Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Will power vs Skill power

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Will power vs Skill power

    Asalam alaikum logo,

    kehtey hein where there is a will, there is a way, aap k khayal mey sirf will power ka hona kafi hai ya will power k sath sath ye jo "way" dhoondna hota hai tau uss k liye skill power ka hona bhi zaroori hai ??

    Shoot it...
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Will power vs Skill power

    Originally posted by Z. View Post

    jahan will power hoo vohan kay way kay leye banda skill power bhi seekh hi leyta hai :guitar:

    pata nahi jawab kia deena tha :lol:
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment

    • #3
      Re: Will power vs Skill power

      bloo

      Comment

      • #4
        Re: Will power vs Skill power

        Originally posted by Aanchal View Post
        jahan will power hoo vohan kay way kay leye banda skill power bhi seekh hi leyta hai :guitar:

        pata nahi jawab kia deena tha :lol:
        yahi jawab tha magar aik cheez theek ker lo :P

        leyta hai ... nahi... seekhna hota hai... (i think) :P
        Originally posted by ummid View Post
        bloo
        ummid :oldie:
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #5
          Re: Will power vs Skill power

          Walaikum Assalam...

          sirf power honi chaihe...
          phir jis ki lathi us ki bhens....

          Comment

          • #6
            Re: Will power vs Skill power

            dono aik dosray kay bagiar kam nahi kartay :hphp:

            Comment

            • #7
              Re: Will power vs Skill power

              Originally posted by Z. View Post
              Asalam alaikum logo,

              kehtey hein where there is a will, there is a way, aap k khayal mey sirf will power ka hona kafi hai ya will power k sath sath ye jo "way" dhoondna hota hai tau uss k liye skill power ka hona bhi zaroori hai ??

              Shoot it...

              waalikum asslam

              zaroori nae skill pehlay se mojood ho .....
              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

              Comment

              • #8
                Re: Will power vs Skill power

                Skill is dependent upon will, if there is no will then your skill is useless.
                1st thing that matters for doing something is your will.

                Comment

                • #9
                  Re: Will power vs Skill power

                  Walekum Salam:hii:
                  will power ho to koi na koi rasta mil jata he

                  Comment

                  • #10
                    Re: Will power vs Skill power

                    Originally posted by Z. View Post
                    Asalam alaikum logo,

                    kehtey hein where there is a will, there is a way, aap k khayal mey sirf will power ka hona kafi hai ya will power k sath sath ye jo "way" dhoondna hota hai tau uss k liye skill power ka hona bhi zaroori hai ??

                    Shoot it...
                    Wa allaikum salaam Zinia

                    Will aur Skill 2 minfarid khasoosiyat ka naam hai. Zaroori nahin keh jiskey paas WILL ho uskey paas skill bhi ho, aur vice versa.

                    Sports ki duniya iski sab sey barri misaal hai. Har khailney wali ki WILL hoti hai keh woh top per pohnchey magar top per wohi pohnchtey hain jinkey paas skill hoti hai (Paksitan mein paisa ho tab top mil jata hai 372-haha).
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #11
                      Re: Will power vs Skill power

                      Assalaam-O-Alaikum

                      When there is a WILL, there is a WAY......

                      If a person wants to acheive his goals, he will naturally find his way provided that his WILL power is at extreme.

                      Insaan nay parinday ko dekha tou usay uRnay ka khayal aaya, aur issi soch nay ussay Airplane jaisi anookhi cheese bananay per aamaada kia, kayi flop try kay baad aakhir kaar woh yeh machine bana sakay.... uss waqt SKILL nahin thi magar WILL thi.... aaj humaray paas hazaroon kisam kay nayay nayay aircraft hain kiyonki SKILL hay aur saath main apnay aap ko UGRADE karnay ki WILL bhi...

                      Sab say baRi cheese hay WILL, agar will hay tou SKILL apnay aap develop hoti hay, seekh kar yaa khudh hazaroon baar fail hokar, just remember that every failure in your life adds up an experience in your life, experience to gain skill and utilize it in proper manner.......!!! All that you need a POWER WILL to acheive your GOALS in life.

                      May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                      Fi Amaan ALLAH
                      sigpic

                      Comment

                      • #12
                        Re: Will power vs Skill power

                        Ali mujhey aap ki batein kitabi kyun lag rahi hain?

                        Har WILL ko SKILL hasil nahin hoti, aur har SKILL mein WILL nahin hoti, warna duniya mein koi kamyab aur koi kam'kamyab na ho...

