Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Khauf !

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Khauf !

    Salam,

    Case 1:
    Aik aeysey khauf k sath jeena k insaan kabhi bhi kisi bhi lamhey kuch kho dey ga - it could be anything .... Iss ka insaan ki rauz marra zindagi per kitna asr ho sakta hai?

    Case 2 :
    Aik din agar wo insaan waqai hi kuch kho dey - again it could be anything... - tau uss insaan ka "kuch kho deyney" ka khauf khatam ho jata hai / ho jana chahiye? ya mazeed extreme hadd tak barh sakta hai?
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Khauf !

    Originally posted by Z. View Post
    Salam,

    Case 1:
    Aik aeysey khauf k sath jeena k insaan kabhi bhi kisi bhi lamhey kuch kho dey ga - it could be anything .... Iss ka insaan ki rauz marra zindagi per kitna asr ho sakta hai?
    Walaikumsalam.

    Pehli baat, Insan ko Allah ke siwa kisi bhi chez se khof'zada nahi hona chahiye. balkah humari sooch yeh honi chahiye, keh agar hum kisi cheez ko khoo bhi dein gey tu wo aarzi ho gi kuynkeh yeh duniya hi aarzi hai. Aur agar hum khoo bhi detay hain kisi cheez ko tu wo humaray Haq mein behtar hota hai kuynkeh koi na koi behtar reason ho gi jiski Allah ne humein os cheez se alag ker dia hai.

    Doosri baat, agar hum darr ker rahain gey tu bohat zayada assar ho ga aur hum depression aur anxiety ka shikaar ho jatay hain aur rooz-mara key kaam sahi se anjaam nahi de patay. Hum mein aitmaad(confidence) ki kami aa jaye gi.

    Teesri baat, aur kisi cheez ko khonay ka assar bilkul nahi hona chahiye. kuynkeh yaad kerein Hum loog bachpan mein kitnay khush hotay hain??? humain koi fikar nahi hoti koi tension nahi hoti. Hum apnay behan bhayon se lartay jhagartay hain lekin thori dair baad bhool jatay hain. Aur khushi ka raaz bhi yahi hai keh ap aisi waisi chezon ko zayada deir tak yaad na kerein jo aapko disturb kerti hain. Kisi cheez ko khoonay ki bajaye kisi cheez ko panay per zayada tawajuh deni chahiye : ) .
    :$

    Originally posted by Z. View Post
    Case 2 :
    Aik din agar wo insaan waqai hi kuch kho dey - again it could be anything... - tau uss insaan ka "kuch kho deyney" ka khauf khatam ho jata hai / ho jana chahiye? ya mazeed extreme hadd tak barh sakta hai?
    Meray khayal mein yeh aap per mun'hasar hai keh aap kis tarah react kertay hain. Jab tak aap khud khof khatam nahi kerein gey nahi ho ga. Udaasi zaroor hoti hai, lekin waqat ke saath saath hum bhool jatay hain. Jab koi cheez hum se chhin jaati hai tu hum itnay Capable ho chukay hotay hain keh osko bardashat ker sakein, means Allah hum mein itni salahiyat paida ker detay hain keh hum bardashat kerein aur jis mein yeh salahiyat paida nahi hota wo Apna zehni tawazun khoo deta hai ya khatam ho jata hai.
    Himmat nahi haarni chahiye aur agar aap ka khouf zayada hota hai tu matlab we lack confidence which is not good.
    Humain yahi tu sikhaya jata hai keh koshish kerni chahiye aur nakami ke dar se Koshish nahi choorni chahiye.
    Agar hum kisi new cheez ko paa letay hain tu os se humain yeh sabaq seekhna chahiye keh insan kuch kho tu sakta hai lekin bohat kuch naya paa bhi sakta hai. : )

    I know batain kerna asaan hai lekin jheelna mushkil but phir bhi Allah ki rassi ko mazbooti se thaam ker rakhna chahiye.

