Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kal aur Aaj...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kal aur Aaj...!!

    Assalamo Alaikum

    Dua he k sub khair'o'Afiyat se ho...khair'o'Afiyat se rahein...!!

    Pochna bus yeh tha...k ajj se koi 3'4 saal pehle u ne kuch socha ho ga...k u 2011 me is tarah hounge ya is position mein hounge...

    to kya ajj itne saalo'N baad u waqae ussi jaga pe hein...?....ya kuch tabdelian aagae he ?....agar changes aae he to kya app lae he ya khud se aae he .... khud se aaae he to kya app ne un changes se compromise kar lia..??

    qissa mukhtasar...app ka ajj ka waqt aur 4'5 saalo ka waqt kitna synchronize he apus me...!!


  • #2
    Re: Kal aur Aaj...!!

    walikumslam
    acha topic hai : d
    yep change aya ...or acha change aya .....or change ki waja yeh the kay khud pay yakeen...ummeed nahi chorni ....bas karna hai to karna hai dheet ban jaoo :lol: ...koi support karay na karay aap ko khud agay barhna hai peechay murr kay nahi deekhna , choti moti cheezoo main nahi parna baray baray kaam karnay hian lol

    to bus ub say acha acha suru hoo gaya pher :d
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #3
      Re: Kal aur Aaj...!!

      Walaikum Asssalaam

      Main naay 2011 kay liye nahin 2015 kay liye socha hay aur mehnat bhi jaari hay dekhye ALLAH SWT say dua'a hay har naik, jayiz khuwahishaat aur maqaasid ko poora farmayay :)

      Baaqi har badalta lamha insaan kay wajood main tabdeeliyan laata hay aur insaan apni personality ko khoob say khoobtar banany ki koshish karta rehta hay, maazi aik sabaq kay tour per zehan nasheen hona chayeh.... bas waqt ka kia hay guzarta hay aur apnay peechay yaadi-e-maazi chouR jaata hay!!!

      Khush rahyeh

      Fi amaan ALLAH
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Kal aur Aaj...!!

        bohat changes aey..ab ache the ya bure..Allah behter janta he....bas in changes ne tor phor dia....

        Comment


        • #5
          Re: Kal aur Aaj...!!

          "change" are of two types... negative or positive... so in my case.. I'll use another word by saying: "ofcourse I have improved a lot...!" (for sure positive)

          me pehle "I do care" waale mode per thi... phir "...and I should care, why???" waale mode per aai... or ab "who cares" ya "As If I care..." waale mode per ho....

          Comment


          • #6
            Re: Kal aur Aaj...!!

            Originally posted by MSA View Post
            Assalamo Alaikum

            Dua he k sub khair'o'Afiyat se ho...khair'o'Afiyat se rahein...!!

            Pochna bus yeh tha...k ajj se koi 3'4 saal pehle u ne kuch socha ho ga...k u 2011 me is tarah hounge ya is position mein hounge...

            to kya ajj itne saalo'N baad u waqae ussi jaga pe hein...?....ya kuch tabdelian aagae he ?....agar changes aae he to kya app lae he ya khud se aae he .... khud se aaae he to kya app ne un changes se compromise kar lia..??

            qissa mukhtasar...app ka ajj ka waqt aur 4'5 saalo ka waqt kitna synchronize he apus me...!!
            waalikum asslam
            i love change
            change outer hota ya inner
            dono changes aaye hain
            kuch khud bakhud aaye hain
            kuch lanay parray hain
            4/5 saal duur ki baat me 1 saal k baad ka b kuch nae keh skti kya hoga ya kya krna hai ....
            agar career wgera k hawalay se kaha jaye tou i never tried for it ....nor im doing.
            apni zaat me kuch tabdeeliyaan layi n im happy for that
            outer change apnay ikhtayar me nae hota itna ...so chalta hai
            up down hota rehta hai
            ab sood o zayan ka hisaab krna chorr diya hai
            (but tum muje follow na krna )
            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

            Comment

            Working...
            X