Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~Career and Profession~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~Career and Profession~

    Assalamo Allaikum

    Is thread mein ham yeh discuss karein gey keh ham kis profession sey related hain aur saath hi saath yeh keh agar hamein kisi ko koi advice dein to kaun sa career apnaney ki advice dein gey.

    Iskey elawa hamein mukhtalif professions key barey mein bhi discuss karna hai. Yaqinan ham siraf usi profession key barey mein behtar btaa saktey hain jis sey ham wabasta hon, magar knowledge hoti hai aur honi chahiye.

    To sab sey pehley main apney aap sey shuru karta hoon.

    Main real mein as Salesman apni study mukamil ki thi. Aur kuchh arsa as salesman key kaam bhi kiya hai. Magar I didn't liked that. Sab sey badi wajah yeh thi keh you have to have a huge number of contacts, find new contacts, whom to sale the product to. Alot of telephone communication. Main is sey bohat tang parr geya. Magar chunkeh merey paas aur koi chance nahin tha so I had to stick with it. Until I got a virus in my PC :lol . Ab aap soch rahey hon gey keh PC Virus ka is sey kya ta'aluq???:cc: Well woh PC Virus was the main reason for changing my career :khi: from to be a salesman to an apprentice as IT Assistant with Networking as special.

    Uskey baad aisa huwa keh merey career ney aik aisi jast lagaee keh I found in the middle of an SAP Project as SAP Basis Administrator :thmbup: From that day in April 2001 till today I never worked with anything els than SAP.

    For those who don't know SAP here is a short description of it:

    SAP stands for Sysmtem And Product. Yeh aik German Software hai jiska base Waldorff in Southern Germany hai. Yeh aik complete Enterprise Solution hai jo kisi bhi firm mein implement kiya jaa sakta hai - regardless of the size of the firm. Typically it's the major firms around the world, that has implemented a SAP Solution that bcoz it's really really costly. Lekin when implemented it's the best solution. For installing, running i daily work, tuning, upgrading, updating etc it needs specialists. Basis Specialists as well as Application specialist. And demand for such specialists are very very huge in world trade.

    Hamarey padosi mulk Hindostand ney isko samjha hai aur they have 1000s of specialist jo duniya key mukhtalif hisson mein jaa ker kaam kar rahey hain.

    I changed my career and today I'll advise everyone, who come across to working with SAP - go SAP WAY - as we call it. Is liye keh mustaqbil mein iski more and more implementations hon gi aur need for qualified specialists will increase accordingly. Somewhere it's mentioned that 9 out of 10 biggest firms in the US are using SAP...
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: ~Career and Profession~

    Originally posted by Masood

    Nice to read tht bhai....
    can u tell me tht SAP is working in pakistan also?
    =============================
    hum main kia kahon apny bary main...
    main ny BCS kia hay IT..main
    aur aik buhat hee achi job thi meri pass...lakin jehan sy main ny BCS kia tht GOVT ny wo colege Bann ker dia aur os k sath sath mery Graduation ko b nazer lag gai mean k sab fellows ko degree bann ker di gai...
    lakin mujy es ka aik advantige yeh b mila k i can do MCS....
    lakin jab main ny MCS main admission lia to main aik din QTV main Dr. Asrar kee Speech sun raha tha..
    bus pher kia huwa....i decide to do master in islamic Philosophy.....
    jo abi tak jari hay..i hope i inshaALLAH acha hee huga............
    but still Job lessssssssssssssssssssssssssssss

    lakin Hope for the Best.:tomato:

    Comment

    • #3
      Re: ~Career and Profession~

      Originally posted by Last Knight
      can u tell me tht SAP is working in pakistan also?
      =============================
      bus pher kia huwa....i decide to do master in islamic Philosophy.....
      jo abi tak jari hay..i hope i inshaALLAH acha hee huga............
      but still Job lessssssssssssssssssssssssssssss

      lakin Hope for the Best.:tomato:
      Khalil - Pakistan mein jitna potential hai utni tawajoh nahin di jati. Yeh mulk mufad-praston key liye bana hai :fuming:. Meri bohat badi khawahish hai keh aisi koi silsala shuru ho, magar it demands high-level attention jo keh mufad'praston key mulk mein mumkin nahin.

