Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

A Word Of Appreciation

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: A Word Of Appreciation

    Aap ki hosla afzaayi ka shukriya.... in admin words, thanks for your words of appreciations :) khush rahyeh

    Originally posted by MSA View Post
    uncil matlab tha u ne buhat achi baat ki he:garmi:....
    mein bhi yahi kehna chahta tha per itne achae alfaz nahi the...:garmi:
    gud job...
    sigpic

    Comment


    • #32
      Re: A Word Of Appreciation

      Originally posted by thefire1 View Post
      Aap ki hosla afzaayi ka shukriya.... in admin words, thanks for your words of appreciations :) khush rahyeh
      ap bhi khush rahie...
      aur dosro ko bhi khush rakhie

      Comment


      • #33
        Re: A Word Of Appreciation

        Originally posted by Admin View Post
        Assalamo allaikum

        Mohtram members kaisey hain aap?

        Kehna yeh hai keh,
        main ney apney samney Pegham per hazaron members ko dekha hai. Alhamdolillah hamein bohat achhey achhey members bhi miley hain aur kuchh qadre kam achhey bhi :).

        Pegham per sainkron members ney aa ker bohat kuchh seekha hai. Aur bohat saron key dilon mein aik doosrey ko dekh ker mazeed achha karney ki aarzu pedah hui. Unki pazeeraii ki gaii to woh mazeed nikharney lagey. Unka asal talent polish honey laga..

        Main ney dekha hai keh 2 alfaaz tareef key kisi bhi insaan key dil ko woh dharas detey hain keh uskey dil mein aik naii umang pedah hoti hai. Aur neya jazbah...

        Magar aik takleef'deh baat main ney yeh bhi dekhi hai keh aksar ham log jab senior members ban jatey hain to ham members ki pazeeraii karna chhorr detey hain.

        Jab Allah Tala ney hamein aqal aur basarat di hai keh ham doosron key liyey mishal-e-raah ban sakein to ham kyun aisa nahin kartey? Agar ham kisi key kaam per two word of appreciation bol dein, to kya hamari lughat sey alfaaz muk jaein gey? Ya hamari toheen ho gi keh ham ney kisi key liyey achhaii ka lafz bola hai? Ham apni hi dhun mein magan kyun rehna shuru kar detey hain???

        Log aap ki tawajoh key muntazir hain, unhein hosla dena seekhiyey, yeh chhoti chhoti khushiyaan inkey liye bohat ahmiyat ki haamil hoti hain :)

        bas yehi kehna tha...

        Ab aap log apney apney dhandhon mein magan ho jao :)

        Admin
        Bohhat aaalaa sooch haii aap kii admin sabhibb

        i m 100 percen agree to u
        "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

        Comment


        • #34
          Re: A Word Of Appreciation

          Originally posted by thefire1 View Post
          Meray liye sab aik family members hain aur main apnay kisay family member say chand lamhay khafa tou hosakta hoon magar ussay apnay GHAR say nikaal nahi sakta, kuch aulaad hoti hain jo kay na-samajh hoti hain aur aisi ghaltiyan kar daiti hain jiss say baap unhain AAQ bhi kardaita hay magar unko jab aqal aati hay tou baap unhain muaf karnay ka bhi darja rakhta hay
          Ali mujhey aap ki baton sey mukammil itifaaq hai, aap kya samajhtey hain keh mujhey takleef nahin hoti jab main kisi koi aisa jumla kehta hoon??? Aur khaas ker un logon ko jinhein main KHUD samney ley ker aata hoon, jinko sanwarney mein mera bhi haat hai? Mujhey bhi us waqt azziyat hoti hai jab meri tumaam tar koshishon key ba'wajood, members mujhey "taaney" dein keh yeh aap ka forum hai, ham chhorr rahey hain...

          Magar woh baat kya hai keh Allah Rab-ul-Izzat ney Aadam ko pedah kiya aur saath yeh bhi hukum diya keh Na'farmani na karna - Aadam AS ney na'farmani ki aur uski saza paii.

          Hamein kuchh baton mein jazbaat sey nikal ker haqaiiq mein dekhna chahiyey - kabhi kabar saza behtareen tarbiyat hoti hai!
          مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
          نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

          Comment


          • #35
            Re: A Word Of Appreciation

            Assalaam-O-Alikum

            Bohat hi achi soch hay aap kee kay saza behtreen tarbiyat hoti hay aur main iss baat say poora poora itifaaq karta hoon, waqayi insaan ko takleef hoti hay kay jab woh kisi ko sanwaaray aur wohi uss per taana kashi karay, main nay iss baat ko itna gehrayi say nahin socha tha jitni gehrayi say aap feel kartay hain, mujhay yaad hay kay jab main iss forum per naya aaya tha tou aik Mirza Ghalib Sahab per joke POST kia tha jis per aap nay kaafi sakht jumlay istimaal kiye thay magar aapki meri samajh main aagayi, woh din hay aur aaj ka din majaal hay kay main koi aisay alfaaz istimaal karoon jiss say yahan ka mahool kharab ho.... meray liiye woh saza hi tarbiyat bani......

            A WORD OF APPRECIATION is very important not for members even for ADMIN too, meray alfaaz kam hain magar phir bhi agar appreciate karnay kay liye yeh kaafi hain tou mera SHUKRIYA qubool kar kay mujhay izzat bakhshyeh.

            Khush rahyeh aur apnay iss kaam ko jaari-O-saari rakhyeh, humari duwaain aap kay saath hain, ALLAH SWT aap ko khushyoon say nawaazay AMEEN.

            Fi Amaan ALLAH
            sigpic

            Comment


            • #36
              Re: A Word Of Appreciation

              Originally posted by thefire1 View Post
              Rania, main naraaz nahin hoon, jo CARE kartay hain woh kabhi NARAAZ nahin hotay, khush rahyeh :) agar main CARE nahin karta tou mujhay itna kuch likhnay ki zaroorat hi paish nahi aati ... I want to be a integral part of this PEGHAM FAMILY and want to see everyone gets the right and perfect message to make their life seccessful and prosper!!!
              humein ap ki soch par koi shak nahiin hai...it was just a joke ..hope mind nai kiya ap ne..

              waisey Masood uncool ka tarbiyat ka jo andaaz hai ...aksur yahii kaam ata hai dheet logoon ( wih respect ..kisi khaas member ki taraf ishara nai hai ye)k saath..

              Masood uncool g

              LAGEY RAHOOOO...:rose
              .......................!!!!!

              Comment


              • #37
                Re: A Word Of Appreciation

                Bilkul nahi kia, behnoon ki baat ko mind nahin karta main :) khush rahyeh
                sigpic

                Comment


                • #38
                  Re: A Word Of Appreciation

                  Originally posted by thefire1 View Post
                  Bilkul nahi kia, behnoon ki baat ko mind nahin karta main :) khush rahyeh
                  teddy
                  .......................!!!!!

                  Comment

                  Working...
                  X