Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aap k nakhrey?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • AbgeenA
    replied
    Re: Aap k nakhrey?

    Originally posted by *pIoUs FaIrY* View Post
    meray khayal mein apki har wo adat jo kisi ko giran guzray wo usk nazdeek apka nakhra ban jata hy han kuch log aise hoty hein jin ki fazul ki adten dekh k dil karta k banda aik lagae
    haan wakai fazool k nakhre wakai bure lagte hen...lekin kuch adaten hoti hen jin se kisi ka nuksan to nahi hota lekin log wese hi suna dete hen k bare nakhre hen...jese me bohat zeada khamoshi me sone ki adi hun...to is par aksar sun'na parta he...pani boiled na ho nahi peeti...sara din piyasi rahun gi lekin pani ubla hua hi piun gi..is par bhi nakhre ka ta'na sun'na par jata he...jab k pani ubal kar peena aik achi adat he....itne to germs hote hen pani me

    Leave a comment:


  • ASK Afridi
    replied
    Re: Aap k nakhrey?

    walikum salam wr wb
    jab main kabhi kissi ke sath kissi kaam se kahin jata nahi tou phir log mujhe kehte hain ke mere kitne nakhre hain halanke mujhe lagta hai ke mere koi nakhre nahi hai qk aisa na karne ki bhi koi waja hoti hai logon ke sath kissi kaam se kahin na jane ki majburi hoti hai..........kia main ne khala kuch ghalat kaha hai........ :shyy:

    Leave a comment:


  • S.Athar
    replied
    Re: Aap k nakhrey?

    Originally posted by AbgeenA View Post
    itna sa nakhra bas....mazeed sochen koi na koi ho ga:lol

    ایک ایسا نخرا بھی بتادوں جسے لوگ نخرا اور میں مجبوری کہتا ہوں وہ یہ کہ

    میں "پِن ڈراپ خاموشی اور انے وا اندھیرے "کے بغیر نہیں سو سکتا

    میرے سونے کے لئے ضروری ہےکہ روشنی اور آواز نہ ہو

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Aap k nakhrey?

    Originally posted by *pIoUs FaIrY* View Post
    meray khayal mein apki har wo adat jo kisi ko giran guzray wo usk nazdeek apka nakhra ban jata hy han kuch log aise hoty hein jin ki fazul ki adten dekh k dil karta k banda aik lagae
    Tumhari koi aisi aadat ya aadatein jisay dekh ke doosray loogon ka dil chahay ke tumhein aik ya do lagaein?

    Leave a comment:


  • crystal_thinking
    replied
    Re: Aap k nakhrey?

    meray khayal mein apki har wo adat jo kisi ko giran guzray wo usk nazdeek apka nakhra ban jata hy han kuch log aise hoty hein jin ki fazul ki adten dekh k dil karta k banda aik lagae

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Aap k nakhrey?

    Originally posted by saraah View Post
    chorro b ..tumein yaqeen nae aaye ga
    Saraah mujay yeh to batao mein ne tumhein pakra he kub tha :shyy:

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Aap k nakhrey?

    Originally posted by ambreen_shaam View Post
    aap kay shok bhi sirf khanay peenay kay peechhay hotay hain......aap kay khuwaab bhi mashallah nirallay hain.....:lol meray khayal se in khuwabon ko apni dil mein basa kay rakho agar yeh khuwaab aap kay pooray hogaye tu phir kuch aur khuwaab dekkhna sharu na kar do...... :lol
    Dil he choota sa
    Per aasha ub bari ho gai he :shyy:

    Tumharay senorita wale reply se bohat mayoos ho gaya hoon mein. Yaani mein ub tumhari taraf se khanay ki dawat ki na he samjoon

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Aap k nakhrey?

    Originally posted by ambreen_shaam View Post
    mein soch bhi nahi sakti kay aap ki bisti karon....... sub se ziyada agar mein respect karti hoon vo aap hazrat hain.....
    Yeh to mujay buchpan se he pata he

    Leave a comment:


  • AbgeenA
    replied
    Re: Aap k nakhrey?

    Originally posted by sarfraz_qamar View Post
    w sallam..............

    jab koi mjhay subah subah uthaieyy aorr kahayy chall yeh kamm karrrrnaa hai........
    to is me nakhra kahan he?:think:

    Leave a comment:


  • AbgeenA
    replied
    Re: Aap k nakhrey?

    Originally posted by ambreen_shaam View Post
    wese apas ki baat hai babo meri oper wali baaton ko sach na samjhna........... wese mazakan likhi thein................. :lol
    maloom he:lol

    Leave a comment:


  • saraah
    replied
    Re: Aap k nakhrey?

    Originally posted by munda_Sialkoty View Post
    Tumhara nakhra kia he yeh to tum batana he bhool gai :donno:
    chorro b ..tumein yaqeen nae aaye ga

    Leave a comment:


  • ambreen_shaam
    replied
    Re: Aap k nakhrey?

    Originally posted by munda_Sialkoty View Post
    Waise mein sooch raha hoon, saari larkiyoon ko bilkul bhoola bhaala seedhi saadi nai hona chahiye, tumharay tarah ki bhi koi item honi chahiye larkiyon mein, cheeti ho tum :ys:

    waise mujay bhi marriot, holliday inn aur serena hotel mein khana khanay ka bohat shook he itna ke mein bata he nai sakta, buchpan se aisi jaghoon mein khana khanay ke khawaab aa rahay hein
    aap kay shok bhi sirf khanay peenay kay peechhay hotay hain......aap kay khuwaab bhi mashallah nirallay hain.....:lol meray khayal se in khuwabon ko apni dil mein basa kay rakho agar yeh khuwaab aap kay pooray hogaye tu phir kuch aur khuwaab dekkhna sharu na kar do...... :lol

    Leave a comment:


  • ambreen_shaam
    replied
    Re: Aap k nakhrey?

    Originally posted by munda_Sialkoty View Post
    Soniye na kerya ker bistiyan
    mein soch bhi nahi sakti kay aap ki bisti karon....... sub se ziyada agar mein respect karti hoon vo aap hazrat hain.....

    Leave a comment:


  • ambreen_shaam
    replied
    Re: Aap k nakhrey?

    Originally posted by AbgeenA View Post
    ap k to bare bare nakhre hen:lol
    wese apas ki baat hai babo meri oper wali baaton ko sach na samjhna........... wese mazakan likhi thein................. :lol

    Leave a comment:


  • sarfraz_qamar
    replied
    Re: Aap k nakhrey?

    Originally posted by AbgeenA View Post
    Aslamaolikum:hii:

    topic shaed apko ajeeb sa lage..lekin aksar ham apne doston weghra se sunte hen k tumhare bare nakhre hen...to ap bataen k apko kin kin baton par su'na para k bare nakhre hen tumhare?ya ap had se zeada simple hen k kabhi kisi ne esa nahi kaha...
    w sallam..............

    jab koi mjhay subah subah uthaieyy aorr kahayy chall yeh kamm karrrrnaa hai........

    Leave a comment:

Working...
X