan tak darguzar karna chahiye? kia us k baray kisi insan ko bolna k is mein yeh buri hy ya yeh is nature ka hy ghalt hoye ga jab k apka maqsad sirf us person ko safe karna hoye?
    میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

  • #2
    Re: multi question....???

    walikumsalam
    buhat acha thread hai tumhra yeh wala ..pehli baar shayadkoi serious thread lagaya hai gupshup main :lol:

    yeh depend karta hai relation pay kay aglay banday/bandi kay sath relation kesa hai
    me kay nazdeek har relations kay sath diff diff tareeka hota hai deal karnay ka ...
    tum sirf friendship ki baat karr ahi hoo ya hamray jitnay relations hotay hian parents, behan bahi , husband etc etc un ka bhi ?
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment

    • #3
      Re: multi question....???

      nai Aanchal mein is waqat un relations ki bat kar re hn jo ham apny ghar sy bahar banaty hein... ham k dost, ham k fellows , colleagues over the net etc... in relations ki bat kar re...

      han pehla sawal sab relations k liye hy....
      میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

      Comment

      • #4
        Re: multi question....???

        me friends kam kam banati houn ..jo zindagi main sath sath chaltay ban gay vohi hain ub tuk ..un main say bhi me aksar ki adatoo sau ub tung houn kiokay wo waqat kay sath sath badal gay hian ..is leye tadad kam say kam hoti ja rahi hai :khi: ....asal main me ko jo bhi relation hoo usay strong rakhna pasand hai ..me aiyian baiyain shaian kar kay apna kaam nikaal kay bhaag janay walye friends ko psand nahi karti ..tumhay yaad ho ga main nay aik thread lagaya tha "fake friends" kay naam say ...to unho logoo kay mutalaq tha ...
        jo aap ki honesty ko use karye wo friend kehlanay kay qabil hi nahi ....han agar us say ghalati hoo gai to maaf kar dena chaye ..lekan jo used to houn aisi cheezoo kay unhay to daffa hi kar dena chaye me kay khayal say

        last Q kay baray main yehi kahoun gee kay pehlay me samjhati the kay agar kisi kay baray main kisi dosray ko bata dia jaye wo gheebat hoti hai ..lekan main nay aik topic suna tha ..islam main ghebat ka ..to me ko pata chala buhat si aisi batian jinhay ham ghebat samjhtay chalye a rehay they wo ghebat nahi hoti ..is say aik insaan dosray insaan ko bacha sakta hai ...jesay shadi kay mamlaat main kio aap say pouchay kisi banday kay baray main to aap ka faraz hai us such such bata do us person kay baray main ..or aik banda koi business ya koi kaam kar chaha raha hai koi leen deen wala .lekan usay us banday kay baray main nahi pata or aap ko pata hai kay wo dosra banda sahi nahi hai leen deen main to aap ki zimmdari say pehlay banday ko sahi say sub bata daian ..takay wo kisi baray Nuqsaan say buch jaye .....or yeh bhi kay agar koi hakoomat kay khelaaf koi sazish kar raha hai ..aap ki zimmdari hai is baat ko agay tuk pounchaye kisi sahi banday tuk ..takay mulk kisi bari afat say buch jaye ..aap nay in cheezoo ko chupa lia or phir nuqasaan ho gaya mulk ka ..to aap ko kia khushi millye gee ?...
        aik or aisi baat main aik aunty say discuss kar rahi the kay mulk main kuch borayan buhat barh rahi hain ..jesay koi larka/larki kisi ghalat activity main muwalis hain ..to aap ki zimmdari hai un kay parents tuk proper tareekay say baat pounchaian takay wo unhay rook sakian ...aap nay ghalat cheez deekh kay chup saadh li kay me ka is say kia taluq to wo boeryaan pheelti hi jaian gee ...

        bus yeh chand batian me nay sekhi hain : d ..kisi ko zaida acha pata ho to wo me ki info main izafa kar sakta hai : d

        aksar aisa bhi ho jata hai kay neeki bhi galye par jati hai :lol:

        me khud is cheez pay search kar rahi houn abhi : )
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment

        • #5
          Re: multi question....???

          aik friend nay me ko kaha tha ..bandoo ko itni importance do jitni importance kay wo qabil houn ...to sahi kaha tha :bou:
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment

          • #6
            Re: multi question....???

            tum k dono posts ko aa k reply karti hn... tum ny almost jawab dy dea hy...

            aa k discuss kart...
            میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

            Comment

            • #7
              Re: multi question....???

