Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tabdeli...??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tabdeli...??

    As Salam o Alaikum,

    Kia is dour ka aik tarbiyat'yafta insaan mojoda dunia ka majmoi nizam tabdeel kar sakta hai..??

    vote with daleel :rose
    5
    Yes
    60.00%
    3
    No
    40.00%
    2

    The poll is expired.

    That's Enough...!!

  • #2
    Re: Tabdeli...??

    و عليكم السلام و رحمة الله

    baad mai reply karoon gii abhi mood nahii hai...

    waisey u lithey gayab hogaye ho...kahiin auntie tu nai dhoond rahey hamarey liye...
    .......................!!!!!

    Comment


    • #3
      Re: Tabdeli...??

      Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
      As Salam o Alaikum,

      Kia is dour ka aik tarbiyat'yafta insaan mojoda dunia ka majmoi nizam tabdeel kar sakta hai..??

      vote with daleel :rose
      Wa Alaikum Aslam,

      my vote goes for big "NO"

      Ager aisa ho sakta to aisa ho chuka hota. Ager nahi hua to phir us tarah ka "Tarbiyat Yafta" insaan abi paida nahi hua
      :thmbup:

      Comment


      • #4
        Re: Tabdeli...??

        Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
        As Salam o Alaikum,

        Kia is dour ka aik tarbiyat'yafta insaan mojoda dunia ka majmoi nizam tabdeel kar sakta hai..??

        vote with daleel :rose
        yes.. kar sakta hai ....shuruwaat apnay aap say karay pher apnay ghar walye pher bachay ..to hotay hotay sub theek hoo jaye ga na .... han bus thori dair hoo jaye gee
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #5
          Re: Tabdeli...??

          Originally posted by Aanchal View Post
          yes.. kar sakta hai ....shuruwaat apnay aap say karay pher apnay ghar walye pher bachay ..to hotay hotay sub theek hoo jaye ga na .... han bus thori dair hoo jaye gee
          haan ho sakta he aahishta aahista ager us aadmi ki umer 25 crore saal ho 372-haha
          :thmbup:

          Comment


          • #6
            Re: Tabdeli...??

            Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
            tarbiyat'yafta
            Wa salaam dushman

            Merey liyey yeh lafz tarbiyat'yafta aik magical word ya aik anqa hai. Tarbiyat kya hoti hai? Agar tarbiyat us lehaz mein hui ho jaisey uska haq hai, to koi wajah nahin keh aik aklota insaan zamaney ka nizaam badal sakta hai. Aur meri zaati soch hai keh aisa zaroor ho ga. Magar asal baat tarbiyat ki hai!

            So na chahtey huwey bhi mujhey filhaal NO per vote dena parr raha hai,kyun keh merey nazdeek tarbiyat na'peed hai, jab hogi to haan mein vote doon ga :ekek:
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: Tabdeli...??

              Walaikum Assalaam ScorpioN_RullZ

              Main nay vote YES per dia hay!!!

              Tarbiyat yaafta insaan taleem yaafta logon say kayi behtar soch, samajh rakhta hay.... Achi tarbiyat hi insaan ko sahi aur achay kamoon per amaada karti hay yehi waja hay kay jitnay bhi Sahab-e-Karaam RZ nay Nabi-e-Karim SAW say TARBIYAT haasil kar kay poori duniya ko apnay ILM say ROSHAN kardiya... Yeh ISLAM kay aanay ki misaal hay.

              Abhi ki misaal yeh hay kay mashoor Nepolian bonapat nay apnay aik statemant may kaha tha jiss ka urdu tarjuma yeh hay kay "Tum mujhay achi Maayain doo main tumhain aik achi qoum doonga", insaan ki sab say pehli darsgah uss ki Maa ki goud hoti hay aur mujhay bohat afsoos hota hay jab aaj ki Maayain aulaat ko tarjeeh dainay kay bajayay star plus kay daramoon, indian films ko dekhna ziyada aham samajhti hain aur yehi waja hay kay aaj ka bacha Deen, aur mulk say mohabbat kay bajayay apnay dil main paroosi ki laRki ki mohabbat rakhta hay!!!

              May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

              FI Amaan ALLAH




              Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
              As Salam o Alaikum,

              Kia is dour ka aik tarbiyat'yafta insaan mojoda dunia ka majmoi nizam tabdeel kar sakta hai..??

              vote with daleel :rose
              sigpic

              Comment


              • #8
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #9
                  Re: Tabdeli...??

