Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

cheezoo ki ehmeyat ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • cheezoo ki ehmeyat ?

    Assalamalikum

    aap kay nazdeek cheezoo or logoo ki kitni ehmeyat hai ?
    koi cheez khareedtay hian ..kuch time istamal kia ...porani ho gai ..to foran pheenk deytay hian ? ya usay dobra say jorr kay sath rakhtay hian ..ya wesay hi sath rakhtay hian kay aap ki yaadian in say wabista theian ....kuch loog nai nai cheezian lenay kay shooken hotay hian ..porani kharab na bhi ho to pheenk di ..kuch na istamal kartay hian na pheenktay hian : d ..har aik ka apna tareeka hota hai ..aap ka kia tareeka hai ?
    same aisay hi logoo ki baat hai kay kuch loog naye rishtay bananay kay leye p oranay rishtay choor deytay hian ...nai nai opportunities ki talash main rehtay hian ...kuch jorr kay rakhtay hian ...etc etc
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: cheezoo ki ehmeyat ?

    :nc:

    Comment

    • #3
      Re: cheezoo ki ehmeyat ?

      Originally posted by baniazkhan View Post
      :nc:

      Sub se pehlay comment kerne walay bhi tum he hotay ho
      :thmbup:

      Comment

      • #4
        Re: cheezoo ki ehmeyat ?

        Originally posted by Aanchal View Post
        Assalamalikum

        aap kay nazdeek cheezoo or logoo ki kitni ehmeyat hai ?
        koi cheez khareedtay hian ..kuch time istamal kia ...porani ho gai ..to foran pheenk deytay hian ? ya usay dobra say jorr kay sath rakhtay hian ..ya wesay hi sath rakhtay hian kay aap ki yaadian in say wabista theian ....kuch loog nai nai cheezian lenay kay shooken hotay hian ..porani kharab na bhi ho to pheenk di ..kuch na istamal kartay hian na pheenktay hian : d ..har aik ka apna tareeka hota hai ..aap ka kia tareeka hai ?
        same aisay hi logoo ki baat hai kay kuch loog naye rishtay bananay kay leye p oranay rishtay choor deytay hian ...nai nai opportunities ki talash main rehtay hian ...kuch jorr kay rakhtay hian ...etc etc

        Wa Alaikum Aslam,

        Cheezein aur Rishtay 2 alag alag cheezein hein, in dono ko aapis mein mila k discuss nahi kerna chahiye.

        Jahan tak cheezon ki baat he to yeh depend kerta he k konsi cheez aur kesi cheez. Kaproon k moaamlay mein ziada care nahi kerta, aik 2 baar pehan k koi cheez pasand na aai to phir wo pari rehti he baad mein kisi ko de deta hoon regardless k wo kitna expensive dress he. Aik pant coat khareeda jo expensive tha aik event pe pehana aur pasand nahi aaya, mera doost kehta he k acha tha to mein ne usay de dia. Lekin kai baar aisa hota he k koi cheap si item bhi mujay bohat pasand aa jati he aur mein usay baar baar pehanta hoon. Like mujay aik pant pasand aai to mein ne usi company ki aik aur khareed li. Aik shoes pasand aaye to mein ne bilkul waise he shoes ka aik aur pair khareed lia. Aik shirt pasand aai to usi check ki 4 shirts different colours mein aur khareed lein. Aur jo cheezein pasand nahi wo almari mein rahein, koi baahir utha k phaink de koi faraq nahi. meri perfumes ittar wagaira kisi ko pasand aa jaein to mein aksar usay gift ker deta hoon. Isi tarah mujay new car ka shook he, meri gari jo k 4 months pehlay new li thi billi ne scratch maar diye punjay se to mein ne wo sell ker k phir new le li. Yeh cheezon pe depend kerta he k kis cheez ko kitni ehmiyat deni he. Amooman cheezein meri nazar mein bohat ziada ahmiyat nahi rakhtein.

        Jahan tak insani rishtoon ka taaluq he to wo cheez se kai ziada expensive hotay hein, mein loog badalnay kay haq mein bilkul nahi
        :thmbup:

        Comment

        • #5
          Re: cheezoo ki ehmeyat ?

          Originally posted by munda_Sialkoty View Post

          nature ki baat hai cheezian or loog aksar loog aik hi nazar say dekhtay hian ..
          or cheezoo say mere muraad yeh hai kay aksar loog bachpan say koi cheez sanbhaal kay rakhtay hian ...dosroo kay leye wo mamoli baat ho lekan un kay leye best memories hoti hain wo ..aik diary sanbhaal kay rakh li ..ya koi bachpan ka khilna ...kisi ki nazar main in cheezoo ki buhat ehmeyat hoti hai kisi ki nazar main kuch nahi kay pheenkoo or jaian gee ..kia karna hai porani yadoo ko sanbhaal kay : )
          aik opportunite mill jaye jo pehlay say zida behtar lagi usay vohi pheenka phir agay nikal gay .. dunia bari fast hi ja rai hai ub :lol: ..kuch loog poranay rishtay /cheezoo ko sanwaranay main lagay rehtay hian ..un main behtri lana chahtay hain ..kuch jahan koi new behtar cheez nazar ai peechay sub bhool gay or nai nai cheezoo ki talash main rehtay hian ...
          aik lady ko dekha wo aik waqat main aik cheez/banday ko itna pasand karti hai kay lagta hai kay agar usay yeh cheez mill jaye to kia say kia ban jaye us ki zindagi :lol: ya mill gai hai to khoo na jaye ...lekan aglay din us say behtar koi cheez mill jaye usay ....to peechy wali cheez ko aisi bhool jati hai jesay us ka wajood tha hi nahi kabhi :lol: ...
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment

          • #6
            Re: cheezoo ki ehmeyat ?

