Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kya nau'jawaan azaad hogaye hain??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kya nau'jawaan azaad hogaye hain??

    السلام عليكم و رحمة الله

    Kuch teenagers or yeh jawaan tabqa ab yeh sochtey hain k future ki planning aik aisa amal hai jis main kisi ko dakhal deney ka koi haq nahiin hai..kyunki yeh un ki apni xindagii hai..Yahan tuk k akser nau'jawaan tu apney walid ya kisi barrey ki naseehat tuk nahiin suntey..balkey yeh kehtey hain k un k future k faisley leney ka haq sirf unhein hai..Parrhayi, Job, Life partener waghera k maamley main tu koi behas passand hi nai kartey..

    Isi mutaliq kuch sawaal jo merey zehan main hain..unhein yahan discuss kartey hain..

    Kya ab bhi waalid ka apni aulaad ki xindagii main wohi role hai jo pehley tha??? Kis had tuk nau'jawaan apney faisloon main azaad hain??? Or kya yeh ab walid ki hakoomat sey nikal chukey hain??? Kon zimmedaar hai aj faisley leney ka??? Or kya nau'jawan bina walidain se mashwara kiye koi faisla kar saktey hain??? Kya aj kul k nau'jawanoon ki yeh koshish hoti hai k wo walid se mashwara kiye baghair apney khwaboon ko such kar dikhayein??? Kya walidain k liye yeh zaroori hai k wo aulaad k har zaroori or eham faisley jaisey studies Job shaadii waghera main dakhal dein???
    .......................!!!!!

  • #2
    Re: Kya nau'jawaan azaad hogaye hain??

    I take my own decisions... me ko parents ne yahi sikhaya hai ke apne faisle khud karo or us ke consequence ke liye bhi ready raho... no doubt woh guide karte hain per final decision me ka khud ka hi hota hai.... :wink

    baaki sub ka kya system hai yeh nahi pata... per I think apne zindagi ke faisle khud karne mein koi harj nahi... per mashwareh mein khair hai... so mashwarah le lena chahiye... :-)....

    baaki you ke saare sawalo'n ke jawab me ko nahi aate

    Comment


    • #3
      Re: Kya nau'jawaan azaad hogaye hain??

      Originally posted by Raniya View Post
      السلام عليكم و رحمة الله

      Kuch teenagers or yeh jawaan tabqa ab yeh sochtey hain k future ki planning aik aisa amal hai jis main kisi ko dakhal deney ka koi haq nahiin hai..kyunki yeh un ki apni xindagii hai..Yahan tuk k akser nau'jawaan tu apney walid ya kisi barrey ki naseehat tuk nahiin suntey..balkey yeh kehtey hain k un k future k faisley leney ka haq sirf unhein hai..Parrhayi, Job, Life partener waghera k maamley main tu koi behas passand hi nai kartey..

      Isi mutaliq kuch sawaal jo merey zehan main hain..unhein yahan discuss kartey hain..

      Kya ab bhi waalid ka apni aulaad ki xindagii main wohi role hai jo pehley tha??? Kis had tuk nau'jawaan apney faisloon main azaad hain??? Or kya yeh ab walid ki hakoomat sey nikal chukey hain??? Kon zimmedaar hai aj faisley leney ka??? Or kya nau'jawan bina walidain se mashwara kiye koi faisla kar saktey hain??? Kya aj kul k nau'jawanoon ki yeh koshish hoti hai k wo walid se mashwara kiye baghair apney khwaboon ko such kar dikhayein??? Kya walidain k liye yeh zaroori hai k wo aulaad k har zaroori or eham faisley jaisey studies Job shaadii waghera main dakhal dein???
      W sallammm,,,,,,,,
      Main Kafii Hadd Takk apnnay faissllayy karrnnay kayy mamllay main aazzadd hoo But Mujhay achhaa nahii lagtaa kehh main apnnay Parents kay Mashwaraa kayy Baghairr koi step uthaoooo...Kiounkehh agarr merayy uthaieyy hoeyy step kay Nateejaa main Koi Prb paidaa bhii hoottayy hainnn (aor aissa kai marttabaa howaa hai) too my parents my brother in short my all family merii back parr hootii haiii....so i think ham jitnnay bhii aazzad hoo jaienn Hamain Parents kay mashwaraa yaa Ijazzatt kay baghairrr kuch nahii karnaa chahieyy......
      "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

      Comment


      • #4
        Re: Kya nau'jawaan azaad hogaye hain??

        ap donoo ka behad shukriya..

        me tafseeli reply insha'Allah waqt milney par karoon gii...:)
        .......................!!!!!

        Comment


        • #5
          Re: Kya nau'jawaan azaad hogaye hain??

          walaikum salam,

          achey sawalaat hain, mera khayal hai naujawan nasal kha makha badnaam hai. Jaisey aik tag lag jata hai k naujawan nasl nafarman hoti hai, azad khayal, baat nahi sunti etc etc ... bohot saarey beybunyaad labels :-D ... Mey ye nahi keh rahi hun k naujawan farishta hain lekin merey khayal mey kafi na insafiyan bhi ho jati hain ...

          baqi tumharey reply ka intezaar hai ... :-D
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          Working...
          X