Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

piyase parinde...!!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • piyase parinde...!!!!

    Aslamoalikum:hii:
    aj kitchen me khana bnate meri nazar bahir pari jahan aik parinda bechara piyas se behal apni choonch khole asmaan ko dekh raha tha...mujhe ehsas hua k aj kitni garmi he or ye piyasa he...me ne bahir ja kar aik mati k bare se bartan me pani dala or darakht ki chaon me rakh dia...kuch der me wahan dher sare parinde agaey or bartan k ird gird ghera dale pani pine lage....me chup chup kar khirki se dekhti rahi or mujhe itni khushu hui k ye nanhe mune bezuban parinde ab apni piyas bujha sakte hen..or khud par afos hua k itne din mujhe pehle kiun khiyal nahi aya.socha ap ko kahun k ap ager rakhte hen to bohat hi achi baat or ager nahi to ap bhi pani rakhen in parindo k leay...un ki piyas bujh jaey gi or apko khushi mil jaey gi


  • #2
    Re: piyase parinde...!!!!

    waalykum salam zabardast....me nay to poori aik tankiiiii rekhi hui ha asay parindo kay liay ......saath me roti kay chotay chotay tukray bhi rekh diaya jaain to fitt rahay ga .....wasay aik parinda asa bhi ha jiss say meri baat hoti ha or me uss say baat bhi ker sakta hun ....i love that ...wo parinda ha faakhta....me dono haath ko jor ker poonkh maar ker faakhta jasi awaaz nikaalta hun or kaafi saari faakhtaain ikhatti ker layta hun ..wo meri awaz kay jawaab me bolti bhi hian...mer her shaam ka ye mamool ha ..3..4 faakhtaain or gupshup

    Comment


    • #3
      Re: piyase parinde...!!!!

      mery ghar main atay rehtay hain parinday ..chirya zaida ati hain ..aik or parinda hai pata nahi kia naam hai us ka :lol: ..yeh dono zaida baki kabhi kabhi koi naya parinda shakal dekha jata hai :lol:
      darkhat hai ghar main us pay bethtay hian ...to daily ham danay daltay hian unhay or pani :ys:....pani billi a kay zaida pi jati hai :lol:

      wo bartan bhi saaf hona chaye jis main pani deytay hian ..saaf kartay rehian wo kharab ho jatay hain jaldi ..saaf pani saaf bartan : d
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #4
        Re: piyase parinde...!!!!

        W sallam.......

        Main nay matii kay 3 bartan chatt par rakkayy hoey hain,daily unn kaa paniii change kartaa hoo,aor sath main rotii kay chootay chottay tukrray karr kay yaa phir Daall waghaira b daal daitaa hooo......

        Sardion main kuch laa parwahi hoo jati hai iss mamllay main magar garmioun main iss hawallay say koi la parwahi nai hotiii
        "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

        Comment


        • #5
          Re: piyase parinde...!!!!

          و عليكم السلام

          Jazakillah Rita...

          buhut acha karti ho ap.....aik din jub u ko pani ki zaroorat hogi tu koi parinda akar u ko paani pila kar u ki naiki ka badla naiki se dey ga....:ys:

          waisey me har subha namaz parrhney k baad sehan mai jagah jagah podoon k neechey bartan's main paani or roti/daaney waghera rakhti hoon...den dopehar ko me khud bahir nai jati us waqt apni maid ko bhaij deti hoon...paani change karney or taaza taaza breads rakhney k liye....:ys:

          me ko bhi in'sha'Allah barri dua'in milein gii in ki....:ys:
          .......................!!!!!

          Comment


          • #6
            Re: piyase parinde...!!!!

            میرے پاس ایسا انتظام موجود ہے، ویسے اچھا پیغام پہنچایا ہے۔
            That's Enough...!!

            Comment


            • #7
              Re: piyase parinde...!!!!

