Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shadi ka Joora

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • D@y W@lk3r
    replied
    Re: Shadi ka Joora

    acha dekhna chahay.

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Shadi ka Joora

    Originally posted by ummid View Post
    Okz.
    Bus phook nikal gai itnay mein :hairdrayer:

    Leave a comment:


  • ummid
    replied
    Re: Shadi ka Joora

    Originally posted by munda_Sialkoty View Post
    I also shared my views....huh
    Okz.

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Shadi ka Joora

    Originally posted by ummid View Post
    I also shared my view... huh...

    I also shared my views....huh

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Shadi ka Joora

    Originally posted by Aanchal View Post
    ji suit karta hai wo pehnian ..aik aisa dress jo aap ko suit karta hai us dress say zaida behtar hai jo aap pay suit na karye or expensive designer ka suit ho ...han expensive bhi agar suit karta hai to yeh bhi acha hai ...
    or dulhay ko bhi saloon ka chakaar laga lena chaye takay dulhan ka bodyguard na lagay husband hi lagay :lol:
    bus dressing or apnay aap ko tayaar rakhna mousam , waqat , lighting kitni hai vohan :lol: har cheez dekh kay karna chaye ..

    Lekin aisa practice nahi ho raha he. Kashif abbasi ko dekh lo jo us ne shadi pe pehna. Sona chandi wala sona he lag raha tha :lol last week mere doost k bhai ki shadi thi. Mashallah acha khasa good looking dikhta he, lekin shadi walay din dress ki wrong choice ki waja se wo acha khasa bonga lag raha tha. Aur dress bhi one time use wali thi aur kafi expensive bhi thi. Mere doost ki shadi hui jo aam halaat mein acha khasa lagta he, lekin shadi walay din apne aap ko ziada over ker lia aur sub dooston mein sirf wo he acha nahi lag raha tha baki sara group Mashallah us se acha he lag raha tha :lol

    Mujay lagta he ke shayad yahan per kahin na kahin insaan ke apne confidence ka bhi taaluq he. Aik middle class us waqt apni hesiyat se berh ker show kerwanay k liye expensive ki selection to ker leta he per zaroori nahi k jo cheez us ne select ki wo usay waisa suit b karay. Lekin hameesha aisa nahi hota, kuch loog jo acha confidence rakhtay hein wo in cheezon ki care nahi bhi kerte. Aisi he aik aadh shadi ka mein b witness hoon jahan doolhay ne ziada mehngi dresses ki bajaye casual wears ka intkhaab kia aur wo kafi suit bhi kia.

    Mera apna opinion yeh hay k insaan ko us din acha dikhna chahiye ager koi expensive cheez us per suit nahi kerti to wo kuch economical dress choose ker le jo usay suit kerte hoon.

    Leave a comment:


  • ummid
    replied
    Re: Shadi ka Joora

    Originally posted by munda_Sialkoty View Post
    ٌ

    Let me say whatever I want....:D...how does it affecting you???? sub ki apni life hai jo kehna he kahay...as far as my comment / views are not causing any harm to YOU.. how does it matter.....:D
    I also shared my view... huh...
    Last edited by ummid; 29 November 2011, 11:34.

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Shadi ka Joora

    Originally posted by ummid View Post
    wasalam

    Let them wear whatever they want... :D... how does it affecting you???? sub ki apni life hai jo karna hain karein... as far as their style is not causing any harm to anyone.. how does it matter... :D
    ٌ

    Let me say whatever I want....:D...how does it affecting you???? sub ki apni life hai jo kehna he kahay...as far as my comment / views are not causing any harm to YOU.. how does it matter.....:D

    Leave a comment:


  • ummid
    replied
    Re: Shadi ka Joora

    Originally posted by munda_Sialkoty View Post
    Aslam-o-Alaikum,

    Ager doolhay ko casual wears ziada suit kerta he ya koi bhi simple dress mein us ki look ziada decent aati he usay wo pehanana chahiye ya rang bharangi sherwani must he?
    wasalam

