Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Islah

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Islah

    Asalam alaikum,

    Agar aap k kisi friend sey koi ghalti ho jaye, tau aap uss ki islah kaisey kertey hein?

    Agar kisi aesey shaks sey ghalti ho jaye jis sey aap ka koi wasta nahi, tau tab aap uss ki islah kaisey kertey hein?

    Aur in general: Aik insaan ki kisi bhi ghalti ki islah ka koi tareeqa qaar kya hota hai? kya hona chahiye?
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Islah

    Walaikum Assalaam

    Inn sab ka mukhtasran aik hi jawaab hay aur woh hay KHUSH IKLAAQI say TANHAI main!!! (yehi tareeqa humaray pyaray Nabi SAW ka tha jo sab say BETHREEN aur aala, mera khudh ka azmaya hua bhi hay)

    May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

    Fi amaan ALLAH
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Islah

      Originally posted by Z. View Post
      Asalam alaikum,

      Agar aap k kisi friend sey koi ghalti ho jaye, tau aap uss ki islah kaisey kertey hein?

      Agar kisi aesey shaks sey ghalti ho jaye jis sey aap ka koi wasta nahi, tau tab aap uss ki islah kaisey kertey hein?

      Aur in general: Aik insaan ki kisi bhi ghalti ki islah ka koi tareeqa qaar kya hota hai? kya hona chahiye?
      waalikum asslam

      friend se baat krna tou kaafi asaan hota hai
      ..baqi yehi k pehlay aap uss shakhs se mohabbat kro phir islah ,mohabbat k bina islah na krna....yeh me ne kahin parrha thaa...agr iss ''mohabbat'' ki smjh na aaye tou i wl discuss later.
      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

      Comment


      • #4
        Re: Islah

        Walekum Salam:hii:
        bohat piyar se,alag se or ye mehsoos kraey bina k ap ghalti ki islah karne ja rahe hen,dostana tareeke se

        Comment


        • #5
          Re: Islah

          Originally posted by Z. View Post
          Asalam alaikum,
          Agar aap k kisi friend sey koi ghalti ho jaye, tau aap uss ki islah kaisey kertey hein?
          Agar kisi aesey shaks sey ghalti ho jaye jis sey aap ka koi wasta nahi, tau tab aap uss ki islah kaisey kertey hein?
          Aur in general: Aik insaan ki kisi bhi ghalti ki islah ka koi tareeqa qaar kya hota hai? kya hona chahiye?
          w/salam.

          pehlay to yeh daikhta hooN kay waqai usi ki GHALTI hai ya mujhay ghalat'fehmi ho rahe hai :think:

          agar ghalti par ho to amoman sawal poch kar usay khud ghour karnay kay leay choR dayta hooN, agar woh mery sawal ka jawab day to baat aagay baRha dayta hooN aur agar mery sawal ka goul moul jawab day to mitti pao :garmi: (friend aur ghair dono kay leay yahe hai)

          zahir hai jo tareqa'kar mera hai wohe behtareen hai :hphp:

          aik aur bhi chiz hai par woh maiN abhi nahe bata sakta 372-scare
          That's Enough...!!

          Comment


          • #6
            Re: Islah

            Originally posted by Z. View Post
            Asalam alaikum,

            Agar aap k kisi friend sey koi ghalti ho jaye, tau aap uss ki islah kaisey kertey hein?

            Agar kisi aesey shaks sey ghalti ho jaye jis sey aap ka koi wasta nahi, tau tab aap uss ki islah kaisey kertey hein?

            Aur in general: Aik insaan ki kisi bhi ghalti ki islah ka koi tareeqa qaar kya hota hai? kya hona chahiye?
            Wa allaikum salaam

            Ghalti kisi dost sey ho ya apney sey, kisi ajnabi sey ho ya jaan pehchan waley sey - merey mutabiq sab sey zaroori amar yeh hona chahiyey keh us ki ghalti per ussey sharmindah karney ki bjaey ya uski tohzeek karney ki bjaey us per sabar-o-tahamul sey baat ki jaey, aisey andaaz mein keh ussey apni ghalti per nadamat na ho, balkeh uska ehsaas ho. Woh aap ki baat ko samjhey aur phir ghalti ko maaney aur us sey aaindah door rehney ki koshish karey..

            Aik baat jo haqeeqat hai keh koi insaan us waqt tak samajh nahin sakta, jab tak woh khud samajhney key qabil na ho - jo na samajhna chahta hoon ussey aap kisi bhi taur samjhaa nahin saktey :)
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            Working...
            X