Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aakhir kab taq!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aakhir kab taq!!!

    Asalam o alikum all,

    Kuch chezin jo mhje achi nhi lagti aur mei sochta hon ke ap bhi inhain note karain aur koshish karain ke inhain tabdel karain
    • Kiun hum khud kachra road par phenk dete hain aur kisi dosre ko apna ghar kharab krne nhi dete
    • Kiun hum line bana kr chezain kiun nhi krte
    • Kiun hum road par patience ka muzahira nhi krte
    • Hum ghalat kam khud krte hain dosron ko na krne ki talqen krte hain
    • Hum rishwa khule aam dete hain aur bare khush ho kr batate bhi hain

    Meri ap sab se ye request hai ke agli bar jab ap kisi ko yeh chezain krte dekhain to zaror mana karain aur koshish karain ke khud bi iss se perhaiz karain

    Pakistan hum sab ka ghar hai aur ghar ka khiyal ghar wale nhi rakhenge to kon rakhe ga
    Last edited by pakgates; 14 January 2010, 10:45.

  • #2
    Re: Aakhir kab taq!!!

    Walaikum Assalaam PakGates

    Bohat hi khoobsurat topic ka aghaaz kia hay, 4 mahinoon main this is one the most favoutire thread that you have posted although there are many other favourites too. CONGRATULATIONS :)

    Main bhi iss kay baaray main sochta hoon aur waqayi inn sab cheezon ko avoid bhi karta hoon taakay hum mil kar achi aur saaf suthri society ka aghaaz karain.

    Kuch qusoor logon ki menatality ka aur kuch qusoor Government kay control ka... main aap ko iss ki misaal daita hoon, main nay aksar bahar mumalik kay dooray oer note kia hay particularly in Singapore.... majal hay kisi shakhs ki kay koi kachra zemeen per phaykay, driving rules toRay... itna Government control hay wahan jiss ki waja say logon main bhi aik khoof hota hay, hum traffic qanoon ka kia ahtraam karain gain jab hum traffic police ka hi ehtiraam nahin kartay!!!

    Thank you once again for giving us something really SERIOUS to think about, khush rahyeh

    May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

    Fi Amaan ALLAH
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: Aakhir kab taq!!!

      Originally posted by thefire1 View Post

      hosla afzai ka shukriya bro. See yehi to problem hai hum dosron ko kehte rehte hain, hum khud nhi dekhte hum kia kr rahe hain. Qasor hamara hai to koshish karain ke agar koi ghalat baat kate to usse reken taqe usse ehsas ho ke Pakiastan hum sab ka ghar hai.

      Comment

      • #4
        Re: Aakhir kab taq!!!

        achi tarbeyat +Govt ka role donoo a jatay hian is main ....har banda apnay aap ko sahi kar lay to baki cheezian bhi sahi hoti jaian gee ..:thmbup:
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment

        • #5
          Re: Aakhir kab taq!!!

          :rose
          Originally posted by pakgates View Post
          Asalam o alikum all,

          Kuch chezin jo mhje achi nhi lagti aur mei sochta hon ke ap bhi inhain note karain aur koshish karain ke inhain tabdel karain
          • Kiun hum khud kachra road par phenk dete hain aur kisi dosre ko apna ghar kharab krne nhi dete
          • Kiun hum line bana kr chezain kiun nhi krte
          • Kiun hum road par patience ka muzahira nhi krte
          • Hum ghalat kam khud krte hain dosron ko na krne ki talqen krte hain
          • Hum rishwa khule aam dete hain aur bare khush ho kr batate bhi hain

          Meri ap sab se ye request hai ke agli bar jab ap kisi ko yeh chezain krte dekhain to zaror mana karain aur koshish karain ke khud bi iss se perhaiz karain

          Pakistan hum sab ka ghar hai aur ghar ka khiyal ghar wale nhi rakhenge to kon rakhe ga
          :salam: Main Kaie Dino Say soch Raha tha K 1 Tajviz paysh karon Laykin kise Na kise Wajha say rah jate tee.Ajj ap K Thread main yah Tajvez dayna choahonga.
          Ham Log Pegham par Aa kar Sommun,Bukmun Ho jatay Hian Jayse pakistan Mia koie Masala hay He nahi or apni apni Gapin Laga kar chaly jaty Hain to Kion na Pg par 1 Section "Halatiy Hazra" k Mozon par ho jis Main Kuch Asol-o-Zawabit K that Maslan,(Kisi Ko Gadar,kafir,Yah Pakistan K Khilaf) Bat na ki jaiy.Blaky Munasib ilfaz Main apna Noqtaiy nazr Pash kia jaiy.Oumed hay Is bary Main Sanjege say gor kia jaiy ga. :rose
          :star1:

          Comment

          • #6
            Re: Aakhir kab taq!!!

