Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

debate 4...shouhr bewafa

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: debate 4...shouhr bewafa

    hmm pata nahin logo'n nay ghar decorate kar rakhay hain , bahir abhi tu khamoshi hai raat main ho ga shour wagaira aur mujhey koi interest nahin is liye jo marzi karein sanu ki hunh
    Zindagi Thak Gaye ..!!

    Comment


    • #17
      Re: debate 4...shouhr bewafa

      Originally posted by La'hasil View Post
      hmm pata nahin logo'n nay ghar decorate kar rakhay hain , bahir abhi tu khamoshi hai raat main ho ga shour wagaira aur mujhey koi interest nahin is liye jo marzi karein sanu ki hunh
      Dekho La'hasil apne neighbours ki khushiyoon se tumhein jelous to nahi hona chahiye na :P
      :thmbup:

      Comment


      • #18
        Re: debate 4...shouhr bewafa

        Originally posted by munda_Sialkoty View Post
        Jese tumhari shadi nahi hui abi lekin tumhari yeh sooch change nahi ho sakti k merd sahi nahi hotay isi tarah shaki auratein kabi bhi shak kerna nahi choor saktein chahay merd unhein choor dein 372-scare
        to aap ka khayal hai kay mard humesha sahi hoty hain ? beweoo ka shuk ghalat hota hai ?
        to aisay shouhroo ko choor hi dena chaye jo na sudhraian : d
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #19
          Re: debate 4...shouhr bewafa

          main kyun jelous ho gaein Allah maaf karey , main nay tu kaha hai jo marzi karein :D
          Zindagi Thak Gaye ..!!

          Comment


          • #20
            Re: debate 4...shouhr bewafa

            Originally posted by La'hasil View Post
            kuch kartey bhi hain , maghar kuch nahin bhi kartey , main kehti hoon kay HaQ baat kehni hai Aurato'n ko chahiye apnay masail Khud Nibtein Shoharo'n ya Beto'n ko involve nahin karein , aisa karney ki Surat main jab mard biwi ki ya Maa ki favor karta hai aur dosre ko degrade tu yeh bhi sahi nahin ,

            Aur Especially biwiyo'n ko bhi chahiye Jab Naey ghar main jaein tu Qadam jamaney main time tu lagta hi hai pehlay din hi na tanqeedi nighao'n say dekhein idher odher , jab Susral main qadam rakhein tu soch kay ayein yeh HAMARA GHAR hai SUSRAL Nahin .. :) tu buhat sari Pershaaniyo'n say insaan bach jata hai ..
            saray mard kharab nahi hotay ..lekan buhat say hain jin say beweoo ko shekayat rehti hai ....to kia beweyaan khamoshi say sunti rehian unhay : )
            susral bhi to apna ghar hota hai : )
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #21
              Re: debate 4...shouhr bewafa

              Originally posted by Aanchal View Post
              to aap ka khayal hai kay mard humesha sahi hoty hain ? beweoo ka shuk ghalat hota hai ?
              to aisay shouhroo ko choor hi dena chaye jo na sudhraian : d

              mere khyal mein 90% shohar sahi hotay hein aur wo apni bivi k saath theek se rehna chahtay hein, lekin biviyoon ki na samji aur mismanagement shoharon ko un se door kerne mein kafi kirdaar ada kerti he. Bivi ager shohar ke no fly zone mein he perwaz karay gi to shohar ko bhi pura haq hasil he k wo bivi kay saaray teyaaray maar giraye :manicure:
              :thmbup:

              Comment


              • #22
                Re: debate 4...shouhr bewafa

                Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                mere khyal mein 90% shohar sahi hotay hein aur wo apni bivi k saath theek se rehna chahtay hein, lekin biviyoon ki na samji aur mismanagement shoharon ko un se door kerne mein kafi kirdaar ada kerti he. Bivi ager shohar ke no fly zone mein he perwaz karay gi to shohar ko bhi pura haq hasil he k wo bivi kay saaray teyaaray maar giraye :manicure:
                no fly zone kesa? yani ghar say bahir kuch bhi karaian biwi na pouchye :manicure: shouhar biwi kay tayaray maar giraye ga to biwi shouhar hi ko maar giraye gee phir :manicure:
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #23
                  Re: debate 4...shouhr bewafa

                  Originally posted by Aanchal View Post
                  saray mard kharab nahi hotay ..lekan buhat say hain jin say beweoo ko shekayat rehti hai ....to kia beweyaan khamoshi say sunti rehian unhay : )
                  susral bhi to apna ghar hota hai : )
                  haan Sab Mard kharab nahin hotay , hmm lekin jab mard ghussay main tab biwi agey say chup hi rahey tu behtar hai khamoshi say nazar andaaz karey tab baad main mahol sahi honey paey ehsaas dila sakhti hai , lekin jab dono janib say Ghussay ka Kafiyat ho tu tab halaat kharab honey ka andeshah hota hai .,
                  Zindagi Thak Gaye ..!!

