Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*Taqwa~*

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*Taqwa~*


  • #2
    Re: ~*Taqwa~*

    خاد دار جھاڑیوں سے ایسے بچ کے نکل جانا کہ آپ کے کپڑے بھی نہ پھٹیں اور آپ گزر بھی جائیں اس کو تقویٰ کہتے ہیں۔۔
    اور باقی زاتی رائے اپنی کوئی نہیں بتائے گا

    Comment


    • #3
      Re: ~*Taqwa~*

      Originally posted by Khalil View Post
      خاد دار جھاڑیوں سے ایسے بچ کے نکل جانا کہ آپ کے کپڑے بھی نہ پھٹیں اور آپ گزر بھی جائیں اس کو تقویٰ کہتے ہیں۔۔
      اور باقی زاتی رائے اپنی کوئی نہیں بتائے گا
      :lol
      :thmbup:

      Comment


      • #4
        Re: ~*Taqwa~*

        wasalam

        me ne kahein parha tha: Taqwa yeh hai ke jub tum apne dil ka sara samaan ek tokri mein rakho or usey sar-e-bazar le ker niklo tu us mein ek bhi cheez aisi na ho jisey zaahir karte hoye tumhe sharam aaye :$

        or rahi baat apni zaat ki tu abhi tumhare sawal per ek "food for thought" mila hai... ghor karti ho... correction karti ho... or phir kabhi reply karongi :wink...

        Comment


        • #5
          Re: ~*Taqwa~*

          Walaikum assalaam

          TAQWA imaan ki mazbooti hay, har cheese main har waqt ALLAH SWT per tawakkul aur har haal main apnay IMAAN ko mazboot rakhnay ka naam TAQWA hay aur yehi TAQWA hay jiss ki bina per humain parkha jayay ga aur ALLAH SWT ki nazar main wohi sab say aala muqaam per faayiz hay jo sab say ziyada MUTAQQI (TAQWA karnay waala) aur parhaizgaar hay!!!

          Main aik bohat hi gunhagaar banda hoon aur koshsih karta rehta hoon kay apnay IMAAN ko mazboot rakhoon, bas aap bhi dua karain kay ALLAH SWT mujhay aisi toufeeq ata farmayay aur mujhay itna MUTAQQI bana day kay shaitaan ka koi waaar bhi meray mazboot qadam ko girift ko kamzoor na karsakay.

          May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

          Fi amaan ALLAH
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: ~*Taqwa~*

            Taqwa k lafzi muani hain 'mehfooz' kerna. Jab hum kehtay hain..k taqwa ikhtiar karo..tu uss k muani yeh hain k hum un buraiyoon say apnay aap ku mahfooz ker lain jin say Allah nay mana farmaya hai. Aur apnay aap zindagi ku Allah aur uss ke Rasool (s.w) k Ahkam k mutabiq dhaal lain ya maximum uss ki koushish karaiin..yahee taqwa hai.

            Iss ka andaza tu insaan khud laga sakta hai..k woh kitna tqawa ikhtiar kernay wala hai..aur Allah say derany wala hai.


            Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

            Comment

            Working...
            X