Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

**Qadar.....!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aabi2cool
    replied
    Re: **Qadar.....!

    asalamaalaikum

    ummid hai aap khairyat se honge...
    اسلام علیکم ! امید سسٹر کافی دنوں سے آپ نے پیغام پر گراں قدر مراسلات کا سلسلہ شروع کررکھا ہے جنھے دیکھ کر دلی خوشی ہوئی ساتھ میں تائسف بھی کہ آپکے مراسلات میں حصہ نہ لے سکا کئی وجوہات کی بنا پر خیر ۔ ۔ ۔

    aap ek insaan ki qadar kin wajoohat ki bina per karte hain??

    kya aap jin wajoohat ki bina per us ki qadar karte hain kabhi woh un ke bar'aks act kare tu kya us qadar mein kami aati hai??

    kya kisi insaan ki qadar karne ke liye yeh kaafi nahi ke woh ek insaan hai??

    kya log aap ki qadar karte hain??? Or kaise?? Aap ko kya lagta hai aap ki kin wajoohat ki wajah se koi aap ki qadar karta hai..??

    kya apne dushamu ki qadar ki jaa sakti hai?? Haan tu kyun? Nahi tu kyun??

    aap cheezo ki zyadah qadar karte hain ya insaanu ki?? Or aap kaise judge kareinge is farq ko.... ?

    p.s: And yeah people... Am here talking about qadar i.e. Worth... Not respect.... Dont mix up two things..
    سب سے پہلے تو یہ سمجھ لیجئے کہ قدر عربی زبان کا لفظ ہے جو کہ عربی کے ساتھ ساتھ اردو میں بھی مختلف معنٰی میں مستعمل ہے ۔ قدر کا لغوی معنٰی تو اندازہ کہ ہیں سو اسی مفھوم میں قضا و قدر کا لفظ استعمال ہوتا ہے تقدیر کے معنٰی میں بھی لیکن سوال میں جس معنٰی کی بابت آپ نے دریافت فرمایا ہے ان معنٰی میں یہ لفظ خود قرآن میں بھی وارد ہوا ہے کہ ۔ ۔ ۔ ما قدروا الله حق قدره ۔ ۔ کہ لوگوں نے اللہ کی قدر کا حق ادا نہ کیا ۔ ۔ ۔قدر انسان کیوں کرتا ہے آیا قدر کرنے کے لیے کسی کا فقط انسان ہونا ہی کافی نہیں وغیرہ وغیرہ اگر ان تمام سوالات کی فلسفیانہ تعبیر اختیار کی جائے تو ہم اس نتیجے پر پہنچتے ہیں کہ بلا شبہ ایک انسان کی قدر بحیثیت انسان ہی ہونی چاہیے کیونکہ انسان کی فطرت سلیمہ ہے کہ وہ حسن و خوبی یا پھر یہ کہہ لیں کہ وصف کی قدر کرتا ہے سو جو انسان ہوگا صحیح معنوں میں اس قدر ہی کی جائے گی کیونکہ انسان میں انسانیت کا ہونا ایک وصف ہی ہے اور وہی اسے انسان بناتا اور کہلواتا ہے وگرنہ تو ہر انسان ایک آدمی ہی ہے جیسا کہ ہم پہلے بھی عرض کرچکے کہ یہ انسان کا وصف ہے کہ انسان فطرتی طور پر اوصاف کی قدر کرتا ہے تو اس سے آپ کو آپکے تمام سوالوں کا جواب مل جانا چاہیے کہ جس قدر کوئی انسان اوصاف سے دور ہوتا جائے گا اسکی قدر میں کمی ہونا شروع ہوجائے گی اگرچہ قدر اور عزت فلسفیانہ طور پر جدا جدا تعریف رکھتے ہیں مگر ایک اعتبار سے یہ دونوں لفظ ایک دوسرے کے مترادف بھی استعمال ہوتے ہیں ۔ ۔ ۔

    Last edited by aabi2cool; 3 January 2010, 15:13.

