Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
If you hurt someone...
Collapse
X
-
Re: If you hurt someone...
Originally posted by shahbaznk View PostThanks Aamir.. Kaisy hou and kia ho rha hai aaaj kal?:salam:
waise mein koi 2, 3 week pehlay Jandanwala aaya tha wahan Khalil, Asad aur Waseem se mulaqat hui. Next time aaya to tum se bhi ho gi :think::thmbup:
Comment
-
Re: If you hurt someone...
Walaikum Asssalaam
Z. bohat hi acha sawaal kia aap nay, baaz auqaat waqai humain iss baat ka andaaza nahin rehta kay hum kisi ko kitni takleef poohancha rahay hain, apni baatoon say apnay rawayey say yaa apni physical acitivities say jaisay main nay umooman dekha hay aik beta agar Baap kay saamnay cigrette pee lay tou baap ko yaqeenan hurt hota hay magar jab baap betay kay samnay cigrette piyay tou uss ko kia kehtay hain? kia beta baap ki iss baat say hurt nahi hosakta, agar aisa nahi hota tou kamazkam woh yeh cheese tou apnay baap say seekh raha hay na cigrette koi itni buri baat bhi nahi warna mera baap usay nahin peeta, kiyonki aksar bachay apnay waldain ko hi apna ROLE MODEL banatay hain aur unkay naqsh-o-qadam per chal kar apni zindagi ko purnoor kartay hain!!
Main nay itni baRi misaal iss liye dee hay kay humain yeh samajhna bohat zaroori hay kay jinn baatoon ko humain bura lagta hay unn baatoon ko agar hum khudh karain gain tou auroon ko bhi NATURALLY woh baatain buri lagni chayeh... agar yeh soch humaray andar DEVELOPE hojayay tou phir aap aisa kaam kabhi nahin karain gain jiss say dosray HURT hoon, aur aisa koi bhi kaam jiss say doosray hurt hotay hain humaray andar khudhbakhudh uss ka singnal mil jaata hay kiyonki ALLAH SWT nay aik pre-programmed device yaani ZAMEER hum main fit kardiya hay jo humain aisa karnay say rokta hay aur agar hum kar lain tou humain malamat karta rehta hay jab tak kay hum muaafi naa maang lain!!
May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
Aap ki duwayoon ka talabgaar, ek khaksar
FI Amaan ALLAH
Originally posted by Z. View PostAsalam u alaikum,
Koi aap ko hurt karey tab tau aap ko pata chal jata hai. Lekin agar aap khud doosron ko hurt karein tau iss ka pata kaisey chalta hai aap ko aur ye bhi btatey jayein k Jab Aap doosro.n ko hurt kertey hein tab Aap kya kertey hein?sigpic
Comment
-
Re: If you hurt someone...
Originally posted by thefire1 View Post
Main nay itni baRi misaal iss liye dee hay kay humain yeh samajhna bohat zaroori hay kay jinn baatoon ko humain bura lagta hay unn baatoon ko agar hum khudh karain gain tou auroon ko bhi NATURALLY woh baatain buri lagni chayeh... agar yeh soch humaray andar DEVELOPE hojayay tou phir aap aisa kaam kabhi nahin karain gain jiss say dosray HURT hoon, aur aisa koi bhi kaam jiss say doosray hurt hotay hain humaray andar khudhbakhudh uss ka singnal mil jaata hay kiyonki ALLAH SWT nay aik pre-programmed device yaani ZAMEER hum main fit kardiya hay jo humain aisa karnay say rokta hay aur agar hum kar lain tou humain malamat karta rehta hay jab tak kay hum muaafi naa maang lain!!
.......................!!!!!
Comment
Comment