Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Lamha-e-Fikriyah: Apna Ehtisab Kartey Hain :)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Lamha-e-Fikriyah: Apna Ehtisab Kartey Hain :)

    Assalamo Allaikum

    Duniya mein sab sey mushkil tareen kaam shayid apna ehtisaab karna hai... aaiyey aik pal key liyey ham apna ehtisaab kartey hain....
    Attached Files
    Last edited by Masood; 28 February 2010, 03:04.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Lamha-e-Fikriyah: Apna Ehtisab Kartey Hain :)

    Originally posted by Masood View Post
    Assalamo Allaikum

    Duniya mein sab sey mushkil tareen kaam shayid apna ehtisaab karna hai... aaiyey aik pal key liyey ham apna ehtisaab kartey hain....
    yeh tu baat aap ki theek hey kay apna ehtisaab karna mushkil hey...... bus ham duniya mein itna garak hogaye hein kay ab apna ehtisaab karna zaroor nahi samajhte...... vo azeem loog hotey hain jo apna ehtisab karte hein.... aur jis ney apna ehtisaab kiya goya duniya aur akharat mein kamiyab howa.............. Allah hamein apna ehtisaab karnay ki himmat aur aqal dey.................. :salam:
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Lamha-e-Fikriyah: Apna Ehtisab Kartey Hain :)

      Walaikum Assalaam Masood Bhai

      BaRay arsay baad aap ki khoobsurart post dekhna naseeb hua, magar dil khush hogaya.

      Waqayi kabhi kabhi main bhi yehi sochta hoon kay hum ALLAH ALLAH tou kartay rehtay hain magar ALLAH kay bandoo kay saath humara rawayiah kitna bura hota hay, kabhi kisi ki gheebat jisay Gossiping kay naam say nawaza hay hum sab nay say peechay nahin hat-tay, aik shaksh kay girnay per usay uthanay kay bajayay jee bhar kay uss per hans laitay hain, kisi ki burayi karnay main peechay nahin hat-tay aur achayi ko nazar andaaz karna, mehaz yeh kay har uss kaam ko karnay say peechay nahin hattay jis say kisi ki dil azaari hoo srif aur srif apnay tanz-O-mazah ki khaatir.

      Main aksar bed per sonay say pehlay chan duwayoon kay saath sochta hoon kay aaj pooray dinn main kiss kiss ka dil dhukaya kis ko bura bhala kaha taakay aglay dinn yaa aisa koi kaam (Kam az kam aik burayi) kam karnay ki koshish karoon.

      Main ALLAH SWT ka bohat hi gunahgaar banda hoon aur yehi dua hay kay ALLAH SWT mujhay huqoq ALLAH kay saath saath HUQOOQ-UL-IBAAD ko nibhanay ki poori poori toufeeq ata farmayay aur apni ZABAN per qaboo rakhnay ka hunr ata karay aur ZABAN say aisay hi alfaaz niklain joo ussko aur usskay Nabi SAW ko achay lagain!!!

      May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

      Fi amaan ALLAH

      PS: Aap ki post nay mazeed apnay aap ka EHTISAAB karnay ka mouqa dia, uss kay liye yehi dua hay kay ALLAH SWT aap ko JAZA-E-KHAIR aata karay AMEEN.
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Lamha-e-Fikriyah: Apna Ehtisab Kartey Hain :)

        Originally posted by Masood View Post
        Assalamo Allaikum

        Duniya mein sab sey mushkil tareen kaam shayid apna ehtisaab karna hai... aaiyey aik pal key liyey ham apna ehtisaab kartey hain....
        wasalam

        you chutti se aa ker aise sawal poochte ho..... chuttiyan yahi sub sochne ko lete hain kya aap

        Comment


        • #5
          Re: Lamha-e-Fikriyah: Apna Ehtisab Kartey Hain :)

          Apna Ehtasaab ya self-accountability koi aasan kaam nahi he. Itna deeply sochnay ki bajaye humein apnay zameer ke signal catch ker ke aagay berhtay rehna chahiye aur Allah se duaa kerni chahiye ke hamein seedhay raastay rakhay, aur hamein Us se khair ki tawaqu rakhni chahiye. Be'shak Allah bohat Ghafoor'ur'raheem he.
          :thmbup:

          Comment


          • #6
            Re: Lamha-e-Fikriyah: Apna Ehtisab Kartey Hain :)

            Walekum Salam:hii:
            bohat achi bata kahi ap ne,apna ehtesab karna wakai mushkil hota he lekin hamen koshish karte rehna chaey.or tmam ikhlaki buraiyon se bachne ki koshish karte rehna chaey.Allah se madad mange k hamen burai se bachne ki tofeek ata kare to Allah zarur madad karta he.

            Comment


            • #7
              Re: Lamha-e-Fikriyah: Apna Ehtisab Kartey Hain :)

              waalikum asslam

              ALHMADOLILAH me apni si koshish krti rehti hoon ALLAH k fazal se

              JAZAK ALLAH :rose
              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

              Comment


              • #8
                Re: Lamha-e-Fikriyah: Apna Ehtisab Kartey Hain :)

                yaar masood na daraya karo bhi...........jo hoga bad main dekha jay ga.. abhi to jinay do..............
                ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                Comment


                • #9
                  Re: Lamha-e-Fikriyah: Apna Ehtisab Kartey Hain :)

                  Mushkil Amar hai :)
                  Zindagi Thak Gaye ..!!

                  Comment


                  • #10
                    Re: Lamha-e-Fikriyah: Apna Ehtisab Kartey Hain :)

                    Originally posted by La'hasil View Post
                    Mushkil Amar hai :)
                    Ji mein aasan hoon :hairdrayer:
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #11
                      Re: Lamha-e-Fikriyah: Apna Ehtisab Kartey Hain :)

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      Ji mein aasan hoon :hairdrayer:
                      Lol Aap ki baat kis nay ki :P
                      Zindagi Thak Gaye ..!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: Lamha-e-Fikriyah: Apna Ehtisab Kartey Hain :)

                        Originally posted by La'hasil View Post
                        Lol Aap ki baat kis nay ki :P
                        aap ne mera naam le ke kaha ke Amar mushkil he
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #13
                          Re: Lamha-e-Fikriyah: Apna Ehtisab Kartey Hain :)

                          Originally posted by munda_sialkoty View Post
                          Ji mein aasan hoon :hairdrayer:
                          Originally posted by munda_sialkoty View Post
                          aap ne mera naam le ke kaha ke Amar mushkil he
                          Jee main nay AMAR Kaha hai AAMIR nahin hunh
                          Zindagi Thak Gaye ..!!

                          Comment


                          • #14
                            Re: Lamha-e-Fikriyah: Apna Ehtisab Kartey Hain :)

                            haqqooq ul Ibbad kii Isllam main bohhat ziadaa ahhmiett haiiii.....

                            balikol sahii kahha aapp nayyy
                            "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                            Comment


                            • #15
                              Re: Lamha-e-Fikriyah: Apna Ehtisab Kartey Hain :)

                              Originally posted by sarfraz_qamar View Post
                              haqqooq ul Ibbad kii Isllam main bohhat ziadaa ahhmiett haiiii.....

                              balikol sahii kahha aapp nayyy
                              la hol wala quwata - bhaii jaan main ney yeh nahin kaha keh main ney sahih kaha hai keh ghalt, balkeh yeh kaha hai keh aaiyey ham SAB APNA ehtisaab kartey hain!!!!
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...
                              X