    I hope it covers the both cases : )
    Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
    Sadly, common sense is not very common..!!

    Comment

    • #3
      Re: Khauf !

      wasalam... Ahsan bhai ne kaafi detailed reply kiya... me kuch practical points share karti ho.. hope it will help :$

      Case 1: Its a clear case of case of "Anxiety" (fear of what might happen)...

      yes Anxiety impade problem solving... so day to day life kaafi affect hoti hai... to get rid of it... try to make your slef Rational by challenging your beliefs... : )

      some Question you can ask to yourself:
      what is the evidance that the worst possible out come is a most likely outcome??
      am I god to have control over things?
      holding this fear of mine is halping me anywayz?

      Case 2: both the possibilities are there... but as human being we have outstanding qaulity to disturb our self.... so dont awfulize things... what is gone is gone... by just upseting yourself you are not going to have it.... Accept the reality and move on...
      in this case, if situation A happens i.e. us ka khauf khatam hojata hai... and that fearless feeling of him is helping him in cont with his day to day life.. we as a psychologist dont touch it...
      but in case B: again it become a case of Anxiety: that something bad had happend to me in past so chances are very high in future I'll face the same situation... so aise mein wahi karna hai jo case 1 mein kaha hai...

      thats all : )
      Last edited by ummid; 9 January 2011, 10:53.

      Comment

      • #4
        Re: Khauf !

        @ ummid

        Fear of losing. tu yeh Phobia bhi ho sakta hai :-D
        agar kisi ko aisa lagay tu ummid se online counselling karwa lein :$ aur mein sifarish kar doon ga fees nai deni paray gi lolss
        Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
        Sadly, common sense is not very common..!!

        Comment

        • #5
          Re: Khauf !

          Originally posted by GumShuda View Post
          @ ummid

          Fear of losing. tu yeh Phobia bhi ho sakta hai :-D
          phobias also comes under Anxiety disorders :$

          Originally posted by GumShuda View Post
          agar kisi ko aisa lagay tu ummid se online counselling karwa lein :$ aur mein sifarish kar doon ga fees nai deni paray gi lolss
          :lol...

          Comment

          • #6
            Re: Khauf !

            و عليكم السلام

            Lost n Ummid k baad me ko kuch kehney ki koi zaroorat tu nai rahii...par just itna k..قدر الله و ما شاء فعل...agar isi baat par bharosa rahey tu khouf kafii had tuk kum hi rehta hai..
            .......................!!!!!

            Comment

            • #7
              Re: Khauf !

              Originally posted by BhaTaktii RooH View Post
              و عليكم السلام

              Lost n Ummid k baad me ko kuch kehney ki koi zaroorat tu nai rahii...par just itna k..قدر الله و ما شاء فعل...agar isi baat par bharosa rahey tu khouf kafii had tuk kum hi rehta hai..
              mera bhi yehi khiyal he

              Comment

              • #8
                Re: Khauf !

                Originally posted by AbgeenA View Post
                mera bhi yehi khiyal he
                yeh tu koi baat na howi lols , yahan eik bachi bichari paraishan hai aur ap ne eik line mein hi baat khatam ker di.
                Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                Sadly, common sense is not very common..!!

                Comment

                • #9
                  Re: Khauf !

                  Originally posted by ummid View Post
                  phobias also comes under Anxiety disorders :$

                  :lol...

                  Acha , thanks for info :$

                  Your answer was more professional than mine. Simple and straight forward. Yahan per hi specialist person ka pata chalta hai.
                  : )
                  Last edited by GumShuda; 9 January 2011, 18:24.
                  Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                  Sadly, common sense is not very common..!!

                  Comment

                  • #10
                    Re: Khauf !

