Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Her Ladky Ka Sapna UK,US,AUSTRALIA,...Kiyon?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Her Ladky Ka Sapna UK,US,AUSTRALIA,...Kiyon?

    bhi ek baat app sub sey pochni thi aj kal hum sub ladkon ka futuer target UK jana he kiyon hai?
    mery kai dost aur main khud bhi aisi chakr main hoon :lol ..
    kiya waja hai ass ke

    1.kiya hum pakistan main reh ker kam paisa kamain gey.. aur bahir reh ker ziyda? ..

    2.yahan humari Nakaami ko hum yeh ker key
    chupaty hain ke humary " talent " ke "qadar bahir hai?

    3.ya hum "gorion" ke chakar main jaty hain?:lol

    4.kiya yeh "short cut" sirf mujbori hai..warna behan bhyion n family ko kon chodna chataa hai?

    app sub zarror batin aur yeh bhi batin key bhir jana achaa hai ya bura?
    what are + and - of it..
    Zaid Hammid on Sawat War..
    A must Watch..

  • #2
    Re: Her Ladky Ka Sapna UK,US,AUSTRALIA,...Kiyon?

    Baat to sahi kaha,

    Qualified apney mulkon mein hotey hian, burayi Western ka kartey hain, but western mulkon hi mein rahna chahtey hain, burayi America ka kartey hain but rahna US mein chahtey hain, yehan apni burayi nahin dekhta,

    Har insaan chahta hai ke society mein uska living standard higher ho, zyadah paisa ho, apna achha makan ho, bank balance ho, Caprice, contesa, ya Mercedese mein koi ek ho, aur yeh sab possible apne mulk mein rah kar job karne se puri zindagi mein nahin milney wala, Foreign (US, UK, Aus) mein achhi khasi mushahra milta hai wo bhi dollar mein, plus har koi apne qualification ka perfect use karna chahta hai, aur better prospective chahta hai, jis wajah se ham sab UK, US Aus. ka rukh kartey hain.

    Aur ab zamana purana nahin raha jahan log kisi mulk mein jaaney ke liye Paani Ka Jahaz istemal karta tha aur destination mein pahunchney mein mahino lag jata tha, ab to zamana 'finger tips' pe aa gaya...fast...fast....fast
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment

    • #3

      Aslam-o_Alikum WR WB

      Bhot umda aur acha sawal kya hay u nay .... well meri bhot si raay hay is maslay per ...

      sab say pahaly to main is liya jaana chaata hu kay main nationality lay lu ... meri majbori wha job karna nahi hay na hi goriyo kay becah main rahna hay ... meri majbori meri nationality hay .... I know kay me Pakistani hu aur mujhy apnay Watan say muhbat bhi bari hy ... per afsoos hamary watan nay hamary liya aaj tak kuch nahi kya hay .,... jis trha Pakistani Passport zaleel ho ta hay ya hum sab bhot achi trha jaantay hay ...

      Kaam ky lhaaz say main Middle east ko hi pasnd karta hu ... sab say bari waja yha Per Makka aur Madina hay ,... aur asa kuch khas nahi hay ....

      Best future bana na her aik ka haq hay ... her aik pasa nahi dekhta hay albta apna future zaroor secure karta hay ... aur hum Guys ko karna parta hay ... us ki sab si bari waja ya hay kay aik age main hum ko Shadiya karni parti hay .. aur her Mard ki yahi khuish ho ti hay ky wo jis ki bayti ya jis ki bhan ko apny Ghar lay kar ay wo hamesha khush rahay aur koi takleef na ho ..

      Main baahir is liya rahta hu kay meri majboriya bhot hy ,.. jasy security ... me Pakistan main secure nahi hu .. phir jo me ka life style hay wo Pakistan main mujhy maysar nahi ho sakta .. Khas kar Hallal Paso main ..

      FeamanbAllah
      Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
      Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

      Comment

      • #4
        Re: Her Ladky Ka Sapna UK,US,AUSTRALIA,...Kiyon?

