Assalamo allaikum :)
Umeed hai keh sab hazrat ba'fazl-e-Khuda khair khairiyat sey hongey.
Ham ney Pegham ka server change karney ka faisla kiya hai aur saath hi Pegham key software ko update karney ka socha hai.
Is sey Pegham per kuchh tabdeeliyaan aaein gi. Un mein sey aik Pegham ki face hai, jo keh badli jaa rahi hai.
Kuchh naey functions install kiyey jaa rahey hain. Kuchh naii facilities aaein gi.
Magar unfortunately jahan naii cheezein aati hain, wahan kuchh purani cheezon ko khona parrta hai.. jin cheezon ko hamein khona parr raha hai un mein:
Wajah yeh hai keh vBulletin ka jo neya software version hai, vBSuite 4.0 us mein vBulltin ki script writing change ki gaii hai. Aur jitney bhi puraney hacks aur modifications install ki gaii hain, woh khatam karni parrti hain, warna update mein errors aati hain.
Jab ham Pegham key naey server ko introduce karein gey, aur us per move honge, to mujhey umeed hai keh aap hazraat in baton ko samajhein gey aur in tabdeeliyon ko qabool karein gey..
Admin

- Posted thanks/thanked
- Shared YouTube Videos
- Some games settings
- Shared software links in LDManager
- etc...

Comment