Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Muhabbat ya jazbaatipan ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Muhabbat ya jazbaatipan ?

    :|

    Comment


    • #32
      Re: Muhabbat ya jazbaatipan ?

      Walaikum assalaam
      :nc:

      Originally posted by Aanchal View Post
      assalamalikum
      Tv pay aap logoo nay yeh news suni hoo gee kay aik university main atishzadgi kay doran kuch larkiyan foot hoo gaian theian....to kal parsoun yeh news ai the kay un main say kisi aik larki kay mangetar nay us ki qabar pay ja kay waseyat likhi or khud ko gooli say shot kar dia .....!

      aap us larkay kay is iqdaam ko kia kahian gay ....us ki larki (mangater) say Muhabbat ? kay us kay bina us nay bhi apni zindagi khutem kar di wo itna peyar karta tha us say .....
      ya us larkay ka jazbati pan ?kay us ka yeh qadam ghalat tha ...?
      sigpic

      Comment


      • #33
        Re: Muhabbat ya jazbaatipan ?

        w.salam
        main nay jitnay bhi vote dekhay, kam say aik baat to hay kisi nay bhi is qadam ko MUHABBAT qaraar nahi dia .

        jazbatyat hay bewaqofi hay,
        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

        Comment


        • #34
          Re: Muhabbat ya jazbaatipan ?

          Originally posted by MSA View Post
          Walaikum Assalam

          jazbatipan he shayd...

          per mujhe aise log bare mazae k lagte he:lol:...
          bawlae majnu...auro'n ki fikr nahi bus pyar karna ata ho jinhe:lol:

          me ko lagta he aese log bare lucky hote he :lol:...jo pori concentration se aik kaam karte he...
          lolz
          larki ke mout dukh ..larkay ki mot hansi ban gai ..

          aik waqeya or bhi aisa tha kay larkay ki mangani hovi ..larki waloun nay bad main shadi say inkaar kar dia ..larkay nay pistol uthai usay bhi mari or khud ko bhi ...ham to dobian gay hi tumhay bhi sath lay dubian gay sanam
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #35
            Re: Muhabbat ya jazbaatipan ?

            Originally posted by MSA View Post
            Walaikum Assalam

            jazbatipan he shayd...

            per mujhe aise log bare mazae k lagte he:lol:...
            bawlae majnu...auro'n ki fikr nahi bus pyar karna ata ho jinhe:lol:

            me ko lagta he aese log bare lucky hote he :lol:...jo pori concentration se aik kaam karte he...
            bachay yah wo log boltay hain jin ko bachi nahi milti..........................
            ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

            Comment


            • #36
              Re: Muhabbat ya jazbaatipan ?

              walaikum salam,

              Uss larkey ney apni wasiat mey kya likha tha?

              btw mey issey pagal pan ya deewangi keh sakti hun :-D
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #37
                Re: Muhabbat ya jazbaatipan ?

                Originally posted by _Dard_Aashna_ View Post
                w.salam
                main nay jitnay bhi vote dekhay, kam say aik baat to hay kisi nay bhi is qadam ko MUHABBAT qaraar nahi dia .

                jazbatyat hay bewaqofi hay,
                Coz... Muhabbat insaan ko kabhi bhi ghalat kaam ki taraf nahi ley jati hai aur wo bhi Haram kaam____ No Way!!
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #38
                  Re: Muhabbat ya jazbaatipan ?

                  و عليكم السلام و رحمة الله

                  muhabbat k jazbaat mai beh kar bewaqoofii kar gaya..
                  is liye no comments...
                  .......................!!!!!

                  Comment


                  • #39
                    Re: Muhabbat ya jazbaatipan ?

                    Assalaam-O-alaikum Aanchal

                    Yeh aik aisa Thread tha jiss per main nay NO COMMENTS kar kay khamooshi ikhtiyar ki thi, socha tha kay shayed koi iss topic yaani MOHABBAT ko sahi lafzoon main bayan kar sakay, most replies main issay BAYWAQOOFI, JAZBATIPAN ka naam dia jo shayed kuch hadh tak thik hay, magar AS I SEE IT, yaani mera nazraya kuch mukhtalif hay jo main yahan bayan karna chahta hoon!!!

                    MOHABBAT duniya ka sab say haseen tareen jazba hay meray nazdeek woh insaan kabhi bhi MUKAMMAL nahin hosakta jiss main MOHABBAT ki chaashni moujood na ho, MOHABBAT insaan ko JEENAY ka shao'ur sikhaati hay, marnay waloon kay peechay marna nahin.....! Kiyonki humari zindagi srif kisi aik rishtay say munsalik nahin hoti, humari MOHABBAT aur RISHTAY humaray atraaf main basnay waalay bohat say logon ki AMAANAT hay aur iss tarah apnay aap ko qatal kar kay iss shakhs nay iss AMAANAT main KHAYAANAT ki hay main na tou issay BAYWAQOOFI kahoon ga aur na hi JAZBAATIPAN main issay sirf aur sirf KHUDHGHARZ kahoon ga aur MOHABBAT karnay waala shakhs kabhi bhi khudhgharz nahin hosakta kiyonki MOHABBAT khudhgharz nahin balkay KHUDHSHANAAS banaati hay!!! Srif aik laRki ki khaatir apnay waldain aur behan bhaiyon ko zindagi bhar aik aisa gham dia hay iss shakhs nay jo meri nazar main KHUDHGHARZI hi hay!

                    Main apni misaal daina chahoon ga, jab meri Walda ka phir Mangaitar ka INTIQAAL hua tou main unn kay peechay mar nahin gaya, meri zindagi ka yeh sadma bohat baRa tha magar main nay kabhi bhi public main ansoo nahin bahayay kay bayja logon ki hamdardian mujhay achi nahin lagti, main logon kay gham share karta hoon apnay gham chuppa kar....! yehi meri MIRAAS hain aur apni iss MIRAAS ko apnay say juda nahin honay daita, apnay gham per MUSKURATA hoon kay duniya main kitnay log hain jo iss say bhi buray haalat main hain aur yeh sab kuch ALLAH SWT ki marzi say hi tou hua hay tou iss main GHAM kiss baat ka :)

                    Jab main nay yeh khabar paRhi thi tou mujhay iss shakhs ki yeh harkat BUZDULLI aur GHUDHGHARZI kay ilaawa kuch nahin lagi, aur meray nazdeek yeh uss ki MOHABBAT bilkul nahin kiyonki jaisa main nay likha kay MOHABBAT qurbaani dainay ka naam hay apnay aap ko QURBAN karnay ka nahin!!!

                    Iss khaksaar ko apni duwayoon main yaad rakhyeh ga.

                    Fi amaan ALLAH
                    sigpic

                    Comment

                    Working...
                    X