            Originally posted by SAZ View Post

            yeh he section

            Behas-o-Mubahisa aur Halat-e-Hazira

            Comment

            • #7
              Re: Aakhir kab taq!!!

              Originally posted by pakgates View Post
              Asalam o alikum all,
              Kiun hum khud kachra road par phenk dete hain aur kisi dosre ko apna ghar kharab krne nhi dete
              • Kiun hum line bana kr chezain kiun nhi krte
              • Kiun hum road par patience ka muzahira nhi krte
              • Hum ghalat kam khud krte hain dosron ko na krne ki talqen krte hain
              • Hum rishwa khule aam dete hain aur bare khush ho kr batate bhi hain

              Meri ap sab se ye request hai ke agli bar jab ap kisi ko yeh chezain krte dekhain to zaror mana karain aur koshish karain ke khud bi iss se perhaiz karain
              Pakistan hum sab ka ghar hai aur ghar ka khiyal ghar wale nhi rakhenge to kon rakhe ga
              Walaikum Assalam...

              pata nahi kyun mera dil chah raha he aise topic pe reply kurne ka...

              kher u ne jo batein likhi he wo sab theakh he...bilkul aisai hona chahie...lekin practically aisa posible nahi hosakta, 100% implement nahi hosakta...

              app ne kaha rishwat na lein na dein....aik govt officers jub retire hota he to us ko govt ki taraf se kuch ammount milta he i guess sub ko maloom hoga....us ki clearification k lie app k pas kuch documents hone chaihe...jo k main office se nikalte he...aik general bat bata raha ho...aur yeh hakekut he....10-15 lac k around amount bunta he agur kisi officer ka to usse har hal me 1-1.5 lac ruppae kharch kurne parte he...aur yeh kisi law me nahi he dena...ab agur wo rishwat na de to usse us ka haq nahi mile ga...to kia aise situation me wo rishwat nahi de ga???

              jaise awam hoti he waisae hukmaran aatae he...aur hukmaran agur corrupt ho to awam bhi corrupt hojati he...to matlab yeh hua k dono, awam aur hukmaran apus me linked he...kisi aik ko sahi hona pare ga, tabhi dosra bhi sahi hoga......he na??

              to 17 crore logo ka sahi hona zyada asaan he ya 2-2.5 hazaar hukmarano ka..???:donno:

              bus mujhe aisa lagta he....

              Comment

              • #8
                Re: Aakhir kab taq!!!

                Walekum Salam:hii:
                good topic:thmbup:
                ap ki sari baten theke hen hamen sab se pehle khud ko theek karna chaey,baki last days rishwat nahi di to 3 hours aik like me lag kar apna kaam karwaya,kuch documents theek karwane the tab.lekin wahan serf yehi ehsas hua k ham awam ki kis qadar tazleel ki jati he.ham jitne bhi tawun kar len ye sab hukmaran kute ki dum jese hen,ese hi rahen ge tehre.abhi ajkal mera dil shadeed nafrat k jazbaat se ubal raha he,railway line par 11 bache kat kar mar gaey or us ghalti ko koi own karne par tyar nahi.besharmi ki had.or usi din sadar sahab lahore jate hen,puri baraat le kar,sara city pack.aik admi k leay itna kuch or ham jo tex dete hen,har cheez mehngi kar k ham tak pohanchti he un k bachon k leay koi protection nahi.phir de dete hen fi bacha 5/5 lakh.ye qeemat he hamari
                koi bataey ga k zardari ka beta mare ga to kitne qeemat pare gi??gelani,nawaz,shehbaz ,balor in sab ki oladen kitne kitne lakh me hon gi.hadees he k insan besharam ho jaey to jo marzi karta phire..yehi haal he in ka:fuming:
                nahi ye sab ese theek nahi ho ga....in sab ko bijli k polls par latkaya jaey ga tabhi kuch sudhre ga372-shed

                Comment

                • #9
                  Re: Aakhir kab taq!!!

