Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

**Qadar.....!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ummid
    replied
    Re: **Qadar.....!

    Originally posted by ummimsa View Post
    walaykum salam

    rokre ki bunyad pe :rose

    aap kaafi materialistc maloom hote hain :hairdrayer:

    anywayz... welcome to PG...enjoy your stay :rose

    Leave a comment:

  • ummimsa
    replied
    Re: **Qadar.....!

    Originally posted by ummid View Post
    Asalamaalaikum

    ummid hai aap khairyat se honge... :hairdrayer:

    aap ek Insaan ki Qadar kin wajoohat ki bina per karte hain??
    walaykum salam

    rokre ki bunyad pe :rose

    Leave a comment:

  • Ehsaas786
    replied
    Re: **Qadar.....!

    aap ek Insaan ki Qadar kin wajoohat ki bina per karte hain??

    isliye k wo AShraful Makhloqat hay ..

    kya aap jin wajoohat ki bina per us ki Qadar karte hain kabhi woh un ke bar'aks act kare tu kya us qadar mein kami aati hai??

    yes Bahesiyat ,e insaan hamari Suchon mn Tabdeeli Aati rehti hay ..

    kya kisi Insaan ki Qadar karne ke liye yeh kaafi nahi ke woh ek Insaan hai??

    Wo inSaaniyat k farz ko Na bhoola hu tu Yaqeenan ..

    kya log aap ki Qadar karte hain??? or kaise?? aap ko kya lagta hai aap ki kin wajoohat ki wajah se koi aap ki Qadar karta hai..??

    yes Ju khobiyan Mujh mn hen Oski bina pr log buhut qadar krty hen ..

    kya apne dushamu ki Qadar ki jaa sakti hai?? haan tu kyun? nahi tu kyun??

    Achhai agr hamary Dushman mn bhi hu tu Eteraafan Qadar karni Chahiyye .

    aap cheezo ki zyadah Qadar karte hain ya Insaanu ki?

    Meray nazdeek Qadar inSaan ki hay Na k CheezOn ki ..

    Leave a comment:

  • Masood
    replied
    Re: **Qadar.....!

    Originally posted by thefire1 View Post
    aam shehri ki haseiyat say aap ka koi haq nahin banta kay kisi bhi mujrum ko apnay haathon saza dain!
    aam shehri honey key naatey sey koi mujhey yeh haq dey ya na dey, main aik na'soor ko jisney aik bachey/bachi ki sari zindagi tabah ki ho, ussey qatal kar key apna farz poora karoon ga beshak iskey badley mein mujhey saza-e-maut ho jaey.

    Merey nazdeek ham ikhlaq key bohat barrey mujrim hain, jab ham apni aankhon sey dekh ker buraii ko chhupaein, jaantey huwey mujrimon ko dheel dein. Duniya ka qanoon kuchh nahin, Khuda ka qanoon sab kuchh hai, aur us mein aisey logon ki saza sangsar karna hai :)

    Originally posted by thefire1 View Post
    aakhirit main tou usay pakRa hi jaana hay
    Bilkul aakhrat mein har insaan pakrra jaey ga... Magar Ali bhai mujhey aik baat btaiyey, aakhrat mein di gaii saza ka us bachi/bachey ko kya faidah ya us muashrey ko kya faidah jis mein aisey na'soor paltey hain?? Wahan ki saza aur jaza FARDAN FARDAN hai. Na baap ki saza ka betey ko faidah ya nuqsaan ho ga, na beti ki pakarr ka maan ko! Wahan har insaan ko apni apni parri ho gi!!!

    Originally posted by thefire1 View Post
    magar aik acha shehri honay ki roo say humain filhaal qanoon apnay haath main nahin laina chayeh
    Achha shehri? Aur Qanoon? Merey nahin khiyaal hamein in per baat karni chahiyey kyun keh qanoon bhi dekha hai aur shehri bhi :)

    Leave a comment:

  • thefire1
    replied
    Re: **Qadar.....!

    Masood bhai, main aap kay jazbaat ki qadar karta hoon aur waqayi iss kisam kay bhaiRyeh kisi bhi kisam ki riyayat ya reham kay qatayee laiq nahin hay..... magar aik acha shehri honay ki roo say humain filhaal qanoon apnay haath main nahin laina chayeh, aaj hum intishaar ka aur dushmani ka shikaar isi liye hain kay hum nay khudh sahi aur ghalat kay faislay karna shuroo kar diiye hain, qanoon ka ehtiraam agar hum nahin karain gain tou qanoon naafiz karnay waalay bhi bhala kia qanoon naafiz karain gain....