      Aap ko aik baat btaoun, mujhey bohat bohat khushi hui hai yeh parh kar keh aap Islamic Philosophy mein Master kar rahey ho. Belive me if we can get another Dr. Israr in Khalil or something like that, that will be a huge achivement. We need philosopher in Islam. Meri tmaam tar naik tamanaat aap key saath hain, inshaAllah yeh mehnat aik din phal laey gi :phool: . Apni maa ki duaein hasil kartey raho - kaam aaein gi :)
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #4

        thnks Bhai inshaALLAh i will....................

        ====================
        bhai mulik to pher b apna hee hay naa....chand bhairrain hay yehan...
        but ager hu saky to SAP ko pakistan main lay...dekhain pher yehan ka talent..

        Comment

        • #5
          Re: ~Career and Profession~

          hm main abhi Graduation kar raha hon Economics main.....so my field is clear......InshAllah Economics main master karne ka irada hay ya CSS ke paper doN ga InshAllah :) I Also Like LLB and LLM ...
          Allah

          Comment

          • #6
            Re: ~Career and Profession~

            Originally posted by Yaaram
            hm main abhi Graduation kar raha hon Economics main.....so my field is clear......InshAllah Economics main master karne ka irada hay ya CSS ke paper doN ga InshAllah :) I Also Like LLB and LLM ...
            :thmbup: :thmbup: Clear motive - keep your sight on acheiving your goal :)
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #7
              Re: ~Career and Profession~

              Career's and Professions are not for men only :na:
              sigpic

              Comment

              • #8
                Re: ~Career and Profession~

                Originally posted by Masood
                Assalamo Allaikum

                Is thread mein ham yeh discuss karein gey keh ham kis profession sey related hain aur saath hi saath yeh keh agar hamein kisi ko koi advice dein to kaun sa career apnaney ki advice dein gey.

                Iskey elawa hamein mukhtalif professions key barey mein bhi discuss karna hai. Yaqinan ham siraf usi profession key barey mein behtar btaa saktey hain jis sey ham wabasta hon, magar knowledge hoti hai aur honi chahiye.

                To sab sey pehley main apney aap sey shuru karta hoon.

                Main real mein as Salesman apni study mukamil ki thi. Aur kuchh arsa as salesman key kaam bhi kiya hai. Magar I didn't liked that. Sab sey badi wajah yeh thi keh you have to have a huge number of contacts, find new contacts, whom to sale the product to. Alot of telephone communication. Main is sey bohat tang parr geya. Magar chunkeh merey paas aur koi chance nahin tha so I had to stick with it. Until I got a virus in my PC :lol . Ab aap soch rahey hon gey keh PC Virus ka is sey kya ta'aluq???:cc: Well woh PC Virus was the main reason for changing my career :khi: from to be a salesman to an apprentice as IT Assistant with Networking as special.

                Uskey baad aisa huwa keh merey career ney aik aisi jast lagaee keh I found in the middle of an SAP Project as SAP Basis Administrator :thmbup: From that day in April 2001 till today I never worked with anything els than SAP.

                For those who don't know SAP here is a short description of it:

                SAP stands for Sysmtem And Product. Yeh aik German Software hai jiska base Waldorff in Southern Germany hai. Yeh aik complete Enterprise Solution hai jo kisi bhi firm mein implement kiya jaa sakta hai - regardless of the size of the firm. Typically it's the major firms around the world, that has implemented a SAP Solution that bcoz it's really really costly. Lekin when implemented it's the best solution. For installing, running i daily work, tuning, upgrading, updating etc it needs specialists. Basis Specialists as well as Application specialist. And demand for such specialists are very very huge in world trade.

                Hamarey padosi mulk Hindostand ney isko samjha hai aur they have 1000s of specialist jo duniya key mukhtalif hisson mein jaa ker kaam kar rahey hain.