                  Asalam o alikum all,
                  Wa Alaikum Aslam and congratulation for starting thoughtful topic.
                  • Kiun hum khud kachra road par phenk dete hain aur kisi dosre ko apna ghar kharab krne nhi dete
                  • Mujay yeh kaam bohat bura lagta he. Mein ager gari mein bubble bhi khaoon to bhi wrapper apni pocket mein rakh leta hoon aur ghar ja ke dustbin mein phainkta hoon. Sub ko soochna chahiye ke Safai nisaf emaan he aur yeh safai sirf apnay jism ki he nahi honi chahiye bulke yeh word kafi broader sense mein use kia gaya he. Meri sis ne aik baar icecream kha ke window se cup road per phaink dia, aur mein ne usay is baat per acha lecture dia, baki ghar walay bhi saath mein samaj gaye. Aisi baaton ka perchaar baar baar kerne se shayad loog samaj jaein.
                  • Kiun hum line bana kr chezain kiun nhi krte
                  • Mein bank mein jaoon, ya kahin bhi jahan line banana gharz ho to mein sub ko bool bool ke line seedhi kerwata rehta hoon. Mujay bhi ghusa aata he ager koi line ko overlook ker ke aagay jaye to aise mein me usay sunaye bagair nahi rehta.
                  • Kiun hum road par patience ka muzahira nhi krte
                  • Pakistani traffic system is the worst in the world. Mujay doosray mamalik mein aik cheez jo sub se ziada fascinate kerti he wo traffic system he. Her mulk mein traffice kawaneen ki pabandi hoti he siwaye hamaray mulk ke. Mera akser jagra ho jata he, cuz mein na to rule toorta hoon aur jo rule toray usay chorta bhi nahi.
                  • Hum ghalat kam khud krte hain dosron ko na krne ki talqen krte hain
                  • Well, kia kahon. Its simple question, everyone should understand.
                  • Hum rishwa khule aam dete hain aur bare khush ho kr batate bhi hain
                  • Mein rishwat nahi deta. Chand aik baar aisa mooka aaya to mein ne rishwat dene ki bajaye challan kerwana ziada behtar samja.
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #10
                    Re: Aakhir kab taq!!!

                    Originally posted by MSA View Post

                    bhai ghalat kaam agar 100 admi bhi karain to woh ghalat kaam hi hoga aur sahi kaam agar sirf 10 admi bhi karain to woh sahi hi rahe ga.

                    Hum ne yeh soch lia hai ke rishwat diay bina hamara kaam nhi hoga, mei yeh zaror manta hoon ke rishwat ke bina humain ziada mushkilaat hongi lekin mei yeh sochta hoon ke agar hum ALLAH se dua karain aur sahi tareqe se kaam karain to hamara kaam tab bhi ho jiay ga.

                    Hukmuran bhi to hum mei se hain, jese hum hain wese woh hain.

                    Hum kuch nhi badal sakte lekin hum koshish to kr sakte hain na.... hum khud ko to badal sakte hain naa... sirf koshish to karain badalne ki ALLAH apka sath zaror de ga

                    Comment

                    • #11
                      Re: Aakhir kab taq!!!

                      Originally posted by unity View Post
                      Walekum Salam:hii:
                      good topic:thmbup:
                      ap ki sari baten theke hen hamen sab se pehle khud ko theek karna chaey,baki last days rishwat nahi di to 3 hours aik like me lag kar apna kaam karwaya,kuch documents theek karwane the tab.lekin wahan serf yehi ehsas hua k ham awam ki kis qadar tazleel ki jati he.ham jitne bhi tawun kar len ye sab hukmaran kute ki dum jese hen,ese hi rahen ge tehre.abhi ajkal mera dil shadeed nafrat k jazbaat se ubal raha he,railway line par 11 bache kat kar mar gaey or us ghalti ko koi own karne par tyar nahi.besharmi ki had.or usi din sadar sahab lahore jate hen,puri baraat le kar,sara city pack.aik admi k leay itna kuch or ham jo tex dete hen,har cheez mehngi kar k ham tak pohanchti he un k bachon k leay koi protection nahi.phir de dete hen fi bacha 5/5 lakh.ye qeemat he hamari
                      koi bataey ga k zardari ka beta mare ga to kitne qeemat pare gi??gelani,nawaz,shehbaz ,balor in sab ki oladen kitne kitne lakh me hon gi.hadees he k insan besharam ho jaey to jo marzi karta phire..yehi haal he in ka:fuming:
                      nahi ye sab ese theek nahi ho ga....in sab ko bijli k polls par latkaya jaey ga tabhi kuch sudhre ga372-shed
                      jesa ke Hazrat Ali (R.A) ne ka farman hai:

                      Iss dunya mei neik logon ko bewakof aur gunahgar ko aqalmand kehte hain

                      sunbhanALLAH kia qol hai!!!

                      acha jee jese ke meinne phle arz kia ke koshish karain ke hamesha sahi raah iqktiyar karain, ye na sochain ke dosra kia kr rha hai, agar dosra ghalat kr rha hai to ap mei to samajh ha naa, bs ap apne ap ko thek karain.
                      Last edited by pakgates; 14 January 2010, 17:36.

