Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

parents or bachoun ki alug alug souch

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • parents or bachoun ki alug alug souch

    Assalamalikum
    aaj ka topic ..parnets or bachaoun ki alug alug soouch

    aaj kal ka zamana kafi fast hai ..tarraqqi ka zamana keh saktay hian ..is main bachay zindagi ki dorr main agay barhna chahtay hian ..or parents ka yeh hota hai kay wo bachoun ko humesha buhat si cheezoun say rook deytay hain jo kay un kay leye zarori hoti hian ...or wo tarraqi ki door main peechay bhi reh jatay hian or loog agay nikal jatay hian ...is taraha parents or bachoun kay beech aik gap bhi a jata hai ...

    is taraha kay masaiyl har gharay main chaltay rehtay hian ...
    bachoun ko parents ki baat maan leeni chaye ?
    parents ko bachoun ki baat maan leeni chaye ?
    koi tesa rasta kay donoo maan jaian ..or kesay ?

    bachon or parents main yeh suchoo ka gap kis taraha kam kia ja sakta hai ?
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: parents or bachoun ki alug alug souch

    Lagta he tum ne kooshish to ki apni baat samjanay ki per tum puri tarah se baat ko samja nahi pai ke tum kis sense mein baat ker rahi ho. Masla kahan he, choonke mujay is ki bilkul sahi sahi samaj nahi aa pai to mein yahan pe yahi kahoon ga, "nice sharing"
    :thmbup:

    Comment

    • #3
      Re: parents or bachoun ki alug alug souch

      Originally posted by munda_Sialkoty View Post

      yeh aik common issue hai ..kay gap b/w parents & children ....
      children ka matlab sirf chotay bachay nahi baray bachay bhi :lol:
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment

      • #4
        Re: parents or bachoun ki alug alug souch

        Originally posted by Aanchal View Post
        yeh aik common issue hai ..kay gap b/w parents & children ....
        children ka matlab sirf chotay bachay nahi baray bachay bhi :lol:
        Baat he saari parents ki guidance ki aur buchoon aur parents ki mutual understanding ki. Ager in areas mein kuch kami ho gi to problem arise hon gi. Tum jub tak koi technical question nahi karo gi me achay wala jawaab kese doon ga
        :thmbup:

        Comment

        • #5
          Re: parents or bachoun ki alug alug souch

          Muhy aap ki teesri line samajh nai i
          ji bachon ko walden ki baat samajhni chahiye Or Ye walden pr hy k kis terhan ya kis tareeQay se apny bachon ko sahi galat samjha sakty hain

          Comment

          • #6
            Re: parents or bachoun ki alug alug souch

            Originally posted by Umeed E Sehar View Post
            Muhy aap ki teesri line samajh nai i
            ji bachon ko walden ki baat samajhni chahiye Or Ye walden pr hy k kis terhan ya kis tareeQay se apny bachon ko sahi galat samjha sakty hain

            Aray in ki baatein bohat gehri hoti hein, aasani se thoori samaj aati hein

            Aap ka avatar Ishwa ke avatar se kitna milta julta he
            :thmbup:

            Comment

            • #7
              Re: parents or bachoun ki alug alug souch

              Walekum Salam:hii:
              parents kabhi bachon ka bura to chah nahi sakte is leay ham ye to nahi keh sakte k parents ghalat rokte tokte hen.soch me fark to hota he,har insan ki apni soch hoti he,bache khas tor par bare ho jaen to khud ko zeada aqalmand samjhne lagte hen.lekin mere khiyal me dono taraf se hi kuch kotahi hoti he jo baat kharab hoti he,parents ko bare pan ka muzhira karna chaey or bachon ko sochna chaey k parenrs ne sari umar tajurba hasil kia he to wo ghalat nahi keh rahe hon ge