                  Comment


                  • #24
                    Re: debate 4...shouhr bewafa

                    Originally posted by La'hasil View Post
                    haan Sab Mard kharab nahin hotay , hmm lekin jab mard ghussay main tab biwi agey say chup hi rahey tu behtar hai khamoshi say nazar andaaz karey tab baad main mahol sahi honey paey ehsaas dila sakhti hai , lekin jab dono janib say Ghussay ka Kafiyat ho tu tab halaat kharab honey ka andeshah hota hai .,
                    sara sabar beweyaan karaian : )
                    chalian maan laian kay wo banda hai hi ghalat tub kia keia jaye ? us kay sath sari zindagi guzara ? :
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment


                    • #25
                      Re: debate 4...shouhr bewafa

                      Originally posted by Aanchal View Post
                      no fly zone kesa? yani ghar say bahir kuch bhi karaian biwi na pouchye :manicure: shouhar biwi kay tayaray maar giraye ga to biwi shouhar hi ko maar giraye gee phir :manicure:
                      Dekho Aanchal devi aik baat zehan mein rakho. Rishtay for granted kabi nahi lene chahiyein. In per mehnat kerni chahiye. Aap ki ego ka level aap k rishtay se bohat chota hona chahiye. Aur "no fly zone" matlab aik irritating area jis se shohar acha feel na karay us area per baar baar baat kernay se merd ko temptation milti he larai k liye. Aik achi aurat ko kabi bhi nahi chahiye k shohar se cross questioning karay. Koi masla ho to decent manner mein baat karay aur decent way mein jawab de.

                      Mein tumhein apne parents ki misaal deta hoon. Mein ne apni puri life apne maa baap ko jagarte nahi dekha. Us ki sub se bari waja yeh thi k meri ammi ne kabi bhi mere abbu ko uksanay k liye koi ulta question nahi kia. Halanke dekha jaye to mere abbu bohat sakht mazaaj thay aur tez ghusay walay thay. My mom proved to be a very smart lady. Isi liye mere abbu ne bhi kafi meri ammi se ounchi awaz mein baat nahi ki waja us ki meri ammi ka positive and wise attitude tha.

                      Jin loogon ne samajna hota he wo samaj jatay hein aur jin auratoon ne behasein kerni hein takraar kerna he to bugtein.
                      :thmbup:

                      Comment


                      • #26
                        Re: debate 4...shouhr bewafa

                        Originally posted by Aanchal View Post
                        sara sabar beweyaan karaian : )
                        chalian maan laian kay wo banda hai hi ghalat tub kia keia jaye ? us kay sath sari zindagi guzara ? :
                        Aurat ko hi sabar karna parhta hai , mard kabhi bhi SABAR Nahin karta 100 main say koi 10 feesad Mard hon gay jo Sabar kartey hon gay ,

                        Allah Talah nay Talaq ko tamam Halal kaamo'n main say Na'passandeeda qarar diya hai lekin us kay bawajood Option diya hai , kay aghar miya biwi aik sath nahin rehna chahtey tu Alag ho jaein , lekin atleast Try Zaroor karein , kyun kay berhaal Aurat hi ghar banati hai , aap nay kabhi nahin suna ho ga kay Mard Ghar banata hai , aur Sabar , Be'bas Ya Jabar , Sirf Aurat hi karti hai , :) aghar nahin karey gi tu .. ghar ise liye phir toot'tay hain :)
                        Zindagi Thak Gaye ..!!