    Leave a comment:

  • ummid
    replied
    Re: **Qadar.....!

    Originally posted by Yaaram View Post
    Han lage hain, KISI ko nahi nazar aate to main kia karon ab..

    Leave a comment:

  • S.Athar
    replied
    Re: **Qadar.....!

    Sorry Itneeeeeeeeee Lambeeeeeeeeee Baton K Liay Time Nahin Hay. :(

    Leave a comment:

  • Yaaram
    replied
    Re: **Qadar.....!

    Originally posted by ummid View Post
    kyun??? tum mein kya surkhaab ke par lage hain ke koi aap se loyal ho.... ?
    Han lage hain, KISI ko nahi nazar aate to main kia karon ab..

    Leave a comment:

  • ummid
    replied
    Re: **Qadar.....!

    Originally posted by MSA View Post

    aur ibhaam:garmi:....ibhaam na hua khane me namak ho gaya jo khud kam rakha he
    :lol

    Leave a comment:

  • ummid
    replied
    Re: **Qadar.....!

    Originally posted by Yaaram View Post
    walikum salam

    Dekhein jo sucha insaan ho ga us ki qadar zaroor aksar log karein gay. Laazmi nahi ke sabhi karein per kuch log zaroor karein gay. aur Main bhi aisay hi insaan ki qadar karta hon sucha ho, logon se loyal ho. aur kam az kam mere sath loyal ho.

    kyun??? tum mein kya surkhaab ke par lage hain ke koi aap se loyal ho.... ?

    Leave a comment:

  • MeemSheenAlif
    replied
    Re: **Qadar.....!

    Originally posted by saraah View Post

    waalikyum asslam

    hmmmmmmmmm bohat si wajoohaat hoskti hain

    mera zaati khyaal yeh k banday me 10 khamiyaan b hon aur ek khoobi b agr jiski bina pr aap usski qadar krtay tou uss ek khoobi ko 10 khamiyon pe galib smjha jaye ...mushkil zaroor ...na mumkin nae

    Insaan kya hota hai..matlab kin cheezon se mil k banta hai....wo kuch khoobiyon kuch khamiyon ka muraqqa hi hota na ....tou unn hi khoobiyon me se aap kuch khoobiyon k qadar daan hotay...tou yeh sawaal kahan se aagya k insaan hona kafi nae???

    ALHAMDOLILAH krtay hain..... har banday ka mayaar mukhtalif har banda mukhtaklif wajoohat ki bina pr qadar krta hai

    ki ja skti hai..... dushnmani dekho k kahan hai ...dushmani se pehlay wo banda kya thaa kesa thaa aap k sath ..ya wo sirf aapki dushman hai baqi logon ka tou nae na...tou hai tou wo b insaan ...insaan ...jo aap keh rahin k insaan hona kafi nae kya qadar k liye...tou phir kijiye qadar usski k wo ek ''insaan'' hai :)

    mera ''khayaal'' hai k insaano ki ....muje nae lagta k me mateialistic hoon jo cheezon ki qadar karoon insano se zayda.....
    (jawaab me ibhaam hai...yeh ibhaam me ne khud rakha hai...isski wjah batana zaroori nahi :D:)
    yeh itni gehri gehri batein kaha se ajati he u logo k mind me:garmi:

    aur ibhaam:garmi:....ibhaam na hua khane me namak ho gaya jo khud kam rakha he

    Leave a comment:

  • Yaaram
    replied
    Re: **Qadar.....!

    walikum salam

    Dekhein jo sucha insaan ho ga us ki qadar zaroor aksar log karein gay. Laazmi nahi ke sabhi karein per kuch log zaroor karein gay. aur Main bhi aisay hi insaan ki qadar karta hon sucha ho, logon se loyal ho. aur kam az kam mere sath loyal ho.

