Salaam Dosto me again :p
Ab hamein is mein yeh btana hai keh ham log apney bachpan mein kya kya khail khela kartey they :p
Mera Pakistan sey raabta bohat kam raha hai. Magar jo raha hai us mein ham Guli Danda khaila kartey they. Aik din main ney aisa tul mara key guli merey chhotey bhai ki naak per jaa lagi aur uskey jo nishan parra woh aaj tak merey zulm ki nishandehi karta hai :D :D
Cricket to har jaggah hoti rehtey thi, iskey elawa bantey :D bohat khailey they. Hamara (mera, merey chaha'zad bhai ka aur hamarey aik parosi ka) yeh kaam huwa karta tha keh ham Kharian Cantt chhup chhupa kar jaya kartey they cycles per - ab mujh sey to cycle nahin chalaya jata tha to main un mein sey kisi aik key saath betha karta tha. Aik din mein ney jaan boojh kar chakey mein paoun dey diya :tauba phir mat poochein kya huwa
Phir jab Denmark aaey to na rahi games na raha bachpan :( koi aisi buri nazar lagi kisi dushman ki keh ..............
Khair ab aap ki bari hai

![Mecry](https://pgians.pegham.net/core/images/smilies/mecry.gif)
Phir jab Denmark aaey to na rahi games na raha bachpan :( koi aisi buri nazar lagi kisi dushman ki keh ..............
Khair ab aap ki bari hai
![Victory](https://pgians.pegham.net/core/images/smilies/victory.gif)
Comment