Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Urdu Muhawrey Aur Andaz-e-Biyaan

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Urdu Muhawrey Aur Andaz-e-Biyaan

    Urdu zubaan bohat khoobsurat aur hasaas hai. Aisi zubaan jismein izhar-e-khiyaal key liye bohat sey murakbaat istimaal kiyey jatey hain. Un mein muhawrey bhi hain. Kuchh muhawrey bohat pyarey aur nafees hain aur kuchh ajeeb sey lagtey hain.

    Main kuchh muhawrey btaoun ga, hamein in per roshnee daalni ho gi keh yeh kab, kyun istimaal hotey hain.... To pehla muhawra hai:

    Magar'machh key aansu bahana

    Ab jis ney yeh muhawra shuru kiya tha, usney magar'machh key aansu kahan sey dekh liyey? :lol
    Last edited by Masood; 1 February 2006, 13:57.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Urdu Muhawrey Aur Andaz-e-Biyaan

    aik dafa aik admi darya ke kinare khara tha ke wahan achanak mager mach nikila or rone laga to admi ne poocha kiun rotey ho to mager mach bola ke kal se kuch nahi khaya darya ki sari machi fisherman le gaya to us admi ne us ko tissue paper dia ke lo mager mach ansoo punch lo:tasali:

    Comment

    • #3
      Re: Urdu Muhawrey Aur Andaz-e-Biyaan

      Shayed ous ne kabhi U ko rota dekh liya ho ga :p :khi:
      sigpic

      Comment

      • #4
        Re: Urdu Muhawrey Aur Andaz-e-Biyaan

        Originally posted by shy

        ahan to yehan sey magar'machh key aansu nikla hai aur khala phir yeh dassein keh:

        Darya mein rehna aur magar'mach sey bair....

        is per zara roshnee dalein :p. Kyun keh main to darya mein rehney key khilaaf hoon har taraf paani hi paani hota hai....
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #5
          Re: Urdu Muhawrey Aur Andaz-e-Biyaan

          Originally posted by Saima Shaheen
          Shayed ous ne kabhi U ko rota dekh liya ho ga :p :khi:
          Me ko rota huwa kab dekha hai? main koi chhota sa kaka hoon jo roey ga - me jawan now me don't cry
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: Urdu Muhawrey Aur Andaz-e-Biyaan

            Originally posted by Masood
            ahan to yehan sey magar'machh key aansu nikla hai aur khala phir yeh dassein keh:

            Darya mein rehna aur magar'mach sey bair....

            is per zara roshnee dalein :p. Kyun keh main to darya mein rehney key khilaaf hoon har taraf paani hi paani hota hai....
            aik admi roz swimming karne darya me jata tha wahan mager mach mil kar be sura sa gana gate the to us admi ko bura lagta tha us ne aik din daanta ke kahber daar ager gana gaya to ye sun kar mager machon ko bara ghusa aya ke swimming karni he to karo or us admi ki sab mager machon ne mil kar pitai ki:khi: tab se kehte hen ke darya me reh kar mager machon se bair nahi rakhte:blush:
            wese uncle aap aj kal lagta he mager machon par research kar rah hen:cc:

            Comment

            • #7
              Re: Urdu Muhawrey Aur Andaz-e-Biyaan

              Originally posted by shy
              aik admi roz swimming karne darya me jata tha wahan mager mach mil kar be sura sa gana gate the to us admi ko bura lagta tha us ne aik din daanta ke kahber daar ager gana gaya to ye sun kar mager machon ko bara ghusa aya ke swimming karni he to karo or us admi ki sab mager machon ne mil kar pitai ki:khi: tab se kehte hen ke darya me reh kar mager machon se bair nahi rakhte:blush:
              wese uncle aap aj kal lagta he mager machon par research kar rah hen:cc:
              to us aadmi ko kya zaroorat thi kisi key ghar mein jaa kar PAADEY KHAN baneney ki :a stick: - and that leads mein to next muhawra:::

              AAG LENEY AAI AUR GHAR KI MALKAN BAN GAEE

              hmmmm aisa kahan hota hai keh koi larki aag leney aaey aur ghar ki malkan ban jaey :lol
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #8
                Re: Urdu Muhawrey Aur Andaz-e-Biyaan