                I changed my career and today I'll advise everyone, who come across to working with SAP - go SAP WAY - as we call it. Is liye keh mustaqbil mein iski more and more implementations hon gi aur need for qualified specialists will increase accordingly. Somewhere it's mentioned that 9 out of 10 biggest firms in the US are using SAP...
                Career and Profession topic ka bahut achha silsila hai, :insha: ham sab yehan iss se related discuss karenge.

                Main Xth mein tha to uss waqt mere neighbor ka ek uncle aaye aur boley "meri beti ko tuition padhaoge 50 Rs. mahina doonga" student life mein 50 Rs. kafi hota hai main tayyar ho gaya, aur tab se main ne tuition shuru kar di, phir gradually teaching field mein aa gaya, but is ke parellel mein govt. job ke liye competition ki tayyariyan bhi kiya aur kayi competition (LIC, Banking, State Commission Services, and Teacher's job) written nikala bhi, lekin finally kahin nahin huwa, phir school mein as assistant teacher ki job lagi phir tab se teaching, New Delhi mein Public school mein job karke achhi khasi experience hasil kiya, aur mujhe padhney padhaney se muhabbat ho gayi.

                Idhar 2002 mein mere ek uncle ne Czech Republic and Saudi Arabia ke visa pe mujhe offer kiya, foreign janey ka sab ko shouq hota hai aur main Saudi pahunch gaya, yehan Saudi Aramco mein as Admin Executive ke post pe tab se kaam kar raha hoon, aur iss tarah se 4 saal se Administrator ka bhi experience haasil ho gaya

                Masood sahab mere company mein bhi SAP hi use hota hai, aur main bhi SAP pe hi kaam karta hoon, you can see my desktop SAP logon pad, aapka bahut bahut shukriya,SAP ka details bataya

                Lekin jahan tak career ki baat hai, main apney experience se yeh kahoonga ke jis kaam mein khushi, internal satisfaction milta ho wahi career choose karni chahiye.

                baqi phir kabhi
                Attached Files
                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment

                • #9
                  Re: ~Career and Profession~

                  [B]Asslam-o-Alikum WR WB

                  Bhot achi post ka silsila shuru kya hay .... Maza ay ga aur bhot kuch jaanay ko milay ga ....

                  Mein apnay baray main kya batow ! meri zindagee bhot ajeeb hay .. agr main ya kho ky meri life sey bhot kuch sikha bhi jaa sakta hay to ya baat sahi ho gi ....

                  Well Main apnay aap ko Mazdoor admi hi khata hu ..... aur shayd hu bhi ... agr education ka silsila dekha jay to main un main say nahi hu jin main sey aur sab hay .... Khair meri practicle life to abhi 2 yers pahaly hi start hui per mujhy yaad hay kay may nay sab sey pahly jo kaam kya tha wo main nay Cement ki Bori 4th floor per utha kar rakhi thi ... aur 25 Boriya thi jis ka mujhy aik din ka vage 70 S.R mila tha .... us din main khush bhi bara tha aur may nay wo pasy phir apni Mama jaan ko diya thy .... us ky baad main nay Tube lights aik Travel Agency main fix ki thi jis per mujhy 100 S.R milay ..... Khud Dari Al Hamdulilh bhot hy .... kabhi apni Pocket Mony ky liya Mama Jaan ya Papa jaan say pasy nahi mangay na hi kisi dost say .... zaroort hui to koi na koi chota mota kaam kya apnay jism per wazan uthya aur pasy liya .... aur Al Hamdulilh kya ....

                  us kay baad kuch arsay kay liya Pakistan gya parhnay ky liya ... per parhnay ka shayd shoq nahi tha ya ya kha lay kay wo mahool nahi mila jis main parhai ki jaa sakay .... Politics aik asi cheez hay jo insaan ko tabha kar ky rakh deyti hy aur agr duraan Education koi kharab kism ki larki jis ko hum apna pyaar samjh bath tay hay wo aajy to zindagee aur tabha ho jaati hy .... Bary khush naseeb ho tay hy wo log jin ko jin ka pyaar bana dey ... albta Pyaar phir Pyaar jasa hi ho .... any way Gals say koi shok to nahi tha albta Gals ka ana jaana meri life main rha .... kum hi ai per afsoos sari hi kharab mili .... in chakro main jo shaks phns jay wo tabha kar lyta hy ... mostly asa ho ta hy .. khair Education kya hasil karni thi ... bass Pakisatan ka sab ko pata hay kay Pasy do kaam ho jaata hay asa hi kuch hum nay kya aur Karachi University say B Com kya ...