                        Duniya ki kisi bhi Airforce ko hi ley lijiyey, us mein WILL to har us candidate ki hoti hai, jo ussey join karna chahta hai, magar muntakhib sirf wohi hotey hain jin mein SKILL hoti hai.

                        CIA ko join karney wala almost har ameriki ho ga, magar CIA mein wohi muntakhib hotey hain jo TOP SKILLS walon sey bhi TOP per hotey hain...

                        Hamarey apney mulk mein kitney hazaron log WILL rakhtey hain, magar unkey paas skill nahin, aur skill walon key paas will nahin...

                        Mera zaati khiyaal hai keh WILL aur SKILL ka hona mukhtalif baat hai...

                        Originally posted by thefire1 View Post
                        Sab say baRi cheese hay WILL, agar will hay tou SKILL apnay aap develop hoti hay
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • #13
                          Re: Will power vs Skill power

                          Originally posted by Z. View Post
                          Asalam alaikum logo,

                          kehtey hein where there is a will, there is a way, aap k khayal mey sirf will power ka hona kafi hai ya will power k sath sath ye jo "way" dhoondna hota hai tau uss k liye skill power ka hona bhi zaroori hai ??

                          Shoot it...
                          W sallamm

                          i think 2nd aikk doossrray kay lieyy Lazim o Malzzoomm haiiii.......
                          "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                          Comment

                          • #14
                            Re: Will power vs Skill power

                            Masood bhai aap ki baatoon ki pukhtagi aur sachayi itni hoti hay kay aap say argument kar kay bohat kuch seekhnay ko milta hay :)

                            Main nay baat jiss nazaryeh say ki hay woh yeh hay kay ZAROORAT AIJAAD KI MAA HOTI HAY, Necessity is the mother of invension. Agar insaan main khudh iss baat ka jazba hoo aur jaisa kay topic suggest kar raha hay yaani kay WILL POWER tou duniya ki baRi say baRi SKILL woh khudh develop karta hay aur aisi develop karta hay kay uss kay naam kay saath mansoob hojaati hain.... ALLAH SWT nay har insaan ko paidaishi tour per ZEHAN diya hay jiss ka kuch log kam istimaal kartay hain tou kuch ziyada.... SKILL ka taaluq insaan kay ZEHAN say hosakta hay magar WILL ka taaluq seedha uss kay DIL say hota hay aur DIL say kiyey gayay PUKHTA IRAADAY koi badal nahin sakta...

                            Iss ki misaal aisay doonga.... Sikandar-e-Azam kay saath Arastoo hoya karta tha.... aik din Sikandar nay apnay haath Arastoo ko dikha kar kaha kay mujhay duniya ghoomnay ka bohat shouq hay kia aap bata saktay hain kay meray haathon main duniya ghoomna likha hay, Arastoo nay haath dekh kar kaha nahin aisa kuch nahin hay tou Sikandar nay kaha acha batayain kay kaun see lakeer hoti hay jiss say duniya ghomnay ki nishandahi hoti hay, ajb unhoo nay bataya tou Sikandar nay apnay khanjar say apnay haath per woh lakeer khainch dee aur kaha kay ab mujhay duniya ki koi taaqat duniya ghoomnay say nahin rok sakti!!!

                            DILI IRAADAY mazboot hoon tou SKILL ka aana bohat asaan baat hojaati hay, kiyonki srif SKILL insaan ko kam yaa ziyada kamyaab nahin banaati!

                            Originally posted by Masood View Post
                            Ali mujhey aap ki batein kitabi kyun lag rahi hain?
                            Originally posted by Masood View Post

                            Har WILL ko SKILL hasil nahin hoti, aur har SKILL mein WILL nahin hoti, warna duniya mein koi kamyab aur koi kam'kamyab na ho...

                            Duniya ki kisi bhi Airforce ko hi ley lijiyey, us mein WILL to har us candidate ki hoti hai, jo ussey join karna chahta hai, magar muntakhib sirf wohi hotey hain jin mein SKILL hoti hai.

                            CIA ko join karney wala almost har ameriki ho ga, magar CIA mein wohi muntakhib hotey hain jo TOP SKILLS walon sey bhi TOP per hotey hain...

                            Hamarey apney mulk mein kitney hazaron log WILL rakhtey hain, magar unkey paas skill nahin, aur skill walon key paas will nahin...

                            Mera zaati khiyaal hai keh WILL aur SKILL ka hona mukhtalif baat hai...

                            sigpic

                            Comment

                            • #15
                              Re: Will power vs Skill power

                              Originally posted by thefire1 View Post
                              Necessity is the mother of invension
                              Baqi batein baad mein, yeh aik alag proverb nahin????
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...
                              X