Re: Christmas.....
Assalaam-O-Alaikum Mr. Khan
Sab say pehlay aap ka bayhudh shukriya kay aap nay itna khoobsurat topic shuroo kia aur aap nay jo information share ki hain woh bhi qabil-e-tehseen hain.
Christ's Mass (Chirstmas or Xmas) aik chiristian tehwar hay jo Hazarat Essa Alah-e-Salaam ki wilaadat per manaya jaata hay jo 25 December ko poori duniya main basnay waalay chirstian aur duniya kay 7 mumalik main 7 January ko manaya jaata hay!!
Humara mazhab ISLAM humain iss qisam kay tehwaroon say doour rakhta hay kiyonki deen-e-ISLAM tehwaaroon tak mehdood nahin baaqi tamam mazhab main aap srif tehwaar dekhain gain jaisay holi, dewaali, dasaira, waghaira waghaira..
ISLAM main srif 2 EID hain aik EID-ul-Adha aur doosri Eid-ul-Fitr uskay ilaawa koi bhi dinn humaray liye kisi bhi ahmiyat ka haamil nahin hay aur na hi humain ussay mannanay ki kahin bhi koi shahdat milti hay.
Aaj hum yeh keh rahay hain kay hum apnay dostoon ki khushi ki khaatir unkay gift accept kartay hain ya unko gifts daitay hain kal hum apni behnoon ko RAAKHI baadhnay say bhi guraaiz nahin karain gain kay chalo hum apni behnoon ki hifaazat kay liye raakhi baadh kar uski raksha (Hifaazat) ka waada kartay hain!!!
Humain auroon kay celebration main shaamil honay kay bajayay apnay IMAN ko taaza rakhna chayeh, kiyonki jisay aaj hum aik DOSTI ka dandhan samajh rahay hain woh kal chal kar humari aulaad main muntaqil hoga aur shayed zindagi bhar woh bhi iss CONFUSION ka shikaar rahain kay humaray waldain tou Xmas bhi manatay hain, eid bhi manatay hain aur holi bhi.... aur kal ko woh apnay deen-e-Islam ko bhi srif aur srif TEHWAAROON ka mazhab samjhain.
May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN.
FI Amaan ALLAH

Comment