                  wapis jab tashreef laya to Jeddah main aik apni hi compnay jo ky me ki Family compnay hay us main as a Sales Executive lag gya ...1 year Jeddah main kaam kya ... construction filed main bhot maharat hasil ki ... per wha per meri ban na saki ... aur wapis Mama jaan aur Papa jaan kay pass aagya ... yha aakar job dhondta raha per taleem asi khas thi nahi ky job milti ... kabhi kuch kar liya kabhi kuch kar liya simple ya kha jay kay Mazdoori hi karta rha ...

                  Phir aik net cafe main job mili .... wha per counter main rhta ... 800 S.R salary per job mili 16 hours ki duty per .... khair wha per job karta rha apna khrcha chalata rha ... job serch karta rha ... is arsay main kuch jobs mili per chukay hamaray Pakistani Peoples mashalah kisi ko dekh nahi sakty to kisi na kisi ki siyasat ka shikar hota rha ....

                  Per himat nahi haari .... yha aik baat main zaroor menshion karu ga takay mery dosry PG ky members samjh saky .... mujh main burya shayd hazaar ho gi ... per kuch khubiya asi hay jin ko main khud bhi feel karta hu ... pahli ya kay main apnay mama jaan aur papa jaan ki aur apnay sab baro ki izzat bhot karta hu ... chay koi bhi baat ho jay nazar nahi utha kar dekhta ... dosra ya kay main jo bhi mangta hu Allah Pak say mangta hu ... us kay aagy rota hu ... tahjud tak parhta rha hu ... aur dua karta rha hu ... 3sra ya kay Al Hamdulilh chukay achi aur bari family say hu ya ya kha lay kay achay ghar ka larka hu .. to Al Hamdulilh mera Charcater bhot strong hy ... No vine , no Cigrate , no others Bad activites .... kisi ka buta nhi sochta hu na hi kisi say kabhi jalous ho ta hu .... zahir hay saath kay freinds achi posts main hy per hamesha khush ho ta hu aur dua deyta hu ...

                  Khair Allah kay haath main izzat aur zilaat hay .... Allah kay aagy dua karta rahta hu aur apnay mama jaan aur papa jaan ko pujta rhta hu ... aur her shaks ki dua hasil karta hu ... kuo kay main ya samjhta hu kay education aap ko uthnay bathnay ka dhang zaroor dey sakti hay ... aik aap main achi soch zaroor payda kar sakti hay per Rizk sirf Allah Pak ky haatho main hy ... Bhot sey log jaahil hay aur wo kha say kha hay aur bhot sey PHD sarko per dhkay khatay hay ...

                  Phir mujhy aik din call ai aik compnay say ... un ko net work eng chiya tha ... khair Interview hua aur Al Hamdulilh as a Network Engineer ki job mil gai ... ajj kal Network Eng ki post per hu ... IT ki maloomat thi aur kaam karny ka huner aur experince tha jo kay may nay Net cafe sey hasil kya tha .. wo aakhir kar kaam agaya aur sab sey bari baat kay Meri mama jaan ki dua aur baap ki khushi ny mujhy is laayk kar diya ....

                  Ajj mery saath USA aur Canda kay Eng kaam karty hy ... bary bary Consultant mery saath hay ... aur main nikma sa larka hu .. per mery Allah Pak nay mujhy wo izzat di hay kay main apni compnay main aik bhot hi imprtant hisa hu ...

                  .....

