Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

**Naiki....1

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • **Naiki....1

    Asalamaalaikum :hairdrayer:

    ummid hai sub khairyat se honge

    aap naiki ko kaise define karein?? ya naiki aap ke liye kya hai?? :think:

    naiki karne ki wajah?? hume naiki ka hukm diya gaya hai... aapis mein bhi naiki karne ki hidayat dene ka hukm hai... aap logo ko hidayat karte hain naiki?? kaise??

    "naiki kar darya mein daal" waali baat aap ko kabhi sumjh aai?? ager aai tu aap ne kabhi amal kiya us per??:oldie:

    kabhi aisa howa koi naiki gale pari ho... LOl.... jis per aap ko afsoos ho ke yeh nahi karta or karti ho accha hota...

    "naiki aare aana".. jub hum kisi mushkil se nikal jaaye tu yeh baat kahi jaati hai.... aap ke saath kabhi aisa howa jub aap ko laga ho ke aap ki koi naiki aare aagai or aap ki jaan bach gai....teddy

    or bhi kuch naiki ki baatein karein...

    :rose

  • #2
    Re: **Naiki....1

    Originally posted by ummid View Post
    Asalamaalaikum :hairdrayer:

    ummid hai sub khairyat se honge

    aap naiki ko kaise define karein?? ya naiki aap ke liye kya hai?? :think:


    :rose
    Wa Alaikum Aslam,

    Yeh aabi bhai aa ke bataein ge :hairdrayer:
    :thmbup:

    Comment


    • #3
      Re: **Naiki....1

      Walaikum Assalaam

      ALHAMDULLILAH bilkul kheriyat say hoon :)

      Naiki ko define karnay kay liye aap ka ZAMEER moujood hay jo khudhbakhudh aap ko ehsaas dila day ga kay naiki kia thi... Meri nazar main Naiki karna ALLAH SWT kay bandon kay saath acha sulook karna aur usski Raza haasil karna hay.

      Naiki karnay ki sab say baRi wajah insaan apnay aap ko aur apnay DIL ko mutayeen karna hoti hay, yaani aik shakhs jab koi naik kaam karta hay tou uss kay DIL ko aik aisa sukoon naseeb hota hay jo ghalat kaam karnay per NIDMAAT ka shikaar rehta hay. Naiki ka PEGHAM tou sab tak poohanch chuka hay hum bas apnay AMAAL say dosroon ko uss taraf mutwajja kartay hain, agar hum khudh hi NAIKI naa karain tou dosray kia uss per amal karain gain, niaki ki hidhayat dainay say pehlay BA-AMAL banna bohat zaroori hay aur yehi mera tareeqa-e-amal hay!

      Naiki kar darya main daal (Yaani Naiki aisay kar kay dayain haath ko bhi pata na chal sakay kay bayain haath say kia naiki ki hay) yaani kabhi bhi AHSAAN nahin jataana chayeh aur ALHAMDULLILAH aisi bohat see naikiiyan hain jinhain kar kay main BHULA daita hoon :)

      INSAAN baRa hi naa shukra hay, aisa aksar hota hay kay naiki galay paR gayi magar kabhi uss ka afsoos nahin kia kiyonki meri naiki bandoon ko nahin balkay ALLAH SWT ki raza kay liye kii thi/karta hoon aur kisi say TEHSEEN ya SHUKRANAY ka tasawurr jab zehan main hota nahin hay tou bura bhi nahin lagta :)

      Aisa bohat baar hua hay woh kisi shayer nay kaha hay na kay
      "Na jaanay kaun duwayoon main yaad rakhta hay
      Main doobta hoon, samandar uchaal daita hay..!"

      Har naiki badla insaan ko zaroor milta hay aur koi naiki zaya nahin hoti, chayeh woh Aakhrit main HASAANAAT kay tour per milain yaa zindagi main SOGHAAT..... Bas insaan srif itna khayal rakhay kay jab NAIKI karay tou ussay JATAATA na phiray kiyonki phir NAIKI nahin EHSAAN ban jaati hay!!!

