Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

**Aam Aadmi...!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • **Aam Aadmi...!

    Asalamaalaikum

    ummid hai sub khairyat se honge...:hairdrayer:

    me TV per ek serial dekh rahi thi ek Afsaane per base tha woh... "aam aadmi" per..... :think:

    tu pochna yeh hai ke aam aadmi or khas aadmi kya hota hai...

    aap kaise define karoge aam aadmi or khas aadmi ko... :oldie:

    aadmi tu aadmi hota hai.... aadam (AS) ki ulaad....

    phir yeh farq kahan se, kyun or kaise shoro howa?? or ab shoro howa hai tu mitega kaise??

    any idea??:lpop:

  • #2
    Re: **Aam Aadmi...!

    Walaikum Assalam...

    aik defn k mutabiq...

    Mango Admi: jis ke achanak mout se kisi ko koi fark na pare...
    Khas Admi: jis ke achanak mout se buhat fark pare

    fark kaise mite ga...rubber se

    Comment

    • #3
      Re: **Aam Aadmi...!

      Originally posted by MSA View Post
      Walaikum Assalam...

      aik defn k mutabiq...

      Mango Admi: jis ke achanak mout se kisi ko koi fark na pare...
      Khas Admi: jis ke achanak mout se buhat fark pare

      fark kaise mite ga...rubber se
      achnak moat kya hoti hai shahRukh ... maut kabhi planning kar ke aati hai??

      or yeh defn kis ki hai??

      aam aadmi mar jaaye tu kyun kisi ko farq parta... khas aadmi mein aisa kya hota hai ke bauaht so ko farq pare....

      or woh rubber aap ne ijaad karna hai na jis se farq mita sako... kya kya integrate daaloge us mein???

      Comment

      • #4
        Re: **Aam Aadmi...!

        Originally posted by ummid View Post
        achnak moat kya hoti hai shahRukh ... maut kabhi planning kar ke aati hai??
        unexpected mout, aik tandrust bunde ki mout

        or yeh defn kis ki hai??

        shayd meri he....

        aam aadmi mar jaaye tu kyun kisi ko farq parta... khas aadmi mein aisa kya hota hai ke bauaht so ko farq pare....

        kehne ka yeh matlab tha....k aik aadmi wo he jo jis apni xindagi guzarta he...us ki waja se kisi dosre ko koi faida nahi pohanchta, wo kisi k lie koi ehmiat nahi rakhta-jaise aik bunda wahid source of income ho aur us ki achanak mout hojae to yeh us family k lie disaster ho ga...mere khayal me yeh cheez usse khas banati he(is defn k lehaz se)...aur is k opposite aam aadmi....shayd app ne jo aam aadmi pocha he wo shayd koi aur defn k lehaz se ho..political point of view se hukmaran KHAS awam AAMM...factory k malik k lie wo KHASS co'worker AAM...vary kurta he i guess:think:

        or woh rubber aap ne ijaad karna hai na jis se farq mita sako... kya kya integrate daaloge us mein???

        apna muraqba kur k...
        Last edited by MeemSheenAlif; 26 December 2009, 16:51.

        Comment

        • #5
          Re: **Aam Aadmi...!

          Originally posted by ummid View Post
          Asalamaalaikum

          ummid hai sub khairyat se honge...:hairdrayer:

          me TV per ek serial dekh rahi thi ek Afsaane per base tha woh... "aam aadmi" per..... :think:

          tu pochna yeh hai ke aam aadmi or khas aadmi kya hota hai...

          aap kaise define karoge aam aadmi or khas aadmi ko... :oldie:

          aadmi tu aadmi hota hai.... aadam (AS) ki ulaad....

          phir yeh farq kahan se, kyun or kaise shoro howa?? or ab shoro howa hai tu mitega kaise??

          any idea??:lpop:
          w/s
          sis me to star plus dekhti ho bebo wala drama

          :smilie2:

          Comment

          • #6
            Re: **Aam Aadmi...!

            Walaikum Assalaam

            Yeh tafreeq karnay waalay hum nahin hay, ALLAH SWT nay insanoon main darajaat paida kiye hain aur har aik ko uss kay khaas qabilaay main paida kia hay... kisi ko haakim banaya hay tou kisi ko Mahkoom, kisi ko Zaalim banaya hay tou kisi ko Mazloom.... kiyonki agar yeh DARAJAAT paida nahin karta tou insaanoon ka IMTIHAN kaisay laita?