                    Originally posted by GumShuda View Post
                    yeh tu koi baat na howi lols , yahan eik bachi bichari paraishan hai aur ap ne eik line mein hi baat khatam ker di.
                    asal me itne mukamal jawabaat k baad mera bolna banta nahi na....wese kabhi me bhi bohat dra karti thi....achanak kuch ho jane ka dar..phir achanak mere abou ki death ho gai...bilkul achanak...to tab mujhe ehsas hua k jab kuch hona ho to ho jata he..darte rehne se kuch nahi hota...wohi hota he jo Allah ka hukam hota he....is leay dar dar kar nahi rehna chaey...bas Allah par sab kuch chor dena chaheay

                    Comment

                    • #11
                      Re: Khauf !

                      Walaikum Assalaam

                      Case 1:
                      Khauff kisi bhi kisam ka ho insaan ki zindagi per usskay asraat zaroor hotay hain, kuch musbat hotay hain kuch manfi hotay hain.... Musbat asraat uss cheese say uss ki LAGAN baRha daitay hain aur woh humesha uss cheese ko hal dilazeez rakhta hay kay jab tak meray saath hay yaa meray paas hay uss ka khayal rakha jayay. Manfi asraat ussay depress kar saktay hain aur har waqt kisi aham cheese kay khoonay ka gham uss ko andar hi andar bohat kamzoor aur hasaas bana daita hay!

                      Case 2:
                      Meray khayal say ussay khoo jaanay kay baad banda hasaas hojaata hay magar dil hi dil main mazboot ho jaata hay aur mazeed kuch khoona uss kay liye koi maainay nahin rakhta!

                      Fi amaan ALLAH

                      Originally posted by Z. View Post
                      Salam,

                      Case 1:
                      Aik aeysey khauf k sath jeena k insaan kabhi bhi kisi bhi lamhey kuch kho dey ga - it could be anything .... Iss ka insaan ki rauz marra zindagi per kitna asr ho sakta hai?

                      Case 2 :
                      Aik din agar wo insaan waqai hi kuch kho dey - again it could be anything... - tau uss insaan ka "kuch kho deyney" ka khauf khatam ho jata hai / ho jana chahiye? ya mazeed extreme hadd tak barh sakta hai?
                      sigpic

                      Comment

                      • #12

                        waalikum asslam
                        1-khuaf ka asar bohat bura hoskta hai rozzmarra zindgi pe
                        2-khatam hojana chahiye -hojata hai
                        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                        Comment

                        • #13
                          Re: Khauf !

                          Originally posted by Z. View Post
                          Salam,

                          Case 1:
                          Aik aeysey khauf k sath jeena k insaan kabhi bhi kisi bhi lamhey kuch kho dey ga - it could be anything .... Iss ka insaan ki rauz marra zindagi per kitna asr ho sakta hai?

                          Case 2 :
                          Aik din agar wo insaan waqai hi kuch kho dey - again it could be anything... - tau uss insaan ka "kuch kho deyney" ka khauf khatam ho jata hai / ho jana chahiye? ya mazeed extreme hadd tak barh sakta hai?
                          WAA,

                          Person to Person vary kerti hein yeh baatein. Kuch loog jinhein khoo dene ka dur hota he wo us cheez ko khoo dene ke baad be'dharak aur be'khoof ho jatay hein.

                          Aur kuch aisay loog bhi hotay hein jo is fobia mein mubtala ho jatay hein ke ager hum ne aik cheez khoo di to hum sub kuch khoo dein ge. Aisay loog mentally bohat week hotay hein. Yeh aisay loog hotay hein jo aik fard-e-wahid se bad experience honay per saari dunia ko aik he nazar se dekhnay lagtay hein. Main aisay loogon ko appreciate nahi kerta.

                          Aur haan muj se behtar mahirana raye yahan pe aik "Mahir'e'Nafsiyaat" de chuki hein un ko bhi ghoor se perh lena
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #14
                            Re: Khauf !

                            :$

                            Comment

                            Working...
                            X