Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

**Ghum.....!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • **Ghum.....!

    Asalamaalaikum

    ummid hai aap sub khairyat se honge :hairdrayer:

    Ghum kya cheez hai? dukha?? udasi?? takleef??

    aap kaise define kareinge ghum ko?

    aap ko kaun kuan si abatein ghumgeen kar deti hai? cause, factor...??

    me ne kahein parha ke "ghum bai'se arooj bhi hai or ba'ise zawaal bhi...!
    aap kya kehte hain??

    aap ki life mein "ghumu" ne kaun sa role play kiya hai... arooj ka ya zawal ka...

    aap ke ghumu ne kabhi aap ko zindagi se larne ki himat di??

    ya kabhi bauaht kamzor kar diya??

    koi yaad .... koi baat.... share karna chaheinge khud se...??

    P.S: me ke thread lagane ka yeh Qatai maqsad nahi ke aap sub kuch share karein.... per aap khud se hi kuch baatein kar le.... me ke thread ke zariye...

    wishing you all a good luck for everything you do...:rose

  • #2
    Re: **Ghum.....!

    Wa allaikum salaam

    ..... kuchh sawaal kam they to woh bhi kar leney they
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: **Ghum.....!

      Originally posted by Masood View Post
      Wa allaikum salaam

      ..... kuchh sawaal kam they to woh bhi kar leney they

      me ne kaha na

      me ke thread lagane ka yeh Qatai maqsad nahi ke aap sub kuch share karein.... per aap khud se hi kuch baatein kar le.... me ke thread ke zariye...


      aap ko lagta hai ke kuch or sawal pooche jaa sakte the tu khud se poochein ya add kar lein isi thread mein... :rose

      Comment


      • #4
        Re: **Ghum.....!

        Walekum Salam:hii:
        mujhe gham ne mazboot kia,Allah se qareeb kia

        Comment


        • #5
          Re: **Ghum.....!

          Khosha naseeb mujhey gham ata kiya tu ney
          karam kiya mujhey apna bnaa liya tu ney
          jahan kahin merey qadmon mein laghzishein aaein
          nisaar jaam wahin aasra diya tu ney
          isi ada per to sab mar mittey hain deewaney
          khata hui to khata ko chhupa liya tu ney
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #6
            Re: **Ghum.....!

            Zeest ka Hasil bnya Dil ju Guyaa kuchh Na Thaa ..........
            GHAM Nay dil ko Dil bnaya Wrna kiya Thha kuch na Thha
            Last edited by Ehsaas786; 3 January 2010, 21:01.
            Tum Agar Bhool bhi jaao tu Ye Haq hay Tumko
            Meri Baat Or hay Mainay Tu Muhubbat ki hay ... !

            Comment


            • #7
              Re: **Ghum.....!

              ummid de me apke thread me serious wala reply kal karu gi :d1:

              abhi to mein kehne ayi hu


              " gham he ya khushi he tuuuuuu :guitar:
              meri zindagi he tu " :guitar:

              Comment


              • #8
                Re: **Ghum.....!

                Originally posted by mano_billi View Post
                abhi to mein kehne ayi hu


                " gham he ya khushi he tuuuuuu :guitar:
                meri zindagi he tu " :guitar:
                Abhi aap ney Fateh Alikhan ka geet Malikah-e-Pukhraaj ki aawaz mein suna
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #9
                  Re: **Ghum.....!

                  Originally posted by ummid View Post
                  Ghum kya cheez hai? dukha?? udasi?? takleef??
                  :garmi:
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #10
                    Re: **Ghum.....!

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    :garmi:
                    Kya hai? Uska dukh barra ho geya hai to woh dukha ho gey hai - tumhein kya jahaz :fly:
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #11
                      Re: **Ghum.....!

                      Originally posted by ummid View Post
                      Asalamaalaikum
                      Wa Alaikum Assalam

                      ummid jab bhi u k thread pe me ki nazar perty hay , pata nahin kiun :lol :lolme ko aik sarra huaa song yaad ajata hay

                      Tera ghum mera ghum :music::music:
                      ik jaissa sanam :music::music:
                      sigpic

                      Comment


                      • #12
                        Re: **Ghum.....!

                        Originally posted by Masood View Post
                        Kya hai? Uska dukh barra ho geya hai to woh dukha ho gey hai - tumhein kya jahaz :fly:

                        :lol
                        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                        Comment


                        • #13
                          Re: **Ghum.....!

                          Originally posted by ummid View Post
                          Asalamaalaikum

                          ummid hai aap sub khairyat se honge :hairdrayer:

                          Ghum kya cheez hai? dukha?? udasi?? takleef??

                          aap kaise define kareinge ghum ko?

                          aap ko kaun kuan si abatein ghumgeen kar deti hai? cause, factor...??

                          me ne kahein parha ke "ghum bai'se arooj bhi hai or ba'ise zawaal bhi...!
                          aap kya kehte hain??

                          aap ki life mein "ghumu" ne kaun sa role play kiya hai... arooj ka ya zawal ka...

                          aap ke ghumu ne kabhi aap ko zindagi se larne ki himat di??

                          ya kabhi bauaht kamzor kar diya??

                          koi yaad .... koi baat.... share karna chaheinge khud se...??

                          P.S: me ke thread lagane ka yeh Qatai maqsad nahi ke aap sub kuch share karein.... per aap khud se hi kuch baatein kar le.... me ke thread ke zariye...

                          wishing you all a good luck for everything you do...:rose
                          waalikum asslam
                          defination iss wqt bayan krnay se qasir hoon

                          bohat si batain hain....wo b exactely nae bata sakti kiyon k ek wqt me agr wo baat udaas krti hai tou doosray me nae ...so im not clear

                          ji bilkul sahee parrha aap ne

                          hmmmmmmmm qrooj ka safar mushkil bohat hai zawaal ki janib me aana nae chahoon gi....lets see :D:

                          dono kaam kiye


                          nae mazeed kuch ane share krna chahoon gi.....im not focused
                          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                          Comment


                          • #14
                            Re: **Ghum.....!

                            walaikum salam,

                            ghum, dukh, takleef, etc etc Zindagi ki mushkilaat mey tassawur kiye jatey hein.

                            Mujhey Aik kahani yaad aa gai wahi suna deti hun :-D

                            Aik baap apney betey sey kehta hai k teen pots mey pani garam karo, pani garam kiya jata hai, aik mey aalu dala jata hai, aik mey anda, aur aik mey tea leaves. Jab teeno cheezein pak jati hein tau pani thanda kiya jata hai aur teeno ko observe kiya jata hai.
                            1. Aalu jo sakht hota hai wo ubal ker naram perh jata hai
                            2. Anda jo nazuk hota hai wo pak ker sakht ban jata hai
                            3. tea leaves pakaney sey un mey zaiqa aur khushboo a jati hai.
                            Phir larkey k baba uss ko Zindagi k baarey mey teen baatein btatey hein.
                            1. Kuch log zindagi ki mushkilaat sey naram aur beykaar perh jatey hein.
                            2. Kuch logoN ko zindagi ki mushkilaat sakht jan bana deti hein
                            3. Kuch logon ki mushkilaat ka aeysa asr hota hai k un ki tamaam tar achaiyaN aur khoobiyaN bahar nikal ati hain.
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment


                            • #15
                              Re: **Ghum.....!

                              ghum woh cheez hai jo paper chipkaane ke kaam aata hai :yaay:

                              Comment

                              Working...
                              X