Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Train Kahani

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Train Kahani

    Originally posted by safia View Post
    magsi bechari key aap kyun peechhay par gaye ho?:hathora vo bechari pehlay kahti hey tum punjab walay punjabi balochistan key saarey resources harrap kar gaye ho.... sui ki gas saari use kar gaye ho.... sindh ka paani saara pee gaye ho.... balochon ko vo kahti hey jobs nahi detey..... taleemi idaron mein balochon ko admission nahi detey.....sendak se saara gold punjab ley gaye ho..... gawadar port bana kay ab mazeed resources harrap karna chahtey ho.... agar magsi ko iss kissay ka pata chala tu bus ek aur katta khol day gi...... 372-haha
    Tum magsi se kaho ke 2 rootiyan ziada khaa le 372-haha
    :thmbup:

    Comment


    • #17
      Re: Train Kahani

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      aur kahani suno gi :think:
      go on ...
      Originally posted by _Dard_Aashna_ View Post
      w.s

      aakhiri khayaal k alawa baaqi khayaalat achay hain :hii:

      Originally posted by safia View Post
      aap ka topic bahut acha hey.............. lakin mein oper wali baat per disagree karon gi...... zindgi wakai train station ki tarah hosakti hey lakin jab ham station per puhnchtey hain tu yakeenan ham ussi train mein sawaar hoongay jo train hamari manzil ki taraf jaa rahi hoti hey..... aisa tu kabhi nahi hota kay banda station per puhnchay aur yeh sochnay lagay kay mein iss train mein bethon yaa uss mein...... muje jana karachi ho aur mein lahore wali train mein tu nahi bethoon gi na.......

      meinay train ka safar bahut kam kiye hein ziyada tar kahin jana hota hey tu mein by air chali jaati hoon lakin jab bhi train ka safar kiya muje acha laga aur kuchh sochnay ka waqt milta hey aur loogon ki dhara dhar utarna aur sawaar hona ajeeb aur kuchh seekhnay aur dekhnay ko bil milta hey.....
      - :lol ... Nahi, aeysa ho bhi sakta hai, aap karachi janey k liye bethein aur wo train aap ko lahore ley jaye ...ya phir beech raastey mey utar dey :-D

      - Thanks for sharing your thoughts
      Originally posted by unity View Post
      wese mujhe asal zindagi me 3 dafa moka mila train k safar ka,mujhe pasand nahi aya,banda 2 din baad tak hilta rehta he chak chak....hichkole khata hua

      @ topic
      mere nazdeek zindagi railway station jesi he,bhant bhant k log...hangama phir achanak jis ki train ati he,elan hota he wo chala jata he
      - theek :-D
      - yeah!
      Originally posted by MSA View Post
      Walaikum Assalam....

      "Mumbai suna tha yaha admi apni qismat slow track se fast track lane pe guzar deta he
      per 2.5 ghante me meri qismat aesi slow track se fast track pe ajay gi yeh me ne kabhi socha nahi tha
      saza mazaa bun jay ge yeh bhi kabhi socha nahi tha
      last local kia chutti ...... qismat patri pe agai......."

      inshort....
      kar lo jo bhi karna he...hota he jo hona he....guzra to pal yeh phir na aae ga..
      kia bura he kia bhala he...hojane do phir dekha ja ga....

      .....:-$
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #18
        Re: Train Kahani

        Originally posted by Z. View Post
        go on ...
        Me ke sir mein abi derd ho raha he, me baad mein kuch soochta hoon 372-scare
        :thmbup:

        Comment


        • #19
          Re: Train Kahani

          Originally posted by safia View Post
          aisa tu kabhi nahi hota kay banda station per puhnchay aur yeh sochnay lagay kay mein iss train mein bethon yaa uss mein...... muje jana karachi ho aur mein lahore wali train mein tu nahi bethoon gi na.......
          Believe me aisa hota hai :) aap real life mein bhi aisey muqaam per aatey ho jahan per aap ney jana kahin hota hai aur nikal kahin aur parrtey ho - phir aap chaunk perrtey ho keh yeh main kidher jaa raha hoon - aur phir wapis aaney ki koshish kartey ho, magar us waqt tak woh train sach much jaa chuki hoti hai - believe me Safia aisa hota hai....

          @topic:

          Mujhe aik arsa huwa hai, balkeh ab to yaad bhi nahin keh main last kab train per betha tha...
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #20
            Re: Train Kahani

            Originally posted by Masood View Post
            Believe me aisa hota hai :) aap real life mein bhi aisey muqaam per aatey ho jahan per aap ney jana kahin hota hai aur nikal kahin aur parrtey ho - phir aap chaunk perrtey ho keh yeh main kidher jaa raha hoon - aur phir wapis aaney ki koshish kartey ho, magar us waqt tak woh train sach much jaa chuki hoti hai - believe me Safia aisa hota hai....