    Leave a comment:

  • saraah
    replied
    Re: **Qadar.....!

    like?

    like...j

    esa k me ne kaha k har banday ka mayar mukhtalif hota...ab jese xenya ka thread ek lafz me acha insaan batayen wala....aap dekho k har member ki raye taqreeban mukhtlif.....so muje agar ''sacha'' insaan pasnd tou insaan ki sachai ki qadar karoon gi..muje agr rehmdil insaan pasnd tou me rehmdili ki khoobi pasand karon gi n so on..... hope u wl get it

    is ka matlab... woh "Insaaniyat ka Rishta" waali baat.... like aap kisi anjaane shakhs ki madad bhi Insaaniyat ke naate kar dete hain.... ke woh Insaan hai.... but when it comes to our closeones... hum log judgmental hojaate hain....
    one more example:(my obesrvation) raaste mein kisi ko dhaka lag jaaye tu hum foran sorry keh dete hain.... kyun?? aap na bhi kahe tub bhi kya farq parna hai... woh aap ki zindagi mein kahein koi kirdar play nahi karta... or jo aap ke apne ho un ki Qadar or Respect tub kum hojaati hai jub woh kuch ghalat kare ya aap ki expectationz ke upto na ho ya aap unhe hurt karein or ignore karein....

    iss hawalay se b jawaab de diya me ne....ummid baat aapkay zarf ki hai bas :)
    me apni misaal deti hoon.... muje apni ek cousin ki kuch aadaat nae pasasnd ....lakin wo mukammal tour pe tou buri nae na....wo bohat se logon se achaa b tou krti hogi na...krti HAI tou me kiyon na usski KHOOBI ko zehan me rakhoon

    I am confused... dont know how to explain... tumhe sumjh nahi aai tu am really sorry.... :rose

    nae yar iss me sorry ki kya baat teddy i think aagayi muje smajh :D:

    phir b agr discussion wali baat hui tou kar lain gay gay discuss no problem

    aapke jawabo ki sumjh hume aa gai :thmbup: shukriya :rose

    thats good adaab

    Leave a comment:

  • ummid
    replied
    Re: **Qadar.....!

    hmmmmmmmmm bohat si wajoohaat hoskti hain

    like?

    Insaan kya hota hai..matlab kin cheezon se mil k banta hai....wo kuch khoobiyon kuch khamiyon ka muraqqa hi hota na ....tou unn hi khoobiyon me se aap kuch khoobiyon k qadar daan hotay...tou yeh sawaal kahan se aagya k insaan hona kafi nae???
    is ka matlab... woh "Insaaniyat ka Rishta" waali baat.... like aap kisi anjaane shakhs ki madad bhi Insaaniyat ke naate kar dete hain.... ke woh Insaan hai.... but when it comes to our closeones... hum log judgmental hojaate hain....
    one more example:(my obesrvation) raaste mein kisi ko dhaka lag jaaye tu hum foran sorry keh dete hain.... kyun?? aap na bhi kahe tub bhi kya farq parna hai... woh aap ki zindagi mein kahein koi kirdar play nahi karta... or jo aap ke apne ho un ki Qadar or Respect tub kum hojaati hai jub woh kuch ghalat kare ya aap ki expectationz ke upto na ho ya aap unhe hurt karein or ignore karein....

    I am confused... dont know how to explain... tumhe sumjh nahi aai tu am really sorry.... :rose

    mera ''khayaal'' hai k insaano ki ....muje nae lagta k me mateialistic hoon jo cheezon ki qadar karoon insano se zayda.....
    (jawaab me ibhaam hai...yeh ibhaam me ne khud rakha hai...isski wjah batana zaroori nahi :D:)
    aapke jawabo ki sumjh hume aa gai :thmbup: shukriya :rose

    Leave a comment:

  • sarfraz_qamar
    replied
    Re: **Qadar.....!