      May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

      Fi amaan ALLAH


      Originally posted by ummid View Post
      Asalamaalaikum :hairdrayer:

      ummid hai sub khairyat se honge

      aap naiki ko kaise define karein?? ya naiki aap ke liye kya hai?? :think:

      naiki karne ki wajah?? hume naiki ka hukm diya gaya hai... aapis mein bhi naiki karne ki hidayat dene ka hukm hai... aap logo ko hidayat karte hain naiki?? kaise??

      "naiki kar darya mein daal" waali baat aap ko kabhi sumjh aai?? ager aai tu aap ne kabhi amal kiya us per??:oldie:

      kabhi aisa howa koi naiki gale pari ho... LOl.... jis per aap ko afsoos ho ke yeh nahi karta or karti ho accha hota...

      "naiki aare aana".. jub hum kisi mushkil se nikal jaaye tu yeh baat kahi jaati hai.... aap ke saath kabhi aisa howa jub aap ko laga ho ke aap ki koi naiki aare aagai or aap ki jaan bach gai....teddy

      or bhi kuch naiki ki baatein karein...

      :rose
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: **Naiki....1

        Kabhi khudh bhi kuch bol liya karain, iss baat per yeh nazraana qubool karain
















        Mujhay ummid hay kay meri iss harkat per PEGHAM kay tamam member mujhay dua dain gain aur yeh meri NAIKI main shumaar hoga 372-haha

        Originally posted by munda_sialkoty View Post
        Wa Alaikum Aslam,

        Yeh aabi bhai aa ke bataein ge :hairdrayer:
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: **Naiki....1

          Originally posted by thefire1 View Post
          Kabhi khudh bhi kuch bol liya karain, iss baat per yeh nazraana qubool karain
















          Mujhay ummid hay kay meri iss harkat per PEGHAM kay tamam member mujhay dua dain gain aur yeh meri NAIKI main shumaar hoga 372-haha
          Sorry miyaan mein ne aabi bhai ka naam le lia. Ainda se tumhara naam he lia karon ga :hairdrayer:
          :thmbup:

          Comment


          • #6
            Re: **Naiki....1

            Originally posted by ummid View Post
            naiki karne ki wajah?? hume naiki ka hukm diya gaya hai... aapis mein bhi naiki karne ki hidayat dene ka hukm hai... aap logo ko hidayat karte hain naiki?? kaise??

            "naiki kar darya mein daal" waali baat aap ko kabhi sumjh aai?? ager aai tu aap ne kabhi amal kiya us per??:oldie:

            kabhi aisa howa koi naiki gale pari ho... LOl.... jis per aap ko afsoos ho ke yeh nahi karta or karti ho accha hota...

            "naiki aare aana".. jub hum kisi mushkil se nikal jaaye tu yeh baat kahi jaati hai.... aap ke saath kabhi aisa howa jub aap ko laga ho ke aap ki koi naiki aare aagai or aap ki jaan bach gai....teddy

            or bhi kuch naiki ki baatein karein...

            :rose
            Tumharay sawaalaat ke mukhtasir jawaabaat mandarja'zail hein.

            Naiki kerne ki waja = Internal satisfaction he.
            Is liye mein satisfaction hasil kerne ke liye naikiyan kerne ki kooshish kerta hoon. Allah apni bargah mein manzoor farmaye.

            Ziada tar naikiyan aisi he hoti hein jo "derya mein dalne" wali hoti hein. Kyoon ke aaj kul ke dour mein naiki ka sila to kuch milta nai he, is liye it is understood ke wo derya mein he dalni hein.

            Naiki ka galay perna...hmmm well as such koi aisa waqeya yaad nahi. haan albata kabi rahgeeron se naiki kerne ki kooshish karo aur unhein gari khari ker ke lift dene ki kooshish karo to wo durr jatay hein aur naiki kabool nahi kerte. Is liye ub yeh naiki kafi sooch samaj ke kerta hoon, koi lift mangay to he bithata hoon.