                  Originally posted by Masood View Post
                  Wa salaam dushman

                  Merey liyey yeh lafz tarbiyat'yafta aik magical word ya aik anqa hai. Tarbiyat kya hoti hai? Agar tarbiyat us lehaz mein hui ho jaisey uska haq hai, to koi wajah nahin keh aik aklota insaan zamaney ka nizaam badal sakta hai. Aur meri zaati soch hai keh aisa zaroor ho ga. Magar asal baat tarbiyat ki hai!

                  So na chahtey huwey bhi mujhey filhaal NO per vote dena parr raha hai,kyun keh merey nazdeek tarbiyat na'peed hai, jab hogi to haan mein vote doon ga :ekek:
                  Tarbiyat na'peyd ho gai hai? Kab kahan kaisey??
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #10
                    Re: Tabdeli...??

                    Originally posted by Z. View Post
                    Voted for YES!

                    Dala'il deney ki mey Qail nahi
                    372-haha
                    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                    Comment


                    • #11
                      Re: Tabdeli...??

                      Originally posted by bhataktii rooh View Post
                      و عليكم السلام و رحمة الله

                      baad mai reply karoon gii abhi mood nahii hai...

                      waisey u lithey gayab hogaye ho...kahiin auntie tu nai dhoond rahey hamarey liye...
                      maiN bhi baad maiN reply karonga :hairdrayer:

                      jab u reply kardo gi :pgame:

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      Wa Alaikum Aslam,

                      my vote goes for big "NO"

                      Ager aisa ho sakta to aisa ho chuka hota. Ager nahi hua to phir us tarah ka "Tarbiyat Yafta" insaan abi paida nahi hua
                      Mazi, mustaqbil par daleel ho sakta hai??

                      matlab tum nahe ho aur jo hoga woh tum say behtar hoga??

                      sawal kay jawab sharafat say daeeeen

                      Originally posted by Aanchal View Post
                      yes.. kar sakta hai ....shuruwaat apnay aap say karay pher apnay ghar walye pher bachay ..to hotay hotay sub theek hoo jaye ga na .... han bus thori dair hoo jaye gee
                      yeh bhi das dio kay woh Male hoga ya Female bhi ho sakti hai
                      That's Enough...!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: Tabdeli...??

                        Originally posted by Z. View Post
                        Tarbiyat na'peyd ho gai hai? Kab kahan kaisey??
                        Mera nuqta-e-nazar hai keh tarbiyat na'peed hai, aap ka is sey mukhtalif hai to dalaiil sey sabit kijiye :) - sawal per per sawal karney ka main aadi nahin :ekek:
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #13
                          Re: Tabdeli...??

                          Originally posted by aabi2cool View Post
                          372-haha
                          Abi bhai, aap ney kyun meri itni achi urdu per qahqaha lagaya
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment


                          • #14
                            Re: Tabdeli...??

                            Originally posted by thefire1 View Post
                            Walaikum Assalaam ScorpioN_RullZ

                            Main nay vote YES per dia hay!!!

                            Tarbiyat yaafta insaan taleem yaafta logon say kayi behtar soch, samajh rakhta hay....
                            maiN yeh jumla samajh nahe saka, kia aik JAHIL agar ba'amal ho to woh behtar ho sakta hai :think:

                            aur maiN apnay Rub say lay kar apnay hath ki aik ungli ki pour par naqsh lakeeroN par bhi daleel ka qail hoon

                            Daleel do warna YES not accepted :honh:

                            Originally posted by aabi2cool View Post
                            372-haha
                            kaheeN u Qail ko Qabil to nahe paRh raha :kionn:
                            That's Enough...!!

                            Comment


                            • #15
                              Re: Tabdeli...??

                              Originally posted by Masood View Post
                              Wa salaam dushman

                              Merey liyey yeh lafz tarbiyat'yafta aik magical word ya aik anqa hai. Tarbiyat kya hoti hai? Agar tarbiyat us lehaz mein hui ho jaisey uska haq hai, to koi wajah nahin keh aik aklota insaan zamaney ka nizaam badal sakta hai. Aur meri zaati soch hai keh aisa zaroor ho ga. Magar asal baat tarbiyat ki hai!
                              matlab woh jo tarbiyat hogi woh us say behtar hogi jesi tumhari? :think:
                              That's Enough...!!

                              Comment

                              Working...
                              X