Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Try Try again

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Try Try again

    Originally posted by safia View Post
    aap kia soch rahe ho?
    Nothing, but just considering your miscellaneous thoughts.
    :thmbup:

    Comment


    • #32
      Re: Try Try again

      Originally posted by saraah View Post
      agreed agreed agar ummid ki trah experiments k liye time ho tou zaroor krnay chahiyen experiments :lol
      wese ummid thank u im also going to do one :wink
      ager aap apne liye kuch karna chahte hain tu waqt ki kumi kabhi nahi hoti....

      Comment


      • #33
        Re: Try Try again

        Walaikum Assalaam

        Insaan bohat jald baaz hota hay kiyonki yehi fitrat-e-insaani hay, woh chahta kay jald az jald result aayay aur woh bhi uss ki marzi ka!!!

        Mera zaati tareeqa yeh raha hay kay main jiss kaam ki thaaan laita hoon us ko karnay main jitna mumkin hoo koshsih kar laita hoon aur phir baaqi ALLAH SWT per chouR daita hoon, aisa karnay say mera dil mutmayeen hojaata hay kay main nay khoob try kar lee ab uska hona na hona ALLAH SWT per hay, bas meri koshish poori lagan aur imaandaari say hoti hay, main result ka intizaar karta hoon, jald baazi say kaam nahin laita kuch kaam jaldi hojatay hain kuch dair say, mera yeh manna hay kay duniya main har kaam apnay WAQT per hi thik lagtay hain aur har kaam ka aik waqt muqarrar hay aur usay usi waqt hona hay, kabhi faisaly humaray haq main hotay hain aur kabhi nahin hotay, aisay bhi DISAPPOINT nahin hona chayeh bas ALAHMDULLILAH keh kar munasib waqt ka intizaar karna chayeh. Luck dainay waali zaat bhi tou wohi hay na tou phir kiyon qismat ko kharab kehna ya kismat ko acha kehna, ALLAH SWT per TAWAKKAL karna bohat zaroori hay!

        May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

        Fi amaan ALLAH


        Originally posted by Aanchal View Post
        assalamalikum
        koi kaam na hoo raha ho to kehtay hain kay try try again ...hoo jaye ga ....chorna nahi
        buhat say kaam aisay hian jo try try again karnay kay bad bhi nahi hoo patay ....to ham yeh kaha jata hai kay hamari qismat main nahi hai yeh cheez/kaam ka hona .behtar hai isay choor kay or kaam kia jaye......to aisay main pher yeh try try agian wala formula to ghalat howa na ?
        sawal yeh hai kay try try agian ...or ...luck ....kis waqat insaan ko yeh fasila kar leena chaye kay yeh try try agian nahi luck wala mamla hai ..or try try agian karta raha to zindagi aisay guzar jani hai ..........or luck pay aksar cheezian bagheer mehnat kay bhi mill jati hain ....
        sigpic

        Comment

        Working...
        X