            Baki jo baatein zehan mein aaein gi batata chaloon ga. Tum gabrana nahi :hairdrayer:
            :thmbup:

            Comment


            • #7
              Re: **Naiki....1

              Iss baat per teen teen

              Kisi ka naam laina zaroori nahin, apnay khaylaat ka izhaar karain, mujhay aap ki salahiyat per koi shak nahin magar apni salahiyatoon ka sahi isitmaal karna seekhain, sorry Bro for being rude to you, it was an done very deliberately to see the reaction and I am really THANKFUL to you for taking it positive and sharing your valuable thoughts with us, Khush rahyeh :) Love you bro :)


              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Sorry miyaan mein ne aabi bhai ka naam le lia. Ainda se tumhara naam he lia karon ga :hairdrayer:
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: **Naiki....1

                Yeh hoyee naa Baat, THANKS for your comments aur mujhay yaqeen hay kay aap ki achi baatoon say mujh samait sab mustafeed hongain, khush rahyeh :)

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                Tumharay sawaalaat ke mukhtasir jawaabaat mandarja'zail hein.

                Naiki kerne ki waja = Internal satisfaction he.
                Is liye mein satisfaction hasil kerne ke liye naikiyan kerne ki kooshish kerta hoon. Allah apni bargah mein manzoor farmaye.

                Ziada tar naikiyan aisi he hoti hein jo "derya mein dalne" wali hoti hein. Kyoon ke aaj kul ke dour mein naiki ka sila to kuch milta nai he, is liye it is understood ke wo derya mein he dalni hein.

                Naiki ka galay perna...hmmm well as such koi aisa waqeya yaad nahi. haan albata kabi rahgeeron se naiki kerne ki kooshish karo aur unhein gari khari ker ke lift dene ki kooshish karo to wo durr jatay hein aur naiki kabool nahi kerte. Is liye ub yeh naiki kafi sooch samaj ke kerta hoon, koi lift mangay to he bithata hoon.

                Baki jo baatein zehan mein aaein gi batata chaloon ga. Tum gabrana nahi :hairdrayer:
                sigpic

                Comment


                • #9
                  Re: **Naiki....1

                  Walekum Salam:hii:
                  naiki wo jo mere dil ko lage k is kaam se Allah khush hon ge.or sile ki umeed par neki nahi karni chaey.sila Allah ki taraf se dil k sakoon ki surat milta he.or gale parne ka yaad nahi.or naiki k baad aksar sharmindagi bhi hoti he k jis ki help karo wo shukria ada karne lagte hen:shyy:jab k hamen ehsan man'na chaey un logon ka k wo ham se help lete hen or is waja se hamare koi ache amal bante hen

                  Comment


                  • #10
                    Re: **Naiki....1

                    Originally posted by thefire1 View Post
                    Iss baat per teen teen

                    Kisi ka naam laina zaroori nahin, apnay khaylaat ka izhaar karain, mujhay aap ki salahiyat per koi shak nahin magar apni salahiyatoon ka sahi isitmaal karna seekhain, sorry Bro for being rude to you, it was an done very deliberately to see the reaction and I am really THANKFUL to you for taking it positive and sharing your valuable thoughts with us, Khush rahyeh :) Love you bro :)
                    Originally posted by thefire1 View Post
                    Yeh hoyee naa Baat, THANKS for your comments aur mujhay yaqeen hay kay aap ki achi baatoon say mujh samait sab mustafeed hongain, khush rahyeh :)
                    َYaar aap mujay bohat sharminda kerte hein aur yeh koi achi baat nahi :shyy:
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #11
                      Re: **Naiki....1

                      Originally posted by ummid View Post
                      Asalamaalaikum :hairdrayer:

                      ummid hai sub khairyat se honge

                      aap naiki ko kaise define karein?? ya naiki aap ke liye kya hai?? :think:

                      naiki karne ki wajah?? hume naiki ka hukm diya gaya hai... aapis mein bhi naiki karne ki hidayat dene ka hukm hai... aap logo ko hidayat karte hain naiki?? kaise??

