Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Brand Conscious

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Brand Conscious

    Aslamoalikum:hii:
    me ne kuch logon ko dekha bohat hi zeada brand conscious hote hen.ap kitne hen?or kin kin cheezon k bare me hen or kiun hen?

  • #2
    Re: Brand Conscious

    waalikum asslam

    nae me nae hoon
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

    Comment

    • #3
      Re: Brand Conscious

      W sallam...

      A lit bit hoo,,koi b thing ho,mayyar par no compromise......
      "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

      Comment

      • #4
        Re: Brand Conscious

        Originally posted by AbgeenA View Post
        Aslamoalikum:hii:
        me ne kuch logon ko dekha bohat hi zeada brand conscious hote hen.ap kitne hen?or kin kin cheezon k bare me hen or kiun hen?
        Woh cheezain jo frequently purchase ki jateen hain...masalna kaapray, jootay house hold goods...unn main tu itna brand concious nahi hoon....han electronic items jo banda saal ya 02 saal main aik adh martaba hi purchase kerta hai jisay computer / mobile wagira ...uss main brand concious hona parta hai...

        Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

        Comment

        • #5
          Re: Brand Conscious

          Originally posted by saraah View Post
          waalikum asslam

          nae me nae hoon
          achi baat he

          Comment

          • #6
            Re: Brand Conscious

            Originally posted by Muhammad Ali Jawad View Post
            Woh cheezain jo frequently purchase ki jateen hain...masalna kaapray, jootay house hold goods...unn main tu itna brand concious nahi hoon....han electronic items jo banda saal ya 02 saal main aik adh martaba hi purchase kerta hai jisay computer / mobile wagira ...uss main brand concious hona parta hai...
            haan in cheezon k leay to khiyal rakhna parta he....

            Comment

            • #7
              Re: Brand Conscious

              Originally posted by AbgeenA View Post
              Aslamoalikum:hii:
              me ne kuch logon ko dekha bohat hi zeada brand conscious hote hen.ap kitne hen?or kin kin cheezon k bare me hen or kiun hen?
              Wa Alaikum Aslam,

              Abi kul he mein is baat per ghoor ker raha tha ke mein kitna brand conscious hoon aur kitna nahi ya mujay kitna hona chahiye aur aaj thread laga dekh lia.

              Mere khyaal mein mein brands se ziada reliability against proposed cost dekhta hoon. Aur jo branded products aitmaad wali hein aur jin ki price reasonable he meri kooshish hoti he unhein khareedon. But I am really not mad after the branded products. Kul mein islamabad tha wahan pe aik optical shop pe sun glasses ki price pooch raha tha jo 70,000 se 150,000 ki range mein bata raha tha. Lehaza mein ne usay kaha ke aik ba'shaoor insaan ko yeh sun glasses nahi lene chahiyein. Isi tarah Dubai mein apne bhai ke saath mein shopping ker raha tha to wahan se aik wrist watch ki price poochi jo ke 450,000 Dhs. batai gai. Mujay aik business friend ko gift kerna tha meni ne Mont Blanc kay pen ki price poochi to mujay 4 lac batai gai. I preferred to gift him a Swiss Tissot watch having 3 years international warranty which was a proper gift and way cheaper than this pen. Pakistan ladies shawls jo Pakistan mein 2 se 3000 mein mil jati hein wohi shawl mein ne england mein 1150 Ponds ki dekhi. Isn't it non-sense to purchase such stuff?

              Mein apni zaat ke liye ziada expensive shopping kerne ke haq mein bhi hergiz nahi hoon. Lehaza mein most of the time local brands ki cheezein he khareed'ta hoon lekin achi quality wali. Haan albata yeh zaroor hay ke mein cheap quality wali cheez nahi khareed'ta chahay wo muft mein bhi milay.

              Garments mein bohat se loogon ko mein ne conscious dekha he, lekin wo brand he kia jis ka logo chupa dia jaye to aap ko brand aur local mein koi faraq he nazar na aaye. Loog aisay brands ke naam per paisa dete hein aur kuch achi products pe jo non-branded ho paisa nahi kharch kerte. Aisay loogon ka mein yeh he kahon ga ke unhein apni observation se ziada brands per confidence hota he. It's all sick.
              :thmbup:

              Comment

              • #8
                Re: Brand Conscious

                Jese Jawad ne ouper beyaan kia, electronic ke liye mein branded items per ziada paisay kharch ker sakta hoon. I would prefer japanese brand instead of chinese ;)
                :thmbup:

                Comment

                • #9
                  Re: Brand Conscious

                  Originally posted by munda_Sialkoty View Post

                  ji theek he:garmi:

                  Comment

                  • #10

                    ab japan me zalzala agya he ab kia karen ge ap?372-scare

                    Comment

                    • #11
                      Re: Brand Conscious

                      Originally posted by AbgeenA View Post
                      ji theek he:garmi:
                      Ainda mut poochna aisay sawal
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #12
                        Re: Brand Conscious

                        Originally posted by AbgeenA View Post
                        ab japan me zalzala agya he ab kia karen ge ap?372-scare
                        Japan mein zalzala aaya he us ki products mein nahi :lol
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #13
                          Re: Brand Conscious

                          Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                          Ainda mut poochna aisay sawal
                          ainda ese nahi wese sawal poochun gi.....

                          Comment

                          • #14
                            Re: Brand Conscious

                            Originally posted by AbgeenA View Post
                            ainda ese nahi wese sawal poochun gi.....
                            chalo tumhari merzi waise jawab perti ho ya andazay se he haan hoon ker deti ho :lol
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Re: Brand Conscious

                              Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                              chalo tumhari merzi waise jawab perti ho ya andazay se he haan hoon ker deti ho :lol
                              parhti hun...jab tak parhun nahi jawab nahi deti..chahe jitne din guzar jaen

                              Comment

                              Working...
                              X