Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Khofnak beemariyon se bachao

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Khofnak beemariyon se bachao

    Aslamoalikum :hii:
    kabhi ap kisi ese mareez ki tameer dari k leay gaey hen jo falij me mubtilah ho ya kisi esi beemari me jis se chal phir na sakta ho?bilkul mohtaj ho doosron ka,ese me kia kabhi ye khiyal aya k esa kabhi hmare sath bhi ho sakta he,kitni aziyat naak hoti he life ese logon ki,me ne jab dekha tha to bohat dari thi,phir aik din me ne piyare nabi ki piyari duaon me se aik dua dekhi,jo Ap SAW ne btai,andhe pan,falij,bars,pagal pan or tmam khatarnak beemariyon se bachne ki to me wo parhne lagi or mujhe yakeen he k Allah mujhe is se mehfooz rakhe ga inshAllah.kia ap bhi parhte hen?ager nahi to plzz parhna shiru kar dee jeay ta k ese sab beemariyon se Allah mehfooz rakhe:dua

  • #2
    Re: Khofnak beemariyon se bachao

    Originally posted by unity View Post

    aap ki muje yeh khoobi lagti hey kay aap hamesha social issues ko touch karti hein......

    mein bhi kabhi kabhaar relatives kay pass ayadit kayliye chali jaati hoon.... aur kaafi aisey loogon se bhi milti hoon jo na bol patey hain na sun bus sirf dekhsakte hein.... aur aison kay pass bhi gayi hoon jo comma mein hotey hein.....

    aap ney achi baat ki kay hamein in cheezon se lesson lena chahiye..... kuchh apni akhrat kay baray mein bhi sochna chahiye .... aur baaki mein koei vazaif nahi parti jab kisi se milnay jati hoon.....:khi:
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: Khofnak beemariyon se bachao

      Wa Alaikum Aslam,

      Kai baar aisay mareezon ki ayadat ke liye aana jana hua, jo ghambeer beemariyoon mein mubtala thay, aur kuch aisay mareezon ki ayadat ke liye bhi gaya jinhein doctors ne la'ilaaj karaar de dia aur us ki baki zindagi ke loog minute count kerne lagay aur wo aik aadh din mein jahan fani se kooch ker gaye.

      Mera aik doost jo ke age mein muj se koi 10 saal bara ho ga aaj se 5 saal pehlay aik ghalti ker gaya. Wo perha likha aur karobaari aadmi tha, gharailo kisi baat se dil'bardashta ho ke us ne apnay makan ki 3rd story se chalang laga di. zameen per girnay se pehlay 1 shade se bhi takraya, hospital le jaya gaya jahan doctors ne CCU mein rakha. Wo koma mein raha aur 1 week baad hoosh aa gaya usay. Us ke baad usay paralysis yani falaj ho gaya. Aur us ke baad wo aaj tak nahi chal paya. Us ki spinal card damage ho gai he aur is ka koi bhi hal nahi medical science mein. He can't feel nothing in his lower parts of body. Wo ub bhi apna kaam sambhaal raha he lekin wo apni jagah se move nahi ker sakta. Aap sub loog us ke liye duaa karein.

      Mein jub bhi kisi ke ayadat ko jata hoon to apnay aap ko us ki jagah rakh ker soochta hoon. Allah ka shukar ada kerta hoon ke Allah ne mujay fully functional body se nawaza he aur Allah se duaa bhi kerta hoon ke wo mujay kabi aisi bemaari mein mutbala na karay ke mein Allah ke siwa kisi banday ka mohtaaj ho ke reh jaoon.
      :thmbup:

      Comment

      • #4
        Re: Khofnak beemariyon se bachao

        Originally posted by unity View Post
        Aslamoalikum :hii:
        kabhi ap kisi ese mareez ki tameer dari k leay gaey hen jo falij me mubtilah ho ya kisi esi beemari me jis se chal phir na sakta ho?bilkul mohtaj ho doosron ka,ese me kia kabhi ye khiyal aya k esa kabhi hmare sath bhi ho sakta he,kitni aziyat naak hoti he life ese logon ki,me ne jab dekha tha to bohat dari thi,phir aik din me ne piyare nabi ki piyari duaon me se aik dua dekhi,jo Ap SAW ne btai,andhe pan,falij,bars,pagal pan or tmam khatarnak beemariyon se bachne ki to me wo parhne lagi or mujhe yakeen he k Allah mujhe is se mehfooz rakhe ga inshAllah.kia ap bhi parhte hen?ager nahi to plzz parhna shiru kar dee jeay ta k ese sab beemariyon se Allah mehfooz rakhe:dua
        Walaikum salam,

        Ameen.:rose
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #5
          Re: Khofnak beemariyon se bachao

          Originally posted by unity View Post
          Aslamoalikum :hii:
          kabhi ap kisi ese mareez ki tameer dari k leay gaey hen jo falij me mubtilah ho ya kisi esi beemari me jis se chal phir na sakta ho?bilkul mohtaj ho doosron ka,ese me kia kabhi ye khiyal aya k esa kabhi hmare sath bhi ho sakta he,kitni aziyat naak hoti he life ese logon ki,me ne jab dekha tha to bohat dari thi,phir aik din me ne piyare nabi ki piyari duaon me se aik dua dekhi,jo Ap SAW ne btai,andhe pan,falij,bars,pagal pan or tmam khatarnak beemariyon se bachne ki to me wo parhne lagi or mujhe yakeen he k Allah mujhe is se mehfooz rakhe ga inshAllah.kia ap bhi parhte hen?ager nahi to plzz parhna shiru kar dee jeay ta k ese sab beemariyon se Allah mehfooz rakhe:dua
          Wa allaikum salaam Rita

