Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Drive Carefully
Collapse
X
-
Re: Drive Carefully
yeh 18 saal ka larrka "Hadii Jibraan" jo k aik car accident main mar gaya tha...shayad 2006 main..tu is ki family ne is ki wafaat k baad aik org. banayii jo k car accidents or crashes se bachao k liye society main awareness paida karney ki koshish karti hai..
yeh link bhi dekh lejiye..KUN HADII.......................!!!!!
Comment
-
Re: Drive Carefully
Originally posted by thefire1 View PostRespected members, Assalaam-O-Alaikum
Main aap sab say HUMBLE REQUEST karna chahta hoon kay, agar aap DRIVE kartay hain tou speed limit ko control main rakhain aur follow the rules and regulations of traffic.
May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
Fi amaan ALLAH
Dost baat yeh hai keh main ney kuchh muddat pehley aik thread lagaya tha Situation Control Kijiyey: QATAL - us mein aik sitation kheechi thi. Aap ney jis bandey key marney ki itlaa di hai, aap issey kya qatal nahin kahein gey? I damn don't care keh woh qatal umdan ho keh khatan - jaisey hamarey haan kuchh parhey likhey log kehtey hain. Qatal qatal ha - insaani zindagi aik baar chali jaey to wapis nahin aati!
Ab kuchh baat DRIVE SAFELY per aur SPEED LIMIT per :)
Well, Ali, mera har roz 150 KM ka safar hai - 75 KM ghar sey kaam per aur 75 KM kaam sey ghar... aur almost sara Motorway per hota hai.
Yahan per speed ki bohat zabardasti hai, khaas ker shehron mein. Motorway per 110 KM Max hai (kuchh jaghon per ab 120 KM hui hai) - Main koi angle nahin hoon, I do drive fast!! aur bohat hi kam 110 KM per garri chalaii hai. Meri speed kaii baat 150-160 KM tak chali jati hai....
Main agar rozana 150 KM garri chalaoun aur sirf 110 KM per chalaoun to phir main apney kaam per ya kisi meeting mein pohanchney sey raha!! Time ko adjust karney key liyey speed aagey peechey karni parrti hai.
Magar aik baat hai tez chalana, doosri cheez hai SAFE chalana.
Pakistan mein garri safe nahin chalaii jati aur aksar hadsaat ghalt overtaking ki bina per hotey hain - yahan per bhi aksar hadsey speed ki wajah sey nahin ghalt driving ki wajah sey hotey hain - alhamdolillah main safe drive karta hoon aur speed sirf wahan bharhata hoon jahan per koi kisi kisam ka khatra na ho aur road bilkul saaf miley. Warna jahan bohat ziyada traffic ho wahan per ehtiyaat karta hon.
Pakistan mein main ney yeh bhi dekha hai keh garri ki condition per qatan tawajoh nahin di jati - chalti hai to garri hai, is asool key tehat garriyaan roads per bhagti hain wahan...
Kya aap btaein kabhi kisi ney TYRES ki condition per ghaur kiya hai? TYRES ki shape, unki sakhat, unki road per pakarr, tyres mein jo jhurriyaan hoti hai, un mein kitni depth honi chahiyey - kya yeh sab batein kabhi aap logon ney ghaur ki hain????
Yahan per garri key 4ron tyres aik hi company key honey laazmi hai, har tyre mein hawa ki miqdaar woh honi chahiye jo company ney muqrar ki hai, tyres mein jhurriyon ki depth kam sey kam 5 mm honi zaroori hai - agar is sey kam ho gi to police garri ban kar di gi - yeh batein I don't think wahna per ghaur ki jati hon, jab tyre ki road per pakarr kam ho gi to accident to laazmi amar haintumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Drive Carefully
Originally posted by ummid View Postnot only drive... Insaan ko tu chalna bhi sambhal ker chahiye...tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Drive Carefully
Assalaam-O-Alaikum Masood Bhai
Waqayi jiss halaat say woh shakhs guzar raha hay woh main jaanta hoon kay woh aaj bhi apnay dost ko apnay ird gird dekhta hay, actually yeh hadsaa SAUDI ARAB main hua jab yeh sab dost 12 Rabi-ul-Awal ko Nabi-e-Karim SAW kay roza-e-mubarak per haazri day kar wapis Riyadh aarahay thay aur kisi LEXUS LX-570 waalay nay shararatan inkay aagay aakar achanak brake laga dee aur Car speed honay ki waja say car per control nahin kar saka aur accident avoid karnay kay liye gaaRi ko road say bahar utaar diya kachi zameen per jiss ki waja say car ulat gayi aur uss laRkay ki nagahani mout hogayi jo kay side backseat per right corner per baitha tha :( He was in inernship in Saudi, pata nahin unn kay waldain Karachi main kiss karb say guzray hongain!!