    Originally posted by ummid View Post
    Asalamaalaikum

    ummid hai aap khairyat se honge... :hairdrayer:

    aap ek Insaan ki Qadar kin wajoohat ki bina per karte hain??

    kya aap jin wajoohat ki bina per us ki Qadar karte hain kabhi woh un ke bar'aks act kare tu kya us qadar mein kami aati hai??

    kya kisi Insaan ki Qadar karne ke liye yeh kaafi nahi ke woh ek Insaan hai??

    kya log aap ki Qadar karte hain??? or kaise?? aap ko kya lagta hai aap ki kin wajoohat ki wajah se koi aap ki Qadar karta hai..??

    kya apne dushamu ki Qadar ki jaa sakti hai?? haan tu kyun? nahi tu kyun??

    aap cheezo ki zyadah Qadar karte hain ya Insaanu ki?? or aap kaise judge kareinge is farq ko.... ?

    P.S: and yeah people... am here talking about QADAR i.e. Worth... not Respect.... dont mix up two things...
    W sallam....
    aap nay bohhat achhii baat kii haiii kehh insann kii qaddar kayy
    lieyy kiaa yeh kafii nahiik ehh wohh Insann haiiii.........

    I think insan kii Qadar uss kay Kirdar,ikhlaq,sooch etc kii wajaa sayy hii karrniii aoor honni chahieyyy

    Leave a comment:

  • saraah
    replied
    Re: **Qadar.....!

    Asalamaalaikum

    waalikyum asslam

    aap ek Insaan ki Qadar kin wajoohat ki bina per karte hain??

    hmmmmmmmmm bohat si wajoohaat hoskti hain

    kya aap jin wajoohat ki bina per us ki Qadar karte hain kabhi woh un ke bar'aks act kare tu kya us qadar mein kami aati hai??

    mera zaati khyaal yeh k banday me 10 khamiyaan b hon aur ek khoobi b agr jiski bina pr aap usski qadar krtay tou uss ek khoobi ko 10 khamiyon pe galib smjha jaye ...mushkil zaroor ...na mumkin nae

    kya kisi Insaan ki Qadar karne ke liye yeh kaafi nahi ke woh ek Insaan hai??

    Insaan kya hota hai..matlab kin cheezon se mil k banta hai....wo kuch khoobiyon kuch khamiyon ka muraqqa hi hota na ....tou unn hi khoobiyon me se aap kuch khoobiyon k qadar daan hotay...tou yeh sawaal kahan se aagya k insaan hona kafi nae???

    kya log aap ki Qadar karte hain??? or kaise?? aap ko kya lagta hai aap ki kin wajoohat ki wajah se koi aap ki Qadar karta hai..??

    ALHAMDOLILAH krtay hain..... har banday ka mayaar mukhtalif har banda mukhtaklif wajoohat ki bina pr qadar krta hai

    kya apne dushamu ki Qadar ki jaa sakti hai?? haan tu kyun? nahi tu kyun??

    ki ja skti hai..... dushnmani dekho k kahan hai ...dushmani se pehlay wo banda kya thaa kesa thaa aap k sath ..ya wo sirf aapki dushman hai baqi logon ka tou nae na...tou hai tou wo b insaan ...insaan ...jo aap keh rahin k insaan hona kafi nae kya qadar k liye...tou phir kijiye qadar usski k wo ek ''insaan'' hai :)

    aap cheezo ki zyadah Qadar karte hain ya Insaanu ki?? or aap kaise judge kareinge is farq ko.... ?

    mera ''khayaal'' hai k insaano ki ....muje nae lagta k me mateialistic hoon jo cheezon ki qadar karoon insano se zayda.....
    (jawaab me ibhaam hai...yeh ibhaam me ne khud rakha hai...isski wjah batana zaroori nahi :D:)

    Leave a comment:

  • ummid
    replied
    Re: **Qadar.....!

    Originally posted by Z. View Post
    ummid wo bas mujh sey filhal kuch bola aur likha nahi ja raha hai ja ker choclates khani chahien, kuch "fuel" aa jaye phir "garhi" chalatey hein 372-shock
    chocolates :hphp:

    Leave a comment:

  • Z.
    replied
    Re: **Qadar.....!

    Originally posted by ummid View Post
    bloo

    Fari

    aabi bhai

    and all :a stick:

Working...
X