Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~ Imtihaan ~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~*~ Imtihaan ~*~

    walailkum salam,

    What if.....
    What if.....
    What if ....
    What if....
    and
    What if....

    bas in baaton/imtehanaat sey ghabra jati hun, baqi sab theek hai Alhumdulillah ...
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #17
      Re: ~*~ Imtihaan ~*~

      Originally posted by Masood View Post
      Assalamo Allaikum

      Ham log zindagi mein bohat sarey imtihano sey guzartey hain, balkeh zindagi ba'zaat-e-khud aik imtihan hai. Yeh zindagi khatam ho jati hai magar imtihaan nahin...

      Yeh btaiyey keh aap zindagi mein aisey kaun kaun sey imtihaan hain jin sey ghabratey hain?

      Kya aisa koi imtihaan hai jisko hal karney sey aap ko khof aata hai?

      Madrisey, School, College, Uni mein aisey kaun sey subjects they jin key imtihano sey aap ko khof aata tha ya jinhein detey waqt aap ko pareshani hoti thi?

      In best Zinia-way.... SHOOT IT
      Wa Alaikum Aslam,

      school/college level mein Imtehan se kabi nahi gabrata tha, haan mehnat se zaroor jaan churata tha lekin mein hameesha lead kerta tha studies mein.

      Mujay ager thoora bohat difficult subject lagta tha wo tha arabic, us ki waja yeh bhi thi ke mein is subject ko bilkul bhi time nahi deta tha, hameesha class mein he kabi wark gardani kerta tha. Baki mujay kabi kisi subject mein kabi masla nai hoa. balke mein to khud doosron ke maslay hal kerta tha :hairdrayer:

      aur zindagi ke kisi imtehaan se gabrata nahi hoon, haan is baat se gabrata hoon ke zindagi kisi aisay imtehaan mein na dal de jis mein nakaami ho
      :thmbup:

      Comment


      • #18
        Re: ~*~ Imtihaan ~*~

        Originally posted by Masood View Post
        Assalamo Allaikum

        Ham log zindagi mein bohat sarey imtihano sey guzartey hain, balkeh zindagi ba'zaat-e-khud aik imtihan hai. Yeh zindagi khatam ho jati hai magar imtihaan nahin...

        Yeh btaiyey keh aap zindagi mein aisey kaun kaun sey imtihaan hain jin sey ghabratey hain?

        Kya aisa koi imtihaan hai jisko hal karney sey aap ko khof aata hai?

        Madrisey, School, College, Uni mein aisey kaun sey subjects they jin key imtihano sey aap ko khof aata tha ya jinhein detey waqt aap ko pareshani hoti thi?

        In best Zinia-way.... SHOOT IT
        mein tu her imtihaan se ghabarati hoon vo zindgi ka imtihan ho ya math ka parcha ho............
        sigpic

        Comment


        • #19
          Re: ~*~ Imtihaan ~*~

          exam phobia... :shyy:... jub prepration puri ho tub me ko ghabrahat hoti hai.... jub kuch bhi prepare na kiya ho tu me bilkul nahi darti... :lol...

          wiase kisi nazam ki yeh aakhir ki line yaad aa gai

          "zindagi ke parche ke sub sawaal laazim hai... or sub sawaal mushkil hai..."

          puri nazam yaad nahi ab.... :think:

          Comment


          • #20
            Re: ~*~ Imtihaan ~*~

            Originally posted by ummid View Post

            "zindagi ke parche ke sub sawaal laazim hai... or sub sawaal mushkil hai..."

            muqarrar muqarrar....

            Comment


            • #21
              Re: ~*~ Imtihaan ~*~

              Originally posted by MSA View Post

              muqarrar muqarrar....
              ...
              finally I manage to recollect this poem..


              waqt ki adalat mein,
              "zindagi" ki surat mein,
              yeh jo tere haatho mein,
              ek sawaal namah hai...
              kis ne yeh banaya hai?
              kis liye banaya hai?
              zindagi ke parche ke...
              sub sawal laazim hai...
              or sub sawaal mushkil hai...

              Comment


              • #22
                Re: ~*~ Imtihaan ~*~

                Originally posted by ummid View Post
                ...
                finally I manage to recollect this poem..

                waqt ki adalat mein,
                "zindagi" ki surat mein,
                yeh jo tere haatho mein,
                ek sawaal namah hai...
                kis ne yeh banaya hai?
                kis liye banaya hai?
                zindagi ke parche ke...
                sub sawal laazim hai...
                or sub sawaal mushkil hai...
                zindagi ke parche ke...
                sab sawaal laazim hain...
                sab sawaal mushkil hain...
                be nigah aankhon se
                dekhta hon parche ko....
                be khayal hathon se....
                in bune lafzon per ...
                ungliyan ghumaata hon....
                hashiye lagaata hoon....
                daaire banata hoon.....
                ya sawaalname ko
                dekhta hi jaata hoon....


                Comment

                Working...
                X