    Let them wear whatever they want... :D... how does it affecting you???? sub ki apni life hai jo karna hain karein... as far as their style is not causing any harm to anyone.. how does it matter... :D

    Leave a comment:


  • crystal_thinking
    replied
    Re: Shadi ka Joora

    walikum salam...

    yeh kaise fiza chae v hy PG py

    Leave a comment:


  • Baniaz Khan
    replied
    Re: Shadi ka Joora

    mae tou sirf aap k is swal k jawab mae Mr. Umer Sharif ka kaha howa ye jumla hi pesh kar sakta hoon k

    shadi sirf dulhan ki hoti hai dulha ka tou janaza nikalta hai :)

    shayed isi liye wo us din acha nahi bal k mehnga dikhna chata hai

    Leave a comment:


  • saraah
    replied
    Re: Shadi ka Joora

    Originally posted by Aanchal View Post
    Males dress nahi aik 2 apni shadyaan try kar kay phir dekhtay hian koon sa dress suit karta hai :lol:
    :lol
    fantastic idea ...iss ne tou wese b 4 shadiyan krni hain 4th tak kuch faida ho hi jaye ga :lol

    Leave a comment:


  • .
    replied
    Re: Shadi ka Joora

    Originally posted by saraah View Post
    واعلیکم السلام
    ہاہاہا ویسے کافی حد تک درست آبزرویشن ہے میرا خیال ہے اپ لوگوں کو پریکٹس کر لینی چاہیئے اپنے دوستوں بھائیوں کے ڈریس ٹرائی کر کر کے تاکہ اپ کو اندازہ ہو جائے کیا سوٹ کرے گا :khi:
    Males dress nahi aik 2 apni shadyaan try kar kay phir dekhtay hian koon sa dress suit karta hai :lol:
    Last edited by .; 28 November 2011, 16:54.

    Leave a comment:


  • .
    replied
    Re: Shadi ka Joora

    ji suit karta hai wo pehnian ..aik aisa dress jo aap ko suit karta hai us dress say zaida behtar hai jo aap pay suit na karye or expensive designer ka suit ho ...han expensive bhi agar suit karta hai to yeh bhi acha hai ...
    or dulhay ko bhi saloon ka chakaar laga lena chaye takay dulhan ka bodyguard na lagay husband hi lagay :lol:
    bus dressing or apnay aap ko tayaar rakhna mousam , waqat , lighting kitni hai vohan :lol: har cheez dekh kay karna chaye ..

    Leave a comment:


  • saraah
    replied
    Re: Shadi ka Joora

    واعلیکم السلام
    ہاہاہا ویسے کافی حد تک درست آبزرویشن ہے میرا خیال ہے اپ لوگوں کو پریکٹس کر لینی چاہیئے اپنے دوستوں بھائیوں کے ڈریس ٹرائی کر کر کے تاکہ اپ کو اندازہ ہو جائے کیا سوٹ کرے گا :khi:

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    started a topic Shadi ka Joora

    Shadi ka Joora

    Aslam-o-Alaikum,

    Aik baat jo mein aksar soochta hoon aur jo mein ne bohat strongly observe bhi ki he. Loog aam zindagi mein different events pe bohat acha dress up hotay hein aur bohat decent look b aati he. Lekin shadi walay dino mein wo zaraq baraq waralay mehngay libaas pehantay hein jo unhein bilkul bhi suit nahi kerte. Aisa akser mein ne dulhay ke case mein dekha he. Dulhanein amooman aisa teyaar hoti hein ke wo to apni asli shakal tak chupa jati hein. Make up akser aukaat unhein pehlay se ziada haseen ker ke pesh kerta he. Lekin dulhay ke moaamlay mein akser dekha gaya he ke wo apne liye mehngi cheez to khareed lete hein lekin akser wo cheez unhein suit nahi kerti.

    Shadi mein acha dikhna ziada important hona chahiye ya k mehnga :p

    Ager doolhay ko casual wears ziada suit kerta he ya koi bhi simple dress mein us ki look ziada decent aati he usay wo pehanana chahiye ya rang bharangi sherwani must he?
Working...
X