Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

**Qadar.....!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: **Qadar.....!

    Originally posted by ummimsa View Post
    aap abhi mujhe jante nahi na isi liye aise keh rahe hai
    Jahhan Rehh khush rehhhhh....main nay kiaa karrna haii tujhay jaan karr
    "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

    Comment


    • #47
      Re: **Qadar.....!

      Originally posted by Masood View Post
      aam shehri honey key naatey sey koi mujhey yeh haq dey ya na dey, main aik na'soor ko jisney aik bachey/bachi ki sari zindagi tabah ki ho, ussey qatal kar key apna farz poora karoon ga beshak iskey badley mein mujhey saza-e-maut ho jaey.
      Nahin Masood bhai aap ko aisa karnay ka koi haq nahin, naa aap qanoon ko haath main lay saktay hain aur na hi apnay ghar waloon ko zindagi bhar rota choR saktay hain, Insaan dunia main sab say pehlay apnay atraaf main dekhta hay aur humaray JAZBAATI faislay baaz auqaat humaray ya humari family kay liye nuqsanday saabit hosaktay hain. Aik acha shehri honay ki hesiyat say aap uss shaks ki nishandahi karain aur ussay qanoon kay hawaalay karain aap ka FARZ poora hojaata hay, kiyonki meri nazar main aisay log MENTALY SICK hotay hain, aik bashaour aur izzatdaar aadmi iss tarah ki ghatiya harkat karnay ka soch bhi nahin sakta.

      Originally posted by Masood View Post
      Merey nazdeek ham ikhlaq key bohat barrey mujrim hain, jab ham apni aankhon sey dekh ker buraii ko chhupaein, jaantey huwey mujrimon ko dheel dein. Duniya ka qanoon kuchh nahin, Khuda ka qanoon sab kuchh hai, aur us mein aisey logon ki saza sangsar karna hai :)
      Aap ko chup rehnay ka kaun keh raha hay aap bayshak uss kay khilaaf awaaz uthayain aur ussay qanoon kay hawaalay karain, burayi ki nishandahi karna, buaryi kay khilaaf awaaz uthaana aap ka kaam hay magar SAZA daina aap ka kaam nahin woh jinn ka unhain karnay dain!

      Originally posted by Masood View Post
      Bilkul aakhrat mein har insaan pakrra jaey ga... Magar Ali bhai mujhey aik baat btaiyey, aakhrat mein di gaii saza ka us bachi/bachey ko kya faidah ya us muashrey ko kya faidah jis mein aisey na'soor paltey hain?? Wahan ki saza aur jaza FARDAN FARDAN hai. Na baap ki saza ka betey ko faidah ya nuqsaan ho ga, na beti ki pakarr ka maan ko! Wahan har insaan ko apni apni parri ho gi!!!
      Masood Bhai, ALLAH SWT insaaf karnay waalay hain aur iss haqeqat say kisi ko inkaar nahin, INSAAF uss bachay kay saath bhi hoga aur uss ko jo jaza milay gi uss ka tasawurr na aap karsaktay hain aur na main, aakhrit ki baatain main na hi soch sakta hoon aur na hi iss ki ahliyat rakhta hoon magar itna zaroor kahoon ga kay ALLAH SWT khoob insaaf karnay waalay hain aur woh iss ka bhi khoob insaaf karain gain.


      Originally posted by Masood View Post
      Achha shehri? Aur Qanoon? Merey nahin khiyaal hamein in per baat karni chahiyey kyun keh qanoon bhi dekha hai aur shehri bhi :)
      Chalaiin aik lamhay kay liye maan lain kay humaray mulk main aisa insaaf nahin hota, magar, aap kanoon ko pas-e-parda bhi nahin rakh saktay, unhoon nay jitni qurbaani aaj dee hay shayed hi kisi aur idaaray nay baghair jangi halaat kay itnay log qurban kiye hoon, unn sab ki bhi apni family hay, humaray mulk main koi bhi nizaam thik nahin tou hum srif qanoon naafiz karnay waaloon ko hi kiyon ilzaam dain.....!!!!
      sigpic

      Comment


      • #48
        Re: **Qadar.....!

        Ummid
        :thmbup:

        Comment


        • #49
          Re: **Qadar.....!

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          Ummid
          Aamir :yaay:

          Comment

          Working...
          X