Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Azmayish ki ghaRi...!!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Azmayish ki ghaRi...!!!!

    السلام عليكم و رحمة الله

    Kul shaam ko mai, bhaijaan or kuch cousins baithey guppein laga rahey they k One ov them said: "chalo koi news channel laga lo"..Doosrey ne kaha: "karna kya hai wahi khabrein..unhii ka repeat hoga"....itney mai merey bhateejey ne (jo abhi 6 saal ka hai) kaha: "Laga lo laga lo....dekhtey hain or kitney log marey hain".....

    Aj kul news mai bus sirf yahi sub hota hai....kisi din agar koi 4/5 bundoon k marney ki khabar na aye tu lagta hai apney Pakistan ki news tu nai hain....:$
    aik taraf Dengue, Floods or un se paida honey waley deegar masayil...doosri taraf aik aisi jung jis ka kuch patta nahiin Sar kahan pair kahan....Pakistan k halat ki tasweer'kashi karna kitna asaan hogaya hai....:$

    Azmayishoon ki is ghaRi mai ap ko kya lagta hai HUL kya hai???Kayi logo ko ye kehtey suna Azaab aya hai hamarey mulk par...kuch hadd tuk kabhi kabhi un ki baat such lagney lagti hai....:$....kya waq'ee aisa hai????Kya ijtama'ee Tauba in azmayishoon ko khatam kar sakti hai?????
    .......................!!!!!

  • #2
    Re: Azmayish ki ghaRi...!!!!

    walekumsalam
    han ajkal halaat kuch ese hi hen or jab koi afat logon ko Allah ki taraf ruj'u par mail kar de,Allah ki taraf lota de wo azmaish me badal jati he or jis me log mazeed akar jaen un ki gardanen mazeed akar jaen wo Allah ka azaab hua karta he.Allah hamare gunah moaf marmaey or ham par rehem kar de.ameen

    Comment


    • #3
      Re: Azmayish ki ghaRi...!!!!

      ijtemae toba ????

      jahan har aik ka interest different hy ... jahan sabko maar dhar ki pari hy or koi b apny sins ko accept krny ki bejae unko achai ki anak laga k dekhay wahan TOBAH ka kia kam... warnings tu mil re hn lekin log unko sunna or dekhna nai chahty... or jab warnings khatam ho jaen ge tab..... yeh azmaish b khatam ho jae ge
      میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

      Comment


      • #4
        Re: Azmayish ki ghaRi...!!!!

        G haan, haqeeqath yahi hay , keh aaj pakistan kay har hissay main pakistaniyon ko mara ja raha hay, even agar ameeq nazar dalain, tho dunya main jahan be muslims hain, sab ko maar parh rahi hay,
        Allama Iqbal RA ka shair hay keh
        " adal o insaaf sirf ashar pe mauqoof nahi,
        zindagee khud bhi gunahon ki saza daithe hay"
        asal main ye maar Allah ki taraf say hay, jis ki waja ye hay keh hum nay Allah ko naraz kiya huwa hay, baqi naikiyan tho dour ki baat hay, hum tho Allah kay ahkamaath say bhi inkari hain, ' naozubillah"
        har koye apnay aap main khud ko poora aur theek samaj raha hay, halankay wohi insan sab say ziyada gunahon main dooba huwa hoga, kuch kehthay hain, keh humain Muhammed PBUH say muhabbat hay, halankeh oss ki zahiri shakal bhi nabi ki sunnath kay muthabiq nahi hothe, andar ka hal tho Allah hi samajthay hain,
        Allah hum sab ko deen ki sahi samaj atha karay, nabi ki sunnathon par amal karnay ki isthitha'ath ata farmayay,











        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Azmayish ki ghaRi...!!!!

          @ Walikum Salam
          میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

          Comment


          • #6
            Re: Azmayish ki ghaRi...!!!!

            w sallam...

            I think yeh Hamarray aammaloo kii szaa haii,aik naa khattam honay walii sazaaaa
            "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

            Comment


            • #7
              Re: Azmayish ki ghaRi...!!!!

              Or Hul kya hai is sub ka????????
              .......................!!!!!

              Comment


              • #8
                Re: Azmayish ki ghaRi...!!!!

                kam az kam merray pass too naii haii......
                "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                Comment


                • #9
                  Re: Azmayish ki ghaRi...!!!!

                  bus yahi hamari khami hai....
                  .......................!!!!!

                  Comment


                  • #10
                    Re: Azmayish ki ghaRi...!!!!

                    Khammi hai yaa Kuchh aoorr....

                    yeh Lecture jharrnaa aoorr kitabbii Battain karnaa iss Banda e Na cheezee nay
                    Choor dia haiii
                    "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                    Comment


                    • #11
                      Re: Azmayish ki ghaRi...!!!!

                      mai ne bhi buhut kuch kar liya...theek tu kisi ne hona nai...kya khayal hai..mai bhi ye sub chorr doon bus...?????
                      .......................!!!!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: Azmayish ki ghaRi...!!!!

                        Wqatt guzarrnnay kay Lieyy Ghallib Khiall achhaa haii.....
                        "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                        Comment


                        • #13
                          Re: Azmayish ki ghaRi...!!!!

                          thnx merey thread par reply karney k liye....May Allah bless ya....: )
                          Last edited by BhaTaktii RooH; 18 September 2011, 20:51.
                          .......................!!!!!

                          Comment


                          • #14
                            Re: Azmayish ki ghaRi...!!!!

                            muje ye samaj nahi aya k aap ne hal kis chez ka poocha hai ye jo azab ki soorathal hai is se nijat ka hal ya phier is qism k afat na ayein is ka hal
                            please clarify





                            Comment


                            • #15
                              Re: Azmayish ki ghaRi...!!!!

                              Nijat ka..
                              .......................!!!!!

                              Comment

                              Working...
                              X