              Originally posted by AbgeenA View Post
              Aslamoalikum:hii:
              aj kitchen me khana bnate meri nazar bahir pari jahan aik parinda bechara piyas se behal apni choonch khole asmaan ko dekh raha tha...mujhe ehsas hua k aj kitni garmi he or ye piyasa he...me ne bahir ja kar aik mati k bare se bartan me pani dala or darakht ki chaon me rakh dia...kuch der me wahan dher sare parinde agaey or bartan k ird gird ghera dale pani pine lage....me chup chup kar khirki se dekhti rahi or mujhe itni khushu hui k ye nanhe mune bezuban parinde ab apni piyas bujha sakte hen..or khud par afos hua k itne din mujhe pehle kiun khiyal nahi aya.socha ap ko kahun k ap ager rakhte hen to bohat hi achi baat or ager nahi to ap bhi pani rakhen in parindo k leay...un ki piyas bujh jaey gi or apko khushi mil jaey gi

              جزاک اللہ:rose۔
              دیر آئید مگر شکر ہے درست آئید:thmbup:۔
              جب میںنے پرندے پال رکھے تھے تو اُن کا خیال رکھنے کے ساتھ ساتھ باہر والی چڑیوں کے لئے بھی ایک "کونڈے "میں پانی رکھا ہوا تھا دانہ اندر والے پرندے اُڑ اُڑ کر خود ہی باہر بکھیر دیا کرتے تھے:hohe:۔
              شائد اُن کی آپس میں بھائی والی تھی372-haha۔
              :star1:

              Comment


              • #8
                Re: piyase parinde...!!!!

                ap sab bohat ache bache hen:thmbup:...thanxx...:rose

                Comment


                • #9
                  Re: piyase parinde...!!!!

                  Amazing aap sub loog baray chalaak ho aur aik mein hoon jis ke zehan mein kabi nahi aaya ke aisa kerna he. Mein bhi kul aik bertan rakhwata hoon pani wala. JazakAllah
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #10
                    Re: piyase parinde...!!!!

                    Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                    Amazing aap sub loog baray chalaak ho aur aik mein hoon jis ke zehan mein kabi nahi aaya ke aisa kerna he. Mein bhi kul aik bertan rakhwata hoon pani wala. JazakAllah
                    good:thmbup:

                    Comment


                    • #11
                      Re: piyase parinde...!!!!

                      Originally posted by AbgeenA View Post
                      good:thmbup:
                      mujay yaad aaya meri ammi aur meri sis subhu chiriyoon ko tukray daalti hein aur pani bhi dalti hoon gi. Ub me ko additional mehnat kerne ki zaroorat to nahi na
                      :thmbup:

                      Comment


                      • #12
                        Re: piyase parinde...!!!!

                        Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                        mujay yaad aaya meri ammi aur meri sis subhu chiriyoon ko tukray daalti hein aur pani bhi dalti hoon gi. Ub me ko additional mehnat kerne ki zaroorat to nahi na
                        nahi lekin kabhi kabhi ap khud apne hath se in parindo ki khidmat karen ge to zeada khushi mile gi apko:tasali:

                        Comment


                        • #13
                          Re: piyase parinde...!!!!

                          Originally posted by AbgeenA View Post
                          nahi lekin kabhi kabhi ap khud apne hath se in parindo ki khidmat karen ge to zeada khushi mile gi apko:tasali:
                          Mein to chehta hoon ke apne haath se karon per mere haath aatay he nahi
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #14
                            Re: piyase parinde...!!!!

                            Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                            Mein to chehta hoon ke apne haath se karon per mere haath aatay he nahi
                            un ko pakar pakar kar pani nahi pilana

                            Comment


                            • #15
                              Re: piyase parinde...!!!!

                              Originally posted by AbgeenA View Post
                              un ko pakar pakar kar pani nahi pilana
                              muj se QN wali awazein nahi nikaltein na
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X