            Originally posted by Aanchal View Post
            nature ki baat hai cheezian or loog aksar loog aik hi nazar say dekhtay hian ..
            or cheezoo say mere muraad yeh hai kay aksar loog bachpan say koi cheez sanbhaal kay rakhtay hian ...dosroo kay leye wo mamoli baat ho lekan un kay leye best memories hoti hain wo ..aik diary sanbhaal kay rakh li ..ya koi bachpan ka khilna ...kisi ki nazar main in cheezoo ki buhat ehmeyat hoti hai kisi ki nazar main kuch nahi kay pheenkoo or jaian gee ..kia karna hai porani yadoo ko sanbhaal kay : )
            aik opportunite mill jaye jo pehlay say zida behtar lagi usay vohi pheenka phir agay nikal gay .. dunia bari fast hi ja rai hai ub :lol: ..kuch loog poranay rishtay /cheezoo ko sanwaranay main lagay rehtay hian ..un main behtri lana chahtay hain ..kuch jahan koi new behtar cheez nazar ai peechay sub bhool gay or nai nai cheezoo ki talash main rehtay hian ...
            aik lady ko dekha wo aik waqat main aik cheez/banday ko itna pasand karti hai kay lagta hai kay agar usay yeh cheez mill jaye to kia say kia ban jaye us ki zindagi :lol: ya mill gai hai to khoo na jaye ...lekan aglay din us say behtar koi cheez mill jaye usay ....to peechy wali cheez ko aisi bhool jati hai jesay us ka wajood tha hi nahi kabhi :lol: ...

            Hotay hein aisay loog jo cheezon ko rishtoon se berh ker bhi ehmiyat dete hein. Personally mera dil chahta he k un loogon ko chitter lagaye jaein :manicure:
            haan ager kisi ki yaadein associated hein kisi cheez k saath to wo jub tak chahay usay sambhal ker rakhay. mein shayad itna emotional nahi hoon k kisi bhi cheez ko hameesha sambhal ke rakhon. Rishtoon ki baat aur he wo short term k liye nahi hotay.
            :thmbup:

            Comment

            • #7
              Re: cheezoo ki ehmeyat ?

              mein cheezein jo khareedta hoon deta kisi ko nahi..... parri parri gal jain vo bardasht karta hoon lakin deta kisi ko nahi hoon.....:ys: rahi baat rishton ki koshash tu karta hoon nibaah karon lakin agar kisi aur city chala jaon aur time ziyada guzar jai tu puranay rishtay bhool jata hoon.... lakin jab miltay hain tu mil bhi leta hoon..... tub khushi hoti hai
              sigpic

              Comment

              • #8
                Re: cheezoo ki ehmeyat ?

                Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                Hotay hein aisay loog jo cheezon ko rishtoon se berh ker bhi ehmiyat dete hein. Personally mera dil chahta he k un loogon ko chitter lagaye jaein :manicure:
                haan ager kisi ki yaadein associated hein kisi cheez k saath to wo jub tak chahay usay sambhal ker rakhay. mein shayad itna emotional nahi hoon k kisi bhi cheez ko hameesha sambhal ke rakhon. Rishtoon ki baat aur he wo short term k liye nahi hotay.
                agar bhai aisay logon ko chittir lagnay shuru hoon tu sirf mein aur aap aur thoray kuch aur heee bach jain gay chitir se.... baaki tu taqreeeban saray lapait mein ajain gay..... jese meri sister anchal nay kaha na duniya barri taiz hai.... ab pata nahi duniya taiz hai yaa hum taiz hogaye hain....matlab yeh kay loog materialist ziyada hogaye hain....
                sigpic

                Comment

                • #9
                  Re: cheezoo ki ehmeyat ?

                  Originally posted by Aanchal View Post
                  Assalamalikum

                  aap kay nazdeek cheezoo or logoo ki kitni ehmeyat hai ?
                  koi cheez khareedtay hian ..kuch time istamal kia ...porani ho gai ..to foran pheenk deytay hian ? ya usay dobra say jorr kay sath rakhtay hian ..ya wesay hi sath rakhtay hian kay aap ki yaadian in say wabista theian ....kuch loog nai nai cheezian lenay kay shooken hotay hian ..porani kharab na bhi ho to pheenk di ..kuch na istamal kartay hian na pheenktay hian : d ..har aik ka apna tareeka hota hai ..aap ka kia tareeka hai ?
                  same aisay hi logoo ki baat hai kay kuch loog naye rishtay bananay kay leye p oranay rishtay choor deytay hian ...nai nai opportunities ki talash main rehtay hian ...kuch jorr kay rakhtay hian ...etc etc
                  waalikum asslam

                  acha sawal hai abhi dobara aak jawab deti hoon
                  شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                  Comment

                  • #10
                    Re: cheezoo ki ehmeyat ?