            @topic:

            Mujhe aik arsa huwa hai, balkeh ab to yaad bhi nahin keh main last kab train per betha tha...
            zindgi mein meri bahut trainein muj se nikal gayi hein..... 372-haha sawaar honay ki koshash ki lakin kuchhh aisi majbooriyan aarrey aa jaati hein kay train ko chorna parta hey....... :khi: lakin masood G muje pata zaroor hota hey kay ye train kahan jaa rahi hey aur iss ki manzil kia hey..... agar itefaaq se bhi station per mein chali bhi jaon tu muje pata hota hey muje jana kahan hey aur phir poochh leti hoon yeh flan train kahan jai gi...... phir uss train mein bethna na bethna yeh mein khud tay karti hoon..... kahnay ka maqsad yeh hey key mujhe manzil ka pata hota hey ka muje kahan jana hey.....

            jo aap ney baat ki vo un loogon ki baat ki jin ko pata bhi nahi hota key unko jana kahan hey.... jab vo aisey hee kisi train mein beth jatey hain aur kisi manzil ko puhnchtey hein tu kahtey yeh tu hamari manzil nahi thi.... hamin idher nahi udhar jana tha.....
            sigpic

            Comment


            • #21
              Re: Train Kahani

              Roz train se travel karti ho... per me ki kahniyaan kuch or hi hoti hain :wink

              Comment


              • #22
                Re: Train Kahani

                مجھے تو ٹرین کے سفر کی ایک ہی بات یاد رہتی ہے اور وہ ہے


                عامل جنید بنگالی بابا





                Comment


                • #23
                  Re: Train Kahani

                  Originally posted by Z. View Post
                  Asalam alaikum,

                  Jab bhi aap ney train mey safar kiya hai tau kitni kahaniyan aap k zehan mey ayi hein jo aap train sey relate ker saktey hien?? wo hamarey sath share kerni hein.

                  Mey apni kahaniyan suna deyti hun:

                  - Zindagi bhi aik train station ki tarhan hoti hai, agar aap sahih train pe char gaye tau yaqeenan aap sahih manzil pe pohanch jayein gey, lekin sab sey mushkil part yahi hota hai Sahih Train ka chunao

                  -Zindagi ka safar waisa hi jaisey aik train mey aap safar kertey hein, her per musafir utartey hein aur musafir chartey hein, Jin ka zindagi ka safar khatam ho jata hai wo utar jatey hein

                  Aur aik khaufnaak (shaitani thought :-$) :|

                  Jab bhi mey fast train door sey atey dekhti hun tau hamesha yahi khayal ata hai k kyun na apni Zindagi ka The End ker diya jaye... :-$

                  AstaghfiruAllah


                  Khair,
                  Aap logon ney sirf achey examples aur thoughts share kerney hein :-D

                  Shoot it...
                  aam life mein train ka safar kam karti hoon....... 372-scare

                  wese meri zindgi aisi train station ki tarah hai jahan sirf local train rukti hain.... eik subah ko aati hai aur dosri shaam ko .... yeh dono trainain late hoti hain agar aa bhi jaati hai aisay khaali hoti hai jo bethnay ka dil bhi nahi karta..... in traino ki apni manzil kuchh nahi hoti.... sirf eik guard jo jhandi dikha raha hota hai aur dosri mein vahan train mein intizaar mein hoti hoon...... :lol ab aisi station per kharray hoon jahan train bhi nahi rukti tu chunao kia karien...... :lol issliye mein her jahaaz ka safar karti hoon sub kay oper se zoooooo kar kay guzar jaati hain..... :ys:
                  sigpic

                  Comment


                  • #24
                    Re: Train Kahani

                    Originally posted by AbgeenA View Post
                    wese mujhe asal zindagi me 3 dafa moka mila train k safar ka,mujhe pasand nahi aya,banda 2 din baad tak hilta rehta he chak chak....hichkole khata hua

                    @ topic
                    mere nazdeek zindagi railway station jesi he,bhant bhant k log...hangama phir achanak jis ki train ati he,elan hota he wo chala jata he
                    wese in kay ailaan bhi ajeeb tareekay se hotay hain kay shahbaaz 34 down plate form no. 3 per aa rahi hai ..... in say poochay hamian kia pata yeh down up kia hotay hain..... :lol
                    sigpic

                    Comment


                    • #25
                      Re: Train Kahani

                      yeh train kahan tak pohanchi
                      :thmbup:

                      Comment


                      • #26
                        Re: Train Kahani

                        jo train mai safar karey mai tu waisii larrki hi nahiin....:ys:
                        .......................!!!!!

                        Comment


                        • #27
                          Re: Train Kahani

                          @
                          و عليكم السلام
                          .......................!!!!!

                          Comment


                          • #28
                            Re: Train Kahani

                            Originally posted by BhaTaktii RooH View Post
                            jo train mai safar karey mai tu waisii larrki hi nahiin....:ys:
                            Tumhein train mein safar kerne he koi nai deta. Train mein tez hawa ander aati he to halki phulki cheezein uchal ke bahir perti hein
                            :thmbup:

                            Comment


                            • #29
                              Re: Train Kahani

                              Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                              Tumhein train mein safar kerne he koi nai deta. Train mein tez hawa ander aati he to halki phulki cheezein uchal ke bahir perti hein
                              ab aisii bhi koi baat nai hai acha........wo tu hamarey yahan abhi train hai hi nai is liye....:ys:
                              .......................!!!!!

                              Comment


                              • #30
                                Re: Train Kahani

                                Originally posted by BhaTaktii RooH View Post
                                ab aisii bhi koi baat nai hai acha........wo tu hamarey yahan abhi train hai hi nai is liye....:ys:
                                Duaa karo Allah tumhein apni train de. Yeh duaa mut kerna ke train ke neechay de
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X