Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Christmas.....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Christmas.....

    Originally posted by thefire1 View Post
    Assalaam-O-Alaikum

    Aabi bhai, main nay aaap kay batayay huway lafz per click kia aur aik site bhi khuli magar uss site per moujood maqaalay ko main paRhnay say qaasir raha baar baar woh mujhay log in ki hidayat day rahi thi, kia aap say guzarish kar sakta hoon kay aap uss maqaalay ko yahan post karain taakay meray saath saath aur bhi members iss say mustafeed hosakain, shukria.

    Fi Amaan ALLAH
    yaar main click krta hon to khul jata hi aap k sath kaya masla hi halank main nay bhi log off hok do baar click kia aur link theek tarah se open hua
    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

    Comment


    • #32
      Re: Christmas.....

      Assalaam-O-Alaikum Abbi Bhai

      Sab say pehlay iss khaksaar ki jaanib say tah-e-dil say SHUKRIYA qubool karain kay aap nay itnay aham aur sanjeeda mozoo per pooray dalayil kay saath apni tehreerain paish ki, waqayi yeh tehreerain paRh kar aap kay wasee mutaliya ka bakhoobi andaaaza hota, ALLAH Rab-ul-Izzat aap ko ilm main mazeed izaafa karay AMEEN.

      Sunnat aur hadidth main farq aur Biddat ki iqsam fiqah ki roshni main saabit kar kay aap nay bohat say kaam asaan kar diye, main aap ki kisi bhi baat say ikhtilaaf nahin karta, aur na hi kar sakta hoon kiyonki har cheese aik musallamma haqeqat hay aur baqaida references kay saath bayan ki gayi hay, aur aap kay ahbab kay comments aur aap ki baatoon per yaqeeen mujhay bhi aap kay wasee ilm aur aap ki deeni RESPONSIBILITIES ka yaqeen dilaata hay kiyonki bina ilm kay deen kay maamlat main likhna aisa hi hay jaisay bina driving seekhay gaaRi chalaana.

      Aap meray zehan main jo doubt hay usay clear karain kay chalain agar hum EID MILAD-un-NABI SAW ko biddat-e-husna taswaurr kar lain aur baqaida iss ka ehtimaam karain, ratoon ko rat jagay arrange karain, naat khuwaani kay ehtimaam karain, free lunger baatain, phir raat ko ALLAH HO ALLAH HO kartay kartay raat kay pichlay pehar tak inhi cheeson main mashghol reh kar apnay FARZ ki adayegi na karain, aur yeh sab ehtimaam saal main aik baar kar kay hum yeh samajh lain kay hum NABI-E-KARIM SAW ki Eid Milad mana kar jannat kay haqdaar hogayay?

      Meray zehan main tou yehi sawaal baar baar khatakta hay kay aakhir hum apnay deen ko amli shakal say door kar kay srif aur srif TEHWAROON ka deen kiyon baanatay jaa rahay hain, aaj Eid Milad, Valentine day biwiyon aur girl friends kay liye, maa kay liye mother's day, waalid kay liye father's day aur woh din bhi dour nahin hoga kay behnoon kay liye "Rakhi" tak... yaani yeh sab CELEBRATION tou ISLAM ki taleem nahin, tou phir kia hum inn sab CELEBRATIONS ko bhi "Biddat-e-husna" ka naam day kar apna lain?????

      May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

      Fi Amaan ALLAH
      sigpic

      Comment


      • #33
        Re: Christmas.....

        Assalaam-O-Alaikum

        Aabi bhai, aik bohat hi aham sawaal aur zehan main gardish karnay laga iss thread kay MOZOO ko lay kar kay ALLAH SWT nay hi Quran-e-Pak main farmaya hay na kay meray Abnihayaa-e-Karam Alah-e-Salam main koi TAFARUQ nahin karoo tou hum X-Mas ko bhi "Biddat-husna" ka naam day kar kiyon nahin manaatay aakhir woh bhi ALLAH SWT kay Nabi Hazrat Essa Alah-e-Salaam ki wilaadat say mansoob hay????

        Meray doubt clear kar kay mujhay SHUKRIYA ka mouqa day, may ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN.

        Fi Amaan ALLAH
        sigpic

        Comment

        Working...
        X