              Originally posted by crystal_thinking View Post
              tum k dono posts ko aa k reply karti hn... tum ny almost jawab dy dea hy...

              aa k discuss kart...
              me ki baat abhi pori nahi hovi the :lol: pg off ho raha tha bar bar to pora off hi kar dia tha main nay pg ko :lol:
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment

              • #8
                Re: multi question....???

                me ki aik baat reh gai the kay friends ..jinhye hum waqai achay friends samjhtay hian ..unhay khona nahi chahtay ..un ki koi baat humye ghalat lagti hai to is say usay bachana chaye ..usay bata dena chaye kay yeh yeh cheez wo ghalat kar raha hai ..kia pata wo anjanay main aisa kar raha/rahi hoo ..usay khud bhi nataij ka na pata ho ..to hamari zimmadari hai usay ghalat say rokna ...

                me ki hain aisi kuch friends jin ki kuch adatian me ko pasand nahi ..me nay bhi humesha ignore kia ..lekan ub me ko lagta hai kay unhay usi waqat us ghalat cheez say rook dia jaye to wo sudhar sakti hian lol...warna wo aisi hi rehian gee .....me bata doun gee jo bhi un main fault hai ..agay un ki zimmadari theek karti hain khud ko kar laian ...aisay rehna chahathi hain to aisay rehian ..phir me apnay rastay wo apnay rastay :d

                or aik baat kay buhat sari batian aisi hoti hian kay koi aap ko batata hai kay flan banda/bandi sahi nahi hai ...wo aap kay bhalay kay leye aap ko bata raha hai to ..aap bhi samjhian ghoor karaian waqai aisa hi hai to aap us ghalat cheez say ruk jaian ....or jo aap ko batata hai us ka bhi parda rakhian kay us nay aap ko aik ghalat cheez say agha kar kay aap ko bachaya ..yeh na ho kay aap pehlay ghalat banday say lurr jhugar kar yeh kehian kay me ko flaan banday nay aap ka bata dia tha aap aisay hi hoo :lol: or dosray achay banday ko aap phansa daian :lol: ..buhat say loog aap ko sirf ghalat cheezoo say safe rakhna chahtay hian ..un ka kisi larai jhugray main parnay say koi maqsad nahi hota ..
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment

                • #9
                  Re: multi question....???

                  Originally posted by Aanchal View Post

                  tumny mery pochny sy pehlay he jawab dy dea hy... bhot dor andesh ho tum... :lol

                  tumny thek kaha hamein ishali qadam zarur uthana chaiye.... lekin baz log sab janty hein k wo kia kar ry kia keh ry lekin unka asal maqsad sirf kuch waqat ka tym pass hota hy or apna kam nikalna maqsad hota hy ya wo kisi buri mein janty bojty b rehna pasand krty hein... agar ap aise logon k close hoty hein tu no doubt unki aisi activities apko hurt kar jati hein apk liye aik difficult step hota hy unko aise hal mein rehny dyna... aise logon k sath unko chorny k ilawa kia salook karna chahiye :hhh:

                  han thek keh re... lekin logon ki realities bhot dair sy open hoti hein or yeh understood sa lagta tab k wo log usk use to ho chukay hein...

                  yeh point tmka bhot valid hy Aanchal... zarur hy k ham logon ki baton ki tehqeeq kar lein na k unpy andha aitbar... lekin sometime aisa hota hy Aanchal k bilfarz aik insan ko kisi ki galt activites ya nature k baray bola b jae tu bhot tehqeeq k bad b wo uspy ziada trust krty hein or us bechary well wisher ki shamat aa jati hy :lol
                  میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

                  Comment

                  • #10
                    Re: multi question....???

                    aik sawal or...

                    jaise k meny oper likha k log dosron ki feelings or honesty ko use krty hein ... or unko trap krty hein different ways sy tu kia unki batein JHOOT or promises KHEYANAT mein shumar hon gy?

                    kia unk jhoot bar bar bolny sy such ban jaty hein???
                    میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

                    Comment

                    • #11
                      Re: multi question....???

                      Originally posted by Aanchal View Post
                      aik friend nay me ko kaha tha ..bandoo ko itni importance do jitni importance kay wo qabil houn ...to sahi kaha tha :bou:
                      isi terha me k aik friend thy bhot nice lagty thy bazahir wo kehty thy k dosron ko pehlay thori respect do or pher agar wo usko bardasht kar sakay tu uski dose increase kar do nai tu peachy hut jao.... kuch log thori respect ko bear kar layty hein or jaise he ap unki ziada respect krty ho wo apni asliyat open kar dyty hein...

                      is sy mjko lagta respect or importance utni do jis sy relation limits ki boundary ko b touch na kar sakay ziada ka koi scene hona he chahiye nai....

                      tumko kia lagta hy???
                      میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

                      Comment

                      • #12
                        Re: multi question....???

                        Originally posted by Aanchal View Post
                        ..tumhay yaad ho ga main nay aik thread lagaya tha "fake friends" kay naam say ...to unho logoo kay mutalaq tha ...
                        tumko yad hoye ga meny likha tha k fake friends ziada tar net py banty hein... FAKE FRIENDS/FAKE RELATIONS....

                        real life mein ham k pass bhot opportunity hoti hy k ham dosron k attitudes ko activities ko observe kar sakein lekin net k hewalay sy yeh bat aik terha sy impossible c hy....
                        میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

                        Comment

                        • #13
                          Re: multi question....???