    Saza dainay ka ikhtiyaaar humain nahi hay, duniya main adaalat hain aur aakhirit main tou usay pakRa hi jaana hay, aap usay qatal kar bhi dain tou aap ka kia hona hay, aap ka bhi ghar hay, Maa hay, ghar waalay hain un sab kay baaray main sochain kay woh kia karain gain.

    Duniya ka nizaam hay humain isay qubool karna hi hay, agar 10,20 yaa 30 saal ki saza usay mil bhi jayay tou yeh kam nahin, Jail ki chaar diwaari main aik aik pal kaatna azaab hota hay, main nay iss per khoob research kia hay aur jail main qaidiyion ki haalat bhi dekhi hay aur kayi tou wehshat say khudhkushi karnay ko ziyada tarjeeh daitay hain.... khair yeh alag topic hay magar aik aam shehri ki haseiyat say aap ka koi haq nahin banta kay kisi bhi mujrum ko apnay haathon saza dain!

    Originally posted by Masood View Post
    Main ney law and order ki baat is liyey ki hai keh aksar log kehtey hain kitni bhi barri taqseer ho, qanoon hathon mein nahin lena chahiyey... I am not agree in this case.

    Qanoon kya karta hai? Ussey 10-20-30 saal ki qaid sunata hai, uskey baad phir rihaii? Aur jo bacha is ziyadati ka shikar ho, uski zindagi mein jo takleef rehti hai, uska khamyaza kaun bhugtey ga??? Wohi bacha na. So I am absolutely no sympthy for these kind of idiots! Merey nazdeek aisey log kisi bhi qadar key haqdar nahin!

    Leave a comment:

  • Masood
    replied
    Re: **Qadar.....!

    Originally posted by ummid View Post
    Allah hum sub ki Rehnumaai kare or hidayat de aameen:rose
    sum'aameen

    I am not talking about law and order... I work for these kidsand people also....

    you know what.... majority cases mein root cause yeh hoti hai ke child abuse karne waala banda khud child abuse ka shikaar hota hai....

    gooli se ura dena is not a only solution... :thmbup:...

    may be I am wrong... per phir bhi....

    Ikhlaqi taur per... aik bacha aik qaum ka mustaqbil hai, Trigore ney kaha tha har pedah honey wala bacha is baat ki elamat hai keh Khuda abhi duniya sey mayoos nahin huwa. Bachey farishtey hain. Bachey qaum ka asasa hain. Koi bad'kirdar agar kisi bachey ko misuse karta hai, to ussey jeeney ka koi haq nahin! And I don't care about law and order!

    baaki baatein baad mein pehle baatyen...aap ne kaise faisla kar diya ke usey goli se ura dena chahiye??

    .

    Misaal key taur per agar koi kisi child ko misuse karey to merey nazdeek aisey insaan ka zindah rehney ka ko haq nahin. Ussi goli sey urra dena chahiyey!
    baaki baatein baad mein pehle baatyen...aap ne kaise faisla kar diya ke usey goli se ura dena chahiye??

    Leave a comment:

  • Masood
    replied
    Re: **Qadar.....!

    Wa allaikum salaam

    Aap ney bohat achha topic shuru kiya hai, issey bachon ki pohunch sey door rakhein :p

    Aap ney end mein likha hai keh aap ki murad WORTH hai na keh RESPECT aur yes yeh do mukhtalif cheezein hain. Magar aap ney jis andaz mein sawalaat kiyey hain, un mein dono hi mojood hain...

    Worth: aap apni qadar KHUD jantey hon, aur ussey karwa saktey hon
    Respect: doosrey log aap mein koi khasoosiyat dekhein phir uski qadar karein

    Dono batein juda honey saath saath bohat had tak mili hui hain. Agar aap khud kisi ki qadar nahin jantey to doosra aap ki qadar kyun karey ga? Sometimes it's a two way communication - karo aur karao.

    Meri apni zaat key hawaley sey yeh hai keh main ney hamesha yehi koshish ki hai keh insaan ki qadar karoon chahey woh kisi bhi mulk, qaum, mazhab, nasal, rang aur jins sey ta'aluq rakhta hoon. Kyun keh merey nazdeek Allah Tala ney har us insaan, jisko pedah kiya hai, us mein koi na koi aisi baat zaroor rakhi hai, jo ussey doosrey sey mumtaaz karti hai.

    Zaroorat is amar ki hoti hai keh us khasoosiyat ko talash kiya jaey aur phir us per us insaan ki qadar ki jaey.

    Jaisa keh main har insaan ki qadar karta hoon, magar jab woh insaan koi aisa fail karta hai jo merey nazdeek gunah, haramkari aur ikhalaqiyat sey had darja giri hui ho, to merey haan uski qadar khatam ho jati hai.