              Comment

              • #8
                Re: parents or bachoun ki alug alug souch

                Originally posted by Aanchal View Post
                Assalamalikum
                aaj ka topic ..parnets or bachaoun ki alug alug soouch

                is taraha kay masaiyl har gharay main chaltay rehtay hian ...
                bachoun ko parents ki baat maan leeni chaye ?
                parents ko bachoun ki baat maan leeni chaye ?
                koi tesa rasta kay donoo maan jaian ..or kesay ?

                bachon or parents main yeh suchoo ka gap kis taraha kam kia ja sakta hai ?
                Wa allaikum salaam

                Waldein aur bachey - mukhtalif shakhsiyaat key maalik hotey hain. Jo waldein bachon key ooper apni sochein, apney khiyalaat thonstey hain, woh kabhi achhey waldein sabit nahin hotey. Is amal sey bachon ki nash-o-numa mein harj mumkin hai. Bachon ko phalney phoolney ka moqa dena chahiyey (jismani taur per nahin :lol). Behtar nash-o-numa key liyey zaroori hai keh waldein aik role model banein aur bachey ussey follow karney ki khawahish karein.

                Zaroori nahin keh aik julahey ka bacha julaha hi baney. Usko duniya explore karney ka, sochon ki haddon ko explore karney ka haq hona chahiyey - waldein ki tarbiyat yeh honi chahiyey keh woh bachon ko shuru hi sey achhey aur burey ki tameez karaein keh what's good and what's bad - then choose your line. Jab bacha apni line choose kar ley to waldein ko uska bharpoor saath dena chahiyey.

                Agar koi waldein yeh samajhtey hain keh Internet use karney sey bachey bigarr jaein gey, woh ahmaq hain. Balkeh agar waldein yeh btaein keh dekho bacha Internet aik maloomat ka zakheera hai, achhi achhi batein akhaz kartey jao aur buri buri batein nikaal do to yeh aik bohat barri nemat hai. Har shay ka istimaal ussey achha aur bura bnati hai.

                Isi tarha mobile hai, ya doosri koi bhi eejad.
                مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                Comment

                • #9
                  Re: parents or bachoun ki alug alug souch

                  Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                  Tum jub tak koi technical question nahi karo gi me achay wala jawaab kese doon ga
                  mut daian :thmbup:
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment

                  • #10
                    Re: parents or bachoun ki alug alug souch

                    Originally posted by Umeed E Sehar View Post
                    Muhy aap ki teesri line samajh nai i
                    yani aap is gap ko kesay kam ya khutem kar saktay hian ...
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment

                    • #11
                      Re: parents or bachoun ki alug alug souch

                      Originally posted by Aanchal View Post
                      mut daian :thmbup:
                      nai mein doon ga :shyy:
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #12
                        Re: parents or bachoun ki alug alug souch

                        waqt ki wajha say
                        ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                        Comment

                        • #13
                          Re: parents or bachoun ki alug alug souch

                          Originally posted by D@y W@lk3r View Post
                          waqt ki wajha say
                          Waah doctor, tumharay comments to kitnay jaandaar, powerful aur philosophical hotay hein, yaar tum itni gehri baatein sooch kese lete ho. Itna lamba lamba likh ker tum thak jatay ho to phir koon si company ke pankhay ke neechay beth ke aaram kerte ho :think:
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #14
                            Re: parents or bachoun ki alug alug souch

                            waise aanchal mein tumhein kia "mut" (akal) de sakta hoon, tum to khud he bari seyaani aur doctor ki naani ho :lol
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Re: parents or bachoun ki alug alug souch

                              Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                              Waah doctor, tumharay comments to kitnay jaandaar, powerful aur philosophical hotay hein, yaar tum itni gehri baatein sooch kese lete ho. Itna lamba lamba likh ker tum thak jatay ho to phir koon si company ke pankhay ke neechay beth ke aaram kerte ho :think:
                              oh munday baaz aaja................time is money...lol itna time hi nahi short main baat karnay ki adaat hain...................aur jo yah to mujhay batoon hi batoon main suna gay ahian.................
                              ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                              Comment

                              Working...
                              X