        Originally posted by Spy009

        baatin tu sahi kehi..hain app nain..
        per aj kal as cahkar main bhut sey pakistani boys
        apna paisa ziya ker rehy hain.. even jin ko english
        bolana bhi nahin ataa woh bhi "consultants" ke dekhy howy
        kawboon main aa ker apna paisa barbad kerty hain...

        app nain tekh hai apny mulk main salary atni kam hai key
        guzara nahin hotaa 6,000 ya 8,000 main koi kiya guzara
        kery ga.. aur agher shadi bhi ho tu....phir tu aur mushkil hai

        yeh baat tu tekh hai key ab sub kuch finger tips per hai
        per hum log apny friends,family,cousions ko kitna miss
        kerty hain bahir ja ker.. zindgi ke sari khushiyan un
        logon se he hain aur hum ko un looogon ko hi chodnaa
        padtaa hai ...... aur akser shaidian aur other events
        reh jaty hain.. aur sub sey badh ker bhir rehnain waly
        akser apni family main kisi ke death per wapis nahin
        a sakty.... aur yeh cheez bhut afssos nak hoti hai..
        per kuch panin key liye kuch khona padtaa hai,,, yah soch
        ker hum out of country jain ke sochty hain...
        Zaid Hammid on Sawat War..
        A must Watch..

        Comment

        • #5

          Originally posted by Bheegi-Palkain

          humm... pakistan nain hum ko kuch nahin diya???? ........ wy sy hum nain bhi pakistan ko kuch nahin diya,,,,,,,,,,:cc:
          app ke kuch batin tu sahi hain per kuch sey main agree nahin kertaa....

          aj pakistani pasoport ke izzat as liye nahin hai key humary hi kuch.."pakistani bhiyon" na bahir ja ker "aisy aisy" "gul kehlay " hain.. key ab log pakistanion sey darty hain

          app key choice ke waja bhut achi hai .. sahi kehaa app nain
          makah aur madiana sharif ke qareeb rehan bhut saadat
          ke baat hai...

          **********
          wahan ek saans mil jay yahi hai zeest (life) ka haasil
          woh qismat ka dhani hai jo giya dum bher madinain Main..
          ***********

          sahi kaha app nain key her koi achaa futuer banan chahtaa hai...... kash hum ko yahin sub kuch mil jata tu apnaa
          mulk na chodna padtaa:tauba
          Last edited by tauseeftariq; 14 February 2006, 11:56.
          Zaid Hammid on Sawat War..
          A must Watch..

          Comment

          • #6
            Re: Her Ladky Ka Sapna UK,US,AUSTRALIA,...Kiyon?

            Originally posted by tauseeftariq
            baatin tu sahi kehi..hain app nain..
            per aj kal as cahkar main bhut sey pakistani boys
            apna paisa ziya ker rehy hain.. even jin ko english
            bolana bhi nahin ataa woh bhi "consultants" ke dekhy howy
            kawboon main aa ker apna paisa barbad kerty hain...

            app nain tekh hai apny mulk main salary atni kam hai key
            guzara nahin hotaa 6,000 ya 8,000 main koi kiya guzara
            kery ga.. aur agher shadi bhi ho tu....phir tu aur mushkil hai

            yeh baat tu tekh hai key ab sub kuch finger tips per hai
            per hum log apny friends,family,cousions ko kitna miss
            kerty hain bahir ja ker.. zindgi ke sari khushiyan un
            logon se he hain aur hum ko un looogon ko hi chodnaa
            padtaa hai ...... aur akser shaidian aur other events
            reh jaty hain.. aur sub sey badh ker bhir rehnain waly
            akser apni family main kisi ke death per wapis nahin
            a sakty.... aur yeh cheez bhut afssos nak hoti hai..
            per kuch panin key liye kuch khona padtaa hai,,, yah soch
            ker hum out of country jain ke sochty hain...
            Shadi, parties attend kartey rahey tab to ho gaya apna, shuru mein ghar chhodney pe aisa lagta hai, aap analyze karen to payenge ke India, Pakistan, Bangladesh, Sri Lanka, Nepal, Philippines, Indoneshia, aur udhar African countries ke log US, UK, Europe, Middle East mein kaam kartey hain, agar har koi yehi sochey ke shadi attend karni hai, mayyat attend karni hai to zindagi ruk jayegi,

            suppose koi banda India ya Pakistan mein hai, mamooli si taakhwa pe kaam karta hai aur uski shaadi bhi ho jaati hai, shuru shuru mein to biwi bhi kuchh nahin bolegi, lekin jaise jaise purani hoti jayengi wo bhi paise mangegi,