                        Comment


                        • #27
                          Re: debate 4...shouhr bewafa

                          Originally posted by Aanchal View Post
                          sara sabar beweyaan karaian : )
                          chalian maan laian kay wo banda hai hi ghalat tub kia keia jaye ? us kay sath sari zindagi guzara ? :


                          Yeh tumhari assumption ager aisi he chali aur aisi he rahi then I fear k is ke consequences b achay nahi aaein ge. Aik positive mindset ke saath soochna seekho.
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #28
                            Re: debate 4...shouhr bewafa

                            Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                            Dekho Aanchal devi aik baat zehan mein rakho. Rishtay for granted kabi nahi lene chahiyein. In per mehnat kerni chahiye. Aap ki ego ka level aap k rishtay se bohat chota hona chahiye. Aur "no fly zone" matlab aik irritating area jis se shohar acha feel na karay us area per baar baar baat kernay se merd ko temptation milti he larai k liye. Aik achi aurat ko kabi bhi nahi chahiye k shohar se cross questioning karay. Koi masla ho to decent manner mein baat karay aur decent way mein jawab de.

                            Mein tumhein apne parents ki misaal deta hoon. Mein ne apni puri life apne maa baap ko jagarte nahi dekha. Us ki sub se bari waja yeh thi k meri ammi ne kabi bhi mere abbu ko uksanay k liye koi ulta question nahi kia. Halanke dekha jaye to mere abbu bohat sakht mazaaj thay aur tez ghusay walay thay. My mom proved to be a very smart lady. Isi liye mere abbu ne bhi kafi meri ammi se ounchi awaz mein baat nahi ki waja us ki meri ammi ka positive and wise attitude tha.

                            Jin loogon ne samajna hota he wo samaj jatay hein aur jin auratoon ne behasein kerni hein takraar kerna he to bugtein.
                            aap sirf is cheez pay baat karr ehay hain kay baat kesay karaian : d ..lekan is point pay nahi kay agar shuk karti hain ya larai jhugra karti hain to waqai aisa kuch howa hota hai to karti hain na ? ..aksar mard kharcha nahi deytay ..dosri ladies main involve hotay hian ..aksar shadi bhi kar chukye hotay hain cori chupye ...or beweyaan tub bhi na laraian
                            or zarori nahi jo larti hain unhay shouhroo say peyar nahi hota ...shuk karnay waleyaan zaida peyaar hi karti hain tub hi to wo un say jhugra karti hian kay seddhay rastay pay a jaian :lol:
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment


                            • #29
                              Re: debate 4...shouhr bewafa

                              Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                              Yeh tumhari assumption ager aisi he chali aur aisi he rahi then I fear k is ke consequences b achay nahi aaein ge. Aik positive mindset ke saath soochna seekho.
                              yeh me ka topic nahi hai me ki shadi nahi hovi abhi :p
                              me un shadi shuda ladies kay baray main keh rahihoun jo shouhroo kay zulm ka shikaar hain :manicure:
                              kia ajeeb tuk hai aisay banday kay sath zindagi guzaroo jo aap ka hai hi nahi
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment


                              • #30
                                Re: debate 4...shouhr bewafa

                                Originally posted by Aanchal View Post
                                aap sirf is cheez pay baat karr ehay hain kay baat kesay karaian : d ..lekan is point pay nahi kay agar shuk karti hain ya larai jhugra karti hain to waqai aisa kuch howa hota hai to karti hain na ? ..aksar mard kharcha nahi deytay ..dosri ladies main involve hotay hian ..aksar shadi bhi kar chukye hotay hain cori chupye ...or beweyaan tub bhi na laraian
                                or zarori nahi jo larti hain unhay shouhroo say peyar nahi hota ...shuk karnay waleyaan zaida peyaar hi karti hain tub hi to wo un say jhugra karti hian kay seddhay rastay pay a jaian :lol:

                                Positive mind ka baar baar perchaar is liye ker raha hoon k jub shadi hoti he tub se he aurat ko positive mindedness dikhani chahiye. Usay chooti mooti baaton ko ignore kerna chahiye. Usay chahiye ke shohar ko behas mein mut daalay. Us se kuch discuss kerna bhi he aur koi serious noiyat ki baat he bhi to wo aik aisa mahool banaye k us k shoohar ko koi takleef na ho us ki baat sunanay mein. Wo achay se explain karay aur bataye k yeh yeh us ke concern hein. Mera nahi khyaal k shohar itnay fazol hotay hein k wo aisay mein apni bivi ki tazleel karay ga. Aurat aur merd mein ziada cooperative aurat ko hona perta he aur hona chahiye bhi. Merd ager aurat k ziada cooperative honay per bhi cooperate na karay tub masail janam lete hein. Lekin is ko counter kerne k liye bhi aurat deegar saharay le sakti he jese apni saas susar ka k wo apne betay ki islaah karein.
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X