Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Gold ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Gold ?

    Assalamlaikum
    Gold din na din kafi expensive hota ja raha hai ..is ki kia waja hai ?

    is ka rate kis base pay oper neechay hota hai ? :hhh:
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: Gold ?

    neechy to kabhi kbaahr hi hota he aur woh bhi agger ho to torra sa farq paarta he!!!!!!!!

    is base per ooper hota he ke...Larrkiyan (jo ammerzadiyahn hoti heihn) woh hazuruhn tola sona shaadi mein lene ki request kerti hein...............

    aur jho In laws hote hein....woh bhi is ke zumeedaar hein...bahu dherooohn sona agger nahi laai gi to shaadi nahi ho gi!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

    mein to kehti hiuhn.........chorro is jhanjhat ko............matching set(naqli wala) lo aur kaam ban gya!!!!!


    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Gold ?

      Aanchal ji app ka sawal buhat hi mufeed aur commerce kay rules ko follow karta hy...
      kisi bhi cheez chay wo khanay penay ki cheez ho pahny ki yan istamal ki jab demand/supply may farq daalti hay tu uska rate high ho jata hay in these days $ euro din ba din de-value ho raha hay
      china aur india ubhrti hui maishitin jin kay pass zar-mubdila(foreign currency) matlab $/euro kay dhare hain wo inki de-valuation say paryshan hain tu wo inkay badlay gold kay mutilba karty hain aur $/euro kay dhare kay badlay gold khread khread kar dhare laga rahay hin jiski waja say supply aur demand may adam-tawazan ho raha hay aur gold prices high ho rahi hain
      gold ka rate jab nechy a-sakta hay jab india/china/usa apna gold market may layin gain
      ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
      سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

      Comment


      • #4
        Re: Gold ?

        Originally posted by u_r View Post
        neechy to kabhi kbaahr hi hota he aur woh bhi agger ho to torra sa farq paarta he!!!!!!!!

        is base per ooper hota he ke...Larrkiyan (jo ammerzadiyahn hoti heihn) woh hazuruhn tola sona shaadi mein lene ki request kerti hein...............

        aur jho In laws hote hein....woh bhi is ke zumeedaar hein...bahu dherooohn sona agger nahi laai gi to shaadi nahi ho gi!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

        mein to kehti hiuhn.........chorro is jhanjhat ko............matching set(naqli wala) lo aur kaam ban gya!!!!!
        :lol
        .......................!!!!!

        Comment


        • #5
          Re: Gold ?

          @

          و عليكم السلام

          suchi mai ne kuch nai kiya...:lol
          .......................!!!!!

          Comment


          • #6
            Re: Gold ?

            Originally posted by BhaTaktii RooH View Post
            @

            و عليكم السلام

            suchi mai ne kuch nai kiya...:lol
            Qatari desert sona akhatta ker ke dher laga liya he aur kehti ho keh, kuch nsi kiys.............sach batao...kitne kilo ka dher he???


            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: Gold ?

              السلامُ علیکم
              جمیل بھائی نے بہت اچھے طریقے سے سمجھایا ہے اس میں تھوڑا سا اضافہ اور کرتا چلوں کہ
              پاکستانی کرنسی کے ڈی ویلیو ہونے سے پاکستان میں سونے کے ریٹس باقی ممالک کے بدلے زیادہ محسوس ہوتے ہیں
              :star1:

              Comment


              • #8
                Re: Gold ?

                waalikum asslam

                i think tumam mumalik ab gold pe investment kr rahay hain iss liye demand k rules k mutabiq rates barrh rahay hain
                شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                Comment


                • #9
                  Re: Gold ?

                  when chocolate can solve ur problems why do people need gold????? :O

                  Comment


                  • #10
                    Re: Gold ?

                    Originally posted by ummid View Post
                    when chocolate can solve ur problems why do people need gold????? :O
                    what a joke...whats the comparison or similarity b/w gold & chocolate? i mean to say app chocolate galay may neck-less yan ear-rings bana kar tu nahi dall saktay.. if your reply purpose concerned into happiness to mera khiyal wo tu app baton yan suha-nay khiyalon say bhi ho sakty why are you waste your money....
                    ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
                    سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

                    Comment


                    • #11
                      Re: Gold ?

                      This news source Jang news Pakistan


                      ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
                      سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

                      Comment


                      • #12
                        Re: Gold ?

                        Originally posted by Aanchal View Post
                        Assalamlaikum
                        Gold din na din kafi expensive hota ja raha hai ..is ki kia waja hai ?

                        is ka rate kis base pay oper neechay hota hai ? :hhh:
                        Wa Alaikum Aslam,

                        Question acha he per gold ka jo rate berh raha he wo acha nahi he especially tumharay liye :lol

                        Jawab panay k liye you ko sub se pehlay gold ki basics ko understand kerne ki zaroorat he. Gold although aik metal he jo ductility, malleability aur is ki perfect conductivity ki waja se is ka industrial usage bhi he. Is ka aaj kul computer ki industry mein kafi use ho raha he aur glass industry mein bhi is ka use ho raha he. Demand ziada he aur is ki minning slow he. Despite of its industrial usage it is an asset and valuable thing. Different countries isay as an asset bhi purchase kerte hein aur wo assets in ki strength hoti he. Countries k ilawa different Banks bhi isay as a potential asset purchase kerte hein jis ki waja se is ki demand ziada he jub k supply kum. Jub kisi bhi cheez ki demand ziada ho gi aur supply kum to it is an obvious fact ke us cheez ki price increase ho jaye gi.

                        Only IMF, aur Central Banks puri dunia ka almost 1/4 gold ko possess kerte hein. Is k ilawa USA, Germany, Italy, France aur China ke possession mein gold ki bhari mikdaar moojood he. Chonke gold aik asset he aur yeh kisi waqt bhi cash kerwaya ja sakta he, jub in ki economies kuch laps kerti hein ya inhein outsource kerna hota he to yeh Gold ko market mein sell kerte hein jis ki waja se gold ki price down ho jati he. Ager yeh sale kerne ki bajaye purchase kerne lagein to gold ki price high ho jati he.

                        Yahan pe aik member ne kaha k pakistan ki currency ki devaluation ki misaal di to aisa kuch nahi hota. Aur waise bhi Pakistan ki currency last two years se kafi stable he. Aur Gold ki price international market set kerti he na ke Pakistani market.
                        Last edited by Mr. Sialkoty; 29 August 2011, 21:38.
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #13
                          Re: Gold ?

                          mujhe to serf "neend" wala sona acha lagta he Anchal:shyy:

                          Comment


                          • #14
                            Re: Gold ?

                            Originally posted by Aanchal View Post
                            Assalamlaikum
                            Gold din na din kafi expensive hota ja raha hai ..is ki kia waja hai ?

                            is ka rate kis base pay oper neechay hota hai ? :hhh:
                            All currencies are not reliable right now so currently countries are purchasing gold as their reservoirs, that why gold prices are hiking day by day

                            Comment


                            • #15
                              Re: Gold ?

                              Originally posted by AbgeenA View Post
                              mujhe to serf "neend" wala sona acha lagta he Anchal:shyy:

                              Jub tum soti ho gi to jaagnay walon ki to chandi ho jati ho gi
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X