                  Me nay to story likh dali hy lolzzz .... per is main sabak kuch ya hay PG ky users ky liya kay kabhi ya na sochya kay Degree ly ny say aap ko koi bhot Key Post mil jay gi .... asa hargiz nahi ho ta hay ..... aaj hazro Pakistan main Degree walay phirtay hay infact bahir Countries main bhi yahi haal hay ... sab sey Best tareeka ya hay kay hamesha Baro ki izzat kary ,... Maa Baap ky qadmo main rahy aur Allah say maangay kuo ky wo hi dyny wala hy ..aur kabhi hasad na kary ... agr kabhi hasad aa jay to dil main foran Allah ko yaad kary aur dosry ko dua dijya .... kuo kay Rizk sirf Allah ky haath main hy ...

                  aaj main jis seat per hu us ko main apni kabliyat nahi samjhta hu balky ya sirf meri mama jaan aur papa jaan ki duaow aur Allah Pak ka karam ka nateeja hay

                  FeaamnAllah [/B]
                  Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                  Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

                  Comment

                  • #10
                    Re: ~Career and Profession~

                    BP aap ki story padhi life struggle bhi badi jaddo jahad karni padi, khair himmate mardan madad e khuda...this proverb is true. Ham kitabon mein padhtey hain ke log apni career ko bananey ke liye kahan se shuru karta hai, aur abhi bhi ye misalen dekhne ko milti hain, ye waqayie mein daad ke qaabil hai jise kabhi nahin bhoola ja sakta jo shaksh cement ki bori utha kar chal, mazdoori kiya yaani mehanat karta raha result to Allah ke haath mein wo aap ko milta gaya...aur network engineer tak pahunch gaye. Allah ka jitna bhi shukriya ada kiya jaye kam hai.

                    Aise bahut se example hain, footpaath pe raat ko 2 Rs. de kar soney wala aaj millionaire hai aur world level pe uski pehchan hai (MF Hussain)

                    Cycle pe doodh bechne wala millionaire bana (Gulshan Kumar).

                    Ye saarey lesson hamarey liye inspiration hai.
                    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                    Comment

                    • #11
                      Re: ~Career and Profession~

                      Originally posted by Spy009
                      BP aap ki story padhi life struggle bhi badi jaddo jahad karni padi, khair himmate mardan madad e khuda...this proverb is true. Ham kitabon mein padhtey hain ke log apni career ko bananey ke liye kahan se shuru karta hai, aur abhi bhi ye misalen dekhne ko milti hain, ye waqayie mein daad ke qaabil hai jise kabhi nahin bhoola ja sakta jo shaksh cement ki bori utha kar chal, mazdoori kiya yaani mehanat karta raha result to Allah ke haath mein wo aap ko milta gaya...aur network engineer tak pahunch gaye. Allah ka jitna bhi shukriya ada kiya jaye kam hai.

                      Aise bahut se example hain, footpaath pe raat ko 2 Rs. de kar soney wala aaj millionaire hai aur world level pe uski pehchan hai (MF Hussain)

                      Cycle pe doodh bechne wala millionaire bana (Gulshan Kumar).

                      Ye saarey lesson hamarey liye inspiration hai.
                      Asslam-o_Alikum WR WB

                      well Spy ! u ny sahi kha hay aur ya to bhot halki pulki batain hay .,... wrna jo roz hua wo sab mujhy yaad hay aur aik aik lamha aik aik pal yaad hay ..... per ya batain is liya share ki hay takay jo hamary users jobless hay ya jo ya samjhaty hay ky degree nahi hay ya wo nahi hy to dil na chota karay ... Ilm aik apni ahmiyat rakhta hy ... Rozi sirf Allah Ky hatho main hy ...Mein daily dekhta hu asy logo ko jo bechary mujh say ziyada qabil hay mujh say ziyada parhy likhy hy ... per wo becharay jobless hay ya un ki kismat ky derwazay nahi khulay hay ... Allah Pak her bayrozgar ko rozgar ata kary Ameen ...

