Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Nostalgia

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Nostalgia

    salam,

    being nostalgic koi achi baat hai aap k khayal mey ya nahi? Mujhey aap logon ka opinion jann.na hai agar aap batana chahein or doosra ye k urdu adab sey kisi shayer, mussanif ka hawala aap deyna chahein gey?
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Nostalgia

    walsaam .... me khud nostalgic hojati hoon ....buri iss liye hoskti hai k yeh kefiattawaalat ekhtiaar kar k agr maazi parasti me badal jaye tou aap ruk jatay ho tarraqi ki raah masdood hojati hai.... shaaier adeeb logon k liye shyd takhleeq ki raah hamwaar krti hai...hawala koi iss wqt zehan me nae.
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

    Comment

    • #3
      Re: Nostalgia

      Nostalgia = regret ???

      Comment

      • #4
        Re: Nostalgia

        Wa allaikum salaam

        Sab sey pehley to aap is lafz Nostalgia ka mafhoom wa'zey karein.

        Nostalgia yunaani (greek) alfaaz nostos (returning home) and algos (pain) sey mil ker bana hai. Yeh aik kaifiyat hai jis mein kisi aisi shay ki talab, tarrap aur khawahish ho jo bichharr chuki ho, chhin chuki ho ya kahin rah gaii ho (beshak woh maazi ka koi waqeya ho, koi hadisa ho koi yaadein hon). Yeh pardes mein rehney walon ki woh kaifiyat bhi ho sakti hai jis mein apna mulk, apna ghar, apna muhalla, apney dost yaad aaein aur un sey milney ki khawahish ho.

        Aik aam sharah mein yeh maazi sey wabasta logon, waqeyaat aur halaat sey bhi mansoob kiya jata hai.

        Ab aap key sawaal ki taraf: it depends on person to person. Keh aap kis tarha us kaifiyat ko handle kartey hain jo aisey sooraton mein pesh aati hai. Aik baat jo ham sab mein hai keh ham sab kabhi na kabhi kisi na kisi muqaam per nostalgia mein mubtlaa hotey hain. Phir yeh aap key apney self per hai keh aap is ko kaisey control kartey hain. I personally don't mind going back in time and remember those good days, kuchh yaadein jo bohat haseen hain, unhein yaad karney mein aur kuchh ghantey un mein kho jaaney mein koi mazaiqa nahin - magar there should be a level of control on it.

        If I am not wrong - mera khiyaal hai keh Peeno - yani Parveen Shaakir sahiba ney is per kuchh likha hai, per kya, yeh nahin yaad. Kitabein chhaneni parrein gi :D
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #5
          Re: Nostalgia

          Originally posted by Masood View Post

          :thmbup:
          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

          Comment

          • #6
            Re: Nostalgia

            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

            Comment

            • #7
              Re: Nostalgia

              Walikum Salam...

              is baray mein kuch b kehna mushkil hy pata nay mjko yad nai parta k mein is situation mein kabi aye b k nai... jin lamhon ki mjko bhot khawaish hy wo abi tak mjhy mily nai han unko sochti zarur hn sumtym k aisa hota tu bhot khob hota... past sabko he achaa lagta hy but us mein kho jany ka dil kabi nai hoya
              میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

              Comment

              • #8
                Re: Nostalgia

                Originally posted by Z. View Post
                salam,

                being nostalgic koi achi baat hai aap k khayal mey ya nahi? Mujhey aap logon ka opinion jann.na hai agar aap batana chahein or doosra ye k urdu adab sey kisi shayer, mussanif ka hawala aap deyna chahein gey?
                Wasalam,

                A lot of great memories and time spent with my Late Dad and Cousin Friend :)
                :thmbup:

                Comment

                • #9
                  Re: Nostalgia

                  walekumsalam

                  pata nahi achi baat he ya nahi lekin me is ka shikar hoti hun...apne ami abou ki yaaden....kisi kisi din mere dil ki halat bohat ajeeb hoti he

                  Comment

                  Working...
                  X