                      "naiki kar darya mein daal" waali baat aap ko kabhi sumjh aai?? ager aai tu aap ne kabhi amal kiya us per??:oldie:

                      kabhi aisa howa koi naiki gale pari ho... LOl.... jis per aap ko afsoos ho ke yeh nahi karta or karti ho accha hota...

                      "naiki aare aana".. jub hum kisi mushkil se nikal jaaye tu yeh baat kahi jaati hai.... aap ke saath kabhi aisa howa jub aap ko laga ho ke aap ki koi naiki aare aagai or aap ki jaan bach gai....teddy

                      or bhi kuch naiki ki baatein karein...

                      :rose
                      W sallam.....

                      har wohh chezze jiss sayy aap satisfied hooo..yaa phir aap koo wohh kaam karrnnay sayy dillii sakkoon millayy,,,

                      woh naikii haii
                      "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                      Comment


                      • #12
                        Re: **Naiki....1

                        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                        Comment


                        • #13
                          Re: **Naiki....1

                          :jazak:
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #14
                            Re: **Naiki....1

                            Thanx all :rose

                            Comment


                            • #15
                              Re: **Naiki....1

                              Asalamaalaikum :hairdrayer:
                              walaikum salam

                              ummid hai sub khairyat se honge
                              yeah! Alhumduilllah

                              aap naiki ko kaise define karein?? ya naiki aap ke liye kya hai?? :think:
                              Koi bhi acha kaam (even iss thread mey reply kerna bhi aik acha kaam hai :P )
                              acha kaam includes saarey achey kaam, including dua kerna, achi baat kerna , waqt ka khayal rakhna merey liye sab naiki mey ata hai, baaz naikiyan aap log k sath kertey hein aur baaz naikiyan khud k sath :-D


                              naiki karne ki wajah?? hume naiki ka hukm diya gaya hai... aapis mein bhi naiki karne ki hidayat dene ka hukm hai... aap logo ko hidayat karte hain naiki?? kaise??
                              - naiki kerney ki waja ye hai k mujhey achey kaam kerney achey lagtey hein :-D
                              - achey kaam kerney k liye kehti rehti hun

                              "naiki kar darya mein daal" waali baat aap ko kabhi sumjh aai?? ager aai tu aap ne kabhi amal kiya us per??:oldie:

                              - nahi kabhi iss mahawrey per nahi socha hai, lekin mey bas kaam kerti hun aur baat khatam....

                              kabhi aisa howa koi naiki gale pari ho... LOl.... jis per aap ko afsoos ho ke yeh nahi karta or karti ho accha hota...
                              Nahi kabhi aeysa nahi hua hai

                              "naiki aare aana".. jub hum kisi mushkil se nikal jaaye tu yeh baat kahi jaati hai.... aap ke saath kabhi aisa howa jub aap ko laga ho ke aap ki koi naiki aare aagai or aap ki jaan bach gai....teddy
                              Mmmm, haan bas aik baar khayal aya tha....hua ye tha k ghar sey nikaltey huye aesey hi bhai sey poocha k tumhein ghar seys nikalney ki dua yaad hai, he said k haan aur thori si yaad thi ussey aur thori bhool gaya tha magar phir merey sunaney pe uss ko yaad aa gai ...aur ghar sey nikalney sey ley ker adhey rastey tak ham yahi baat ker rahey they k duaein kaisey insaan ki zindagiyon per aik acha asar daalti hein ....aur phir kuch deyr baad hamara khud ka accident hotey hotey reh gaya :-$


                              or bhi kuch naiki ki baatein karein...

                              :rose
                              aur naiki ki baatein?? .... bas ye k din mey bohot saari baatein hamarey zehan mey hoti hein, aik ye baat bhi zehan mey honi chahiye k aaj mey kitni naikiyan ker sakta/sakti hun....kaheen bhi choti si bhi naiki kerney ki opportunity miley tau uss ko zaya na honey dein...
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment

                              Working...
                              X