Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

gheebat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • gheebat

    gheebat (backbiting) kahte hain k it is a sin of tongue....... quraan mein gheebat kay baray mein wazih verses hain where clear punishment is mentioned..............

    bus poochna yeh k aap log din mein kitnay logon ki backbiting karte hain???
    agar nahi karte tu uss ki wajah kiya hai??

    kia possible hai iss society mein hum backbiting na karein??

    aur kis tarah se hum backbiting se avoid karsakte hain??
    sigpic

  • #2
    Re: gheebat

    gheebat karna bohat bohat buri baat he...me puri koshish karti hun is se bachne ki...zeada tar me akele rehti hun to kafi had tak is se bachi rehti hun lekin jahan log ikathe hon wahan na chahte huey bhi shamil hona parta he kiun k sun'na bhi gunah hota he,lekin mujhe bohat dar lagta he gheebat karne se372-scare

    Comment

    • #3
      Re: gheebat

      Originally posted by safia View Post
      gheebat (backbiting) kahte hain k it is a sin of tongue....... quraan mein gheebat kay baray mein wazih verses hain where clear punishment is mentioned..............

      bus poochna yeh k aap log din mein kitnay logon ki backbiting karte hain???
      agar nahi karte tu uss ki wajah kiya hai??

      kia possible hai iss society mein hum backbiting na karein??

      aur kis tarah se hum backbiting se avoid karsakte hain??
      achha topic hai. Jabhi thread itna sunsaan hai 372-haha

      Aksar aisa hota hai Safia keh ham log na chahtey huwey bhi doosron ki zaat per batein kartey hain - apni tarf sey ham ussey gheebat nahin samajhtey balkeh aam roz marrah ki batein kehtey hain, magar gheebat sey door nahin hotin.

      Dil ka haal kya hai? Dil ka haal koi nahin jaan sakta. Yehi wajah hai keh aksar woh batein jo hamarey nazdeek biyaan karna zaroori hoti hai, woh gheebat ban jati hain.

      Meri fitrat hai keh main kisi aik insaan sey kisi doosrey insaan ki baat nahin karta - chahey woh achhi ho keh buri - awwal to main ney duniya ko bohat qareeb sey dekh ker chhorr diya hai - ab mera bohat hi kam, ya yun keh lijiyey keh shayid aik ya do afraad sey gehra ta'aluq ho ga, aur un sey main ney kabhi kisi doosrey ki baat nahin ki keh kahin gheebat ka ghumaan ho - baqi Wallah Allam - aur wohi muaf karney wala hai..
      Last edited by Masood; 1 February 2010, 14:45.
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #4
        Re: gheebat

        Originally posted by Masood View Post

        bilkul thek kaha aap ny :thmbup:

        Comment

        • #5
          Re: gheebat

          Originally posted by Nadia khan View Post
          bilkul thek kaha aap ny :thmbup:
          achhaaa? merey kitney paisey baney :D
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: gheebat

            12 aanay :lol

            Originally posted by Masood View Post
            achhaaa? merey kitney paisey baney :D
            sigpic

            Comment

            • #7
              Re: gheebat

              Assalaam-O-Alaikum

              Aik aur bohat hi achi baat aur achay thread kay aghaaz kay liye mubarakbaad qubool kijeyey, issi tarah kay topic hi humain apni zindagi sanwaarnay main madadgaar sabit hotay hain.

              GHEEBAT karna waqayi aik bohat hi baRa gunah hay aur pichlay dinoo Mr. Khan nay quiz section main bhi aik sawaal kia tha Nabi-e-Karim SAW ki hadees ka hawala day kar uss main bhi isi baat ka zikar tha kay GHEEBAT karnay waala insaan sab say gunahgaar hota hay.

              GHEEBAT insanoon ko aik dosray say door kar kay nafrat kay aisay kaantay chibooti hay jiss say kayi ghar barbaad hosaktay hain!!

              Meri humesha koshish hoti hay kay agar meray saamnay koi kisi ki bhi gheebat karta hay tou main usay foran rok daita hoon taakay woh mazeed baat na karay, baaqi zindagi main zaati mashgholiyat hi itni ziyada hain kay gheebat jaisi ghatia chesson kay liye time hi muyassir nahin jisay main apni KHUSHNASEEBI jaanta hoon.

              Haan agar kisi ki burai ko nazar andaaz kar kay kisi ki ACHAYII ko main zaroor manzar-e-aam yaa zair-e-behas laata hoon kay jisay apna kar aur jaan kar auroo ki zindagi munawaar hoo!

              may ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

              FI Amaan ALLAH

              Originally posted by safia View Post
              gheebat (backbiting) kahte hain k it is a sin of tongue....... quraan mein gheebat kay baray mein wazih verses hain where clear punishment is mentioned..............

              bus poochna yeh k aap log din mein kitnay logon ki backbiting karte hain???
              agar nahi karte tu uss ki wajah kiya hai??

              kia possible hai iss society mein hum backbiting na karein??

              aur kis tarah se hum backbiting se avoid karsakte hain??
              sigpic

              Comment

              • #8
                Re: gheebat

                Originally posted by Masood View Post
                achha topic hai. Jabhi thread itna sunsaan hai 372-haha
                me ko tu bus yahii kaam ki baat lagii.......372-haha
                .......................!!!!!

                Comment

                • #9
                  Re: gheebat

                  btana zrori hai ka372-scare

                  Comment

                  • #10
                    Re: gheebat

                    Originally posted by safia View Post
                    gheebat (backbiting) kahte hain k it is a sin of tongue....... quraan mein gheebat kay baray mein wazih verses hain where clear punishment is mentioned..............

                    bus poochna yeh k aap log din mein kitnay logon ki backbiting karte hain???
                    agar nahi karte tu uss ki wajah kiya hai??

                    kia possible hai iss society mein hum backbiting na karein??

                    aur kis tarah se hum backbiting se avoid karsakte hain??
                    Mein achi buri baat moun pe kerne kay haq mein hoon aur aisa kerta hoon. Baki in particular typical gheebat ki sense mein kabi kisi ki gheebat nahi ki
                    :thmbup:

                    Comment

                    Working...
                    X