                      Zindagee main Kamana mushkil nahi hy Spy .... kama to sab hi laytay hy ... Halaal kamany mushkil hay ... kuo kay Hallal kamany main khoon bhi niklta hay aur paseena bhi ,,, aur Al Hamdulilh main bhot khush rahta hu kuo kay main ya jaanta tha kay main kon hu aur kya hu aur main kis ka bayta hu per kabhi bhi Al Hamdulilh may nay kisi kaam main sharam mahsoos nahi ki aur hamesha Al Hamdulilh kha ...

                      aur aaj Al Hamdulilh jo izzat hay meri ... wo sirf mery mama jaan aur papa jaan aur mery Allah ki traf sey hay ...wrna main to aaj bhi khud ko mazdoor hi samjhta hu ..

                      any way.... khush mush raha karya aur jab kabhi yaad ay to dua diya karay kay Allah Pak her musibat sey bacahy Ameen

                      FeaamnAllah
                      Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                      Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

                      Comment

                      • #12
                        Re: ~Career and Profession~

                        Originally posted by Saima Shaheen
                        Career's and Professions are not for men only :na:
                        Haan ji aap drust kehti hai, koi profession koi carrer is not only for men - but equally for gals. To please aap bhi apni raey dijiye aur masha-e-raah baniyey :)
                        Last edited by Masood; 16 February 2006, 00:37.
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • #13
                          Re: ~Career and Profession~

                          Originally posted by Spy009
                          Career and Profession topic ka bahut achha silsila hai, :insha: ham sab yehan iss se related discuss karenge.

                          Main Xth mein tha to uss waqt mere neighbor ka ek uncle aaye aur boley "meri beti ko tuition padhaoge 50 Rs. mahina doonga" student life mein 50 Rs. kafi hota hai main tayyar ho gaya, aur tab se main ne tuition shuru kar di, phir gradually teaching field mein aa gaya, but is ke parellel mein govt. job ke liye competition ki tayyariyan bhi kiya aur kayi competition (LIC, Banking, State Commission Services, and Teacher's job) written nikala bhi, lekin finally kahin nahin huwa, phir school mein as assistant teacher ki job lagi phir tab se teaching, New Delhi mein Public school mein job karke achhi khasi experience hasil kiya, aur mujhe padhney padhaney se muhabbat ho gayi.

                          Idhar 2002 mein mere ek uncle ne Czech Republic and Saudi Arabia ke visa pe mujhe offer kiya, foreign janey ka sab ko shouq hota hai aur main Saudi pahunch gaya, yehan Saudi Aramco mein as Admin Executive ke post pe tab se kaam kar raha hoon, aur iss tarah se 4 saal se Administrator ka bhi experience haasil ho gaya

                          Masood sahab mere company mein bhi SAP hi use hota hai, aur main bhi SAP pe hi kaam karta hoon, you can see my desktop SAP logon pad, aapka bahut bahut shukriya,SAP ka details bataya

                          Lekin jahan tak career ki baat hai, main apney experience se yeh kahoonga ke jis kaam mein khushi, internal satisfaction milta ho wahi career choose karni chahiye.

                          baqi phir kabhi
                          Pharhana waqeya bohat bada - issey main pesha nahin kahoon ga, balkey aik bila'jaza aml-e-ahsan hai jissey Allah Rab-ul-izzat bhi pasand farmatey hain. Hazra Ali RA ka qol hai keh jis ney mujhey AIK lafz ki bhi taleem di, usney mujhey apna girwi rakh liya. Kya baat hai.

                          Mujhey bhi sharaf hasil huwa tha aur hota hai keh main bhi taleem baant sakoon sakoon. Sab sey pehley main ney apney jahan per aik janeney wali dost ko jo Urdu ki alif bey sey waqif nahin thi, aur jisney kabhi Quran-e-Pak nahin parha tha, ussey yeh dono cheezein parhaein. Aur uskey baad waqtan fawaqtan IT ki taleem bhi deta raha.

