Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Soch

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Soch

    Aslamoalikum:hii:
    karkhana-e-qudrat me sochna fikar karna bhi ebadat he.kis tarah ki baton par zeada fikar karte hen?kia ap apni sochon se tang bhi hote hen?kia sochna insan k apne bas me hota he?or ager koi soch dimagh ko octopus ki tarah jakar le to kese chutkara pate hen?

  • #2
    Re: Soch

    اسلام وعلیکم
    کیا سوال کر لیا ہے
    میری دکھتی رگ پر جیسے ہاتھ رکھ دیا ہو
    سوچ سے پیچھا چھڑانا ناممکن ہے اور ایسا میرے ساتھ اکثر ہوتا ہے خصوصاً رات کو سونے سے پہلے جو دماغ کی پھرکی گھومتی ہے تو رکنے کا نام ہی نہیں لیتی ایک سوچ شروع ہوتی ہے اور پھر جانے انجانے میں ایک سے دوسری ،دوسری سے تیسری بندھتی چلی جاتی ہے اور ایک فلم چلنے لگتی ہے ،صبح ہونے کو آجاتی ہے اور سوچ ختم ہونے کا نام نہیں لیتی اس کی وجہ سے سر میں درد رہنے لگتا ہے اور پھر جب صبح کام میں مصروف ہوجاوں تو پھر کہیں جا کر پیچھا چھٹتا ہے ۔
    کئی مرتبہ دماغ کو سمجھاتا ہوں کہ یار تیرے سوچنے نہ سوچنے سےکیا ہوگا جو ہونا ہے وہ ہو کر رہے گا ایزی فیل کر ۔۔۔۔۔پر کہاں جناب سوچ در سوچ لا متناہی سلسلہ چلتا ہی رہتا ہے۔
    Last edited by S.Athar; 12 April 2011, 17:11.
    :star1:

    Comment

    • #3
      Re: Soch

      W sallam............

      Soch aorr Ghorr o fikarr achii chezee hai,,,soch ho yaa koi aorr chezee sab
      hamarray bass main hotaa haii..jahan tak meraa tallak haii main sochnnay sayy ziada amall
      karnaa passand kartaa hoooo,,,,
      "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

      Comment

      • #4
        Re: Soch

        Originally posted by AbgeenA View Post
        Aslamoalikum:hii:
        karkhana-e-qudrat me sochna fikar karna bhi ebadat he.kis tarah ki baton par zeada fikar karte hen?kia ap apni sochon se tang bhi hote hen?kia sochna insan k apne bas me hota he?or ager koi soch dimagh ko octopus ki tarah jakar le to kese chutkara pate hen?
        w/salam,
        Karkhana-e-Qudrat maiN Fikr karna yaqinan Ebadat hai. aur sirf yeh ebadat nahe hai kay Allah'tala par he ghour o fikar kia jaiy, us khaliq ki kisi bhi takhleeq par jab aap ghour kartay haiN to bohot si bataiN aap par aashkar hoti haiN, aur aap k dil say bay'sakhta Subhan'Allah nikalta hai.
        maiN bohot si batoN par sochta hoon, aur bohot maza aata hai.
        tang kabhi nahe hota humaisha acha he hota hai ba'z auqat sochaiN aur tafak'kur say aisay jumlay mery zehen maiN aatay haiN k mujhay khud bhi bohot khushi hoti hai.
        sochna insaan kay apnay bas maiN hai, aaghaz to khud he karna paRta hai.
        mery sath abhi tak to aisa nahe howa kay kisi soch nay mery dimagh ko jakaR lia ho, humaisha khushi he milti hai mujhay.
        That's Enough...!!

        Comment

        • #5
          Re: Soch

          walaikum salam,

          Merey khayal mey pehley aik far jo hamein pata hona chahiye ya pata hai wo farq soch or waswasey k darmayan hai. Soch insaan ki apni takhleeq kerda hai , waswasey nahi, or waswasson sey bachney k liye ham sab ko ilm hai k kya recite kerna chahiye right.