    Misaal key taur per agar koi kisi child ko misuse karey to merey nazdeek aisey insaan ka zindah rehney ka ko haq nahin. Ussi goli sey urra dena chahiyey!

    Insaan apni qadar apni khasoosiyat ki bina per karwata hai, jin mein, sachaii, eefay-e-ehad, jaan'nisari wagera chand misaalein hain....

    Leave a comment:

  • ummid
    replied
    Re: **Qadar.....!

    her Insaan ki do aankhein, do kaan, ek naak or ek munh hota hai per phir bhi sub aapis mein mukhtaleef hote hain..... ek Insaan ke liye yahi haqeeqat kaafi hai ke us se pehle na tu koi us jaisa Insaan duniya mein aaya hai or shaid hi us ke baad koi us jaisa aayega.... yeh azeem Inferadiyat baauht bara naseeb hai... ek dosre ki Qadar karein sirf is liye ke woh Insaan hai...

    Leave a comment:

  • AbgeenA
    replied
    Re: **Qadar.....!

    me eemandar or khush ikhlaq logon ki qadar karti hun

    Leave a comment:

  • thefire1
    replied
    Re: **Qadar.....!

    Walaikum Assalaam

    Waisay sab nay itna kuch aur itna acha keh dia kay meray alfaaz koozay main paani kay maanind lagay gain. Apni zaati rayay say agaha karna chato hoon!

    aap ek Insaan ki Qadar kin wajoohat ki bina per karte hain??
    Meri nazar main har uss insaan ki qadar karta hoon, jo waqt ka paaband ho, imaandaar ho, mehanti hoo, apnay kaam ko lagan, imaandaari aur poori sachayi say karay..... Action speaks louder than words... yaani har insan ka apna amal uss ki qadar-e-qeemat main izaafay ka sabab banta hay!!! Isi liye aksar Experienced logon ko non-experienced say kam salary milti hay, yehi nizam hay iss dunia ka!

    kya aap jin wajoohat ki bina per us ki Qadar karte hain kabhi woh un ke bar'aks act kare tu kya us qadar mein kami aati hai??
    Zahir see baat hay every wrong action has a negative ACTION, agar uss kay achay kamoon say uss ki qadar horahi hay tou uss ka bura kaam usski qadar main naturally kami karayga!!!

    kya kisi Insaan ki Qadar karne ke liye yeh kaafi nahi ke woh ek Insaan hai??
    Woh qadar tou ALLAH SWT nay ussay Ashraf-ul-makhlooqaat kar kay already kar dii hay aagay tou uss ka kirdaar hay kay woh iss qadar ko kitna mehfooz rakhta hay.

    kya log aap ki Qadar karte hain??? or kaise??
    ALHAMDULLILAH, Insaan ki sach goyi uss ki qadar karwaati hay, iss forum ki misaal lay lain, kitnay log hain jinhoon nay dekha hay, mujh say baat ki hay NONE kisi nay bhi nahin magar aap sab kay diloon main aik ahtiraam aur aik qadar hay jo kay srif meri posting aur meri baatoon say hay agar main yahan ultay seedhay alfaaz likho, behnoo ki dostoon ki izzat na karoon, tou kia mujhay wohi muqaam milta jo aap sab nay pichlay 4 mahinoon main dia hay?!

    aap ko kya lagta hai aap ki kin wajoohat ki wajah se koi aap ki Qadar karta hai..??
    IMANDAARI, aur SACHAYI!!!

    kya apne dushamu ki Qadar ki jaa sakti hai?? haan tu kyun? nahi tu kyun??
    Dushman agar qaabil hay tou kiyon nahin... waisay meray koi dushman nahin kiyonki main professional rivalry ko dushmani ka naam nahin deta balkay kisi kay achay kaam say seekh kar apnay aap ko uss competition kay laiq banata hoon, dushmani insaan ko kamzoor banati hay kamyaab nahin!!!

    aap cheezo ki zyadah Qadar karte hain ya Insaanu ki?? or aap kaise judge kareinge is farq ko.... ?
    Cheezon ki qadar karna materialism kehlaata hay aur insaanoo ki qadar say bohat mukhtalif hay... iss ki misaal aap aisay lay lain kay aaapk family main aik bacha hay uss nay aap ka mobile uthaya aur ussay paani main daal kar ussay barbaad kardia aur khudh aap ko bata bhi dia kay yeh pani main gir gaya hay, ab aap kia action lain gain? Insaano ki banayi hoyee cheezain insaan say kisi tour aala nahin hoskti!!

    May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

    Fi amaan ALLAH

    Leave a comment:

Working...
X