Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aap ka room

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: aap ka room

    Originally posted by safia View Post
    vo picture me kay passs pehlay se hey.... meinay aap ki picture dekh li hey jis mein aap apnay kaan pakar kar rakhein hein... :lol
    han g wo kehta hay rishwat do to phr toba toba kee

    Comment


    • #47
      Re: aap ka room

      Originally posted by Khalil View Post
      han g wo kehta hay rishwat do to phr toba toba kee
      aap nay toba toab ki.... phir uss ney aap ko jail mein daal diya..... aap chakki chlatey rahy....... aur toba toba bhi kartey rahey.... ab aap teesri dewaar dikha dein.....
      Attached Files
      sigpic

      Comment


      • #48
        Re: aap ka room

        Originally posted by munda_sialkoty View Post
        Is process ke baad kafi changed he, changed in sense ke pehlay se ziada equipped he. baad mein TV lia, mini sofa sets khareeday, decoration ke liye stuff khareeda, 3 therapy machines bhi pari hui hein, to ub yeh pehlay se ziada loaded he :think:

        Ub ager dressing pic show karon to pehlay se double samaan ho gaya he. Actually hair/skin care products table per pari achi lagti hein. Especially haircare /skin products aur perfumes/deodorant mein bohat khared'ta hoon to akser aik do baar use ker ke uktaa jata hoon aur new try kerta hoon aur wo pari ki pari reh jati hein :garmi:
        ahaan theek....lekin mujhe lag raha he ap k room ka koi makhsoos rang nahi he yani koi color theme?

        Comment


        • #49
          Re: aap ka room

          furniture color ye raha or sath me rust carpet...sab sada..pardey bhi sada...prints pasand nahi mujhe
          Attached Files

          Comment


          • #50
            Re: aap ka room

            mere room ka aik gosha jahan me apna kaam karti hun fursat me
            Attached Files

            Comment


            • #51
              Re: aap ka room

              or apne room me sab se fav jagah jahan me kuch karne ka mood na ho to ye view dekhti rehti hunmere room ki window...bilkul samne park he...sardiyon me iska manzar kuch or tha udas sa..abhi to bilkul hi badal gya he..bahar aei to rut badal gai
              Attached Files

              Comment


              • #52
                Re: aap ka room

                mujy pringle buht pasand hayn

                Comment


                • #53
                  Re: aap ka room

                  Originally posted by Khalil View Post
                  mujy pringle buht pasand hayn
                  wo to ab khali daba he..me ne brushes rakhe huey hen:shyy:

                  Comment


                  • #54
                    Re: aap ka room

                    Originally posted by MSA View Post
                    Walaikum Assalam

                    App logo k room to kafi organised he....:lol...
                    per me ka to kafi bikhra hoa rehta he......jub exams hote he to har jaga paper urr rahe hote he kitabe jaha jaga mil jae so jati he:kr:...
                    bus me ne PC ko aese set kia hoa he k sirf aik angle se dosro ko nazar aae:kr:...to phir me hosheyar rehta ho k agr koi us angle pe he to me browsing karte hoe muhtat raho:kr:....
                    wese me k sath nani bhi hoti he to aam tor pe yeh guest room hi bana rahta he...
                    aur koi cheez bhi saaf suthri nahi he...2009 ka calender bhi abhi tuk laga hua he....:kr:...aur kamre me itni jaga he k 10'12 log araam se so sakte he...wese me ko khali kamre achae lagte he....

                    Abb bataein meri kia shaksiat parakhi u logo ne :kr:
                    Waah bablu, tum to loomri ki tarah chalaak ho :lol
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #55
                      Re: aap ka room

                      و عليكم السلام و رحمة الله

                      Originally posted by Z. View Post
                      Sufaid deewarein, sufaid khirki, sufaid pardey, sufaid almari, sufaid pc
                      xenii kahiin hum donoo aik hi kamrey main tu nai rehtey...:think:

                      well mera kamra bhi bilkul safaid hai...walls, carpet, curtains, furniture, frames, saarey bed sheets bhi blankets comforters sub kuch safaid..in k designs badal saktey hain but colour nai...waisey me ka wardrobe bhi kholo tu us main mushkil sey white colour k alawa koi or colour k kaprrey nazar ayein gey...phool waghera bhi white hi hain..or couch bhi...jo k ab hatta diya hai us ki jagah ab majlis bichayii hai wo bhi white...or aik phone jo black colour ka hai...
                      n jo me k kamrey ko dosroon sey distinguish karta hai wo hai bed par pillows ki ta'adaad..or baqii gals ki tarah (n lala g ki tarah bhi) me k dressing table par koi cream lotions waghera kuch nai hota...haan us par ap ko meri files or notepad waghera hi parrey milein gey...
                      n bed par pillows k alawa (agar jagah bachey tu) books parri hotii hain..or haan eshaa ki namaz k baad se ley kar onwards merey soney k time tak neechey poorey area main newspapers parrey hotey hain...
                      or haan ab me ko white pc k bajye black gift mila hai jo white table par parra hai tu door sey dekho tu aisa lagta hai jaisey...hawa main parra hai..:lol
                      n kamrey main jitney table hain sub par aik aik pepsii ki can zaroor parri hoti hai....or aik side table par mobiles..

                      me k study table ki taraf me khud bhi gund ki wajah se daikh nai saktii...so us ka pata nai kya colour hai...:shyy:
                      Last edited by BhaTaktii RooH; 21 March 2010, 19:56.
                      .......................!!!!!

                      Comment


                      • #56
                        Re: aap ka room

                        Originally posted by Khalil View Post
                        nahi wohan per meri picx hian
                        :lol

                        Waah khalil zubani reputation ke be'bahaa nazraanay tere liye :lol
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #57
                          Re: aap ka room

                          Originally posted by MSA View Post
                          bus me ne PC ko aese set kia hoa he k sirf aik angle se dosro ko nazar aae:kr:...to phir me hosheyar rehta ho k agr koi us angle pe he to me browsing karte hoe muhtat raho:kr:....
                          .......................!!!!!

                          Comment


                          • #58
                            Re: aap ka room

                            @ lala g

                            yeh dressing table par kya rakha hai ap ne...:garmi:

                            or bed par remote control parra hai..pillows kahan hain...fan chal kyun nai raha...curtain or bed sheet kyun alag alag colour k hain...

                            or wo cupboard main chotti shi cycle hai..wo me ko dey dein...:shyy:
                            .......................!!!!!

                            Comment


                            • #59
                              Re: aap ka room

                              Originally posted by unity View Post
                              ahaan theek....lekin mujhe lag raha he ap k room ka koi makhsoos rang nahi he yani koi color theme?
                              Well, yeh pics low pixel ki hein is liye tumhein colour ki ziada achi judgement nahi ho rahi ho gi. Actually mein ne last year jub ghar banaya to different colour themes different rooms mein apply kiye, aur wo sub different different hein. apnay room mein kuch contrasting options apply kiye like dark woodworks and light paint to ensure there is proper lighting as well. Actually pics mein room ki presentation achi nahi ho rahi, I know. but physically dekhnay se yeh ziada behtar lagta he.
                              :thmbup:

                              Comment


                              • #60
                                Re: aap ka room

                                Originally posted by Khalil View Post
                                mery room kee aik dewar..
                                chachoo ap aik deewaar k saharey xindagii guzaar rahey hain...matlub ap k kamrey ki chath aik hi deewaar par kaisey tikki howi hai...:think:
                                .......................!!!!!

                                Comment

                                Working...
                                X