                      Comment

                      • #12
                        Re: Aakhir kab taq!!!

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        Asalam o alikum all,
                        Wa Alaikum Aslam and congratulation for starting thoughtful topic.
                        • Kiun hum khud kachra road par phenk dete hain aur kisi dosre ko apna ghar kharab krne nhi dete
                        • Mujay yeh kaam bohat bura lagta he. Mein ager gari mein bubble bhi khaoon to bhi wrapper apni pocket mein rakh leta hoon aur ghar ja ke dustbin mein phainkta hoon. Sub ko soochna chahiye ke Safai nisaf emaan he aur yeh safai sirf apnay jism ki he nahi honi chahiye bulke yeh word kafi broader sense mein use kia gaya he. Meri sis ne aik baar icecream kha ke window se cup road per phaink dia, aur mein ne usay is baat per acha lecture dia, baki ghar walay bhi saath mein samaj gaye. Aisi baaton ka perchaar baar baar kerne se shayad loog samaj jaein.
                        • Kiun hum line bana kr chezain kiun nhi krte
                        • Mein bank mein jaoon, ya kahin bhi jahan line banana gharz ho to mein sub ko bool bool ke line seedhi kerwata rehta hoon. Mujay bhi ghusa aata he ager koi line ko overlook ker ke aagay jaye to aise mein me usay sunaye bagair nahi rehta.
                        • Kiun hum road par patience ka muzahira nhi krte
                        • Pakistani traffic system is the worst in the world. Mujay doosray mamalik mein aik cheez jo sub se ziada fascinate kerti he wo traffic system he. Her mulk mein traffice kawaneen ki pabandi hoti he siwaye hamaray mulk ke. Mera akser jagra ho jata he, cuz mein na to rule toorta hoon aur jo rule toray usay chorta bhi nahi.
                        • Hum ghalat kam khud krte hain dosron ko na krne ki talqen krte hain
                        • Well, kia kahon. Its simple question, everyone should understand.
                        • Hum rishwa khule aam dete hain aur bare khush ho kr batate bhi hain
                        • Mein rishwat nahi deta. Chand aik baar aisa mooka aaya to mein ne rishwat dene ki bajaye challan kerwana ziada behtar samja.
                        Walaikum asalam,

                        perfect ansr :thmbup:

                        Comment

                        • #13
                          Re: Aakhir kab taq!!!

                          pakistani Qoum beth ker sirf Baatain ker sakti he, aur kuch bih nahi. Kabhi AMAL kisi ne kiya he ?

                          Comment

                          • #14
                            Re: Aakhir kab taq!!!

                            Originally posted by Momo@Khala View Post
                            pakistani Qoum beth ker sirf Baatain ker sakti he, aur kuch bih nahi. Kabhi AMAL kisi ne kiya he ?
                            amal se phle soch ki zarorat hoti hai. Can u tell me uper jo batein meinne notify ki hain, hum sab ye krte huay kabhi sochte hain ye yeh ghalat hai ya sahi nhi naa??? hum sirf ye sochte hain ke dosre kr rahe hain to yehi sahi hai. Yeh kaam mushkil zaror hai lekin namumkn nhi hai. Shuru to karain aur ALLAH se dua karain ALLAH apka sath zaror de ga

                            Comment

                            • #15
                              Re: Aakhir kab taq!!!

                              Originally posted by pakgates View Post
                              amal se phle soch ki zarorat hoti hai. Can u tell me uper jo batein meinne notify ki hain, hum sab ye krte huay kabhi sochte hain ye yeh ghalat hai ya sahi nhi naa??? hum sirf ye sochte hain ke dosre kr rahe hain to yehi sahi hai. Yeh kaam mushkil zaror hai lekin namumkn nhi hai. Shuru to karain aur ALLAH se dua karain ALLAH apka sath zaror de ga

                              baatain to aapne bohaat achi ke hain, aur yehi Islami culture hum ko sikhaata he , lekin maine ab tak TV - Media per saab ko sirf batain kerte suna he, yaa apni raye dete huye suna he - kisi ko koi bhi Amal kerte huye nahi dehka... sorry per baat jab ki jaati he to wo majority ki ki jaaati he.

                              Comment

                              Working...
                              X