            Kisi ka imtihaan bay-tahasha doulat day kar tou kisi ko faqeeri day kar, yeh shaan meray RAB-e-Azwajal ki hay, aur aisa hona iss duniya kay nizaam ko chalaanay kay liye bohat zaroori hay.

            Bas aik cheese bilkul musalimma hay kay chahay insaan KHAAS ho yaa AAM, uss ko aik na aik din fana hojaana hay aur uss kay saath na tou uss ki doulat jayay gi aur na hi ghareebi, count hoongain tou srif aur srif uss kay achay amaal, uss ka taqwa, uss ka sabar aur shukar jo har haal main apnay RAB AJWAJAL ka shukar ada karta raha, beemari main bhi, khushi main, ghum main, doulat main, faqeeri main, apnay andaz-e-khaas main aur apnay halat-e-aam main!!!

            May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

            Fi Amaan ALLAH

            Originally posted by ummid View Post
            Asalamaalaikum

            ummid hai sub khairyat se honge...:hairdrayer:

            me TV per ek serial dekh rahi thi ek Afsaane per base tha woh... "aam aadmi" per..... :think:

            tu pochna yeh hai ke aam aadmi or khas aadmi kya hota hai...

            aap kaise define karoge aam aadmi or khas aadmi ko... :oldie:

            aadmi tu aadmi hota hai.... aadam (AS) ki ulaad....

            phir yeh farq kahan se, kyun or kaise shoro howa?? or ab shoro howa hai tu mitega kaise??

            any idea??:lpop:
            sigpic

            Comment

            • #7
              Re: **Aam Aadmi...!

              Originally posted by thefire1 View Post
              ALLAH SWT nay insanoon main darajaat paida kiye hain
              Achha...... :think: :think: :think:
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #8
                Re: **Aam Aadmi...!

                Jee
                sigpic

                Comment

                • #9

                  :rose
                  ........

                  and yeah I am still confused ke ye aam or khas admi ka concept cheez kya....

                  Comment

                  • #10
                    Re: **Aam Aadmi...!

                    Originally posted by Masood View Post
                    Achha...... :think: :think: :think:
                    aap ka jawab kahan hai

                    Comment

                    • #11
                      Re: **Aam Aadmi...!

                      Wa salaam behna

                      Kuchh din pehley main AAG TV per Radio FM dekh raha tha, jiski host Naveen Waqar ney aik topic chherra keh "Burger aur BunKebab" kaun hotey hain aur kaisey patah chalta hai keh Burger kaun hai aur BunKebab kaun?

                      Pehley to mujhey samajh na aaii keh yeh kya kah rahi hai, magar jab usney wazahat ki to patah chala keh hamarey haan yeh tarakeeb awwam key status key barey mein istimaal hoti hain keh agar koi tight shight English libas aur fit fat ho to woh Burger hai aur agar koi aam satah ka Pakistani ho to woh BunKebab hai :khi:

                      Hamarey haan shuru hi sey is tarha key status apnaey gaey hain. Jo awwam ko aam aur khaas mein bant'tey chaley aaey hain. Jiski jitni oonchi approch hai woh utna khaas hai, aur jiski nahin woh zahir hai utna hi aam ho ga...

                      Agar ham isko Islami taleemat mein parkhein to bhi yeh drust hi lagta hai keh jiski jitni oonchi approach hai, woh utna KHAAS hai - magar farq sirf yeh hai:

                      Hamari aaj kal ki duniya mein DIKHAWA aur JHOOTA STATUS chalta hai jo paisey sey haasil hota hai, aur paisa aksar ghalt rahon per chal ker haasil hota hai, yani khaas woh hai jo ghalt kaam kar key khud ko paarsa bnaa ley

                      Islam mein aisa nahin, yahan per Allah Tala key haan har insaan braber hai, magar farq hai to sirf taqwa ki bina per. Jo jitna barra mutaqqi hai, uski APPROACH Allah Tala key nazdeek utni ziyada hai, aur woh Allah key haan utna KHAAS hai....
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • #12
                        Re: **Aam Aadmi...!

                        Originally posted by ummid View Post
                        Asalamaalaikum

                        ummid hai sub khairyat se honge...:hairdrayer:

                        me TV per ek serial dekh rahi thi ek Afsaane per base tha woh... "aam aadmi" per..... :think:

                        tu pochna yeh hai ke aam aadmi or khas aadmi kya hota hai...

