Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

**Thread....!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • **Thread....!

    Asalamaalaikum

    ummid hai sub khairyat se honge....

    aap GS mein thread kyun lagaate hai??
    kisi sawal ka jawab lene ke liye... ya yun hi.... ya koi or baat...

    thread lagane ke pehle kisi type ki soch hoti hai aap ki??

    thread lagane ke baad or members ke response aane ka baad kabhi aap ki thinking mein farq aaya.... like jis soch ke saath aap ne thread lagaya tha us ke baraks jawab aaye tu aap ko kaisa feel hota hai??

    GS mein lagne waale threads se aap ne kabhi kuch seekha??

  • #2
    Re: **Thread....!

    Originally posted by ummid View Post

    walaikum salam,
    Tumharey threads laganey sey ye andaza ho hi jata hai k ummid chutyon pey hai :P

    - Akser views leyney honey hotey
    -Kabhi mey aesyey hi for no reason thread laga deyti hun
    -kabhi ye dekhna hota hai k mey sahih sawal ker pa rahi hun ya aya logon ko meyra sawal samaj aa raha hai aur wo ussi k mutabiq jawab detey hein ya nahi
    -kabhi jab GS mey threads pauraney honey lagein tab bhi laga deti hun
    -seekhney ka amal tau jari rehta hai koi khas particular baat abhi yaad nahi jo mey idher filhaal share ker sakun :-D
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment

    • #3
      Re: **Thread....!

      Originally posted by Z. View Post

      haan chuttiyaan yaani free time... or free time mein me bauaht sochti ho... or jub sochti ho tu sochti ho ke chalo duniya ko bhi kuch sawal pooche jaayen jawab mile na mile.... aap phir bhi sirf ek sawal se bauaht kuch seekh sakte hain....

      tumhare answers acche lage.. ek or add karti ho is mein

      -food for thought.... GS ke kuch threads me ko food for thought dete hain..:rose

      Comment

      • #4
        Re: **Thread....!

        Originally posted by ummid View Post
        Asalamaalaikum

        ummid hai sub khairyat se honge....

        aap GS mein thread kyun lagaate hai??
        kisi sawal ka jawab lene ke liye... ya yun hi.... ya koi or baat...

        thread lagane ke pehle kisi type ki soch hoti hai aap ki??

        thread lagane ke baad or members ke response aane ka baad kabhi aap ki thinking mein farq aaya.... like jis soch ke saath aap ne thread lagaya tha us ke baraks jawab aaye tu aap ko kaisa feel hota hai??

        GS mein lagne waale threads se aap ne kabhi kuch seekha??

        Wa allaikum salaam

        Ham khairiyat sey hain aur aap ki khairiyat naik matloob maqsood chahtey hain :garmi:

        Thread is liyey lagatey hain keh section weeran na ho jaey :dance5:
        Dil mein jo hota hai, agar woh sawal hai to uskey jawab key liyey, agar koi khiyaal hai to ussey biyaan karney key liyey, agar koi talkhi hai to ussey kehney key liyey, agar koi information hai to ussey share karney key liyey - itna arsa ho geya hai thread lagatey huwey abhi tak samjhi nahin - na'maqool bachi :p

        Thread laganey sey pehley umeed hoti hai keh log kuchh suljhi hui baat karein gey, magar aksar mayoosi hoti hai - aur thread ka satyanas ho jata hai - jaisey abhi tumharey is thread ka honey wala hai :smilie2:
        Zahiri si baat hai jab aap ko aap ki soch key mutabiq jawab na miley to mayoosi hoti hai, aksar log dil'bardashta ho jatey hain magar mujhey ab is baat sey qatan koi gharz nahin rahi - mera kaam hamesha sey pohnchana hai agar kisi ney haasil nahin kiya to meri problem nahin - that's theirs!

        Main hamesha thread laganey sey pehley yehi sochta hoon, jisney kuchh pana huwa paa ley ga, nahin to uski problem hai meri nahin :dance5:
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #5
          Re: **Thread....!

          Originally posted by Masood View Post
          Wa allaikum salaam

          Ham khairiyat sey hain aur aap ki khairiyat naik matloob maqsood chahtey hain :garmi:

          Thread is liyey lagatey hain keh section weeran na ho jaey :dance5:
          Dil mein jo hota hai, agar woh sawal hai to uskey jawab key liyey, agar koi khiyaal hai to ussey biyaan karney key liyey, agar koi talkhi hai to ussey kehney key liyey, agar koi information hai to ussey share karney key liyey - itna arsa ho geya hai thread lagatey huwey abhi tak samjhi nahin - na'maqool bachi :p

          Thread laganey sey pehley umeed hoti hai keh log kuchh suljhi hui baat karein gey, magar aksar mayoosi hoti hai - aur thread ka satyanas ho jata hai - jaisey abhi tumharey is thread ka honey wala hai :smilie2:
          Zahiri si baat hai jab aap ko aap ki soch key mutabiq jawab na miley to mayoosi hoti hai, aksar log dil'bardashta ho jatey hain magar mujhey ab is baat sey qatan koi gharz nahin rahi - mera kaam hamesha sey pohnchana hai agar kisi ney haasil nahin kiya to meri problem nahin - that's theirs!