            Haan bahar jo log rahtey hain, unhen pata hai ke shadi byah ki taqrib ki dawat, wo majmah, wo jamghat, apna mulk, apne log sab kuchh chhoot jata hai...aur afsos to hota hai lekin kya karen...ham log to Eid ke roz bhi kaam kartey hain janab, pehle main bhi yehi kahta tha jab bahar nikla tab pata chala...

            khair zindagi hi yehi hai aur hamey waqt ke saath saath chalna hai
            Last edited by Spy009; 14 February 2006, 12:25.
            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

            Comment

            • #7
              Re: Her Ladky Ka Sapna UK,US,AUSTRALIA,...Kiyon?

              Originally posted by tauseeftariq
              bhi ek baat app sub sey pochni thi aj kal hum sub ladkon ka futuer target UK jana he kiyon hai?
              mery kai dost aur main khud bhi aisi chakr main hoon :lol ..
              kiya waja hai ass ke

              1.kiya hum pakistan main reh ker kam paisa kamain gey.. aur bahir reh ker ziyda? ..

              2.yahan humari Nakaami ko hum yeh ker key
              chupaty hain ke humary " talent " ke "qadar bahir hai?

              3.ya hum "gorion" ke chakar main jaty hain?:lol

              4.kiya yeh "short cut" sirf mujbori hai..warna behan bhyion n family ko kon chodna chataa hai?

              app sub zarror batin aur yeh bhi batin key bhir jana achaa hai ya bura?
              what are + and - of it..
              Tauseeftariq bohat umdah thread start kiya hai.

              Log naqal-makani kyun kartey hain? Iski bohat si wajoohat hoti hai. Puraney zamanon sey naqal-makani ki misalein mojood hain. Naqal-makani us waqt ki jati hai jab logon ko aik jaggah per apney liye koi mustaqbil nazar naa aaey. Agar ham haal ki baat karein to bhi hamein thora saa peechey jana parey ga. Hamarey mulk ki buniyaad honesty hai, sachai hai, aur kuchh logon key nazdeek Islam key us idealogy per hai keh insaan insaan mein koi tafreeq nahin.

              Magar aisa nahin huwa. Pakistan ki buniyaad rakhney waley jitney sachey they baad mein aaney waley utney hi kameeney nikley. Yeh mulk siraf paisey walon key liye jannat ban ker rah geya aur ghareeb key liye dozakh.

              Bahir janey walon ki agar aap tanasub dekhein to 95%-98% mutwassat tabqey key hain ya ghareeb. Zahir hai jahan kisi ko apna mustaqbil nazar na aaey woh doosri jagah bhagey ga. Ab yahan per aik baat aur hui hai. Bahir janey walon ki aksariyat gaoun key log hai, aisey log jinhein paisa waffer mila hai aur woh is paisey ko is andaz mein sarf kartey hain pakistan mein jo yeh image deta hai keh bahir paisa drakhton sey lagey pattey hain jinhein siraf utarney ki der hai.

              Ham log tan'asaan hain - kam mehnat mein ziyada paisa hasil karna chahtey hain. Lekin jahan mehnat ki baat ho wahan yeh bhi drust hai keh jo mehnat aap pak mein karo aap ko uska sila nahin milta. Balkey main ney to aisa dekha hai mehnat ka sila milta hi nahin. To zahiri si baat hai keh log bahir bhagtey hain.

              main aap ko itna kah doon, agar is mehnat ka aisa hi sila pakistan mein mila to main shayid raat sey pehley pak chala joun ...
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #8
                Re: Her Ladky Ka Sapna UK,US,AUSTRALIA,...Kiyon?