          Now, being Alhumdulillah insaan :P we have good thoughts and bad thoughts ya postive thoughts and negative thoughts. Ab agar tumhein koi kahey k mey sirf positively sochta / sochti hun or kabhi koi negative thoughts nahi hian tau tumhara jawab yahi ho ga k Please aap ye dunya chaur ker Pluto per rehna shuru ker dein :-D

          ab hamein iss baat ka bhi ilm hona chahiye k insaan ka dimagh bohot complicated leykin bohot barhi blessing hai Alhumdulillah. Iss k sath aik massla ye hai k agar tum issey kaho gi k iss barey mey na hi sochna hai tau ussi cheez k baarey mey sochey ga misaal k taur per agar mey apney dimagh sey kahun Don't think of red big elephant .... tau ho ga ye k merey saamney aik red big elephant khara ho jaye ga :-D coz hamara dimagh images mey kaam kerta hia, mey issey jitna bhi kahun k please iss barey mey na socho tau utna hi dimagh ussi barey mey sochey ga ....

          tau issey hamein kisi or tareeqey sey deal kerna chahiye which works for me.... or kuch waqt pehley mey ney aik thread mey ye misaal share ki thi ... yahan ussi ko quote ker detey hein (:

          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          • #6
            Re: Soch

            Originally posted by S.A.Z View Post
            اسلام وعلیکم
            کیا سوال کر لیا ہے
            میری دکھتی رگ پر جیسے ہاتھ رکھ دیا ہو
            سوچ سے پیچھا چھڑانا ناممکن ہے اور ایسا میرے ساتھ اکثر ہوتا ہے خصوصاً رات کو سونے سے پہلے جو دماغ کی پھرکی گھومتی ہے تو رکنے کا نام ہی نہیں لیتی ایک سوچ شروع ہوتی ہے اور پھر جانے انجانے میں ایک سے دوسری ،دوسری سے تیسری بندھتی چلی جاتی ہے اور ایک فلم چلنے لگتی ہے ،صبح ہونے کو آجاتی ہے اور سوچ ختم ہونے کا نام نہیں لیتی اس کی وجہ سے سر میں درد رہنے لگتا ہے اور پھر جب صبح کام میں مصروف ہوجاوں تو پھر کہیں جا کر پیچھا چھٹتا ہے ۔
            کئی مرتبہ دماغ کو سمجھاتا ہوں کہ یار تیرے سوچنے نہ سوچنے سےکیا ہوگا جو ہونا ہے وہ ہو کر رہے گا ایزی فیل کر ۔۔۔۔۔پر کہاں جناب سوچ در سوچ لا متناہی سلسلہ چلتا ہی رہتا ہے۔
            aik kankar girne ki der hoti he....phir der tak leher par leher ati rehti he...esa hi hota he

            Comment

            • #7
              Re: Soch

              Originally posted by sarfraz_qamar View Post
              W sallam............

              Soch aorr Ghorr o fikarr achii chezee hai,,,soch ho yaa koi aorr chezee sab
              hamarray bass main hotaa haii..jahan tak meraa tallak haii main sochnnay sayy ziada amall
              karnaa passand kartaa hoooo,,,,
              direct amal to koi nahi karta...pehle soch ati he phir us ko amli jama pehnaya jata he

              Comment

              • #8
                Re: Soch

                Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                w/salam,
                Karkhana-e-Qudrat maiN Fikr karna yaqinan Ebadat hai. aur sirf yeh ebadat nahe hai kay Allah'tala par he ghour o fikar kia jaiy, us khaliq ki kisi bhi takhleeq par jab aap ghour kartay haiN to bohot si bataiN aap par aashkar hoti haiN, aur aap k dil say bay'sakhta Subhan'Allah nikalta hai.
                maiN bohot si batoN par sochta hoon, aur bohot maza aata hai.
                tang kabhi nahe hota humaisha acha he hota hai ba'z auqat sochaiN aur tafak'kur say aisay jumlay mery zehen maiN aatay haiN k mujhay khud bhi bohot khushi hoti hai.
                sochna insaan kay apnay bas maiN hai, aaghaz to khud he karna paRta hai.
                mery sath abhi tak to aisa nahe howa kay kisi soch nay mery dimagh ko jakaR lia ho, humaisha khushi he milti hai mujhay.
                :thmbup:

                Comment

                • #9
                  Re: Soch

                  Originally posted by Z. View Post
                  walaikum salam,

                  Merey khayal mey pehley aik far jo hamein pata hona chahiye ya pata hai wo farq soch or waswasey k darmayan hai. Soch insaan ki apni takhleeq kerda hai , waswasey nahi, or waswasson sey bachney k liye ham sab ko ilm hai k kya recite kerna chahiye right.