                    Originally posted by azeem-ahmed View Post
                    agar bhai aisay logon ko chittir lagnay shuru hoon tu sirf mein aur aap aur thoray kuch aur heee bach jain gay chitir se.... baaki tu taqreeeban saray lapait mein ajain gay..... jese meri sister anchal nay kaha na duniya barri taiz hai.... ab pata nahi duniya taiz hai yaa hum taiz hogaye hain....matlab yeh kay loog materialist ziyada hogaye hain....

                    To bei materialistic loogon ko chitter he pernay chahiye na :wink
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #11
                      Re: cheezoo ki ehmeyat ?

                      Originally posted by Aanchal View Post
                      Assalamalikum

                      aap kay nazdeek cheezoo or logoo ki kitni ehmeyat hai ?
                      koi cheez khareedtay hian ..kuch time istamal kia ...porani ho gai ..to foran pheenk deytay hian ? ya usay dobra say jorr kay sath rakhtay hian ..ya wesay hi sath rakhtay hian kay aap ki yaadian in say wabista theian ....kuch loog nai nai cheezian lenay kay shooken hotay hian ..porani kharab na bhi ho to pheenk di ..kuch na istamal kartay hian na pheenktay hian : d ..har aik ka apna tareeka hota hai ..aap ka kia tareeka hai ?
                      same aisay hi logoo ki baat hai kay kuch loog naye rishtay bananay kay leye p oranay rishtay choor deytay hian ...nai nai opportunities ki talash main rehtay hian ...kuch jorr kay rakhtay hian ...etc etc
                      Walikum Salam..

                      meray pass aik handy hy i mean cell phone uska problem yeh hy k us sy jis kisi ko b msg krti wo mery first contact ko chala jata hy meny usko tab tak use kara jab tak mere us person sy fight nai ho gea usny khob irritate honay k bad kaha k hun bhot ho ge ab apna handy change kro ya kuch aisa karo k mjko msg na aye... meny us handy ko elaj k liye bheja lekin usko koi afaqa hoya nai tu wapis aa gea meny bhot bedil ho k iphone liya or wo usi din toot gea :shyy: pher meny kuch din or apny bemar handy ko use kra or ab iphone krti hn.. lekin wo handy ab b mery pass para wa hy... is sy tum soch sakti ho k mein kitni sambhal k chalti hn...

                      waise seriously mein ziada fazul kharch nai hn jo cheez mjko kisi sy gift mily mein usko hamesha sambhal k rakhti hn chahy wo chocolate ka wrapper he q na hoye... fashion k hisab sy new things b layti hn lekin bemaqsad nai...

                      jahan tak rishton ki bat hy tu mein apny sy bannay waly har rishty k baray bhot crazy hn jin logon k mein bhot close hoti hn unsy alag hona bhot mushkil hota hy mery liye chahiye pher wo kaise he waqat k sath sabit q na hon... new relations banana mery liye aik mushkil kam hy qk mein puranay logon k behavior k gum mein he halkan rehti hn tu nae logon ki talash mjko nai rehti...

                      :shyy::shyy:
                      میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

                      Comment

                      • #12
                        Re: cheezoo ki ehmeyat ?

                        oho aik bat likhna bho gae khanay peenay k baray mein :shyy: agar mere plat mein half pizza hoye tu mein dosry ki plat sy full pizza lay lon ge.. isi terha agar koi khanay ki cheez taste mein achi na hoye tu mein usko chor don ge or kuch neya khaon ge :shyy: khanay peenay ki cheez toot tu sakti nai is liye iska kia jawab don.. or khana kabi me k pass purana ho sakta nai :shyy: :shyy:
                        میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

                        Comment

                        • #13
                          Re: cheezoo ki ehmeyat ?

                          Originally posted by crystal_thinking View Post

                          Meri maano to tum iphone mujay gift ker do aur wo purana handy dubara se use kerna shuru ker do aur ager tum ko ainda koi complaint kerta he to mujay batana us ko 2 lagaon ga :manicure:

                          gandi chocolate kha ker wrapper sambhal leti ho, kia us mein se dubara chocolate ugg jana he aisay :manicure:
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #14

                            hahaha yeh baat sahi kahi tum ne
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Re: cheezoo ki ehmeyat ?

                              Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                              Meri maano to tum iphone mujay gift ker do aur wo purana handy dubara se use kerna shuru ker do aur ager tum ko ainda koi complaint kerta he to mujay batana us ko 2 lagaon ga :manicure:

                              gandi chocolate kha ker wrapper sambhal leti ho, kia us mein se dubara chocolate ugg jana he aisay :manicure:
                              awain...

                              agar wo chocolate kisi achy dost kisi special person ki taraf sy hoyen tu sambhal k rakhti hn... ab itni b bhoki nai
                              میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

                              Comment

                              Working...
                              X