                Originally posted by Masood

                wah masood bhi bhut gehra jaiza liya hai app nain..
                thread pasand kernin ka shkria....
                app key points waqi bhut ihaam hain..
                ab tak jo baat samanin aye hai woh yahi hai
                ke sub ladky apny futuer ke liye pershan hoty hain aur
                bhar janin main un ko as baat ke umeed hoti hai key
                un ke futuer set ho jay ga..
                sahi khaa app nain humary mulk main sirf ameeron
                ke jagaa hai...... aur app ke 2 batin bhut sahin thin
                ek tu yeh ke mutawast tabkey key logon main as cheez ka rujhan ziyda hai ,,, aur dosri guon waly bhi as taraf zidya mail hain......
                kash hum sub ko apny mulk main acha futer mil saktaa
                per shid haqeeqat main aisa hona mumkin nahin..... as liye
                humar jawan wataan sey dor ja rahy hain
                ***

                talash-e- Rizk main jawan kooch kerty jaty thy
                Kamal Gaon ka sub husn mertaa jataa thaa...

                ***
                Zaid Hammid on Sawat War..
                A must Watch..

                Comment

                • #9
                  Re: Her Ladky Ka Sapna UK,US,AUSTRALIA,...Kiyon?

                  Originally posted by Spy009
                  Shadi, parties attend kartey rahey tab to ho gaya apna, shuru mein ghar chhodney pe aisa lagta hai, aap analyze karen to payenge ke India, Pakistan, Bangladesh, Sri Lanka, Nepal, Philippines, Indoneshia, aur udhar African countries ke log US, UK, Europe, Middle East mein kaam kartey hain, agar har koi yehi sochey ke shadi attend karni hai, mayyat attend karni hai to zindagi ruk jayegi,

                  suppose koi banda India ya Pakistan mein hai, mamooli si taakhwa pe kaam karta hai aur uski shaadi bhi ho jaati hai, shuru shuru mein to biwi bhi kuchh nahin bolegi, lekin jaise jaise purani hoti jayengi wo bhi paise mangegi,

                  Haan bahar jo log rahtey hain, unhen pata hai ke shadi byah ki taqrib ki dawat, wo majmah, wo jamghat, apna mulk, apne log sab kuchh chhoot jata hai...aur afsos to hota hai lekin kya karen...ham log to Eid ke roz bhi kaam kartey hain janab, pehle main bhi yehi kahta tha jab bahar nikla tab pata chala...

                  khair zindagi hi yehi hai aur hamey waqt ke saath saath chalna hai
                  app ke baat bhi durst hai.. haaqeqat pasadni yahi hai
                  waqi jazbat per qaboo rukh ker ek behter mustqbil ke taraf paish qadmi ke jay..
                  agher humari choti choti khusion ke qurbanion sey humari famlies ke life standard behter ho sakty hai
                  tu humain aisi khushion ke qurbani dena ho gi
                  app ke eid wali bat kafi sad thi.. main abhi pak main he hoon.. app ke bat padh ker tu bhut afssos howa..
                  khair ..... "himat e mardan .. madad e Khuda"
                  Zaid Hammid on Sawat War..
                  A must Watch..

                  Comment

                  • #10
                    ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                    Comment

                    • #11
                      Re: Her Ladky Ka Sapna UK,US,AUSTRALIA,...Kiyon?

                      bhai main nain apni life main pehlaa shakis dekha hai
                      jis ko pak ka visa nahin miltaa.....:lol
                      warnaa humara visa tu film ke ticket sey bhi asani sey mil jata hai....... ho sakta hi koi technical problem ho
                      bhi app agher bahir rehty ho tu app financaily strong ho gey..... per Pak boys bechary jab eductaion khatam
                      kerty hain tu un ko jobs milti hi nahin jo milti hain woh bhi
                      5,000 ya 6,000 tek ke...... ab as main woh kiya kerin
                      aur un ko apny futuer ke fikar kerna hoti hai so jis jis ko
                      chance miltaa hai woh....... country sey bahir chalaa jataa hai...........
                      Zaid Hammid on Sawat War..
                      A must Watch..

