Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kese?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • kese?

    Aslamoalikum:hii:
    farz karen ap kisi baat par pareshan hon...or Allah se dheron duaen mangen...phir Allah meherbani karen or ap ki dua kabool ho jaey :alhamd:or pareshani door ho jaey to ap kese Allah ka shukar ada karte hen?


  • #2
    Re: kese?

    Walikum Salam...

    ALLAH G ka fazal hy k wo itni tofeek ata karty hein k har parshani k bad usk samnay or mazeed jhuknay ki tofeek milti hy... mostly nafal parhti hon or sadqa deti hon agar possible ho tu roza b rakh lyti hein lekin mostly nafal or sadqa deti hon or apni ka shukriya ada karti hn or usk bhot sy tareekay hein qk ALLAH G k fazal k sath sath ami ki daein b hoti hein jo mere dua ko is qabil bana dete hein k wo qabool ho jaen...
    میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

    Comment


    • #3
      Re: kese?

      Originally posted by AbgeenA View Post
      Aslamoalikum:hii:
      farz karen ap kisi baat par pareshan hon...or Allah se dheron duaen mangen...phir Allah meherbani karen or ap ki dua kabool ho jaey :alhamd:or pareshani door ho jaey to ap kese Allah ka shukar ada karte hen?
      Wa allaikum salaam

      Allah Tala key ahsano ka shuker ada karney ka sab sey behtareen tareeqa yeh hai keh Allah ka kaam kiya jaey. Allah ka kaam kya hai? Kisi insaan ko chaar jumley achhi baat seekha di jaey, kisi ko ilm ki roshni sey munawwar kar diya jaey, kisi ko Allah key pegham sey rushnaas kara diya jaey, kisi ko 2 bol bhalaii key bol diyey jaein, kisi ko achhaii ki dawat di jaey, kisi ko haq ka bulawa diya jaey... mind you keh FAQAT namazein hi Allah key ehsaano ka shuker ada karney key liyey kaafi nahin - woh farishtey ham sey behtar taur per ada kar saktey hain - ham 'ashraf-ul-makhlooqat' hain - hamein Allah ki raah mein jidho-jehad karna hai ...
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: kese?

        ہم نے یہ دعا جب بھی مانگی تقدیر بدلے یا مالک
        آواز ائی کہ اب ہم نے تقدیر بدلنا چھوڑ دیا
        :star1:

        Comment


        • #5
          Re: kese?

          Originally posted by S.A.Z View Post
          ہم نے یہ دعا جب بھی مانگی تقدیر بدلے یا مالک
          آواز ائی کہ اب ہم نے تقدیر بدلنا چھوڑ دیا
          mjhy bat samjh mein nai aye :(
          میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

          Comment


          • #6
            Re: kese?

            W sallam......

            Alllah tallaa ka shukarr addaa karnnay ka behtareen tareeqa uss kii ibaddat karna hai,...........
            "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

            Comment


            • #7
              Re: kese?

              Walaikum Assalaam

              buhat acha topic share kia hai ap ne.................Alhumdolillah merey saath aksar ye hota hai or mai Shukrana ke nawafil ada kar ke apne Rabb ka shukriya ada karta hun

              Comment


              • #8
                Re: kese?

                Originally posted by Masood View Post


                Wa allaikum salaam

                Allah Tala key ahsano ka shuker ada karney ka sab sey behtareen tareeqa yeh hai keh Allah ka kaam kiya jaey. Allah ka kaam kya hai? Kisi insaan ko chaar jumley achhi baat seekha di jaey, kisi ko ilm ki roshni sey munawwar kar diya jaey, kisi ko Allah key pegham sey rushnaas kara diya jaey, kisi ko 2 bol bhalaii key bol diyey jaein, kisi ko achhaii ki dawat di jaey, kisi ko haq ka bulawa diya jaey... mind you keh FAQAT namazein hi Allah key ehsaano ka shuker ada karney key liyey kaafi nahin - woh farishtey ham sey behtar taur per ada kar saktey hain - ham 'ashraf-ul-makhlooqat' hain - hamein Allah ki raah mein jidho-jehad karna hai ...
                masAllah buhat achi batin btyii app nay....Golden words
                ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
                سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

                Comment


                • #9
                  Re: kese?

                  Originally posted by AbgeenA View Post
                  Aslamoalikum:hii:
                  farz karen ap kisi baat par pareshan hon...or Allah se dheron duaen mangen...phir Allah meherbani karen or ap ki dua kabool ho jaey :alhamd:or pareshani door ho jaey to ap kese Allah ka shukar ada karte hen?
                  wasay tu mujhy 100% umeed hoti hay dua pori hogi nahi hoti sochta hhoon Allah pak nay abhi meri e-mail parhi nahi ya is kay badly kuch masebtin kum hogyin hogeen...pori hojy tu bus subhanAllah mera Allah ko kis cheez ki kami hay gift lay kay thanks kahna chyii tu may kahta hoon I LOVE you meray pyary Allah tala buhat shukriya buhat thanks...thats all
                  ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
                  سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

                  Comment


                  • #10
                    Re: kese?

                    sab ka behad shukria:rose

                    Comment


                    • #11
                      Re: kese?

                      Mostly dil mein he shukar adaa ker leta hoon. Kuch sadka ker deta hoon
                      :thmbup:

                      Comment

                      Working...
                      X