                          Originally posted by Aanchal View Post

                          last Q kay baray main yehi kahoun gee kay pehlay me samjhati the kay agar kisi kay baray main kisi dosray ko bata dia jaye wo gheebat hoti hai ..lekan main nay aik topic suna tha ..islam main ghebat ka ..to me ko pata chala buhat si aisi batian jinhay ham ghebat samjhtay chalye a rehay they wo ghebat nahi hoti ..is say aik insaan dosray insaan ko bacha sakta hai ...jesay shadi kay mamlaat main kio aap say pouchay kisi banday kay baray main to aap ka faraz hai us such such bata do us person kay baray main ..or aik banda koi business ya koi kaam kar chaha raha hai koi leen deen wala .lekan usay us banday kay baray main nahi pata or aap ko pata hai kay wo dosra banda sahi nahi hai leen deen main to aap ki zimmdari say pehlay banday ko sahi say sub bata daian ..takay wo kisi baray Nuqsaan say buch jaye .....or yeh bhi kay agar koi hakoomat kay khelaaf koi sazish kar raha hai ..aap ki zimmdari hai is baat ko agay tuk pounchaye kisi sahi banday tuk ..takay mulk kisi bari afat say buch jaye ..aap nay in cheezoo ko chupa lia or phir nuqasaan ho gaya mulk ka ..to aap ko kia khushi millye gee ?...
                          aik or aisi baat main aik aunty say discuss kar rahi the kay mulk main kuch borayan buhat barh rahi hain ..jesay koi larka/larki kisi ghalat activity main muwalis hain ..to aap ki zimmdari hai un kay parents tuk proper tareekay say baat pounchaian takay wo unhay rook sakian ...aap nay ghalat cheez deekh kay chup saadh li kay me ka is say kia taluq to wo boeryaan pheelti hi jaian gee ...

                          :thmbup:

                          yeh bhot aham batein tmny point out kari hein... aksar aisa hota hy k koi inquire ati hy tu ham log hamka kia jata hy ya hamko kia laya dyna keh k asal bat beyan karty nai jis sy dosron ko kafi nuqsan ho jata hy....

                          or last mein tmny jo bat mention kari hy usk hawaly sy yehe kahon ge k aise baton ko jitni jaldi ho sakay notice karna chahiye... yeh bemari CANCER ki terha ham ki kia puray world ko chipak ge hy... soch nazar ankh dil sab ka parda khatam kar dea hy...
                          میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

                          Comment

                          • #14
                            Re: multi question....???

                            Originally posted by crystal_thinking View Post

                            isi terha me k aik friend thy bhot nice lagty thy bazahir wo kehty thy k dosron ko pehlay thori respect do or pher agar wo usko bardasht kar sakay tu uski dose increase kar do nai tu peachy hut jao.... kuch log thori respect ko bear kar layty hein or jaise he ap unki ziada respect krty ho wo apni asliyat open kar dyty hein...

                            is sy mjko lagta respect or importance utni do jis sy relation limits ki boundary ko b touch na kar sakay ziada ka koi scene hona he chahiye nai....

                            tumko kia lagta hy???
                            pata nahi kia kaha jaye ..me nay kabhi logoo pay experiments nahi keye ..kisi ko janchanay ki kushish nahi ki kay wo joo bool raha hai is main wo sincere hai ya mehaz time paas..me ko humesha laga jo ghalat bhi karye to apney keye ki saza khud bhugtian gay ..lekan ub lagta hai ham logoo ko khud bhi apni ankhian kholi rakhni chaye ..khud bhi achay boray ki pehchaan rakhni chaye ...Allha say dua k artay rehian ..Allha khudi rasta dekha deytay hain ..or jo borye hovey bhi to Allha un ki asleyat hamray samnay zahir kar deytay hain or humye us kay shur say door bhi rakhtay hian .....or achay logoo say bhi mila deytay hain : )
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment

                            • #15
                              Re: multi question....???

                              Originally posted by crystal_thinking View Post

                              tumko yad hoye ga meny likha tha k fake friends ziada tar net py banty hein... FAKE FRIENDS/FAKE RELATIONS....

                              real life mein ham k pass bhot opportunity hoti hy k ham dosron k attitudes ko activities ko observe kar sakein lekin net k hewalay sy yeh bat aik terha sy impossible c hy....
                              me ko net pay achay friends millye hain ..sub nahi lekan 2,3 buhat achay hain ..itnay achay kay me ki real life main bhi un ka itna acha asar para hai ..itni help ki mere... : )
                              han yeh baat sahi hai tumhari kay real life main logoo ko jaldi judge kar saktay hain ..lekan net pay kum...real life main judge karnay key leye banday ki personality ki kafi chezian hamray samnay hoti hai or net pay sirf wo jo wo batana chaian ..bus alfaaz
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment

                              Working...
                              X