Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
How to Teach Children?
Collapse
X
-
Re: How to Teach Children?
Originally posted by u_r View PostAslam O Alaikum Saraah
6-7 hours aik din mein aap parhain gi to lagta he ke woh bachuhn ka aik hi group sara din aap ke sath rahe ga.ager aisa he to aap ko din chote chote units mein taqseem karna ho ga.ager subjects de dein to zyada behter tareeqe se suggestion di ja sakti hein.
phir bi itne ghante ratta lagana, books se copy karna, ya phir yaad ker ke test dene se behad boriyat hoti he.aap jo bhi subject seekhati hien uss mein fun activities shaamil karhein.jesse board games, hangman(spellings aur nai vocabulary ke liye behtreen, urdu aur english dono mien khel sakti hein). worksheets aap khud bana sakti hein ya phir aap internet per search ker ke print ker sakti hein(pehle yeh batain ke school mein bachun ke liye free photocopies ya printout ker sakti hein ya nahi,ager nahi to phir itni zyda sheets aap kahab se copy karehn gi).
agger maths parhati hein to rawaiti tareeqe ke ilawa dusreh tareequhn se bhi seekhain(khaas tor per timetables, keh yeh intahai important bunyaad he) ke her bache ka apna unique learning style hota he agger aik tareeqa unheihn mushqil lata he to dusra shaed un ke liye aasan ho.
iss ke ilawa bachuhn ki tawajo barqarar rakhne ke liye reward zroor rakhen.iss ka matlab yeh nahi ke aap apni jeb se qeemte prizes khareeedein. aap stickers aur badges bhi use ker sakti hein.aik adad sweet bhi bachun ke liye khushi ka sabab hoti he. agger bachuhn ke saath mil ker rewards tayaar kiye jaain(design and colouring/painting) to uss se bache aur zyada relate ker sakehn ge ke unhuhn ne uss per khud mehnat ki thi.kissi khaas subject mein yaa phir din bhar mein effort ya achievement per aap kissi bache ko de sakti hein.phir wohi badge next time doosre bache ko de dein.
Ab taak aap ne teaching shuru ker di ho gi-kesa maza aa raha he?????????
waalikum asslam
sab se pehlay bohat shukria in useful points k liye :)
me ne points note kar liye hain,reward dene k haqq me me khud hoon aur bohat zor deti hoon iss bat pe....
work sheets k liye fotocopy ki sahoolat mojood nahi...net pe sites dekhi hain kuch bachon ki...khud hi tayar karna hongi muje work sheets
actually abi confirmed nae tha k me konsi class k bachon ko parrhati hoon ,so pehlay play group sy le kar 7th STD tak ginay chunay bachay thay...ab me play group ko nae parha rahi...may b standerd 1 to std 4 ..or 5th,6th,7th,8th hon mere pas....
muje zayda zaroorat 6th to 8th std k bachon k liye guidence kihai....me parrhati tou rahi hoon magar college stdnts ko..bachon ko parrhanay ka pehla exp hai..
so muje iss hawalay se ho sakay tou mazeed tips chahiyen....
aurrr...ji han parrhana shuru kar diya hai....lakin abi khud se satisfied nae hoon...agarchay principle positive response hi de rahi hain
thank again
be blessedLast edited by saraah; 16 April 2010, 16:21.شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا
Comment
-
Re: How to Teach Children?
Originally posted by mishgaan View Postpehle din to main ja ker just hehehe kerti rehi the mager us k baad main aschi ustaani ben gai the is ki wja aye the k humain jo teaching course kerwaya gaya tha 2 weeks ka bohatttttttttttttttttttttttttttttttt zaberdast tha sarah u lhr main rehti ho ager u ne teaching kerni hain aur phonics methods k through teach kerna hain so main is main kafi help ker sakti hon ager u ko chaye ho g to werna ..... theakh hain theakh hain huh.:) itne chote kids ko handle kerna bohat seb sy mushkil kam hota hain . mager ker lo to aram sy seb kuch set ho jata ahain bachon ko poem sounao colours yeh seb por ek method hain is k liya ap ko flash cards pics aur bohattttttt si cheezain baanani pare g ager tum chao to sample main dekha don g kayse kayse jis sy kids attract hote hain thanks
but im going to teach senior stdnts :)شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا
Comment
Comment