Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Neend ki inteha!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Neend ki inteha!!!

    Originally posted by bhataktii rooh View Post
    @

    duty time main neend ka alag hii maza hota hai.....

    yeh hamrey barrey bhai kaha kartey they...


    un k saath paish aya aik waqea share karti hoon

    "unhain aik baar apni office ki kisi site par duty k liye bhaija gaya tha..jo abaadii se taqreebun 10/12 KM door thii...duty time 8 hours tha...wo cabin sey bahar aye dekha saamney khula maidaan ...khula asmaan ..kuch dair is manzar se lutf'andoz howe phir neend aney lagii...kharrey kharrey ankhein bund kar dein or so gaye...kafii dair baad ankhein khulii tu mehsoos kiya k aik taang jis par zyada zor tha thak gayii hai...is liye side change kar k phir se araam sey so gaye...or neend poorii honey k baad uthey."

    kehtey they zindagii main kabhi bhi itnii pur'sakoon neend nahiin ayi jo us din ayi thi.....:lol

    is liye Masood Uncool g ka uzar qabool hai...washroom main bhi sakoon asakta hai....:lol
    subha se shaam nahi hui:garmi:

    Comment


    • #32
      Re: Neend ki inteha!!!

      walaikum salam,

      :lol


      AIk zamaney mey ney Internship ki thi, meri timings 9-6 thein. Tab mey ney ye seekha tha k jo kaam aap dil sey matlab aap k interest ka na ho tau phir bas neend hi ati hai. :-D Mujhey din mey bilkul neend leyney ki adat nahi hai magar wahan 3 bajtey aur mujhey aik cup coffee ka chahiye hota. uss poorey month mey mey ney teen task kiye they, Reporting uss mey sahih ka maza tha :-D, aik project management thi, uss mey maza aur aik kaam tha.... doc. translation... aur wo doc. bhi itni boring thi k bas pc k saamney aankhein band hoti rehti hein
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #33
        Re: Neend ki inteha!!!

        Walekum Salam:hii:
        acha tarika he neend puri karne ka:khi:

        Comment


        • #34
          Re: Neend ki inteha!!!

          Originally posted by MSA View Post
          subha se shaam nahi hui:garmi:
          nai....cuz un ki night duty thii...:lol
          .......................!!!!!

          Comment


          • #35
            Re: Neend ki inteha!!!

            logo so jao

            Comment


            • #36
              Re: Neend ki inteha!!!

              is thread ko ghayab na honey do...............:hairdrayer:
              .......................!!!!!

              Comment


              • #37
                Re: Neend ki inteha!!!

                Originally posted by Faro View Post
                logo so jao



                Comment


                • #38
                  Re: Neend ki inteha!!!

                  Originally posted by mano_billi View Post
                  Fari ko kaam key doran neend aati hai, tumhein parhney key doran aa rahi hai? Aik cheez common hai tum dono mein: dono hi kaam'koss ho
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  Working...
                  X