Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Correct name of Haleem

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Correct name of Haleem

    Asalam o alikum all,

    pchle dinon ek SMS mausol hua socha ap doston se share karon. Baat to choti si hai lekn humain khiyal rakhna zarori hai.

    Haleem ALLAH SUBHAN O TALA ka naam hai aur hum ne isse ek khane ki dish ka naam de dia hai. Aur hum kuch iss tarah khte rehte hai. Haleem pak rha hai, haleem ko kha rhe hain, haleem kab bane ga. To kia ye ALLAH SUBHAN O TALA ke naam ki beadbi nhi hai.

    Haleem ka asal naam Daleem hai jo ke dalye se nikla hai. So barem e harbani iss ka khas khiyal rakhein aur koshish karain ke Daleem ko uss ke sahi naam se mukhatib karain.
    Last edited by pakgates; 26 January 2010, 08:53.

  • #2
    Re: Correct name of Haleem

    :salam: App Kah to Theek Rahay Hain Laykin Kia yah Lafz Daleem Urdu Dictionary Main Inhi mainon Main Istiaml Howa hay? :rose
    Last edited by S.Athar; 26 January 2010, 09:42.
    :star1:

    Comment

    • #3
      Re: Correct name of Haleem

      :thmbup:
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment

      • #4
        Re: Correct name of Haleem

        Originally posted by SAZ View Post
        :salam: App Kah to Theek Rahay Hain Laykin Kia yah Lafz Daleem Urdu Dictionary Main Inhi mainon Main Istiaml Howa hay? :rose
        bro agar nhi bhi hua hai to bhi kia ap samajhte hain ke Haleem khna durust hai

        Comment

        • #5
          Re: Correct name of Haleem

          Walaikum Assalaam PakGates

          Jahan tak mera mutalaa kehta hay woh yeh hay jissay Mirza Anees nay apni kitaboon main bhi darj kia hay kay HALEEM arabic kay lafz LAHAM say nikla hay jiss kay mainay GOSHT hotay hain, aur sab say pehlay yeh term Iraq main istimaal hoyee thi aur LAHAM say hota hota yeh HALEEM ban gaya INDIA-PAK poohanch kar. Iss ka ALLAH SWT kay naam say kuch laina daina nahin hay aur sab say baRh kar aik baat ka khayal rakhna chayeh kay humaray har amal ka dar-o-midar humari niyaatoon per hota hay, hum jab HALEEM pukartay hain tou uss main asal maqsad HALEEM hi hota hay na kay NA-AUZUBILLAH ALLAH SWT kay PAK NAAM ki BAYADBI.!

          Aur jahan tak DALYE ka sawaal hay tou yeh Kurd aur northern turk main say nikla hay orginal word DAL say aur India-Pakistan aatay aatay DAL ban gaya (actually Dalya kharab nahin hota issi liye yeh jangoo main istimal hota tha).

          May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

          Fi Amaan ALLAH
          sigpic

          Comment

          • #6
            Re: Correct name of Haleem

            Originally posted by thefire1 View Post

            aap ki baat theek lagti he

            Comment

            • #7

              bhai apki research ka to mjhe ilm nhi lekn bro Haleem ALLAH ke namon mei se ek naam hai aur hamari yeh adat ho gie hai ke hum ALLAH ke naam ko aesi hi pukarte hain, maslan hum Majid pukarte hai jab ke hmain AbdulMajid pukarna chahiyay.

              Comment

              • #8
                Re: Correct name of Haleem

                daleem bolnay main kia harj hay pai Ali
                Last edited by _Dard_Aashna_; 26 January 2010, 22:27.
                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                Comment

                • #9
                  Re: Correct name of Haleem

                  thax 4 correcting us
                  میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

                  Comment

                  • #10
                    Re: Correct name of Haleem

                    Assalaam-O-Alaikum

                    PakGates, jiss andaaz main hum aur jiss niyat say hum haleem kehtay hain woh bilkul mukhtalif hain ALLAH SWT kay naam HALEEM main baqaida halaq say HAY ki awaaz nikal kar HALEEM kaha jaana chayeh aur haleem ko hum DO CHASMAY WAALAY haay ki awaaz nikaaltay hain... magar talafuz kay saath saath humari niyaat ka shumaar bhi hota hay.

                    Baaqi main aap ki baat say bilkul agree karta hoon kay ALLAH SWT kay namoon ka ehtiraam hum sab FARZ hay aur humain iss ki bayadbi nahin karni chayeh.

                    Abdul Majid, Abdul Kareem, Abdul Manan waghaira aur aisay hi ALLAH SWT kay naam say jab kisi insaan ko mukhatib karain tou ABDUL ka istimaal zaroor karain.

                    Aik aur baat main nay SAUDI main note ki jisay hum PAKISTAN main follow nahin kartay... jaisay ABDUL RASOOL, saudi hukumat Adbul Rasool ko Abd Rab Rasool, kay naam say pukartay hain.....!!!

                    May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                    Fi Amaan ALLAH

                    Originally posted by pakgates View Post
                    bhai apki research ka to mjhe ilm nhi lekn bro Haleem ALLAH ke namon mei se ek naam hai aur hamari yeh adat ho gie hai ke hum ALLAH ke naam ko aesi hi pukarte hain, maslan hum Majid pukarte hai jab ke hmain AbdulMajid pukarna chahiyay.
                    sigpic

                    Comment

                    • #11
                      Re: Correct name of Haleem

                      :)

                      Originally posted by _Dard_Aashna_ View Post
                      daleem bolnay main kia harj hay pai Ali
                      sigpic

                      Comment

                      Working...
                      X