                Originally posted by Masood
                to us aadmi ko kya zaroorat thi kisi key ghar mein jaa kar PAADEY KHAN baneney ki :a stick: - and that leads mein to next muhawra:::

                AAG LENEY AAI AUR GHAR KI MALKAN BAN GAEE

                hmmmm aisa kahan hota hai keh koi larki aag leney aaey aur ghar ki malkan ban jaey :lol
                aik larki thi na wo paros me aag lene gaei to us ko un ka ghar bara pasand aya boli ye mujhe sale kar do:D to un logon ko bhi kahin or shift hona tha so unhon ne wo ghar us larki ko sale kar dia or fer wo larki us ghar ki malikan ban gaei:khi:

                Comment

                • #9
                  Re: Urdu Muhawrey Aur Andaz-e-Biyaan

                  Originally posted by shy
                  aik larki thi na wo paros me aag lene gaei to us ko un ka ghar bara pasand aya boli ye mujhe sale kar do:D to un logon ko bhi kahin or shift hona tha so unhon ne wo ghar us larki ko sale kar dia or fer wo larki us ghar ki malikan ban gaei:khi:
                  :khi: :D:

                  Comment

                  • #10

                    aik lerki??? yani Komal???

                    Komal aap ney ab yeh kaam shuru kar diye hain? Chalein ghar achha ho ga Komal ko pasand aaya aur Komal ney ley liya magar phir aisa kyun kehtey hain:

                    NAACH NA JANEY AANGAN THEHRRA :cc:

                    Naachna har koi nahin janta hai yeh manta hoon, magar aangan kasisey thehre ho sakta hai???? Roshniiii pao ji :p
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #11
                      Re: Urdu Muhawrey Aur Andaz-e-Biyaan

                      Originally posted by Masood
                      aik lerki??? yani Komal???

                      Komal aap ney ab yeh kaam shuru kar diye hain? Chalein ghar achha ho ga Komal ko pasand aaya aur Komal ney ley liya magar phir aisa kyun kehtey hain:

                      Naachna har koi nahin janta hai yeh manta hoon, magar aangan kasisey thehre ho sakta hai???? Roshniiii pao ji :p
                      Aray nahe Na ...
                      shy dosre wali aik lerki ki baat ker rahe hai
                      ma aisa thore na keron ge ky aag leny jao aur malkan ban jaon :D .mai ager jao ge bhe to ligher leny :wink
                      NAACH NA JANEY AANGAN THEHRRA :cc:

                      Umm aise k kabhe kabhe gher banaty hoay Engineers say koi galte ho jate hai map banaty mai to aangan terha bana deta ha wo..Actually usko neend a rahe hote ha to neend ma wo tehrra aangan bana deta ha ..phir jo mazdoor hoty hain na wo bhe ise waja sy terha angan bana dety hain taky thora unique sa lagay aur sab khush bhe ho jaty hai k kitna unique sa lag raha ha aangan..

                      Comment

                      • #12
                        Re: Urdu Muhawrey Aur Andaz-e-Biyaan

                        Originally posted by Masood
                        aik lerki??? yani Komal???

                        Komal aap ney ab yeh kaam shuru kar diye hain? Chalein ghar achha ho ga Komal ko pasand aaya aur Komal ney ley liya magar phir aisa kyun kehtey hain:

                        NAACH NA JANEY AANGAN THEHRRA :cc:

                        Naachna har koi nahin janta hai yeh manta hoon, magar aangan kasisey thehre ho sakta hai???? Roshniiii pao ji :p
                        ye wo aik larki nahi he :tauba ye wo larki he jis ka aap ne poocha tha.
                        or aangan terha kiun hota he ye to komal ne bata dia he na bas jab angan terha ho jata he to fer us me nachna khasa mushkil lagta he kiun ke break dance ke leay angan seedha hona chaey:khi: tab insan kehta he ke angan terha he or dekhne wale jal kar kehte hen ke dance ata nahi nam laga dia angan ka:zuban:

                        Comment

                        Working...
                        X