          :) :) :) :) :) :)

          ab aap yeh na poochhna keh main ney itni smilies kyun di hain :)
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: Khofnak beemariyon se bachao

            Originally posted by safia View Post
            aur aison kay pass bhi gayi hoon jo comma mein hotey hein.....
            main bhi COMMA mein hoon - yeh dekho - , , , , , , , , , , kitney COMMAS daal diyey hain :D
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #7
              Re: Khofnak beemariyon se bachao

              Originally posted by Masood View Post
              main bhi COMMA mein hoon - yeh dekho - , , , , , , , , , , kitney COMMAS daal diyey hain :D
              aap COMMAS mein nahi hein.... aap full stop per hein.................... :khi:
              sigpic

              Comment

              • #8
                Re: Khofnak beemariyon se bachao

                :rose

                Comment

                • #9
                  Re: Khofnak beemariyon se bachao

                  Originally posted by ummid View Post
                  :rose
                  Jawaab na dene ka acha bahana dhonda, ub mein bhi yahi use kia karon ga :bwink:
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #10
                    Re: Khofnak beemariyon se bachao

                    ALLHA hi bemaari deta hain aur uska ilaaj bhi.........bas main to yahi dua karta hoon kay chaltay phirtay mot aai.. kabhi kisi ka motaj na raho...............
                    ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                    Comment

                    • #11
                      Re: Khofnak beemariyon se bachao

                      Originally posted by unity View Post
                      aslamoalikum :hii:
                      Kabhi ap kisi ese mareez ki tameer dari k leay gaey hen jo falij me mubtilah ho ya kisi esi beemari me jis se chal phir na sakta ho?bilkul mohtaj ho doosron ka,ese me kia kabhi ye khiyal aya k esa kabhi hmare sath bhi ho sakta he,kitni aziyat naak hoti he life ese logon ki,me ne jab dekha tha to bohat dari thi,phir aik din me ne piyare nabi ki piyari duaon me se aik dua dekhi,jo ap saw ne btai,andhe pan,falij,bars,pagal pan or tmam khatarnak beemariyon se bachne ki to me wo parhne lagi or mujhe yakeen he k allah mujhe is se mehfooz rakhe ga inshallah.kia ap bhi parhte hen?ager nahi to plzz parhna shiru kar dee jeay ta k ese sab beemariyon se allah mehfooz rakhe:dua
                      aap plz wo dua bhi yahaan shar kardee urdu rasmul khat main
                      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                      Comment

                      • #12
                        Re: Khofnak beemariyon se bachao

                        Originally posted by unity View Post
                        Aslamoalikum :hii:
                        kabhi ap kisi ese mareez ki tameer dari k leay gaey hen jo falij me mubtilah ho ya kisi esi beemari me jis se chal phir na sakta ho?bilkul mohtaj ho doosron ka,ese me kia kabhi ye khiyal aya k esa kabhi hmare sath bhi ho sakta he,kitni aziyat naak hoti he life ese logon ki,me ne jab dekha tha to bohat dari thi,phir aik din me ne piyare nabi ki piyari duaon me se aik dua dekhi,jo Ap SAW ne btai,andhe pan,falij,bars,pagal pan or tmam khatarnak beemariyon se bachne ki to me wo parhne lagi or mujhe yakeen he k Allah mujhe is se mehfooz rakhe ga inshAllah.kia ap bhi parhte hen?ager nahi to plzz parhna shiru kar dee jeay ta k ese sab beemariyon se Allah mehfooz rakhe:dua
                        dekha hai kuch ko....aik jannay wali hian jo kai saaloun say falij ki beemari main mubtla hain ..hospital main hi admit rehti hai ..bed pay liti rehti hai wo khud ko move bhi nahi kar saktien.....kai saloun say............sirf us ki maa daily usay deekhnay jati hai ...
                        Allha sub ko bachaye beemarou say ...ameen
                        aap dua bhi share kar doo :rose
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment

                        • #13
                          Re: Khofnak beemariyon se bachao

                          YouTube - Demon Baby
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #14
                            Re: Khofnak beemariyon se bachao

                            YouTube - Gilgit Video tiger or baby
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Re: Khofnak beemariyon se bachao

                              Wlikum Assalam WR WB

                              ji bilkul main aise mareez ki ayadat ke liye kaiee baar gaya hoon jo falij se uski haalat bohat kharab ho gayie thi........mere aik roomate hain unke Father Mohtaram ko falij ka attack hua tha jab hum haspatal gaye tou unko takleef main dekh kar humen bhi bohat takleef hoi.......aor apne roomate ko hosla dia ke yeh zindagi ke asool hain..........
                              Ab Allah Taa"llah ka shukar hai ke wo kafi behtar ho gaye hain........
                              asal main iss beemari ke liye proper teatment nahi hai....... Allah hum sab per Raham Farmaye....Ameen
                              ap jo dua parha karti thi wo ap ne nahi batayiee..........? :shyy:

                              Comment

                              Working...
                              X