Jab baat SAFE DRIVING ki hoti hay tou SPEED car can NEVER bhi safe, car ka tyre burst hojayay, koi achanak overtake kar lay, achanak koi bacha yaa janwar samnay aajayay.... AGAR aap ki car SPEED main hay tou bohat kam aisay chances hongain kay aap koi serious hadsa avoid kar sakain, laikin SLOW yaa LIMITED speed main aisi kisi bhi unforseen circumtances honay ki bina per kuch hadh tak SAFE rehnay kay imkaan hotay hain!
I still INSIST on my words and request you to driver carefully and safelly, SPEED KILLS and you must avoid SPEEDING rather reach your location a bit LATE, kamazkaam LATE hoongain naa humesha kay liye aap kay naam kay aagay LATE nahin lagay ga.
May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
Fi amaan ALLAH
Originally posted by Masood View PostWa allaikum salaam Ali
Dost baat yeh hai keh main ney kuchh muddat pehley aik thread lagaya tha Situation Control Kijiyey: QATAL - us mein aik sitation kheechi thi. Aap ney jis bandey key marney ki itlaa di hai, aap issey kya qatal nahin kahein gey? I damn don't care keh woh qatal umdan ho keh khatan - jaisey hamarey haan kuchh parhey likhey log kehtey hain. Qatal qatal ha - insaani zindagi aik baar chali jaey to wapis nahin aati!
Ab kuchh baat DRIVE SAFELY per aur SPEED LIMIT per :)
Well, Ali, mera har roz 150 KM ka safar hai - 75 KM ghar sey kaam per aur 75 KM kaam sey ghar... aur almost sara Motorway per hota hai.
Yahan per speed ki bohat zabardasti hai, khaas ker shehron mein. Motorway per 110 KM Max hai (kuchh jaghon per ab 120 KM hui hai) - Main koi angle nahin hoon, I do drive fast!! aur bohat hi kam 110 KM per garri chalaii hai. Meri speed kaii baat 150-160 KM tak chali jati hai....
Main agar rozana 150 KM garri chalaoun aur sirf 110 KM per chalaoun to phir main apney kaam per ya kisi meeting mein pohanchney sey raha!! Time ko adjust karney key liyey speed aagey peechey karni parrti hai.
Magar aik baat hai tez chalana, doosri cheez hai SAFE chalana.
Pakistan mein garri safe nahin chalaii jati aur aksar hadsaat ghalt overtaking ki bina per hotey hain - yahan per bhi aksar hadsey speed ki wajah sey nahin ghalt driving ki wajah sey hotey hain - alhamdolillah main safe drive karta hoon aur speed sirf wahan bharhata hoon jahan per koi kisi kisam ka khatra na ho aur road bilkul saaf miley. Warna jahan bohat ziyada traffic ho wahan per ehtiyaat karta hon.
Pakistan mein main ney yeh bhi dekha hai keh garri ki condition per qatan tawajoh nahin di jati - chalti hai to garri hai, is asool key tehat garriyaan roads per bhagti hain wahan...
Kya aap btaein kabhi kisi ney TYRES ki condition per ghaur kiya hai? TYRES ki shape, unki sakhat, unki road per pakarr, tyres mein jo jhurriyaan hoti hai, un mein kitni depth honi chahiyey - kya yeh sab batein kabhi aap logon ney ghaur ki hain????
Yahan per garri key 4ron tyres aik hi company key honey laazmi hai, har tyre mein hawa ki miqdaar woh honi chahiye jo company ney muqrar ki hai, tyres mein jhurriyon ki depth kam sey kam 5 mm honi zaroori hai - agar is sey kam ho gi to police garri ban kar di gi - yeh batein I don't think wahna per ghaur ki jati hon, jab tyre ki road per pakarr kam ho gi to accident to laazmi amar hainsigpic
Comment
-
Re: Drive Carefully
Very right, mujhay aksar paidal chalnay waaloon ka aur cycle, motro cycle aur Pakistan main Rikshaw waloon ka bohat dehan rakhna paRta hay, for their safety offcourse.
Public awarness in terms of crossing the road, overhead bridges banana waghair can avoid
Pedestrian accidents!
Originally posted by ummid View Postnot only drive... Insaan ko tu chalna bhi sambhal ker chahiye...sigpic
Comment
-
Re: Drive Carefully
May ALLAH SWT rest his soul in peace AMEEN, JAZACH ALLAH KHAIR for sharing this information with us, khush rahyeh :)
Originally posted by bhataktii rooh View Postyeh 18 saal ka larrka "Hadii Jibraan" jo k aik car accident main mar gaya tha...shayad 2006 main..tu is ki family ne is ki wafaat k baad aik org. banayii jo k car accidents or crashes se bachao k liye society main awareness paida karney ki koshish karti hai..
yeh link bhi dekh lejiye..KUN HADIIsigpic
Comment
Comment