                          Aap ney jo picture dikhai hai, issey dekh ker meri bachhein khil gaee hain :D Jahan sey aap ka kaam shuru hota hai, yani SAP LOGON PAD per system ki icon per click karna aur apna kaam shuru karna, wahan per mera kaam khatam hota hai (not complete but mostly). Explaination yeh hai keh mera kaam SAP ki installation, maintainence, waghera hai aur users ko agar koi problem ho to uski technichal help hai. I don't know much about how to use these applications but I know how to keep them running :)

                          Spy aap ki firm mein SAP BASIS kahan per control ki jati hai? Kya aap yeh maloomat hasil kar saktey hain? Aur yeh keh SAP Basis ki vaccancies ka kya silsila hai??
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #14
                            Re: ~Career and Profession~

                            BP degrees hasil karney key liye ilm zaroor hai - magar kaamyab zindagi key liye degree ki zaroorat nahin. Ilm siraf wohi nahin hota jo school collegues ya unis sey hasil kiya jaey, ilm woh hota hai jo aap apni guzarney wali umer sey hasil kartey hain. Ashfaq Ahmed apni kitab Zavia mein likhey hain keh insaano ko parha karo, insaano ko parhney sey bohat kuchh hasil hota hai. Sab sey aham baat hai keh aap un logon ki sohbat mein rahein jo aap ko kuchh seekha sakein - yehi sab sey badi university hoti hai.

                            Aap ney apni life struggle ka btaya to zehan mein woh beshumar naujawan aaey jo pardes mein aisi zindagi guzartey hain. And I salute 'em. Main aap ko thora apney barey mein mazeed btaoun - mujhey aik baar kisi ney kaha tha keh tumhein aik nakam zindagi guzaro gey keh tumhein koi job nahin dey ga. Aur yeh baat us waqt sach lagi jab mujhey teen-age mein aik dukan per apni is physically halat mein kaam karna parra. Us dukan ka malik aik pakistani tha jisney meri aik maheeney ki takhwa gol kar di.

                            Anyway - when I realised keh jab Allah Tala ney mujhey bhi dimagh diya hai to main issey istimaal kyun nahin karta? Zia merey Allah ney meri himmat aur musalsal mehnat ki badolat mujhey aaj us muqaam per laa khara kiya hai keh mujhey aik week mein job ki offer ho jati hai. Abhi haal hi mein England sey job ki offer aai hai aur aik huge huge payment per. Yeh siraf is liye keh merey paas aik qualification hai jiski europe mein sakht zaroorat hai.

                            Aap ki tarha main ney bhi Networking ka kaam shuru kiya tha :D

                            Nice to read about u
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            • #15
                              Re: ~Career and Profession~

                              IT ki field bohat waseeh hai. Aam log ko jab yeh btaya jaey keh "main IT field sey wabasta hoon" to woh samajhtey hain keh mujhey IT sey mutaliq HAR baat ka patah hai. Dost ehbaab phone kar key poochhtey hain: "yaar word mein makro kaisey bnantey hain" - to main unhein kahoon na keh "sorry janab mujhey nahin maloom keh kaisey bnatey hain" to hairat bhara jawab milta hai " yaar tum IT mein nahin ho" :lol Haan yaar main IT sey hi hon magar Office merey liye siraf aik tool hai don't know about it in details.

                              Main yahan per kuchh fields key barey mein likhna chahta hoon jin mein agar koi muharat hasil kar ley to kya baat hai - kaam milney key bohat chances hotey hain:

                              MS OFFICE
                              MSOffice is waqt puri duniya mein office mein istimaal hona wala sab sey bada package hai. Is mein maahir ko kam az kam europe mein bohat demand hai. Is mein jaggah jaggah per mukhtalif courses hotey hain. Microsoft ki janib sey sandein jari ki jati hain:

                              MOS - Microsoft Office Specialist Core
                              Aik MOS Core ka ilm aisa hota hai keh woh office ki buniyadi functionality per aboor rakhta hai. Woh is qabil hota hai keh office products ko bakhoobi install, istimal karna janta hai. Jin products mein MOS Core kiya jaa sakta woh yeh hain:
                              • Word - Microsoft Word (Wordpad)
                              • Excel - Microsoft Excel (spreadsheet)
                              • Access - Microsoft Access (Database)
                              • Outlook - Microsoft Outlook (Email)
                              • PowerPoint - Microsoft PowerPoint (Presentation)

                              MOS - Microsoft Office Specialist Expert
                              An expert is able to use the most advanced functionality of Office.

                              Is mein bhi ooper waley products shamil hain.
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...
                              X