                  Now, being Alhumdulillah insaan :P we have good thoughts and bad thoughts ya postive thoughts and negative thoughts. Ab agar tumhein koi kahey k mey sirf positively sochta / sochti hun or kabhi koi negative thoughts nahi hian tau tumhara jawab yahi ho ga k Please aap ye dunya chaur ker Pluto per rehna shuru ker dein :-D

                  ab hamein iss baat ka bhi ilm hona chahiye k insaan ka dimagh bohot complicated leykin bohot barhi blessing hai Alhumdulillah. Iss k sath aik massla ye hai k agar tum issey kaho gi k iss barey mey na hi sochna hai tau ussi cheez k baarey mey sochey ga misaal k taur per agar mey apney dimagh sey kahun Don't think of red big elephant .... tau ho ga ye k merey saamney aik red big elephant khara ho jaye ga :-D coz hamara dimagh images mey kaam kerta hia, mey issey jitna bhi kahun k please iss barey mey na socho tau utna hi dimagh ussi barey mey sochey ga ....

                  tau issey hamein kisi or tareeqey sey deal kerna chahiye which works for me.... or kuch waqt pehley mey ney aik thread mey ye misaal share ki thi ... yahan ussi ko quote ker detey hein (:
                  misal bohat achi lagi:thmbup:
                  or u ki baki baten bhi bilkul theek hen..thanx 4 ur reply:rose

                  Comment

                  • #10
                    Re: Soch

                    waalikum asslam

                    khud ko masroof kar lo tumam ghair zaroori sochon se nijaat mil jaye gi......aazmayesh shart hai

                    n yes sochain muje tung krti hain but....sirf tab jab me free hoti hoon
                    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                    Comment

                    • #11
                      Re: Soch

                      Originally posted by saraah View Post
                      waalikum asslam

                      khud ko masroof kar lo tumam ghair zaroori sochon se nijaat mil jaye gi......aazmayesh shart hai

                      n yes sochain muje tung krti hain but....sirf tab jab me free hoti hoon
                      haan janti hun...or hoti bhi hun masroof

                      Comment

                      • #12
                        Re: Soch

                        Originally posted by AbgeenA View Post
                        Aslamoalikum:hii:
                        karkhana-e-qudrat me sochna fikar karna bhi ebadat he.kis tarah ki baton par zeada fikar karte hen?kia ap apni sochon se tang bhi hote hen?kia sochna insan k apne bas me hota he?or ager koi soch dimagh ko octopus ki tarah jakar le to kese chutkara pate hen?
                        Wa Alaikum Aslam,

                        Gud thread. Mein apne aur apne se related her cheez ka soochta hoon aur ghoor-o-fiker kerta hon. Mein apni soochon se tang aa jata hoon jub kabi depression mein hota hoon. Lekin mera khyaal he ke hum soochon ko kafi hud tak khud he apne aap per musalat kerte hein. Jahan tak soochon mein ulajne aur is se najat ka taaluq he to mein kahon ga ke hum chooti chooti useful brain exercises ke saath in se kafi hud tak nijat hasil ker saktay hein. Aisay mein koi interesting activity, apne kaam mein lag jana, ounchi awaz mein mazak kerna, thunday pani se naha lena, apni interest ka koi TV prog dekh lene se bhi hum soochon ko divert ker saktay hein. Ager aisi soochein aan shikaar ho to apne kisi doost ko call karein gupein maarein, thoori si shopping karein aur sub se berh ker Allah ki nematoon per ghoor karein aur Allah ka shuker adaa karein. Aap ko satisfaction ki kafi amount mil jaye gi
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #13
                          Re: Soch

                          Originally posted by munda_Sialkoty View Post

                          ji darust farmaya ap ne jo bhi farmaya:garmi:(wese sara parh lia he)

                          Comment

                          • #14
                            Re: Soch

                            Originally posted by AbgeenA View Post
                            ji darust farmaya ap ne jo bhi farmaya:garmi:(wese sara parh lia he)
                            hahaha chalo moaaf kia
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Re: Soch

                              Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                              hahaha chalo moaaf kia
                              shukria.....

                              Comment

                              Working...
                              X