                      Comment

                      • #12
                        Re: Her Ladky Ka Sapna UK,US,AUSTRALIA,...Kiyon?

                        [quote=tauseeftariq]bhai main nain apni life main pehlaa shakis dekha hai
                        jis ko pak ka visa nahin miltaa.....:lol
                        quote]
                        Thanx for rplay,,,,,,Dear mainay kaha hain stay Visa nahi deytay hain ..Turist Visa to milta hain, jabhi to karachi aata hoon...LOL :tauba Main Stay Visa ki baat kar raha hoon...:cc:
                        ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                        Comment

                        • #13
                          Re: Her Ladky Ka Sapna UK,US,AUSTRALIA,...Kiyon?

                          [quote=D@y W@lk3r]
                          Originally posted by tauseeftariq
                          bhai main nain apni life main pehlaa shakis dekha hai
                          jis ko pak ka visa nahin miltaa.....:lol
                          quote]
                          Thanx for rplay,,,,,,Dear mainay kaha hain stay Visa nahi deytay hain ..Turist Visa to milta hain, jabhi to karachi aata hoon...LOL :tauba Main Stay Visa ki baat kar raha hoon...:cc:
                          :lol I was just joking... dil per mat lenaa :lol ..
                          hain main samjh giya thaa ke app ko stay visa nahin milaa .... per yeh bhi hirat ke baat hai..
                          wasy karachi app ko kaisa laga.. main bhi karachi main hi rehtaa hoon...:lol
                          Zaid Hammid on Sawat War..
                          A must Watch..

                          Comment

                          • #14
                            Re: Her Ladky Ka Sapna UK,US,AUSTRALIA,...Kiyon?

                            Sorry to all mera jawab zra sa mukhtilif hay....
                            pakistan main talent nahi hay.............................

                            ager hay to hum apny wasail kiun nahi paida ker laity hain..???
                            kiun doseron per nazer lagay bethy hain...
                            han thora hay telent lakin os kee b polish kee zrorat hay....:thmbup:

                            hum ny sab apny kaam west walon per chorian hain....khudh kuch nahi kerna chayty hain.......intizar ker laity hain kab wo new chez banain aur han osy Utilize kerian...
                            Wo qoam nahi laik hungama e farda
                            Jiss qoam ke taqdeer main emroz nahi hay

                            aur aap ko pata hay k Sapna UK,US,AUSTRALIA jany k liy kitny paisoon kee zarorat huti hay..
                            10 lakh sy 16lakh
                            ager yehi hum chota mota karobar shoro kerian to ezat kee Roti kama sakty hain
                            na k wohan jaker bertan dooen
                            lakin taraki ka khawab sab ko hay.....Sapna UK,US,AUSTRALIA kee jab hum koi chez dekhty hain to wohan jany ka khawab b dekhty hian....

                            any way main to khudh b jana chahta hun:tauba

                            Comment

                            • #15
                              Re: Her Ladky Ka Sapna UK,US,AUSTRALIA,...Kiyon?

                              Originally posted by ~Khalil~

                              :lol :lol :lol oh tu app khud bhi jana chaty hain..:lol :lol :lol
                              talent tu yaar hai per talent ke liey "Opportunity" nahin hai..... yeh baat shai hai kuch ladky masters ker key bhi
                              apny subject ke lehaz sey kafi kamzor hoty hain
                              per achy talent waly ladky bhi hain
                              wasail peda kerna aur deggar kaam kerna govermetn
                              ka kaam hai jo us nain kabhi kerna nahin tu phir
                              nojawan kab tek intezar kerin?????????
                              baqi app ke baat waqi sahi hai new inventions main hum
                              log kafi pechy hain
                              paisa aj kal 10 lakh nahin lag rhaa 2 ya 3 lakh main
                              kaam ho jataa hai :lol :lol :lol
                              kasha key humary hukmaran naik ho ker khlos sey
                              kaam keirn tu hum ko mulk chode ker na jana pady:na:
                              Zaid Hammid on Sawat War..
                              A must Watch..

                              Comment

                              Working...
                              X