          Main hamesha thread laganey sey pehley yehi sochta hoon, jisney kuchh pana huwa paa ley ga, nahin to uski problem hai meri nahin :dance5:
          :rose

          Comment

          • #6
            Re: **Thread....!

            Originally posted by ummid View Post
            Asalamaalaikum

            ummid hai sub khairyat se honge....

            aap GS mein thread kyun lagaate hai??
            kisi sawal ka jawab lene ke liye... ya yun hi.... ya koi or baat...

            thread lagane ke pehle kisi type ki soch hoti hai aap ki??

            thread lagane ke baad or members ke response aane ka baad kabhi aap ki thinking mein farq aaya.... like jis soch ke saath aap ne thread lagaya tha us ke baraks jawab aaye tu aap ko kaisa feel hota hai??

            GS mein lagne waale threads se aap ne kabhi kuch seekha??

            Walaikum Salaaam

            Buhat acha thread with a perfect question :thmbup:

            Baqi members k baare me to mujhy nahi pata but mai GS me sirf 2 waja se thread lagata hai
            1. Jub koi buhat achi gud news share karni hoti hai aap sub members se tub thread lagata hon such as " Victory of Pak in T20 world Cup ", etc etc
            2. Dosra jub mujhy koi question pareshan karta hai tub aap sub k views jaanne k liye mai thread lagata hai.....

            Baaz auqaat to thread lagane ka maqsad pora ho jata hai but baaz auqaat members k chat'khaare daar chawalon se maqsad pata nahi kahan gum ho jata hai but i really enjoy their companies :)

            Comment

            • #7
              Re: **Thread....!

              waalikum asslam

              ummid ajkal khair hai na :D:

              zbrdast topics aarahy hain :ff:

              @

              pehlay b tafseel se jawaab de chuki hoon....baqi wohi jo baqi members bata chukay hain :rose
              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

              Comment

              • #8
                Re: **Thread....!

                :salam: App Nay yah Thread laga kar Bohat Accha Kia :rose.Main is k bary Mian Kuch Bat Karna B Chah raha tha.:dance5:Thread Laganay ki 1 wajha to yah hay k is bahany gupshup ka moqa miljata hay. :taali:Dosry is say yah Bhee Ahsas hota Hai K Mimbar Active Hay
                Albata Ous Waqat bohat Mayose Hoti hay Jab Baychara Thread Kahin Peachy Rah Jata hay Or Mimbran Apas ki Baton Main Ouljh kar Yah Bhol hi jatay Hain K Is Thread ko Lagany walay Pay Kia beet rahe Hoge 372-shed.So Mayra Khial to yah hay K Apni Baton ko Thread tak he Mahdod Rakah jay to Acha Hay.
                Last edited by S.Athar; 29 December 2009, 20:24.
                :star1:

                Comment

                • #9
                  Re: **Thread....!

                  Originally posted by ummid View Post
                  haan chuttiyaan yaani free time... or free time mein me bauaht sochti ho... or jub sochti ho tu sochti ho ke chalo duniya ko bhi kuch sawal pooche jaayen jawab mile na mile.... aap phir bhi sirf ek sawal se bauaht kuch seekh sakte hain....

                  tumhare answers acche lage.. ek or add karti ho is mein

                  -food for thought.... GS ke kuch threads me ko food for thought dete hain..:rose
                  yeah! Jaisey aaj kal hamara "I have learnt today hai..." :-D
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment

                  • #10
                    Re: **Thread....!

                    Walaikum Assalam....

                    mere pas pata nahi kaha se itne sare sawal aajate he ajeb ajeeb se...un ka jawab dhondne k lie....

                    baqi maqsad pora hona....ho hi jata he aik 2 post mil jati he kaam ki...

                    waise abb to me ne kum kurdia he thread lagana:$

                    Comment

                    • #11
                      Re: **Thread....!

                      Walekum Salam:hii:
                      thread is leay lagati hun k kabhi kuch poochna hota he,kabhi kisi baat par herat ho,dil ko dukh ho,koi baat soch par majboor kare,sab se kuch share karna ho apni ya sab ki maloomat me izafa karna ho,sab k views lene hon kisi bare me,esi hi wajoohat hoti hen

                      Comment

                      Working...
                      X