                        aap kaise define karoge aam aadmi or khas aadmi ko... :oldie:

                        aadmi tu aadmi hota hai.... aadam (AS) ki ulaad....

                        phir yeh farq kahan se, kyun or kaise shoro howa?? or ab shoro howa hai tu mitega kaise??

                        any idea??:lpop:
                        W sallamm.....

                        Aaj kall kayy Mutabiqqq......

                        Izzat aorr sharraft kaa Miiar paissaa hii haiii.....

                        too jiss kayy passs Paissaa haiii wohh Khassss...

                        aoor baqii aammmmm
                        "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                        Comment

                        • #13
                          Re: **Aam Aadmi...!

                          Originally posted by thefire1 View Post
                          Yeh tafreeq karnay waalay hum nahin hay, ALLAH SWT nay insanoon main darajaat paida kiye hain
                          Mujhey aap ki is baat sey itifaq nahin :)

                          Pedaishi taur per Allah Tala key haan kisi insaan mein koi farq nahin. Na koi afzal hai aur na koi mafzool hai, na koi aala hai aur na koi adna hai, na koi khaas hai aur na koi aam!

                          Yehi sabaq hamein Nabi Kareem SAW ney apney Khutba-tul-Widaa mein farmaya tha keh kisi insaan ko kisi insaan per foqiyat nahin, na arabi ko ajmi per, na gorey ko kaaley - magar taqwa ki bina per.

                          Aaj agar koi Eewan-e-saddar mein pedah to to iska hargiz matlab yeh nahin keh woh KHAAS hai! Insaan braber hain, magar taqwa ki bina per :)
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #14
                            Re: **Aam Aadmi...!

                            aam khas to insaan khud banata hai ...kabhi kabhi aam admi bhi kisi kay leye khas ban jata hai :lol:
                            aik banda kisi kay leye aam hota hai to dosray kay leye khas :shyy:
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment

                            • #15
                              Re: **Aam Aadmi...!

                              Assalaam-O-Alaikum

                              Masood bhai, jab aap nay itnay achay aur authentic tareekay say baat ki hay tou main kahan iss kay khilaaf kuch keh sakta hoon, aap ka bohat bohat shukriya kay aap nay itni khoobsurti say chand lafzoon main MUTAQQI aur PARHAIZGAAR ki wazaahat kar di.

                              Main nay darasal darajaat ki baat ki hay mutaqqi ki nahin, ALLAH SWT ki nazar main sab say khaas aur sab say bulund wohi hay jo sab say ziyada mutaqqi aur parhaizgaar hay.

                              Magar insaan main darajaat bhi ALLAH SWT nay hi paida kiye hain, koi apni marzi say AMEER aur GHAREEB khandaan main paida honay ka ikhtiyar nahin rakh sakta, yehi waja hay kay dunya main hum jisay KHAAS aur AAM kehtay hain usski ALLAH SWT ki nazar main koi ahmiyat nahin, magar agar zindagi main ALLAH SWT khaas aur aam nahin banaatay tou log ALLAH SWT kay SHUKARGUZAR kaisay hotay, WOH hum sab ka IMTIHAAN kaisay laita... agar sab hi AMEER hotay tou GHURBAT ka tasawurr hi nahin hota, aur na hi koi mochi hota, na koi mazdoor, na hi koi fakeer... mehaz har paishay main kaam karnay waloon ko paida kia unmain woh kaam karnay ki salahiyat paida ki, jo apnay fun main maharat rakh kar extraordinary mehnat karain uss ka sila bhi dia, jo apni doulat ka ghalat istimaal karain unko saza bhi dee!!!

                              Mehaz yeh tafreeq bhi mashiyat-e-Ilaahi ka aik hissa hay jo kay iss karsaz-e-zindai main bohat ahmiyat rakhti hay, magar saath saath uss nay waada bhi kia kay dunya main paida ki gayi yeh TAFREEQ aakhirat main koi maainay nahin rakhay gi agar aik GHAREEB mutaqqi aur parhaizgaar hay tou woh ALLAH SWT ki nazar main utni hi izzat ka haqdaar hay jitna aik mutaqqi baadshah!!!

                              May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                              FI Amaan ALLAH

                              Working...
                              X